Luke 9 · 62 verses

लूका 9 Luke 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 9.

1

फिर उस ने बारहों को बुलाकर उन्हें सब दुष्टात्माओं और बिमारियों को दूर करने की सामर्थ और अधिकार दिया।

Phir us ne barhon ko bulakar unhein sab dushtatmaon aur bimariyon ko door karne ki samarth aur adhikaar diya.

2

और उन्हें परमेश्वर के राज्य का प्रचार करने, और बीमारों को अच्छा करने के लिये भेजा।

Aur unhein Parmeshwar ke rajya ka prachaar karne, aur beemaron ko achchha karne ke liye bheja.

3

और उस ने उससे कहा, मार्ग के लिये कुछ न लेना: न तो लाठी, न झोली, न रोटी, न रूपये और न दो दो कुरते।

Aur us ne usse kaha, maarg ke liye kuchh na lena: na to lathi, na jholi, na roti, na roopye aur na do do kurte.

4

और जिस किसी घर में तुम उतरो, वहीं रहो; और वहीं से विदा हो।

Aur jis kisi ghar mein tum utro, vahi raho; aur vahi se vida ho.

5

जो कोई तुम्हें ग्रहण न करेगा उस नगर से निकलते हुए अपने पांवों की धूल झाड़ डालो, कि उन पर गवाही हो।

Jo koi tumhein grahan na karega us nagar se nikalte hue apne panvon ki dhool jhaad dalo, ki un par gavahi ho.

6

सो वे निकलकर गांव गांव सुसमाचार सुनाते, और हर कहीं लोगों को चंगा करते हुए फिरते रहे॥

So ve nikalkar gaanv gaanv susmachaar sunate, aur har kahi logon ko changa karte hue phirte rahe.

7

और देश की चौथाई का राजा हेरोदेस यह सब सुनकर घबरा गया, क्योंकि कितनों ने कहा, कि यूहन्ना मरे हुओं में से जी उठा है।

Aur desh ki chauthai ka raja herodes yah sab sunkar ghabra gaya, kyonki kitnon ne kaha, ki Yuhanna mare huon mein se ji utha hai.

8

और कितनों ने यह, कि एलिय्याह दिखाई दिया है: औरों ने यह, कि पुराने भविष्यद्वक्ताओं में से कोई जी उठा है।

Aur kitnon ne yah, ki eliyyaah dikhai diya hai: auron ne yah, ki purane bhavishyadwaktaon mein se koi ji utha hai.

9

परन्तु हेरोदेस ने कहा, युहन्ना का तो मैं ने सिर कटवाया अब यह कौन है, जिस के विषय में ऐसी बातें सुनता हूं? और उस ने उसे देखने की इच्छा की॥

Parantu herodes ne kaha, yuhanna ka to main ne sir katvaya ab yah kaun hai, jis ke vishay mein aisi batein sunta hoon? Aur us ne use dekhne ki ichchha ki.

10

फिर प्रेरितों ने लौटकर जो कुछ उन्होंने किया था, उस को बता दिया, और वह उन्हें अलग करके बैतसैदा नाम एक नगर को ले गया।

Phir preriton ne lautkar jo kuchh unhonne kiya tha, us ko bata diya, aur vah unhein alag karke baitsaida naam ek nagar ko le gaya.

11

यह जानकर भीड़ उसके पीछे हो ली: और वह आनन्द के साथ उन से मिला, और उन से परमेश्वर के राज्य की बातें करने लगा: और जो चंगे होना चाहते थे, उन्हें चंगा किया।

Yah jankar bheed uske peechhe ho li: aur vah aanand ke saath un se mila, aur un se Parmeshwar ke rajya ki batein karne laga: aur jo change hona chahte the, unhein changa kiya.

12

जब दिन ढलने लगा, तो बारहों ने आकर उससे कहा, भीड़ को विदा कर, कि चारों ओर के गावों और बस्तियों में जाकर टिकें, और भोजन का उपाय करें, क्योंकि हम यहां सुनसान जगह में हैं।

Jab din dhalne laga, to barhon ne aakar usse kaha, bheed ko vida kar, ki charon or ke gavon aur bastiyon mein jakar tikein, aur bhojan ka upaay karein, kyonki ham yahan sunsaan jagah mein hain.

