और अब हे याजको, यह आज्ञा तुम्हारे लिये है।
Aur ab he yajko, yah aagya tumhare liye hai.
Malachi 2 · 17 verses
और अब हे याजको, यह आज्ञा तुम्हारे लिये है।
Aur ab he yajko, yah aagya tumhare liye hai.
यदि तुम इसे न सुनो, और मन लगा कर मेरे नाम का आदर न करो, तो सेनाओं का यहोवा यों कहता है कि मैं तुम को शाप दूंगा, और जो वस्तुएं मेरी आशीष से तुम्हें मिलीं हैं, उन पर मेरा शाप पड़ेगा, वरन तुम जो मन नहीं लगाते हो इस कारण मेरा शाप उन पर पड़ चुका है।
Yadi tum ise na suno, aur man laga kar mere naam ka aadar na karo, to senaon ka Yahowa yon kahta hai ki main tum ko shaap doonga, aur jo vastuein meri aasheesh se tumhein mili hain, un par mera shaap padega, varan tum jo man nahi lagate ho is karan mera shaap un par pad chuka hai.
देखो, मैं तुम्हारे कारण बीज को झिड़कूंगा, और तुम्हारे मुंह पर तुम्हारे पर्वों के यज्ञ पशुओं का मल फैलाऊंगा, और उसके संग तुम भी उठा कर फेंक दिए जाओगे।
Dekho, main tumhare karan beej ko jhidkoonga, aur tumhare munh par tumhare parvon ke yagy pashuon ka mal phailaoonga, aur uske sang tum bhi utha kar phenk diye jaoge.
तब तुम जानोगे कि मैं ने तुम को यह आज्ञा इसलिये दिलाई है कि लेवी के साथ मेरी बन्धी हुई वाचा बनी रहे; सेनाओं के यहोवा का यही वचन है।
Tab tum janoge ki main ne tum ko yah aagya isliye dilai hai ki levi ke saath meri bandhi hui vacha bani rahe; senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.
मेरी जो वाचा उसके साथ बन्धी थी वह जीवन और शान्ति की थी, ओर मैं ने यह इसलिये उसको दिया कि वह भय मानता रहे; और उसने मेरा भय मान भी लिया और मेरे नाम से अत्यन्त भय खाता था।
Meri jo vacha uske saath bandhi thi vah jeevan aur shanti ki thi, or main ne yah isliye usko diya ki vah bhay manta rahe; aur usne mera bhay maan bhi liya aur mere naam se atyant bhay khata tha.
उसको मेरी सच्ची व्यवस्था कण्ठ थी, और उसके मुंह से कुटिल बात न निकलती थी। वह शान्ति और सीधाई से मेरे संग संग चलता था, और बहुतों को अधर्म से लौटा ले आया था।
Usko meri sachchi vyavastha kanth thi, aur uske munh se kutil baat na nikalti thi. Vah shanti aur seedhai se mere sang sang chalta tha, aur bahuton ko adharm se lauta le aaya tha.
क्योंकि याजक को चाहिये कि वह अपने ओंठों से ज्ञान की रक्षा करे, और लोग उसके मुंह से व्यवस्था पूछें, क्योंकि वह सेनाओं के यहोवा का दूत है।
Kyonki yajak ko chahiye ki vah apne onthon se gyaan ki raksha kare, aur log uske munh se vyavastha poochhein, kyonki vah senaon ke Yahowa ka doot hai.
परन्तु तुम लोग धर्म के मार्ग से ही हट गए; तुम बहुतों के लिये व्यवस्था के विषय में ठोकर का कारण हुए; तुम ने लेवी की वाचा को तोड़ दिया है, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है।
Parantu tum log dharm ke maarg se hi hat gaye; tum bahuton ke liye vyavastha ke vishay mein thokar ka karan hue; tum ne levi ki vacha ko tod diya hai, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.
इसलिये मैं ने भी तुम को सब लोगों के साम्हने तुच्छ और नीचा कर दिया है, क्योंकि तुम मेरे मार्गों पर नहीं चलते, वरन व्यवस्था देने में मुंह देखा विचार करते हो॥
Isliye main ne bhi tum ko sab logon ke samhane tuchchh aur neecha kar diya hai, kyonki tum mere margon par nahi chalte, varan vyavastha dene mein munh dekha vichaar karte ho.
क्या हम सभों का एक ही पिता नहीं? क्या एक ही परमेश्वर ने हम को उत्पन्न नहीं किया? हम क्यों एक दूसरे का विश्वासघात कर के अपने पूर्वजों की वाचा को तोड़ देते हैं?
