Luke 8 · 56 verses

लूका 8 Luke 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 8.

1

इस के बाद वह नगर नगर और गांव गांव प्रचार करता हुआ, और परमेश्वर के राज्य का सुसमाचार सुनाता हुआ, फिरने लगा।

Is ke baad vah nagar nagar aur gaanv gaanv prachaar karta huaa, aur Parmeshwar ke rajya ka susmachaar sunata huaa, phirne laga.

2

और वे बारह उसके साथ थे: और कितनी स्त्रियां भी जो दुष्टात्माओं से और बीमारियों से छुड़ाई गई थीं, और वे यह हैं, मरियम जो मगदलीनी कहलाती थी, जिस में से सात दुष्टात्माएं निकली थीं।

Aur ve barah uske saath the: aur kitni striyan bhi jo dushtatmaon se aur beemariyon se chhudai gai thi, aur ve yah hain, Mariyam jo magadleeni kahlati thi, jis mein se saat dushtatmayen nikli thi.

3

और हेरोदेस के भण्डारी खोजा की पत्नी योअन्ना और सूसन्नाह और बहुत सी और स्त्रियां: ये तो अपनी सम्पत्ति से उस की सेवा करती थीं॥

Aur herodes ke bhandari khoja ki patni yoanna aur soosannaah aur bahut si aur striyan: ye to apni sampatti se us ki seva karti thi.

4

जब बड़ी भीड़ इकट्ठी हुई, और नगर नगर के लोग उसके पास चले आते थे, तो उस ने दृष्टान्त में कहा।

Jab badi bheed ikatthi hui, aur nagar nagar ke log uske paas chale aate the, to us ne drishtaant mein kaha.

5

कि एक बोने वाला बीज बोने निकला: बोते हुए कुछ मार्ग के किनारे गिरा, और रौंदा गया, और आकाश के पक्षियों ने उसे चुग लिया।

Ki ek bone vala beej bone nikla: bote hue kuchh maarg ke kinare gira, aur raunda gaya, aur aakaash ke pakshiyon ne use chug liya.

6

और कुछ चट्टान पर गिरा, और उपजा, परन्तु तरी न मिलने से सूख गया।

Aur kuchh chattaan par gira, aur upja, parantu tari na milne se sookh gaya.

7

कुछ झाड़ियों के बीच में गिरा, और झाड़ियों ने साथ साथ बढ़कर उसे दबा लिया।

Kuchh jhadiyon ke beech mein gira, aur jhadiyon ne saath saath badhkar use daba liya.

8

और कुछ अच्छी भूमि पर गिरा, और उगकर सौ गुणा फल लाया: यह कहकर उस ने ऊंचे शब्द से कहा; जिस के सुनने के कान हों वह सुन ले॥

Aur kuchh achchhi bhoomi par gira, aur ugkar sau guna phal laya: yah kahkar us ne oonche shabd se kaha; jis ke sunne ke kaan hon vah sun le.

9

उसके चेलों ने उस से पूछा, कि यह दृष्टान्त क्या है? उस ने कहा;

Uske chelon ne us se poochha, ki yah drishtaant kya hai? Us ne kaha;

10

तुम को परमेश्वर के राज्य के भेदों की समझ दी गई है, पर औरों को दृष्टान्तों में सुनाया जाता है, इसलिये कि वे देखते हुए भी न देखें, और सुनते हुए भी न समझें।

Tum ko Parmeshwar ke rajya ke bhedon ki samajh di gai hai, par auron ko drishtanton mein sunaya jata hai, isliye ki ve dekhte hue bhi na dekhein, aur sunte hue bhi na samjhein.

11

दृष्टान्त यह है; बीज तो परमेश्वर का वचन है।

Drishtaant yah hai; beej to Parmeshwar ka vachan hai.

12

मार्ग के किनारे के वे हैं, जिन्हों ने सुना; तब शैतान आकर उन के मन में से वचन उठा ले जाता है, कि कहीं ऐसा न हो कि वे विश्वास करके उद्धार पाएं।

Maarg ke kinare ke ve hain, jinhon ne suna; tab Shaitan aakar un ke man mein se vachan utha le jata hai, ki kahi aisa na ho ki ve vishwaas karke uddhaar payen.

