Luke 7 · 50 verses

लूका 7 Luke 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 7.

1

जब वह लोगों को अपनी सारी बातें सुना चुका, तो कफरनहूम में आया।

Jab vah logon ko apni sari batein suna chuka, to kaphranhoom mein aaya.

2

और किसी सूबेदार का एक दास जो उसका प्रिय था, बीमारी से मरने पर था।

Aur kisi soobedaar ka ek daas jo uska priya tha, beemari se marne par tha.

3

उस ने यीशु की चर्चा सुनकर यहूदियों के कई पुरनियों को उस से यह बिनती करने को उसके पास भेजा, कि आकर मेरे दास को चंगा कर।

Us ne Yeshu ki charcha sunkar Yahudiyon ke kai purniyon ko us se yah binti karne ko uske paas bheja, ki aakar mere daas ko changa kar.

4

वे यीशु के पास आकर उस से बड़ी बिनती करके कहने लगे, कि वह इस योग्य है, कि तू उसके लिये यह करे।

Ve Yeshu ke paas aakar us se badi binti karke kahne lage, ki vah is yogya hai, ki tu uske liye yah kare.

5

क्योंकि वह हमारी जाति से प्रेम रखता है, और उसी ने हमारे आराधनालय को बनाया है।

Kyonki vah hamari jati se prem rakhta hai, aur usi ne hamare aaradhnalay ko banaya hai.

6

यीशु उन के साथ साथ चला, पर जब वह घर से दूर न था, तो सूबेदार ने उसके पास कई मित्रों के द्वारा कहला भेजा, कि हे प्रभु दुख न उठा, क्योंकि मैं इस योग्य नहीं, कि तू मेरी छत के तले आए।

Yeshu un ke saath saath chala, par jab vah ghar se door na tha, to soobedaar ne uske paas kai mitron ke dwara kahla bheja, ki he Prabhu dukh na utha, kyonki main is yogya nahi, ki tu meri chhat ke tale aaye.

7

इसी कारण मैं ने अपने आप को इस योग्य भी न समझा, कि तेरे पास आऊं, पर वचन ही कह दे तो मेरा सेवक चंगा हो जाएगा।

Isi karan main ne apne aap ko is yogya bhi na samjha, ki tere paas aaun, par vachan hi kah de to mera sevak changa ho jayega.

8

मैं भी पराधीन मनुष्य हूं; और सिपाही मेरे हाथ में हैं, और जब एक को कहता हूं, जा, तो वह जाता है, और दूसरे से कहता हूं कि आ, तो आता है; और अपने किसी दास को कि यह कर, तो वह उसे करता है।

Main bhi paradheen manushya hoon; aur sipahi mere haath mein hain, aur jab ek ko kahta hoon, ja, to vah jata hai, aur doosre se kahta hoon ki aa, to aata hai; aur apne kisi daas ko ki yah kar, to vah use karta hai.

9

यह सुनकर यीशु ने अचम्भा किया, और उस ने मुंह फेरकर उस भीड़ से जो उसके पीछे आ रही थी कहा, मैं तुम से कहता हूं, कि मैं ने इस्राएल में भी ऐसा विश्वास नहीं पाया।

Yah sunkar Yeshu ne achambha kiya, aur us ne munh pherkar us bheed se jo uske peechhe aa rahi thi kaha, main tum se kahta hoon, ki main ne Israel mein bhi aisa vishwaas nahi paya.

10

और भेजे हुए लोगों ने घर लौटकर, उस दास को चंगा पाया॥

Aur bheje hue logon ne ghar lautkar, us daas ko changa paya.

11

थोड़े दिन के बाद वह नाईंन नाम के एक नगर को गया, और उसके चेले, और बड़ी भीड़ उसके साथ जा रही थी।

Thode din ke baad vah nainn naam ke ek nagar ko gaya, aur uske chele, aur badi bheed uske saath ja rahi thi.

12

जब वह नगर के फाटक के पास पहुंचा, तो देखो, लोग एक मुरदे को बाहर लिए जा रहे थे; जो अपनी मां का एकलौता पुत्र था, और वह विधवा थी: और नगर के बहुत से लोग उसके साथ थे।

Jab vah nagar ke phatak ke paas pahuncha, to dekho, log ek murde ko bahar liye ja rahe the; jo apni maa ka eklauta putra tha, aur vah vidhva thi: aur nagar ke bahut se log uske saath the.