Kya ham sabhon ka ek hi pita nahi? Kya ek hi Parmeshwar ne ham ko utpann nahi kiya? Ham kyon ek doosre ka vishwasghaat kar ke apne poorvajon ki vacha ko tod dete hain?
यहूदा ने विश्वासघात किया है, और इस्राएल में और यरूशलेम में घृणित काम किया गया है; क्योंकि यहूदा ने बिराने देवता की कन्या से विवाह कर के यहोवा के पवित्र स्थान को जो उसका प्रिय है, अपवित्र किया है।
Yahuda ne vishwasghaat kiya hai, aur Israel mein aur Yerushalem mein ghrinit kaam kiya gaya hai; kyonki Yahuda ne birane devta ki kanya se vivaah kar ke Yahowa ke pavitra sthaan ko jo uska priya hai, apvitra kiya hai.
जो पुरूष ऐसा काम करे, उसके तम्बुओं में से याकूब का परमेश्वर उसके घर के रक्षक और सेनाओं के यहोवा की भेंट चढ़ाने वाले को यहूदा से काट डालेगा!
Jo puroosh aisa kaam kare, uske tambuon mein se Yakub ka Parmeshwar uske ghar ke rakshak aur senaon ke Yahowa ki bhent chadhane vale ko Yahuda se kaat dalega!
फिर तुम ने यह दूसरा काम किया है कि तुम ने यहोवा की वेदी को रोने वालों और आहें भरने वालों के आंसुओं से भिगो दिया है, यहां तक कि वह तुम्हारी भेंट की ओर दृष्टि तक नहीं करता, और न प्रसन्न हो कर उसको तुम्हारे हाथ से ग्रहण करता है। तुम पूछते हो, ऐसा क्यों?
Phir tum ne yah doosra kaam kiya hai ki tum ne Yahowa ki vedi ko rone valon aur aahein bharne valon ke aansuon se bhigo diya hai, yahan tak ki vah tumhari bhent ki or drishti tak nahi karta, aur na prasann ho kar usko tumhare haath se grahan karta hai. Tum poochhte ho, aisa kyon?
इसलिये, क्योंकि यहोवा तेरे और तेरी उस जवानी की संगिनी और ब्याही हुई स्त्री के बीच साक्षी हुआ था जिस का तू ने विश्वासघात किया है।
Isliye, kyonki Yahowa tere aur teri us javani ki sangini aur byahi hui stri ke beech sakshi huaa tha jis ka tu ne vishwasghaat kiya hai.
क्या उसने एक ही को नहीं बनाया जब कि और आत्माएं उसके पास थीं? ओर एक ही को क्यों बनाया? इसलिये कि वह परमेश्वर के योग्य सन्तान चाहता है। इसलिये तुम अपनी आत्मा के विषय में चौकस रहो, और तुम में से कोई अपनी जवानी की स्त्री से विश्वासघात न करे।
Kya usne ek hi ko nahi banaya jab ki aur aatmayen uske paas thi? Or ek hi ko kyon banaya? Isliye ki vah Parmeshwar ke yogya santaan chahta hai. Isliye tum apni aatma ke vishay mein chaukas raho, aur tum mein se koi apni javani ki stri se vishwasghaat na kare.
क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यह कहता है, कि मैं स्त्री-त्याग से घृणा करता हूं, और उस से भी जो अपने वस्त्र को उपद्रव से ढांपता है। इसलिये तुम अपनी आत्मा के विषय में चौकस रहो और विश्वासघात मत करो, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है॥
Kyonki Israel ka Parmeshwar Yahowa yah kahta hai, ki main stri-tyaag se ghrina karta hoon, aur us se bhi jo apne vastra ko upadrav se dhampta hai. Isliye tum apni aatma ke vishay mein chaukas raho aur vishwasghaat mat karo, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.
तुम लोगों ने अपनी बातों से यहोवा को उकता दिया है। तौभी पूछते हो, कि हम ने किस बाते में उसे उकता दिया? इस में, कि तुम कहते हो कि जो कोई बुरा करता है, वह यहोवा की दृष्टि में अच्छा लगता है, और वह ऐसे लोगों से प्रसन्न रहता है, और यह, कि न्यायी परमेश्वर कहां है?
Tum logon ne apni baton se Yahowa ko ukta diya hai. Taubhi poochhte ho, ki ham ne kis bate mein use ukta diya? Is mein, ki tum kahte ho ki jo koi bura karta hai, vah Yahowa ki drishti mein achchha lagta hai, aur vah aise logon se prasann rahta hai, aur yah, ki nyayi Parmeshwar kahan hai?