13

चट्टान पर के वे हैं, कि जब सुनते हैं, तो आनन्द से वचन को ग्रहण तो करते हैं, परन्तु जड़ न पकड़ने से वे थोड़ी देर तक विश्वास रखते हैं, और परीक्षा के समय बहक जाते हैं।

Chattaan par ke ve hain, ki jab sunte hain, to aanand se vachan ko grahan to karte hain, parantu jad na pakadne se ve thodi der tak vishwaas rakhte hain, aur pareeksha ke samay bahak jate hain.

14

जो झाड़ियों में गिरा, सो वे हैं, जो सुनते हैं, पर होते होते चिन्ता और धन और जीवन के सुख विलास में फंस जाते हैं, और उन का फल नहीं पकता।

Jo jhadiyon mein gira, so ve hain, jo sunte hain, par hote hote chinta aur dhan aur jeevan ke sukh vilaas mein phans jate hain, aur un ka phal nahi pakta.

15

पर अच्छी भूमि में के वे हैं, जो वचन सुनकर भले और उत्तम मन में सम्भाले रहते हैं, और धीरज से फल लाते हैं॥

Par achchhi bhoomi mein ke ve hain, jo vachan sunkar bhale aur uttam man mein sambhale rahte hain, aur dheeraj se phal late hain.

16

कोई दीया बार के बरतन से नहीं छिपाता, और न खाट के नीचे रखता है, परन्तु दीवट पर रखता है, कि भीतर आने वाले प्रकाश पांए।

Koi deeya baar ke bartan se nahi chhipata, aur na khaat ke neeche rakhta hai, parantu deevat par rakhta hai, ki bheetar aane vale prakaash panye.

17

कुछ छिपा नहीं, जो प्रगट न हो; और न कुछ गुप्त है, जो जाना न जाए, और प्रगट न हो।

Kuchh chhipa nahi, jo pragat na ho; aur na kuchh gupt hai, jo jana na jaye, aur pragat na ho.

18

इसलिये चौकस रहो, कि तुम किस रीति से सुनते हो क्योंकि जिस के पास है, उसे दिया जाएगा; और जिस के पास नहीं है, उस से वे वह भी ले लिया जाएगा, जिसे वह अपना समझता है॥

Isliye chaukas raho, ki tum kis reeti se sunte ho kyonki jis ke paas hai, use diya jayega; aur jis ke paas nahi hai, us se ve vah bhi le liya jayega, jise vah apna samajhta hai.

19

उस की माता और भाई उसके पास आए, पर भीड़ के कारण उस से भेंट न कर सके।

Us ki mata aur bhai uske paas aaye, par bheed ke karan us se bhent na kar sake.

20

और उस से कहा गया, कि तेरी माता और तेरे भाई बाहर खड़े हुए तुझ से मिलना चाहते हैं।

Aur us se kaha gaya, ki teri mata aur tere bhai bahar khade hue tujh se milna chahte hain.

21

उस ने उसके उत्तर में उन से कहा कि मेरी माता और मेरे भाई ये ही हैं, जो परमेश्वर का वचन सुनते और मानते हैं॥

Us ne uske uttar mein un se kaha ki meri mata aur mere bhai ye hi hain, jo Parmeshwar ka vachan sunte aur mante hain.

22

फिर एक दिन वह और उसके चेले नाव पर चढ़े, और उस ने उन से कहा; कि आओ, झील के पार चलें: सो उन्होंने नाव खोल दी।

Phir ek din vah aur uske chele naav par chadhe, aur us ne un se kaha; ki aao, jheel ke paar chalein: so unhonne naav khol di.

23

पर जब नाव चल रही थी, तो वह सो गया: और झील पर आन्धी आई, और नाव पानी से भरने लगी और वे जोखिम में थे।

Par jab naav chal rahi thi, to vah so gaya: aur jheel par aandhi aai, aur naav pani se bharne lagi aur ve jokhim mein the.