13

उस ने उन से कहा, तुम ही उन्हें खाने को दो: उन्होंने कहा, हमारे पास पांच रोटियां और दो मछली को छोड़ और कुछ नहीं: परन्तु हां, यदि हम जाकर इन सब लोगों के लिये भोजन मोल लें, तो हो सकता है: वे लोग तो पांच हजार पुरूषों के लगभग थे।

Us ne un se kaha, tum hi unhein khane ko do: unhonne kaha, hamare paas paanch rotiyan aur do machhli ko chhod aur kuchh nahi: parantu han, yadi ham jakar in sab logon ke liye bhojan mol lein, to ho sakta hai: ve log to paanch hajaar purooshon ke lagbhag the.

14

तब उस ने अपने चेलों से कहा, उन्हें पचास पचास करके पांति में बैठा दो।

Tab us ne apne chelon se kaha, unhein pachaas pachaas karke panti mein baitha do.

15

उन्होंने ऐसा ही किया, और सब को बैठा दिया।

Unhonne aisa hi kiya, aur sab ko baitha diya.

16

तब उस ने वे पांच रोटियां और दो मछली लीं, और स्वर्ग की और देखकर धन्यवाद किया, और तोड़ तोड़कर चेलों को देता गया, कि लोगों को परोसें।

Tab us ne ve paanch rotiyan aur do machhli li, aur swarg ki aur dekhkar dhanyavaad kiya, aur tod todkar chelon ko deta gaya, ki logon ko parosein.

17

सो सब खाकर तृप्त हुए, और बचे हुए टुकड़ों से बारह टोकरी भरकर उठाईं॥

So sab khakar tript hue, aur bache hue tukdon se barah tokri bharkar uthai.

18

जब वह एकान्त में प्रार्थना कर रहा था, और चेले उसके साथ थे, तो उस ने उन से पूछा, कि लोग मुझे क्या कहते हैं?

Jab vah ekaant mein prarthana kar raha tha, aur chele uske saath the, to us ne un se poochha, ki log mujhe kya kahte hain?

19

उन्होंने उत्तर दिया, युहन्ना बपतिस्मा देनेवाला, और कोई कोई एलिय्याह, और कोई यह कि पुराने भविष्यद्वक्ताओं में से कोई जी उठा है।

Unhonne uttar diya, yuhanna baptisma denevala, aur koi koi eliyyaah, aur koi yah ki purane bhavishyadwaktaon mein se koi ji utha hai.

20

उस ने उन से पूछा, परन्तु तुम मुझे क्या कहते हो? पतरस ने उत्तर दिया, परमेश्वर का मसीह।

Us ne un se poochha, parantu tum mujhe kya kahte ho? Patras ne uttar diya, Parmeshwar ka Masih.

21

तब उस ने उन्हें चिताकर कहा, कि यह किसी से न कहना।

Tab us ne unhein chitakar kaha, ki yah kisi se na kahna.

22

और उस ने कहा, मनुष्य के पुत्र के लिये अवश्य है, कि वह बहुत दुख उठाए, और पुरिनए और महायाजक और शास्त्री उसे तुच्छ समझकर मार डालें, और वह तीसरे दिन जी उठे।

Aur us ne kaha, manushya ke putra ke liye avashya hai, ki vah bahut dukh uthaye, aur purinaye aur mahayajak aur shastri use tuchchh samajhkar maar dalein, aur vah teesre din ji uthe.

23

उस ने सब से कहा, यदि कोई मेरे पीछे आना चाहे, तो अपने आप से इन्कार करे और प्रति दिन अपना क्रूस उठाए हुए मेरे पीछे हो ले।

Us ne sab se kaha, yadi koi mere peechhe aana chahe, to apne aap se inkaar kare aur prati din apna kroos uthaye hue mere peechhe ho le.

24

क्योंकि जो कोई अपना प्राण बचाना चाहेगा वह उसे खोएगा, परन्तु जो कोई मेरे लिये अपना प्राण खोएगा वही उसे बचाएगा।

Kyonki jo koi apna praan bachana chahega vah use khoyega, parantu jo koi mere liye apna praan khoyega vahi use bachayega.

25

यदि मनुष्य सारे जगत को प्राप्त करे, और अपना प्राण खो दे, या उस की हानि उठाए, तो उसे क्या लाभ होगा?

Yadi manushya sare jagat ko praapt kare, aur apna praan kho de, ya us ki hani uthaye, to use kya laabh hoga?

