Luke 10 · 42 verses

लूका 10 Luke 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 10.

1

और इन बातों के बाद प्रभु ने सत्तर और मनुष्य नियुक्त किए और जिस जिस नगर और जगह को वह आप जाने पर था, वहां उन्हें दो दो करके अपने आगे भेजा।

Aur in baton ke baad Prabhu ne sattar aur manushya niyukt kiye aur jis jis nagar aur jagah ko vah aap jane par tha, vahan unhein do do karke apne aage bheja.

2

और उस ने उन से कहा; पके खेत बहुत हैं; परन्तु मजदूर थोड़े हैं: इसलिये खेत के स्वामी से बिनती करो, कि वह अपने खेत काटने को मजदूर भेज दे।

Aur us ne un se kaha; pake khet bahut hain; parantu majdoor thode hain: isliye khet ke swami se binti karo, ki vah apne khet katne ko majdoor bhej de.

3

जाओ; देखो मैं तुम्हें भेड़ों की नाईं भेडियों के बीच में भेजता हूं।

Jao; dekho main tumhein bhedon ki nai bhediyon ke beech mein bhejta hoon.

4

इसलिये न बटुआ, न झोली, न जूते लो; और न मार्ग में किसी को नमस्कार करो।

Isliye na batuaa, na jholi, na joote lo; aur na maarg mein kisi ko namaskaar karo.

5

जिस किसी घर में जाओ, पहिले कहो, कि इस घर पर कल्याण हो।

Jis kisi ghar mein jao, pahile kaho, ki is ghar par kalyaan ho.

6

यदि वहां कोई कल्याण के योग्य होगा; तो तुम्हारा कल्याण उस पर ठहरेगा, नहीं तो तुम्हारे पास लौट आएगा।

Yadi vahan koi kalyaan ke yogya hoga; to tumhara kalyaan us par thahrega, nahi to tumhare paas laut aayega.

7

उसी घर में रहो, और जो कुछ उन से मिले, वही खाओ पीओ, क्योंकि मजदूर को अपनी मजदूरी मिलनी चाहिए: घर घर न फिरना।

Usi ghar mein raho, aur jo kuchh un se mile, vahi khao peeo, kyonki majdoor ko apni majdoori milni chahiye: ghar ghar na phirna.

8

और जिस नगर में जाओ, और वहां के लोग तुम्हें उतारें, तो जो कुछ तुम्हारे साम्हने रखा जाए वही खाओ।

Aur jis nagar mein jao, aur vahan ke log tumhein utarein, to jo kuchh tumhare samhane rakha jaye vahi khao.

9

वहां के बीमारों को चंगा करो: और उन से कहो, कि परमेश्वर का राज्य तुम्हारे निकट आ पहुंचा है।

Vahan ke beemaron ko changa karo: aur un se kaho, ki Parmeshwar ka rajya tumhare nikat aa pahuncha hai.

10

परन्तु जिस नगर में जाओ, और वहां के लोग तुम्हें ग्रहण न करें, तो उसके बाजारों में जाकर कहो।

Parantu jis nagar mein jao, aur vahan ke log tumhein grahan na karein, to uske bajaron mein jakar kaho.

11

कि तुम्हारे नगर की धूल भी, जो हमारे पांवों में लगी है, हम तुम्हारे साम्हने झाड़ देते हैं, तौभी यह जान लो, कि परमेश्वर का राज्य तुम्हारे निकट आ पहुंचा है।

Ki tumhare nagar ki dhool bhi, jo hamare panvon mein lagi hai, ham tumhare samhane jhaad dete hain, taubhi yah jaan lo, ki Parmeshwar ka rajya tumhare nikat aa pahuncha hai.

12

मैं तुम से कहता हूं, कि उस दिन उस नगर की दशा से सदोम की दशा सहने योग्य होगी।

Main tum se kahta hoon, ki us din us nagar ki dasha se sadom ki dasha sahne yogya hogi.

13

हाय खुराजीन! हाय बैतसैदा! जो सामर्थ के काम तुम में किए गए, यदि वे सूर और सैदा में किए जाते, तो टाट ओढ़कर और राख में बैठकर वे कब के मन फिराते।

Haay khurajeen! Haay baitsaida! Jo samarth ke kaam tum mein kiye gaye, yadi ve soor aur saida mein kiye jate, to taat odhkar aur raakh mein baithkar ve kab ke man phirate.

14

परन्तु न्याय के दिन तुम्हारी दशा से सूर और सैदा की दशा सहने योग्य होगी।

Parantu nyaay ke din tumhari dasha se soor aur saida ki dasha sahne yogya hogi.

15

और हे कफरनहूम, क्या तू स्वर्ग तक ऊंचा किया जाएगा? तू तो अधोलोक तक नीचे जाएगा।

Aur he kaphranhoom, kya tu swarg tak ooncha kiya jayega? Tu to adholok tak neeche jayega.