24

तब उन्होंने पास आकर उसे जगाया, और कहा; हे स्वामी! स्वामी! हम नाश हुए जाते हैं: तब उस ने उठकर आन्धी को और पानी की लहरों को डांटा और वे थम गए, और चैन हो गया।

Tab unhonne paas aakar use jagaya, aur kaha; he swami! Swami! Ham naash hue jate hain: tab us ne uthkar aandhi ko aur pani ki lahron ko danta aur ve tham gaye, aur chain ho gaya.

25

और उस ने उन से कहा; तुम्हारा विश्वास कहां था? पर वे डर गए, और अचम्भित होकर आपस में कहने लगे, यह कौन है जो आन्धी और पानी को भी आज्ञा देता है, और वे उस की मानते हैं॥

Aur us ne un se kaha; tumhara vishwaas kahan tha? Par ve dar gaye, aur achambhit hokar aapas mein kahne lage, yah kaun hai jo aandhi aur pani ko bhi aagya deta hai, aur ve us ki mante hain.

26

फिर वे गिरासेनियों के देश में पहुंचे, जो उस पार गलील के साम्हने है।

Phir ve giraseniyon ke desh mein pahunche, jo us paar galeel ke samhane hai.

27

जब वह किनारे पर उतरा, तो उस नगर का एक मनुष्य उसे मिला, जिस में दुष्टात्माएं थीं और बहुत दिनों से न कपड़े पहिनता था और न घर में रहता था वरन कब्रों में रहा करता था।

Jab vah kinare par utra, to us nagar ka ek manushya use mila, jis mein dushtatmayen thi aur bahut dinon se na kapde pahinta tha aur na ghar mein rahta tha varan kabron mein raha karta tha.

28

वह यीशु को देखकर चिल्लाया, और उसके साम्हने गिरकर ऊंचे शब्द से कहा; हे परम प्रधान परमेश्वर के पुत्र यीशु, मुझे तुझ से क्या काम! मैं तेरी बिनती करता हूं, मुझे पीड़ा न दे!

Vah Yeshu ko dekhkar chillaya, aur uske samhane girkar oonche shabd se kaha; he param pradhaan Parmeshwar ke putra Yeshu, mujhe tujh se kya kaam! Main teri binti karta hoon, mujhe peeda na de!

29

क्योंकि वह उस अशुद्ध आत्मा को उस मनुष्य में से निकलने की आज्ञा दे रहा था, इसलिये कि वह उस पर बार बार प्रबल होती थी; और यद्यपि लोग उसे सांकलों और बेड़ियों से बांधते थे, तौभी वह बन्धनों को तोड़ डालता था, और दुष्टात्मा उसे जंगल में भगाये फिरती थी।

Kyonki vah us ashuddh aatma ko us manushya mein se nikalne ki aagya de raha tha, isliye ki vah us par baar baar prabal hoti thi; aur yadyapi log use sanklon aur bediyon se bandhte the, taubhi vah bandhanon ko tod dalta tha, aur dushtatma use jangal mein bhagaye phirti thi.

30

यीशु ने उस से पूछा; तेरा क्या नाम है? उसने कहा, सेना; क्योंकि बहुत दुष्टात्माएं उसमें पैठ गईं थीं।

Yeshu ne us se poochha; tera kya naam hai? Usne kaha, sena; kyonki bahut dushtatmayen usmein paith gai thi.

31

और उन्होंने उस से बिनती की, कि हमें अथाह गड़हे में जाने की आज्ञा न दे।

Aur unhonne us se binti ki, ki hamein athaah gadhe mein jane ki aagya na de.

32

वहां पहाड़ पर सूअरों का एक बड़ा झुण्ड चर रहा था, सो उन्होंने उस से बिनती की, कि हमें उन में पैठने दे, सो उस ने उन्हें जाने दिया।

Vahan pahaad par sooaron ka ek bada jhund char raha tha, so unhonne us se binti ki, ki hamein un mein paithne de, so us ne unhein jane diya.