13

उसे देख कर प्रभु को तरस आया, और उस से कहा; मत रो।

Use dekh kar Prabhu ko taras aaya, aur us se kaha; mat ro.

14

तब उस ने पास आकर, अर्थी को छुआ; और उठाने वाले ठहर गए, तब उस ने कहा; हे जवान, मैं तुझ से कहता हूं, उठ।

Tab us ne paas aakar, arthi ko chhuaa; aur uthane vale thahar gaye, tab us ne kaha; he javaan, main tujh se kahta hoon, uth.

15

तब वह मुरदा उठ बैठा, और बोलने लगा: और उस ने उसे उस की मां को सौप दिया।

Tab vah murda uth baitha, aur bolne laga: aur us ne use us ki maa ko saup diya.

16

इस से सब पर भय छा गया; और वे परमेश्वर की बड़ाई करके कहने लगे कि हमारे बीच में एक बड़ा भविष्यद्वक्ता उठा है, और परमेश्वर ने अपने लोगों पर कृपा दृष्टि की है।

Is se sab par bhay chha gaya; aur ve Parmeshwar ki badai karke kahne lage ki hamare beech mein ek bada bhavishyadwakta utha hai, aur Parmeshwar ne apne logon par kripa drishti ki hai.

17

और उसके विषय में यह बात सारे यहूदिया और आस पास के सारे देश में फैल गई॥

Aur uske vishay mein yah baat sare yahoodiya aur aas paas ke sare desh mein phail gai.

18

और यूहन्ना को उसके चेलों ने इन सब बातों का समचार दिया।

Aur Yuhanna ko uske chelon ne in sab baton ka samchaar diya.

19

तब यूहन्ना ने अपने चेलों में से दो को बुलाकर प्रभु के पास यह पूछने के लिये भेजा; कि क्या आनेवाला तू ही है, या हम किसी और दूसरे की बाट देखें?

Tab Yuhanna ne apne chelon mein se do ko bulakar Prabhu ke paas yah poochhne ke liye bheja; ki kya aanevala tu hi hai, ya ham kisi aur doosre ki baat dekhein?

20

उन्होंने उसके पास आकर कहा, यूहन्ना बपतिस्मा देने वाले ने हमें तेरे पास यह पूछने को भेजा है, कि क्या आनेवाला तू ही है, या हम दूसरे की बाट जोहें?

Unhonne uske paas aakar kaha, Yuhanna baptisma dene vale ne hamein tere paas yah poochhne ko bheja hai, ki kya aanevala tu hi hai, ya ham doosre ki baat johein?

21

उसी घड़ी उस ने बहुतों को बीमारियों; और पीड़ाओं, और दुष्टात्माओं से छुड़ाया; और बहुत से अन्धों को आंखे दी।

Usi ghadi us ne bahuton ko beemariyon; aur peedaon, aur dushtatmaon se chhudaya; aur bahut se andhon ko aankhe di.

22

और उस ने उन से कहा; जो कुछ तुम ने देखा और सुना है, जाकर यूहन्ना से कह दो; कि अन्धे देखते हैं, लंगड़े चलते फिरते हैं, कोढ़ी शुद्ध किए जाते हैं, बहिरे सुनते हैं, मुरदे जिलाये जाते हैं; और कंगालों को सुसमाचार सुनाया जाता है।

Aur us ne un se kaha; jo kuchh tum ne dekha aur suna hai, jakar Yuhanna se kah do; ki andhe dekhte hain, langde chalte phirte hain, kodhi shuddh kiye jate hain, bahire sunte hain, murde jilaye jate hain; aur kangalon ko susmachaar sunaya jata hai.

23

और धन्य है वह, जो मेरे कारण ठोकर न खाए॥

Aur dhanya hai vah, jo mere karan thokar na khaye.

24

जब यूहन्ना के भेजे हुए लोग चल दिए, तो यीशु यूहन्ना के विषय में लोगों से कहने लगा, तुम जंगल में क्या देखने गए थे? क्या हवा से हिलते हुए सरकण्डे को?

Jab Yuhanna ke bheje hue log chal diye, to Yeshu Yuhanna ke vishay mein logon se kahne laga, tum jangal mein kya dekhne gaye the? Kya hava se hilte hue sarkande ko?

25

तो तुम फिर क्या देखने गए थे? क्या कोमल वस्त्र पहिने हुए मनुष्य को? देखो, जो भड़कीला वस्त्र पहिनते, और सुख विलास से रहते हैं, वे राजभवनों में रहते हैं।

To tum phir kya dekhne gaye the? Kya komal vastra pahine hue manushya ko? Dekho, jo bhadkeela vastra pahinte, aur sukh vilaas se rahte hain, ve rajbhavnon mein rahte hain.