26

जो कोई मुझ से और मेरी बातों से लजाएगा; मनुष्य का पुत्र भी जब अपनी, और अपने पिता की, और पवित्र स्वर्ग दूतों की, महिमा सहित आएगा, तो उस से लजाएगा।

Jo koi mujh se aur meri baton se lajayega; manushya ka putra bhi jab apni, aur apne pita ki, aur pavitra swarg dooton ki, mahima sahit aayega, to us se lajayega.

27

मैं तुम से सच कहता हूं, कि जो यहां खड़े हैं, उन में से कोई कोई ऐसे हैं कि जब तक परमेश्वर का राज्य न देख लें, तब तक मृत्यु का स्वाद न चखेंगे।

Main tum se sach kahta hoon, ki jo yahan khade hain, un mein se koi koi aise hain ki jab tak Parmeshwar ka rajya na dekh lein, tab tak mrityu ka swaad na chakhenge.

28

इन बातों के कोई आठ दिन बाद वह पतरस और यूहन्ना और याकूब को साथ लेकर प्रार्थना करने के लिये पहाड़ पर गया।

In baton ke koi aath din baad vah Patras aur Yuhanna aur Yakub ko saath lekar prarthana karne ke liye pahaad par gaya.

29

जब वह प्रार्थना कर ही रहा था, तो उसके चेहरे का रूप बदल गया: और उसका वस्त्र श्वेत होकर चमकने लगा।

Jab vah prarthana kar hi raha tha, to uske chehre ka roop badal gaya: aur uska vastra shwet hokar chamakne laga.

30

और देखो, मूसा और एलिय्याह, ये दो पुरूष उसके साथ बातें कर रहे थे।

Aur dekho, Musa aur eliyyaah, ye do puroosh uske saath batein kar rahe the.

31

ये महिमा सहित दिखाई दिए; और उसके मरने की चर्चा कर रहे थे, जो यरूशलेम में होनेवाला था।

Ye mahima sahit dikhai diye; aur uske marne ki charcha kar rahe the, jo Yerushalem mein honevala tha.

32

पतरस और उसके साथी नींद से भरे थे, और जब अच्छी तरह सचेत हुए, तो उस की महिमा; और उन दो पुरूषों को, जो उसके साथ खड़े थे, देखा।

Patras aur uske sathi neend se bhare the, aur jab achchhi tarah sachet hue, to us ki mahima; aur un do purooshon ko, jo uske saath khade the, dekha.

33

जब वे उसके पास से जाने लगे, तो पतरस ने यीशु से कहा; हे स्वामी, हमारा यहां रहना भला है: सो हम तीन मण्डप बनाएं, एक तेरे लिये, एक मूसा के लिये, और एक एलिय्याह के लिये। वह जानता न था, कि क्या कह रहा है।

Jab ve uske paas se jane lage, to Patras ne Yeshu se kaha; he swami, hamara yahan rahna bhala hai: so ham teen mandap banayen, ek tere liye, ek Musa ke liye, aur ek eliyyaah ke liye. Vah janta na tha, ki kya kah raha hai.

34

वह यह कह ही रहा था, कि एक बादल ने आकर उन्हें छा लिया, और जब वे उस बादल से घिरने लगे, तो डर गए।

Vah yah kah hi raha tha, ki ek badal ne aakar unhein chha liya, aur jab ve us badal se ghirne lage, to dar gaye.

35

और उस बादल में से यह शब्द निकला, कि यह मेरा पुत्र और मेरा चुना हुआ है, इस की सुनो।

Aur us badal mein se yah shabd nikla, ki yah mera putra aur mera chuna huaa hai, is ki suno.

36

यह शब्द होते ही यीशु अकेला पाया गया: और वे चुप रहे, और कुछ देखा था, उस की कोई बात उन दिनों में किसी से न कही॥

Yah shabd hote hi Yeshu akela paya gaya: aur ve chup rahe, aur kuchh dekha tha, us ki koi baat un dinon mein kisi se na kahi.

37

और दूसरे दिन जब वे पहाड़ से उतरे, तो एक बड़ी भीड़ उस से आ मिली।

Aur doosre din jab ve pahaad se utre, to ek badi bheed us se aa mili.

