Malachi 1 · 14 verses

मलाकी 1 Malachi 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Malaki 1.

1

मलाकी के द्वारा इस्राएल के विषय में कहा हुआ यहोवा का भारी वचन॥

Malaki ke dwara Israel ke vishay mein kaha huaa Yahowa ka bhari vachan.

2

यहोवा यह कहता है, मैं ने तुम से प्रेम किया है, परन्तु तुम पूछते हो, तू ने किस बात में हम से प्रेम किया है? यहोवा की यह वाणी है, क्या ऐसाव याकूब का भाई न था?

Yahowa yah kahta hai, main ne tum se prem kiya hai, parantu tum poochhte ho, tu ne kis baat mein ham se prem kiya hai? Yahowa ki yah vani hai, kya aisaav Yakub ka bhai na tha?

3

तौभी मैं ने याकूब से प्रेम किया परन्तु ऐसाव को अप्रिय जान कर उसके पहाड़ों को उजाड़ डाला, और उसकी बपौती को जंगल के गीदड़ों का कर दिया है।

Taubhi main ne Yakub se prem kiya parantu aisaav ko apriya jaan kar uske pahadon ko ujaad dala, aur uski bapauti ko jangal ke geeddon ka kar diya hai.

4

एदोम कहता है, हमारा देश उजड़ गया है, परन्तु हम खण्डहरों को फिर कर बसाएंगे; सेनाओं का यहोवा यों कहता है, यदि वे बनाए भी, परन्तु मैं ढा दूंगा; उनका नाम दुष्ट जाति पड़ेगा, और वे ऐसे लोग कहलाएंगे जिन पर यहोवा सदैव क्रोधित रहे।

Edom kahta hai, hamara desh ujad gaya hai, parantu ham khandahron ko phir kar basayenge; senaon ka Yahowa yon kahta hai, yadi ve banaye bhi, parantu main dha doonga; unka naam dusht jati padega, aur ve aise log kahlayenge jin par Yahowa sadaiv krodhit rahe.

5

तुम्हारी आंखे इसे देखेंगी, और तुम कहोगे, यहोवा का प्रताप इस्राएल के सिवाने की परली ओर भी बढ़ता जाए॥

Tumhari aankhe ise dekhengi, aur tum kahoge, Yahowa ka prataap Israel ke sivane ki parli or bhi badhta jaye.

6

पुत्र पिता का, और दास स्वामी का आदर करता है। यदि मैं पिता हूं, तो मेरा आदर मानना कहां है? और यदि मैं स्वामी हूं, तो मेरा भय मानना कहां? सेनाओं का यहोवा, तुम याजकों से भी जो मेरे नाम का अपमान करते हो यही बात पूछता है। परन्तु तुम पूछते हो, हम ने किस बात में तेरे नाम का अपमान किया है? तुम मेरी वेदी पर अशुद्ध भोजन चढ़ाते हो।

Putra pita ka, aur daas swami ka aadar karta hai. Yadi main pita hoon, to mera aadar manna kahan hai? Aur yadi main swami hoon, to mera bhay manna kahan? Senaon ka Yahowa, tum yajkon se bhi jo mere naam ka apmaan karte ho yahi baat poochhta hai. Parantu tum poochhte ho, ham ne kis baat mein tere naam ka apmaan kiya hai? Tum meri vedi par ashuddh bhojan chadhate ho.

7

तौभी तुम पूछते हो कि हम किस बात में तुझे अशुद्ध ठहराते हैं? इस बात में भी, कि तुम कहते हो, यहोवा की मेज तुच्छ है।

Taubhi tum poochhte ho ki ham kis baat mein tujhe ashuddh thahrate hain? Is baat mein bhi, ki tum kahte ho, Yahowa ki mej tuchchh hai.