26

तो फिर क्या देखने गए थे? क्या किसी भविष्यद्वक्ता को? हां, मैं तुम से कहता हूं, वरन भविष्यद्वक्ता से भी बड़े को।

To phir kya dekhne gaye the? Kya kisi bhavishyadwakta ko? Han, main tum se kahta hoon, varan bhavishyadwakta se bhi bade ko.

27

यह वही है, जिस के विषय में लिखा है, कि देख, मैं अपने दूत को तेरे आगे आगे भेजता हूं, जो तेरे आगे मार्ग सीधा करेगा।

Yah vahi hai, jis ke vishay mein likha hai, ki dekh, main apne doot ko tere aage aage bhejta hoon, jo tere aage maarg seedha karega.

28

मैं तुम से कहता हूं, कि जो स्त्रियों से जन्मे हैं, उन में से यूहन्ना से बड़ा कोई नहीं: पर जो परमेश्वर के राज्य में छोटे से छोटा है, वह उस से भी बड़ा है।

Main tum se kahta hoon, ki jo striyon se janme hain, un mein se Yuhanna se bada koi nahi: par jo Parmeshwar ke rajya mein chhote se chhota hai, vah us se bhi bada hai.

29

और सब साधारण लोगों ने सुनकर और चुंगी लेने वालों ने भी यूहन्ना का बपतिस्मा लेकर परमेश्वर को सच्चा मान लिया।

Aur sab sadharan logon ne sunkar aur chungi lene valon ne bhi Yuhanna ka baptisma lekar Parmeshwar ko sachcha maan liya.

30

पर फरीसियों और व्यवस्थापकों ने उस से बपतिस्मा न लेकर परमेश्वर की मनसा को अपने विषय में टाल दिया।

Par phareesiyon aur vyavasthapkon ne us se baptisma na lekar Parmeshwar ki mansa ko apne vishay mein taal diya.

31

सो मैं इस युग के लोगों की उपमा किस से दूं कि वे किस के समान हैं?

So main is yug ke logon ki upma kis se dun ki ve kis ke samaan hain?

32

वे उन बालकों के समान हैं जो बाजार में बैठे हुए एक दूसरे से पुकारकर कहते हैं, कि हम ने तुम्हारे लिये बांसली बजाई, और तुम न नाचे, हम ने विलाप किया, और तुम न रोए।

Ve un balkon ke samaan hain jo bajaar mein baithe hue ek doosre se pukarkar kahte hain, ki ham ne tumhare liye bansli bajai, aur tum na nache, ham ne vilaap kiya, aur tum na roye.

33

क्योंकि यूहन्ना बपतिस्मा देने वाला न रोटी खाता आया, न दाखरस पीता आया, और तुम कहते हो, उस में दुष्टात्मा है।

Kyonki Yuhanna baptisma dene vala na roti khata aaya, na dakhras peeta aaya, aur tum kahte ho, us mein dushtatma hai.

34

मनुष्य का पुत्र खाता-पीता आया है; और तुम कहते हो, देखो, पेटू और पियक्कड़ मनुष्य, चुंगी लेने वालों का और पापियों का मित्र।

Manushya ka putra khata-peeta aaya hai; aur tum kahte ho, dekho, petu aur piyakkad manushya, chungi lene valon ka aur papiyon ka mitra.

35

पर ज्ञान अपनी सब सन्तानों से सच्चा ठहराया गया है॥

Par gyaan apni sab santanon se sachcha thahraya gaya hai.

36

फिर किसी फरीसी ने उस से बिनती की, कि मेरे साथ भोजन कर; सो वह उस फरीसी के घर में जाकर भोजन करने बैठा।

Phir kisi phareesi ne us se binti ki, ki mere saath bhojan kar; so vah us phareesi ke ghar mein jakar bhojan karne baitha.

37

और देखो, उस नगर की एक पापिनी स्त्री यह जानकर कि वह फरीसी के घर में भोजन करने बैठा है, संगमरमर के पात्र में इत्र लाई।

Aur dekho, us nagar ki ek papini stri yah jankar ki vah phareesi ke ghar mein bhojan karne baitha hai, sangmarmar ke patra mein itra lai.