33

तब दुष्टात्माएं उस मनुष्य से निकल कर सूअरों में गईं और वह झुण्ड कड़ाडे पर से झपटकर झील में जा गिरा और डूब मरा।

Tab dushtatmayen us manushya se nikal kar sooaron mein gai aur vah jhund kadade par se jhapatkar jheel mein ja gira aur doob mara.

34

चरवाहे यह जो हुआ था देखकर भागे, और नगर में, और गांवों में जाकर उसका समाचार कहा।

Charvahe yah jo huaa tha dekhkar bhage, aur nagar mein, aur ganvon mein jakar uska samachaar kaha.

35

और लोग यह जो हुआ था उसके देखने को निकले, और यीशु के पास आकर जिस मनुष्य से दुष्टात्माएं निकली थीं, उसे यीशु के पांवों के पास कपड़े पहिने और सचेत बैठे हुए पाकर डर गए।

Aur log yah jo huaa tha uske dekhne ko nikle, aur Yeshu ke paas aakar jis manushya se dushtatmayen nikli thi, use Yeshu ke panvon ke paas kapde pahine aur sachet baithe hue pakar dar gaye.

36

और देखने वालों ने उन को बताया, कि वह दुष्टात्मा का सताया हुआ मनुष्य किस प्रकार अच्छा हुआ।

Aur dekhne valon ne un ko bataya, ki vah dushtatma ka sataya huaa manushya kis prakaar achchha huaa.

37

तब गिरासेनियों के आस पास के सब लोगों ने यीशु से बिनती की, कि हमारे यहां से चला जा; क्योंकि उन पर बड़ा भय छा गया था: सो वह नाव पर चढ़कर लौट गया।

Tab giraseniyon ke aas paas ke sab logon ne Yeshu se binti ki, ki hamare yahan se chala ja; kyonki un par bada bhay chha gaya tha: so vah naav par chadhkar laut gaya.

38

जिस मनुष्य से दुष्टात्माएं निकली थीं वह उस से बिनती करने लगा, कि मुझे अपने साथ रहने दे, परन्तु यीशु ने उसे विदा करके कहा।

Jis manushya se dushtatmayen nikli thi vah us se binti karne laga, ki mujhe apne saath rahne de, parantu Yeshu ne use vida karke kaha.

39

अपने घर को लौट जा और लोगों से कह दे, कि परमेश्वर ने तेरे लिये कैसे बड़े काम किए हैं: वह जाकर सारे नगर में प्रचार करने लगा, कि यीशु ने मेरे लिये कैसे बड़े काम किए॥

Apne ghar ko laut ja aur logon se kah de, ki Parmeshwar ne tere liye kaise bade kaam kiye hain: vah jakar sare nagar mein prachaar karne laga, ki Yeshu ne mere liye kaise bade kaam kiye.

40

जब यीशु लौट रहा था, तो लोग उस से आनन्द के साथ मिले; क्योंकि वे सब उस की बाट जोह रहे थे।

Jab Yeshu laut raha tha, to log us se aanand ke saath mile; kyonki ve sab us ki baat joh rahe the.

41

और देखो, याईर नाम एक मनुष्य जो आराधनालय का सरदार था, आया, और यीशु के पांवों पर गिर के उस से बिनती करने लगा, कि मेरे घर चल।

Aur dekho, yair naam ek manushya jo aaradhnalay ka sardaar tha, aaya, aur Yeshu ke panvon par gir ke us se binti karne laga, ki mere ghar chal.

42

क्योंकि उसके बारह वर्ष की एकलौती बेटी थी, और वह मरने पर थी: जब वह जा रहा था, तब लोग उस पर गिरे पड़ते थे॥

Kyonki uske barah varsh ki eklauti beti thi, aur vah marne par thi: jab vah ja raha tha, tab log us par gire padte the.

43

और एक स्त्री ने जिस को बारह वर्ष से लोहू बहने का रोग था, और जो अपनी सारी जिविका वैद्यों के पीछे व्यय कर चुकी थी और तौभी किसी के हाथ से चंगी न हो सकी थी।

Aur ek stri ne jis ko barah varsh se lohu bahne ka rog tha, aur jo apni sari jivika vaidyon ke peechhe vyay kar chuki thi aur taubhi kisi ke haath se changi na ho saki thi.