16

जो तुम्हारी सुनता है, वह मेरी सुनता है, और जो तुम्हें तुच्छ जानता है, वह मुझे तुच्छ जानता है; और जो मुझे तुच्छ जानता है, वह मेरे भेजनेवाले को तुच्छ जानता है।

Jo tumhari sunta hai, vah meri sunta hai, aur jo tumhein tuchchh janta hai, vah mujhe tuchchh janta hai; aur jo mujhe tuchchh janta hai, vah mere bhejnevale ko tuchchh janta hai.

17

वे सत्तर आनन्द से फिर आकर कहने लगे, हे प्रभु, तेरे नाम से दुष्टात्मा भी हमारे वश में हैं।

Ve sattar aanand se phir aakar kahne lage, he Prabhu, tere naam se dushtatma bhi hamare vash mein hain.

18

उस ने उन से कहा; मैं शैतान को बिजली की नाईं स्वर्ग से गिरा हुआ देख रहा था।

Us ne un se kaha; main Shaitan ko bijli ki nai swarg se gira huaa dekh raha tha.

19

देखो, मैने तुम्हे सांपों और बिच्छुओं को रौंदने का, और शत्रु की सारी सामर्थ पर अधिकार दिया है; और किसी वस्तु से तुम्हें कुछ हानि न होगी।

Dekho, maine tumhe sampon aur bichchhuon ko raundne ka, aur shatru ki sari samarth par adhikaar diya hai; aur kisi vastu se tumhein kuchh hani na hogi.

20

तौभी इस से आनन्दित मत हो, कि आत्मा तुम्हारे वश में हैं, परन्तु इस से आनन्दित हो कि तुम्हारे नाम स्वर्ग पर लिखे हैं॥

Taubhi is se aanandit mat ho, ki aatma tumhare vash mein hain, parantu is se aanandit ho ki tumhare naam swarg par likhe hain.

21

उसी घड़ी वह पवित्र आत्मा में होकर आनन्द से भर गया, और कहा; हे पिता, स्वर्ग और पृथ्वी के प्रभु, मैं तेरा धन्यवाद करता हूं, कि तू ने इन बातों को ज्ञानियों और समझदारों से छिपा रखा, और बालकों पर प्रगट किया: हां, हे पिता, क्योंकि तुझे यही अच्छा लगा।

Usi ghadi vah pavitra aatma mein hokar aanand se bhar gaya, aur kaha; he pita, swarg aur prithvi ke Prabhu, main tera dhanyavaad karta hoon, ki tu ne in baton ko gyaniyon aur samajhdaron se chhipa rakha, aur balkon par pragat kiya: han, he pita, kyonki tujhe yahi achchha laga.

22

मेरे पिता ने मुझे सब कुछ सौंप दिया है और कोई नहीं जानता कि पुत्र कौन है केवल पिता और पिता कौन है यह भी कोई नहीं जानता, केवल पुत्र के और वह जिस पर पुत्र उसे प्रकट करना चाहे।

Mere pita ne mujhe sab kuchh saump diya hai aur koi nahi janta ki putra kaun hai keval pita aur pita kaun hai yah bhi koi nahi janta, keval putra ke aur vah jis par putra use prakat karna chahe.

23

और चेलों की ओर फिरकर निराले में कहा, धन्य हैं वे आंखे, जो ये बातें जो तुम देखते हो देखती हैं।

Aur chelon ki or phirkar nirale mein kaha, dhanya hain ve aankhe, jo ye batein jo tum dekhte ho dekhti hain.

24

क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि बहुत से भविष्यद्वक्ताओं और राजाओं ने चाहा, कि जो बातें तुम देखते हो देखें; पर न देखीं और जो बातें तुम सुनते हो सुनें, पर न सुनीं॥

Kyonki main tum se kahta hoon, ki bahut se bhavishyadwaktaon aur rajaon ne chaha, ki jo batein tum dekhte ho dekhein; par na dekhi aur jo batein tum sunte ho sunein, par na suni.

25

और देखो, एक व्यवस्थापक उठा; और यह कहकर, उस की परीक्षा करने लगा; कि हे गुरू, अनन्त जीवन का वारिस होने के लिये मैं क्या करूं?

Aur dekho, ek vyavasthapak utha; aur yah kahkar, us ki pareeksha karne laga; ki he guru, anant jeevan ka varis hone ke liye main kya karun?

26

उस ने उस से कहा; कि व्यवस्था में क्या लिखा है तू कैसे पढ़ता है?

Us ne us se kaha; ki vyavastha mein kya likha hai tu kaise padhta hai?

27

उस ने उत्तर दिया, कि तू प्रभु अपने परमेश्वर से अपने सारे मन और अपने सारे प्राण और अपनी सारी शक्ति और अपनी सारी बुद्धि के साथ प्रेम रख; और अपने पड़ोसी से अपने समान प्रेम रख।

Us ne uttar diya, ki tu Prabhu apne Parmeshwar se apne sare man aur apne sare praan aur apni sari shakti aur apni sari buddhi ke saath prem rakh; aur apne padosi se apne samaan prem rakh.