38

और देखो, भीड़ में से एक मनुष्य ने चिल्ला कर कहा, हे गुरू, मैं तुझ से बिनती करता हूं, कि मेरे पुत्र पर कृपा दृष्टि कर; क्योंकि वह मेरा एकलौता है।

Aur dekho, bheed mein se ek manushya ne chilla kar kaha, he guru, main tujh se binti karta hoon, ki mere putra par kripa drishti kar; kyonki vah mera eklauta hai.

39

और देख, एक दुष्टात्मा उसे पकड़ता है, और वह एकाएक चिल्ला उठता है; और वह उसे ऐसा मरोड़ता है, कि वह मुंह में फेन भर लाता है; और उसे कुचलकर कठिनाई से छोड़ता है।

Aur dekh, ek dushtatma use pakadta hai, aur vah ekayek chilla uthta hai; aur vah use aisa marodta hai, ki vah munh mein phen bhar lata hai; aur use kuchalkar kathinai se chhodta hai.

40

और मै ने तेरे चेलों से बिनती की, कि उसे निकालें; परन्तु वे न निकाल सके।

Aur mai ne tere chelon se binti ki, ki use nikalein; parantu ve na nikaal sake.

41

यीशु न उत्तर दिया, हे अविश्वासी और हठीले लोगो, मैं कब तक तुम्हारे साथ रहूंगा, और तुम्हारी सहूंगा? अपने पुत्र को यहां ले आ।

Yeshu na uttar diya, he avishwasi aur hatheele logo, main kab tak tumhare saath rahoonga, aur tumhari sahoonga? Apne putra ko yahan le aa.

42

वह आ ही रहा था कि दुष्टात्मा ने उसे पटक कर मरोड़ा, परन्तु यीशु ने अशुद्ध आत्मा को डांटा और लड़के को अच्छा करके उसके पिता को सौंप दिया।

Vah aa hi raha tha ki dushtatma ne use patak kar maroda, parantu Yeshu ne ashuddh aatma ko danta aur ladke ko achchha karke uske pita ko saump diya.

43

तब सब लोग परमेश्वर के महासामर्थ से चकित हुए॥

Tab sab log Parmeshwar ke mahasamarth se chakit hue.

44

परन्तु जब सब लोग उन सब कामों से जो वह करता था, अचम्भा कर रहे थे, तो उस ने अपने चेलों से कहा; ये बातें तुम्हारे कानों में पड़ी रहें, क्योंकि मनुष्य का पुत्र मनुष्यों के हाथ में पकड़वाया जाने को है।

Parantu jab sab log un sab kamon se jo vah karta tha, achambha kar rahe the, to us ne apne chelon se kaha; ye batein tumhare kanon mein padi rahein, kyonki manushya ka putra manushyon ke haath mein pakadvaya jane ko hai.

45

परन्तु वे इस बात को न समझते थे, और यह उन से छिपी रही; कि वे उसे जानने न पाएं, और वे इस बात के विषय में उस से पूछने से डरते थे॥

Parantu ve is baat ko na samajhte the, aur yah un se chhipi rahi; ki ve use janne na payen, aur ve is baat ke vishay mein us se poochhne se darte the.

46

फिर उन में यह विवाद होने लगा, कि हम में से बड़ा कौन है?

Phir un mein yah vivaad hone laga, ki ham mein se bada kaun hai?

47

पर यीशु ने उन के मन का विचार जान लिया: और एक बालक को लेकर अपने पास खड़ा किया।

Par Yeshu ne un ke man ka vichaar jaan liya: aur ek balak ko lekar apne paas khada kiya.

48

और उन से कहा; जो कोई मेरे नाम से इस बालक को ग्रहण करता है, वह मुझे ग्रहण करता है; और जो कोई मुझे ग्रहण करता है, वह मेरे भेजने वाले को ग्रहण करता है क्योंकि जो तुम में सब से छोटे से छोटा है, वही बड़ा है।

Aur un se kaha; jo koi mere naam se is balak ko grahan karta hai, vah mujhe grahan karta hai; aur jo koi mujhe grahan karta hai, vah mere bhejne vale ko grahan karta hai kyonki jo tum mein sab se chhote se chhota hai, vahi bada hai.

49

तब युहन्ना ने कहा, हे स्वामी, हम ने एक मनुष्य को तेरे नाम से दुष्टात्माओं को निकालते देखा, और हम ने उसे मना किया, क्योंकि वह हमारे साथ होकर तेरे पीछे नहीं हो लेता।

Tab yuhanna ne kaha, he swami, ham ne ek manushya ko tere naam se dushtatmaon ko nikalte dekha, aur ham ne use mana kiya, kyonki vah hamare saath hokar tere peechhe nahi ho leta.