44

पीछे से आकर उसके वस्त्र के आंचल को छूआ, और तुरन्त उसका लोहू बहना थम गया।

Peechhe se aakar uske vastra ke aanchal ko chhooaa, aur turant uska lohu bahna tham gaya.

45

इस पर यीशु ने कहा, मुझे किस ने छूआ जब सब मुकरने लगे, तो पतरस और उसके साथियों ने कहा; हे स्वामी, तुझे तो भीड़ दबा रही है और तुझ पर गिरी पड़ती है।

Is par Yeshu ne kaha, mujhe kis ne chhooaa jab sab mukarne lage, to Patras aur uske sathiyon ne kaha; he swami, tujhe to bheed daba rahi hai aur tujh par giri padti hai.

46

परन्तु यीशु ने कहा: किसी ने मुझे छूआ है क्योंकि मैं ने जान लिया है कि मुझ में से सामर्थ निकली है।

Parantu Yeshu ne kaha: kisi ne mujhe chhooaa hai kyonki main ne jaan liya hai ki mujh mein se samarth nikli hai.

47

जब स्त्री ने देखा, कि मैं छिप नहीं सकती, तब कांपती हुई आई, और उसके पांवों पर गिरकर सब लोगों के साम्हने बताया, कि मैं ने किस कारण से तुझे छूआ, और क्योंकर तुरन्त चंगी हो गई।

Jab stri ne dekha, ki main chhip nahi sakti, tab kampti hui aai, aur uske panvon par girkar sab logon ke samhane bataya, ki main ne kis karan se tujhe chhooaa, aur kyonkar turant changi ho gai.

48

उस ने उस से कहा, बेटी तेरे विश्वास ने तुझे चंगा किया है, कुशल से चली जा।

Us ne us se kaha, beti tere vishwaas ne tujhe changa kiya hai, kushal se chali ja.

49

वह यह कह ही रहा था, कि किसी ने आराधनालय के सरदार के यहां से आकर कहा, तेरी बेटी मर गई: गुरु को दु:ख न दे।

Vah yah kah hi raha tha, ki kisi ne aaradhnalay ke sardaar ke yahan se aakar kaha, teri beti mar gai: guru ko dukh na de.

50

यीशु ने सुनकर उसे उत्तर दिया, मत डर; केवल विश्वास रख; तो वह बच जाएगी।

Yeshu ne sunkar use uttar diya, mat dar; keval vishwaas rakh; to vah bach jayegi.

51

घर में आकर उस ने पतरस और यूहन्ना और याकूब और लड़की के माता-पिता को छोड़ और किसी को अपने साथ भीतर आने न दिया।

Ghar mein aakar us ne Patras aur Yuhanna aur Yakub aur ladki ke mata-pita ko chhod aur kisi ko apne saath bheetar aane na diya.

52

और सब उसके लिये रो पीट रहे थे, परन्तु उस ने कहा; रोओ मत; वह मरी नहीं परन्तु सो रही है।

Aur sab uske liye ro peet rahe the, parantu us ne kaha; roo mat; vah mari nahi parantu so rahi hai.

53

वे यह जानकर, कि मर गई है, उस की हंसी करने लगे।

Ve yah jankar, ki mar gai hai, us ki hansi karne lage.

54

परन्तु उस ने उसका हाथ पकड़ा, और पुकारकर कहा, हे लड़की उठ!

Parantu us ne uska haath pakda, aur pukarkar kaha, he ladki uth!

55

तब उसके प्राण फिर आए और वह तुरन्त उठी; फिर उस ने आज्ञा दी, कि उसे कुछ खाने को दिया जाए।

Tab uske praan phir aaye aur vah turant uthi; phir us ne aagya di, ki use kuchh khane ko diya jaye.

56

उसके माता-पिता चकित हुए, परन्तु उस ने उन्हें चिताया, कि यह जो हुआ है, किसी से न कहना॥

Uske mata-pita chakit hue, parantu us ne unhein chitaya, ki yah jo huaa hai, kisi se na kahna.