फिर सब्त के दिन वह खेतों में से होकर जा रहा था, और उसके चेले बालें तोड़ तोड़कर, और हाथों से मल मल कर खाते जाते थे।
Phir sabt ke din vah kheton mein se hokar ja raha tha, aur uske chele balein tod todkar, aur hathon se mal mal kar khate jate the.
Luke 6 · 49 verses
फिर सब्त के दिन वह खेतों में से होकर जा रहा था, और उसके चेले बालें तोड़ तोड़कर, और हाथों से मल मल कर खाते जाते थे।
Phir sabt ke din vah kheton mein se hokar ja raha tha, aur uske chele balein tod todkar, aur hathon se mal mal kar khate jate the.
तब फरीसियों में से कई एक कहने लगे, तुम वह काम क्यों करते हो जो सब्त के दिन करना उचित नहीं?
Tab phareesiyon mein se kai ek kahne lage, tum vah kaam kyon karte ho jo sabt ke din karna uchit nahi?
यीशु ने उन का उत्तर दिया; क्या तुम ने यह नहीं पढ़ा, कि दाऊद ने जब वह और उसके साथी भूखे थे तो क्या किया?
Yeshu ne un ka uttar diya; kya tum ne yah nahi padha, ki Daud ne jab vah aur uske sathi bhookhe the to kya kiya?
वह क्योंकर परमेश्वर के घर में गया, और भेंट की रोटियां लेकर खाईं, जिन्हें खाना याजकों को छोड़ और किसी को उचित नहीं, और अपने साथियों को भी दीं?
Vah kyonkar Parmeshwar ke ghar mein gaya, aur bhent ki rotiyan lekar khai, jinhein khana yajkon ko chhod aur kisi ko uchit nahi, aur apne sathiyon ko bhi di?
और उस ने उन से कहा; मनुष्य का पुत्र सब्त के दिन का भी प्रभु है।
Aur us ne un se kaha; manushya ka putra sabt ke din ka bhi Prabhu hai.
और ऐसा हुआ कि किसी और सब्त के दिन को वह आराधनालय में जाकर उपदेश करने लगा; और वहां एक मनुष्य था, जिस का दाहिना हाथ सूखा था।
Aur aisa huaa ki kisi aur sabt ke din ko vah aaradhnalay mein jakar updesh karne laga; aur vahan ek manushya tha, jis ka dahina haath sookha tha.
शास्त्री और फरीसी उस पर दोष लगाने का अवसर पाने के लिये उस की ताक में थे, कि देखें कि वह सब्त के दिन चंगा करता है कि नहीं।
Shastri aur phareesi us par dosh lagane ka avsar pane ke liye us ki taak mein the, ki dekhein ki vah sabt ke din changa karta hai ki nahi.
परन्तु वह उन के विचार जानता था; इसलिये उसने सूखे हाथ वाले मनुष्य से कहा; उठ, बीच में खड़ा हो: वह उठ खड़ा हुआ।
Parantu vah un ke vichaar janta tha; isliye usne sookhe haath vale manushya se kaha; uth, beech mein khada ho: vah uth khada huaa.
यीशु ने उन से कहा; मैं तुम से यह पूछता हूं कि सब्त के दिन क्या उचित है, भला करना या बुरा करना; प्राण को बचाना या नाश करना?
Yeshu ne un se kaha; main tum se yah poochhta hoon ki sabt ke din kya uchit hai, bhala karna ya bura karna; praan ko bachana ya naash karna?
और उस ने चारों ओर उन सभों को देखकर उस मनुष्य से कहा; अपना हाथ बढ़ा: उस ने ऐसा ही किया, और उसका हाथ फिर चंगा हो गया।
Aur us ne charon or un sabhon ko dekhkar us manushya se kaha; apna haath badha: us ne aisa hi kiya, aur uska haath phir changa ho gaya.
परन्तु वे आपे से बाहर होकर आपस में विवाद करने लगे कि हम यीशु के साथ क्या करें?
Parantu ve aape se bahar hokar aapas mein vivaad karne lage ki ham Yeshu ke saath kya karein?
और उन दिनों में वह पहाड़ पर प्रार्थना करने को निकला, और परमेश्वर से प्रार्थना करने में सारी रात बिताई।
Aur un dinon mein vah pahaad par prarthana karne ko nikla, aur Parmeshwar se prarthana karne mein sari raat bitai.
जब दिन हुआ, तो उस ने अपने चेलों को बुलाकर उन में से बारह चुन लिए, और उन को प्रेरित कहा।
Jab din huaa, to us ne apne chelon ko bulakar un mein se barah chun liye, aur un ko prerit kaha.