8

जब तुम अन्धे पशु को बलि करने के लिये समीप ले आते हो तो क्या यह बुरा नहीं? और जब तुम लंगड़े वा रोगी पशु को ले आते हो, तो क्या यह बुरा नहीं? अपने हाकिम के पास ऐसी भेंट ले आओ; क्या वह तुम से प्रसन्न होगा वा तुम पर अनुग्रह करेगा? सेनाओं के यहोवा का यही वचन है॥

Jab tum andhe pashu ko bali karne ke liye sameep le aate ho to kya yah bura nahi? Aur jab tum langde va rogi pashu ko le aate ho, to kya yah bura nahi? Apne hakim ke paas aisi bhent le aao; kya vah tum se prasann hoga va tum par anugrah karega? Senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

9

और अब मैं तुम से कहता हूं, ईश्वर से प्रार्थना करो कि वह हम लोगों पर अनुग्रह करे। यह तुम्हारे हाथ से हुआ है; तब क्या तुम समझते हो कि परमेश्वर तुम में से किसी का पक्ष करेगा? सेनाओं के यहोवा का यही वचन है।

Aur ab main tum se kahta hoon, ishwar se prarthana karo ki vah ham logon par anugrah kare. Yah tumhare haath se huaa hai; tab kya tum samajhte ho ki Parmeshwar tum mein se kisi ka paksh karega? Senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

10

भला होता कि तुम में से कोई मन्दिर के किवाड़ों को बन्द करता कि तुम मेरी वेदी पर व्यर्थ आग जलाने न पाते! सेनाओं के यहोवा का यह वचन है, मैं तुम से कदापि प्रसन्न नहीं हूं, और न तुम्हारे हाथ से भेंट ग्रहण करूंगा।

Bhala hota ki tum mein se koi mandir ke kivadon ko band karta ki tum meri vedi par vyarth aag jalane na pate! Senaon ke Yahowa ka yah vachan hai, main tum se kadapi prasann nahi hoon, aur na tumhare haath se bhent grahan karoonga.

11

क्योंकि उदयाचल से ले कर अस्ताचल तक अन्यजातियों में मेरा नाम महान है, और हर कहीं मेरे नाम पर धूप और शुद्ध भेंट चढ़ाई जाती है; क्योंकि अन्यजातियों में मेरा नाम महान है, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है।

Kyonki udyachal se le kar astachal tak anyajatiyon mein mera naam mahaan hai, aur har kahi mere naam par dhoop aur shuddh bhent chadhai jati hai; kyonki anyajatiyon mein mera naam mahaan hai, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

12

परन्तु तुम लोग उसको यह कह कर अपवित्र ठहराते हो कि यहोवा की मेज अशुद्ध है, और जो भोजनवस्तु उस पर से मिलती है वह भी तुच्छ है।

Parantu tum log usko yah kah kar apvitra thahrate ho ki Yahowa ki mej ashuddh hai, aur jo bhojanvastu us par se milti hai vah bhi tuchchh hai.

13

फिर तुम यह भी कहते हो, कि यह कैसा बड़ा उपद्रव है! सेनाओं के यहोवा का यह वचन है। तुम ने उस भोजनवस्तु के प्रति नाक भौं सिकोड़ी, और अत्याचार से प्राप्त किए हुए और लंगड़े और रोगी पशु की भेंट ले आते हो! क्या मैं ऐसी भेंट तुम्हारे हाथ से ग्रहण करूं? यहोवा का यही वचन है।

Phir tum yah bhi kahte ho, ki yah kaisa bada upadrav hai! Senaon ke Yahowa ka yah vachan hai. Tum ne us bhojanvastu ke prati naak bhaun sikodi, aur atyachaar se praapt kiye hue aur langde aur rogi pashu ki bhent le aate ho! Kya main aisi bhent tumhare haath se grahan karun? Yahowa ka yahi vachan hai.

14

जिस छली के झुण्ड में नरपशु हो परन्तु वह मन्नत मान कर परमेश्वर को बर्जा हुआ पशु चढ़ाए, वह शापित है; मैं तो महाराजा हूं, और मेरा नाम अन्यजातियों में भययोग्य है, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है॥

Jis chhali ke jhund mein narapshu ho parantu vah mannat maan kar Parmeshwar ko barja huaa pashu chadhaye, vah shapit hai; main to maharaja hoon, aur mera naam anyajatiyon mein bhayyogya hai, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.