50

यीशु ने उस से कहा, उसे मना मत करो; क्योंकि जो तुम्हारे विरोध में नहीं, वह तुम्हारी ओर है॥

Yeshu ne us se kaha, use mana mat karo; kyonki jo tumhare virodh mein nahi, vah tumhari or hai.

51

जब उसके ऊपर उठाए जाने के दिन पूरे होने पर थे, जो उस ने यरूशलेम को जाने का विचार दृढ़ किया।

Jab uske oopar uthaye jane ke din poore hone par the, jo us ne Yerushalem ko jane ka vichaar dridh kiya.

52

और उस ने अपने आगे दूत भेजे: वे सामरियों के एक गांव में गए, कि उसके लिये जगह तैयार करें।

Aur us ne apne aage doot bheje: ve samriyon ke ek gaanv mein gaye, ki uske liye jagah taiyaar karein.

53

परन्तु उन लोगों ने उसे उतरने न दिया, क्योंकि वह यरूशलेम को जा रहा था।

Parantu un logon ne use utarne na diya, kyonki vah Yerushalem ko ja raha tha.

54

यह देखकर उसके चेले याकूब और यूहन्ना ने कहा; हे प्रभु; क्या तू चाहता है, कि हम आज्ञा दें, कि आकाश से आग गिरकर उन्हें भस्म कर दे।

Yah dekhkar uske chele Yakub aur Yuhanna ne kaha; he Prabhu; kya tu chahta hai, ki ham aagya dein, ki aakaash se aag girkar unhein bhasm kar de.

55

परन्तु उस ने फिरकर उन्हें डांटा और कहा, तुम नहीं जानते कि तुम कैसी आत्मा के हो।

Parantu us ne phirkar unhein danta aur kaha, tum nahi jante ki tum kaisi aatma ke ho.

56

क्योंकि मनुष्य का पुत्र लोगों के प्राणों को नाश करने नहीं वरन बचाने के लिये आया है: और वे किसी और गांव में चले गए॥

Kyonki manushya ka putra logon ke pranon ko naash karne nahi varan bachane ke liye aaya hai: aur ve kisi aur gaanv mein chale gaye.

57

जब वे मार्ग में चले जाते थे, तो किसी न उस से कहा, जहां जहां तू जाएगा, मैं तेरे पीछे हो लूंगा।

Jab ve maarg mein chale jate the, to kisi na us se kaha, jahan jahan tu jayega, main tere peechhe ho loonga.

58

यीशु ने उस से कहा, लोमड़ियों के भट और आकाश के पक्षियों के बसेरे होते हैं, पर मनुष्य के पुत्र को सिर धरने की भी जगह नहीं।

Yeshu ne us se kaha, lomdiyon ke bhat aur aakaash ke pakshiyon ke basere hote hain, par manushya ke putra ko sir dharne ki bhi jagah nahi.

59

उस ने दूसरे से कहा, मेरे पीछे हो ले; उस ने कहा; हे प्रभु, मुझे पहिले जाने दे कि अपने पिता को गाड़ दूं।

Us ne doosre se kaha, mere peechhe ho le; us ne kaha; he Prabhu, mujhe pahile jane de ki apne pita ko gaad dun.

60

उस ने उस से कहा, मरे हुओं को अपने मुरदे गाड़ने दे, पर तू जाकर परमेश्वर के राज्य की कथा सुना।

Us ne us se kaha, mare huon ko apne murde gadne de, par tu jakar Parmeshwar ke rajya ki katha suna.

61

एक और ने भी कहा; हे प्रभु, मैं तेरे पीछे हो लूंगा; पर पहिले मुझे जाने दे कि अपने घर के लोगों से विदा हो आऊं।

Ek aur ne bhi kaha; he Prabhu, main tere peechhe ho loonga; par pahile mujhe jane de ki apne ghar ke logon se vida ho aaun.

62

यीशु ने उस से कहा; जो कोई अपना हाथ हल पर रखकर पीछे देखता है, वह परमेश्वर के राज्य के योग्य नहीं॥

Yeshu ne us se kaha; jo koi apna haath hal par rakhkar peechhe dekhta hai, vah Parmeshwar ke rajya ke yogya nahi.