और वे ये हैं शमौन जिस का नाम उस ने पतरस भी रखा; और उसका भाई अन्द्रियास और याकूब और यूहन्ना और फिलेप्पुस और बरतुलमै।
Aur ve ye hain Shamaun jis ka naam us ne Patras bhi rakha; aur uska bhai andriyaas aur Yakub aur Yuhanna aur phileppus aur bartulmai.
और मत्ती और थोमा और हलफई का पुत्र याकूब और शमौन जो जेलोतेस कहलाता है।
Aur matti aur thoma aur halphai ka putra Yakub aur Shamaun jo jelotes kahlata hai.
और याकूब का बेटा यहूदा और यहूदा इस्करियोती, जो उसका पकड़वाने वाला बना।
Aur Yakub ka beta Yahuda aur Yahuda iskariyoti, jo uska pakadvane vala bana.
तब वह उन के साथ उतरकर चौरस जगह में खड़ा हुआ, और उसके चेलों की बड़ी भीड़, और सारे यहूदिया और यरूशलेम और सूर और सैदा के समुद्र के किनारे से बहुतेरे लोग, जो उस की सुनने और अपनी बीमारियों से चंगा होने के लिय उसके पास आए थे, वहां थे।
Tab vah un ke saath utarkar chauras jagah mein khada huaa, aur uske chelon ki badi bheed, aur sare yahoodiya aur Yerushalem aur soor aur saida ke samudra ke kinare se bahutere log, jo us ki sunne aur apni beemariyon se changa hone ke liya uske paas aaye the, vahan the.
और अशुद्ध आत्माओं के सताए हुए लोग भी अच्छे किए जाते थे।
Aur ashuddh aatmaon ke sataye hue log bhi achchhe kiye jate the.
और सब उसे छूना चाहते थे, क्योंकि उस में से सामर्थ निकलकर सब को चंगा करती थी॥
Aur sab use chhoona chahte the, kyonki us mein se samarth nikalkar sab ko changa karti thi.
तब उस ने अपने चेलों की ओर देखकर कहा; धन्य हो तुम, जो दीन हो, क्योंकि परमेश्वर का राज्य तुम्हारा है।
Tab us ne apne chelon ki or dekhkar kaha; dhanya ho tum, jo deen ho, kyonki Parmeshwar ka rajya tumhara hai.
धन्य हो तुम, जो अब भूखे हो; क्योंकि तृप्त किए जाओगे; धन्य हो तुम, जो अब रोते हो, क्योंकि हंसोगे।
Dhanya ho tum, jo ab bhookhe ho; kyonki tript kiye jaoge; dhanya ho tum, jo ab rote ho, kyonki hansoge.
धन्य हो तुम, जब मनुष्य के पुत्र के कारण लोग तुम से बैर करेंगे, और तुम्हें निकाल देंगे, और तुम्हारी निन्दा करेंगे, और तुम्हारा नाम बुरा जानकर काट देंगे।
Dhanya ho tum, jab manushya ke putra ke karan log tum se bair karenge, aur tumhein nikaal denge, aur tumhari ninda karenge, aur tumhara naam bura jankar kaat denge.
उस दिन आनन्दित होकर उछलना, क्योंकि देखो, तुम्हारे लिये स्वर्ग में बड़ा प्रतिफल है: उन के बाप-दादे भविष्यद्वक्ताओं के साथ भी वैसा ही किया करते थे।
Us din aanandit hokar uchhalna, kyonki dekho, tumhare liye swarg mein bada pratiphal hai: un ke baap-dade bhavishyadwaktaon ke saath bhi vaisa hi kiya karte the.
परन्तु हाय तुम पर; जो धनवान हो, क्योंकि तुम अपनी शान्ति पा चुके।
Parantu haay tum par; jo dhanvaan ho, kyonki tum apni shanti pa chuke.
परन्तु हाय तुम पर; जो अब तृप्त हो, क्योंकि भूखे होगे: हाय, तुम पर; जो अब हंसते हो, क्योंकि शोक करोगे और रोओगे।
Parantu haay tum par; jo ab tript ho, kyonki bhookhe hoge: haay, tum par; jo ab hanste ho, kyonki shok karoge aur rooge.
हाय, तुम पर; जब सब मनुष्य तुम्हें भला कहें, क्योंकि उन के बाप-दादे झूठे भविष्यद्वक्ताओं के साथ भी ऐसा ही किया करते थे॥
Haay, tum par; jab sab manushya tumhein bhala kahein, kyonki un ke baap-dade jhoothe bhavishyadwaktaon ke saath bhi aisa hi kiya karte the.