38

और उसके पांवों के पास, पीछे खड़ी होकर, रोती हुई, उसके पांवों को आंसुओं से भिगाने और अपने सिर के बालों से पोंछने लगी और उसके पांव बारबार चूमकर उन पर इत्र मला।

Aur uske panvon ke paas, peechhe khadi hokar, roti hui, uske panvon ko aansuon se bhigane aur apne sir ke balon se ponchhne lagi aur uske paanv barbaar choomkar un par itra mala.

39

यह देखकर, वह फरीसी जिस ने उसे बुलाया था, अपने मन में सोचने लगा, यदि यह भविष्यद्वक्ता होता तो जान लेता, कि यह जो उसे छू रही है, वह कौन और कैसी स्त्री है? क्योंकि वह तो पापिनी है।

Yah dekhkar, vah phareesi jis ne use bulaya tha, apne man mein sochne laga, yadi yah bhavishyadwakta hota to jaan leta, ki yah jo use chhu rahi hai, vah kaun aur kaisi stri hai? Kyonki vah to papini hai.

40

यह सुन यीशु ने उसके उत्तर में कहा; कि हे शमौन मुझे तुझ से कुछ कहना है वह बोला, हे गुरू कह।

Yah sun Yeshu ne uske uttar mein kaha; ki he Shamaun mujhe tujh se kuchh kahna hai vah bola, he guru kah.

41

किसी महाजन के दो देनदार थे, एक पांच सौ, और दूसरा पचास दीनार धारता था।

Kisi mahajan ke do dendaar the, ek paanch sau, aur doosra pachaas deenaar dharta tha.

42

जब कि उन के पास पटाने को कुछ न रहा, तो उस ने दोनो को क्षमा कर दिया: सो उन में से कौन उस से अधिक प्रेम रखेगा।

Jab ki un ke paas patane ko kuchh na raha, to us ne dono ko kshama kar diya: so un mein se kaun us se adhik prem rakhega.

43

शमौन ने उत्तर दिया, मेरी समझ में वह, जिस का उस ने अधिक छोड़ दिया: उस ने उस से कहा, तू ने ठीक विचार किया है।

Shamaun ne uttar diya, meri samajh mein vah, jis ka us ne adhik chhod diya: us ne us se kaha, tu ne theek vichaar kiya hai.

44

और उस स्त्री की ओर फिरकर उस ने शमौन से कहा; क्या तू इस स्त्री को देखता है मैं तेरे घर में आया परन्तु तू ने मेरे पांव धोने के लिये पानी न दिया, पर इस ने मेरे पांव आंसुओं से भिगाए, और अपने बालों से पोंछा!

Aur us stri ki or phirkar us ne Shamaun se kaha; kya tu is stri ko dekhta hai main tere ghar mein aaya parantu tu ne mere paanv dhone ke liye pani na diya, par is ne mere paanv aansuon se bhigaye, aur apne balon se ponchha!

45

तू ने मुझे चूमा न दिया, पर जब से मैं आया हूं तब से इस ने मेरे पांवों का चूमना न छोड़ा।

Tu ne mujhe chooma na diya, par jab se main aaya hoon tab se is ne mere panvon ka choomna na chhoda.

46

तू ने मेरे सिर पर तेल नहीं मला; पर इस ने मेरे पांवों पर इत्र मला है।

Tu ne mere sir par tel nahi mala; par is ne mere panvon par itra mala hai.

47

इसलिये मैं तुझ से कहता हूं; कि इस के पाप जो बहुत थे, क्षमा हुए, क्योंकि इस ने बहुत प्रेम किया; पर जिस का थोड़ा क्षमा हुआ है, वह थोड़ा प्रेम करता है।

Isliye main tujh se kahta hoon; ki is ke paap jo bahut the, kshama hue, kyonki is ne bahut prem kiya; par jis ka thoda kshama huaa hai, vah thoda prem karta hai.

48

और उस ने स्त्री से कहा, तेरे पाप क्षमा हुए।

Aur us ne stri se kaha, tere paap kshama hue.

49

तब जो लोग उसके साथ भोजन करने बैठे थे, वे अपने अपने मन में सोचने लगे, यह कौन है जो पापों को भी क्षमा करता है?

Tab jo log uske saath bhojan karne baithe the, ve apne apne man mein sochne lage, yah kaun hai jo papon ko bhi kshama karta hai?

50

पर उस ने स्त्री से कहा, तेरे विश्वास ने तुझे बचा लिया है, कुशल से चली जा॥

Par us ne stri se kaha, tere vishwaas ne tujhe bacha liya hai, kushal se chali ja.