28

उस ने उस से कहा, तू ने ठीक उत्तर दिया है, यही कर: तो तू जीवित रहेगा।

Us ne us se kaha, tu ne theek uttar diya hai, yahi kar: to tu jeevit rahega.

29

परन्तु उस ने अपनी तईं धर्मी ठहराने की इच्छा से यीशु से पूछा, तो मेरा पड़ोसी कौन है?

Parantu us ne apni tai dharmi thahrane ki ichchha se Yeshu se poochha, to mera padosi kaun hai?

30

यीशु ने उत्तर दिया; कि एक मनुष्य यरूशलेम से यरीहो को जा रहा था, कि डाकुओं ने घेरकर उसके कपड़े उतार लिए, और मार पीट कर उसे अधमूआ छोड़कर चले गए।

Yeshu ne uttar diya; ki ek manushya Yerushalem se yareeho ko ja raha tha, ki dakuon ne gherkar uske kapde utaar liye, aur maar peet kar use adhmooaa chhodkar chale gaye.

31

और ऐसा हुआ; कि उसी मार्ग से एक याजक जा रहा था: परन्तु उसे देख के कतरा कर चला गया।

Aur aisa huaa; ki usi maarg se ek yajak ja raha tha: parantu use dekh ke katra kar chala gaya.

32

इसी रीति से एक लेवी उस जगह पर आया, वह भी उसे देख के कतरा कर चला गया।

Isi reeti se ek levi us jagah par aaya, vah bhi use dekh ke katra kar chala gaya.

33

परन्तु एक सामरी यात्री वहां आ निकला, और उसे देखकर तरस खाया।

Parantu ek samri yatri vahan aa nikla, aur use dekhkar taras khaya.

34

और उसके पास आकर और उसके घावों पर तेल और दाखरस डालकर पट्टियां बान्धी, और अपनी सवारी पर चढ़ाकर सराय में ले गया, और उस की सेवा टहल की।

Aur uske paas aakar aur uske ghavon par tel aur dakhras dalkar pattiyan bandhi, aur apni savari par chadhakar saraay mein le gaya, aur us ki seva tahal ki.

35

दूसरे दिन उस ने दो दीनार निकालकर भटियारे को दिए, और कहा; इस की सेवा टहल करना, और जो कुछ तेरा और लगेगा, वह मैं लौटने पर तुझे भर दूंगा।

Doosre din us ne do deenaar nikalkar bhatiyare ko diye, aur kaha; is ki seva tahal karna, aur jo kuchh tera aur lagega, vah main lautne par tujhe bhar doonga.

36

अब तेरी समझ में जो डाकुओं में घिर गया था, इन तीनों में से उसका पड़ोसी कौन ठहरा?

Ab teri samajh mein jo dakuon mein ghir gaya tha, in teenon mein se uska padosi kaun thahra?

37

उस ने कहा, वही जिस ने उस पर तरस खाया: यीशु ने उस से कहा, जा, तू भी ऐसा ही कर॥

Us ne kaha, vahi jis ne us par taras khaya: Yeshu ne us se kaha, ja, tu bhi aisa hi kar.

38

फिर जब वे जा रहे थे, तो वह एक गांव में गया, और मार्था नाम एक स्त्री ने उसे अपने घर में उतारा।

Phir jab ve ja rahe the, to vah ek gaanv mein gaya, aur martha naam ek stri ne use apne ghar mein utara.

39

और मरियम नाम उस की एक बहिन थी; वह प्रभु के पांवों के पास बैठकर उसका वचन सुनती थी।

Aur Mariyam naam us ki ek bahin thi; vah Prabhu ke panvon ke paas baithkar uska vachan sunti thi.

40

पर मार्था सेवा करते करते घबरा गई और उसके पास आकर कहने लगी; हे प्रभु, क्या तुझे कुछ भी सोच नहीं कि मेरी बहिन ने मुझे सेवा करने के लिये अकेली ही छोड़ दिया है? सो उस से कह, कि मेरी सहायता करे।

Par martha seva karte karte ghabra gai aur uske paas aakar kahne lagi; he Prabhu, kya tujhe kuchh bhi soch nahi ki meri bahin ne mujhe seva karne ke liye akeli hi chhod diya hai? So us se kah, ki meri sahayta kare.

41

प्रभु ने उसे उत्तर दिया, मार्था, हे मार्था; तू बहुत बातों के लिये चिन्ता करती और घबराती है।

Prabhu ne use uttar diya, martha, he martha; tu bahut baton ke liye chinta karti aur ghabrati hai.

42

परन्तु एक बात अवश्य है, और उस उत्तम भाग को मरियम ने चुन लिया है: जो उस से छीना न जाएगा॥

Parantu ek baat avashya hai, aur us uttam bhaag ko Mariyam ne chun liya hai: jo us se chheena na jayega.