परन्तु मैं तुम सुनने वालों से कहता हूं, कि अपने शत्रुओं से प्रेम रखो; जो तुम से बैर करें, उन का भला करो।
Parantu main tum sunne valon se kahta hoon, ki apne shatruon se prem rakho; jo tum se bair karein, un ka bhala karo.
जो तुम्हें स्राप दें, उन को आशीष दो: जो तुम्हारा अपमान करें, उन के लिये प्रार्थना करो।
Jo tumhein sraap dein, un ko aasheesh do: jo tumhara apmaan karein, un ke liye prarthana karo.
जो तेरे एक गाल पर थप्पड़ मारे उस की ओर दूसरा भी फेर दे; और जो तेरी दोहर छीन ले, उस को कुरता लेने से भी न रोक।
Jo tere ek gaal par thappad mare us ki or doosra bhi pher de; aur jo teri dohar chheen le, us ko kurta lene se bhi na rok.
जो कोई तुझ से मांगे, उसे दे; और जो तेरी वस्तु छीन ले, उस से न मांग।
Jo koi tujh se mange, use de; aur jo teri vastu chheen le, us se na maang.
और जैसा तुम चाहते हो कि लोग तुम्हारे साथ करें, तुम भी उन के साथ वैसा ही करो।
Aur jaisa tum chahte ho ki log tumhare saath karein, tum bhi un ke saath vaisa hi karo.
यदि तुम अपने प्रेम रखने वालों के साथ प्रेम रखो, तो तुम्हारी क्या बड़ाई? क्योंकि पापी भी अपने प्रेम रखने वालों के साथ प्रेम रखते हैं।
Yadi tum apne prem rakhne valon ke saath prem rakho, to tumhari kya badai? Kyonki papi bhi apne prem rakhne valon ke saath prem rakhte hain.
और यदि तुम अपने भलाई करने वालों ही के साथ भलाई करते हो, तो तुम्हारी क्या बड़ाई? क्योंकि पापी भी ऐसा ही करते हैं।
Aur yadi tum apne bhalai karne valon hi ke saath bhalai karte ho, to tumhari kya badai? Kyonki papi bhi aisa hi karte hain.
और यदि तुम उसे उधार दो, जिन से फिर पाने की आशा रखते हो, तो तुम्हारी क्या बड़ाई? क्योंकि पापी पापियों को उधार देते हैं, कि उतना ही फिर पाएं।
Aur yadi tum use udhaar do, jin se phir pane ki aasha rakhte ho, to tumhari kya badai? Kyonki papi papiyon ko udhaar dete hain, ki utna hi phir payen.
वरन अपने शत्रुओं से प्रेम रखो, और भलाई करो: और फिर पाने की आस न रखकर उधार दो; और तुम्हारे लिये बड़ा फल होगा; और तुम परमप्रधान के सन्तान ठहरोगे, क्योंकि वह उन पर जो धन्यवाद नहीं करते और बुरों पर भी कृपालु है।
Varan apne shatruon se prem rakho, aur bhalai karo: aur phir pane ki aas na rakhkar udhaar do; aur tumhare liye bada phal hoga; aur tum parmapradhaan ke santaan thahroge, kyonki vah un par jo dhanyavaad nahi karte aur buron par bhi kripalu hai.
जैसा तुम्हारा पिता दयावन्त है, वैसे ही तुम भी दयावन्त बनो।
Jaisa tumhara pita dayavant hai, vaise hi tum bhi dayavant bano.
दोष मत लगाओ; तो तुम पर भी दोष नहीं लगाया जाएगा: दोषी न ठहराओ, तो तुम भी दोषी नहीं ठहराए जाओगे: क्षमा करो, तो तुम्हारी भी क्षमा की जाएगी।
Dosh mat lagao; to tum par bhi dosh nahi lagaya jayega: doshi na thahrao, to tum bhi doshi nahi thahraye jaoge: kshama karo, to tumhari bhi kshama ki jayegi.
दिया करो, तो तुम्हें भी दिया जाएगा: लोग पूरा नाप दबा दबाकर और हिला हिलाकर और उभरता हुआ तुम्हारी गोद में डालेंगे, क्योंकि जिस नाप से तुम नापते हो, उसी से तुम्हारे लिये भी नापा जाएगा॥
Diya karo, to tumhein bhi diya jayega: log poora naap daba dabakar aur hila hilakar aur ubharta huaa tumhari god mein dalenge, kyonki jis naap se tum napte ho, usi se tumhare liye bhi napa jayega.
फिर उस ने उन से एक दृष्टान्त कहा; क्या अन्धा, अन्धे को मार्ग बता सकता है? क्या दोनो गड़हे में नहीं गिरेंगे?
Phir us ne un se ek drishtaant kaha; kya andha, andhe ko maarg bata sakta hai? Kya dono gadhe mein nahi girenge?
चेला अपने गुरू से बड़ा नहीं, परन्तु जो कोई सिद्ध होगा, वह अपने गुरू के समान होगा।
Chela apne guru se bada nahi, parantu jo koi siddh hoga, vah apne guru ke samaan hoga.
तू अपने भाई की आंख के तिनके को क्यों देखता है, और अपनी ही आंख का लट्ठा तुझे नहीं सूझता
Tu apne bhai ki aankh ke tinke ko kyon dekhta hai, aur apni hi aankh ka lattha tujhe nahi soojhta
और जब तू अपनी ही आंख का लट्ठा नहीं देखता, तो अपने भाई से क्योंकर कह सकता है, हे भाई, ठहर जा तेरी आंख से तिनके को निकाल दूं? हे कपटी, पहिले अपनी आंख से लट्ठा निकाल, तब जो तिनका तेरे भाई की आंख में है, भली भांति देखकर निकाल सकेगा।
Aur jab tu apni hi aankh ka lattha nahi dekhta, to apne bhai se kyonkar kah sakta hai, he bhai, thahar ja teri aankh se tinke ko nikaal dun? He kapti, pahile apni aankh se lattha nikaal, tab jo tinka tere bhai ki aankh mein hai, bhali bhanti dekhkar nikaal sakega.
कोई अच्छा पेड़ नहीं, जो निकम्मा फल लाए, और न तो कोई निकम्मा पेड़ है, जो अच्छा फल लाए।
Koi achchha ped nahi, jo nikamma phal laye, aur na to koi nikamma ped hai, jo achchha phal laye.
हर एक पेड़ अपने फल से पहचाना जाता है; क्योंकि लोग झाड़ियों से अंजीर नहीं तोड़ते, और न झड़बेरी से अंगूर।
Har ek ped apne phal se pahchana jata hai; kyonki log jhadiyon se anjeer nahi todte, aur na jhadberi se angoor.
भला मनुष्य अपने मन के भले भण्डार से भली बातें निकालता है; और बुरा मनुष्य अपने मन के बुरे भण्डार से बुरी बातें निकालता है; क्योंकि जो मन में भरा है वही उसके मुंह पर आता है॥
Bhala manushya apne man ke bhale bhandaar se bhali batein nikalta hai; aur bura manushya apne man ke bure bhandaar se buri batein nikalta hai; kyonki jo man mein bhara hai vahi uske munh par aata hai.
जब तुम मेरा कहना नहीं मानते, तो क्यों मुझे हे प्रभु, हे प्रभु, कहते हो?
Jab tum mera kahna nahi mante, to kyon mujhe he Prabhu, he Prabhu, kahte ho?
जो कोई मेरे पास आता है, और मेरी बातें सुनकर उन्हें मानता है, मैं तुम्हें बताता हूं कि वह किस के समान है
Jo koi mere paas aata hai, aur meri batein sunkar unhein manta hai, main tumhein batata hoon ki vah kis ke samaan hai
वह उस मनुष्य के समान है, जिस ने घर बनाते समय भूमि गहरी खोदकर चट्टान की नेव डाली, और जब बाढ़ आई तो धारा उस घर पर लगी, परन्तु उसे हिला न सकी; क्योंकि वह पक्का बना था।
Vah us manushya ke samaan hai, jis ne ghar banate samay bhoomi gahri khodkar chattaan ki nev dali, aur jab baadh aai to dhara us ghar par lagi, parantu use hila na saki; kyonki vah pakka bana tha.
परन्तु जो सुनकर नहीं मानता, वह उस मनुष्य के समान है, जिस ने मिट्टी पर बिना नेव का घर बनाया। जब उस पर धारा लगी, तो वह तुरन्त गिर पड़ा, और वह गिरकर सत्यानाश हो गया॥
Parantu jo sunkar nahi manta, vah us manushya ke samaan hai, jis ne mitti par bina nev ka ghar banaya. Jab us par dhara lagi, to vah turant gir pada, aur vah girkar satyanaash ho gaya.