Luke 5 · 39 verses

लूका 5 Luke 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 5.

1

जब भीड़ उस पर गिरी पड़ती थी, और परमेश्वर का वचन सुनती थी, और वह गन्नेसरत की झील के किनारे पर खड़ा था, तो ऐसा हुआ।

Jab bheed us par giri padti thi, aur Parmeshwar ka vachan sunti thi, aur vah gannesrat ki jheel ke kinare par khada tha, to aisa huaa.

2

कि उस ने झील के किनारे दो नावें लगी हुई देखीं, और मछुवे उन पर से उतरकर जाल धो रहे थे।

Ki us ne jheel ke kinare do navein lagi hui dekhi, aur machhuve un par se utarkar jaal dho rahe the.

3

उन नावों में से एक पर जो शमौन की थी, चढ़कर, उस ने उस से बिनती की, कि किनारे से थोड़ा हटा ले चले, तब वह बैठकर लोगों को नाव पर से उपदेश देने लगा।

Un navon mein se ek par jo Shamaun ki thi, chadhkar, us ne us se binti ki, ki kinare se thoda hata le chale, tab vah baithkar logon ko naav par se updesh dene laga.

4

जब वे बातें कर चुका, तो शमौन से कहा, गहिरे में ले चल, और मछिलयां पकड़ने के लिये अपने जाल डालो।

Jab ve batein kar chuka, to Shamaun se kaha, gahire mein le chal, aur machhilyan pakadne ke liye apne jaal dalo.

5

शमौन ने उसको उत्तर दिया, कि हे स्वामी, हम ने सारी रात मिहनत की और कुछ न पकड़ा; तौभी तेरे कहने से जाल डालूंगा।

Shamaun ne usko uttar diya, ki he swami, ham ne sari raat mihnat ki aur kuchh na pakda; taubhi tere kahne se jaal daloonga.

6

जब उन्होंने ऐसा किया, तो बहुत मछिलयां घेर लाए, और उन के जाल फटने लगे।

Jab unhonne aisa kiya, to bahut machhilyan gher laye, aur un ke jaal phatne lage.

7

इस पर उन्होंने अपने साथियों को जो दूसरी नाव पर थे, संकेत किया, कि आकर हमारी सहायता करो: और उन्होंने आकर, दोनो नाव यहां तक भर लीं कि वे डूबने लगीं।

Is par unhonne apne sathiyon ko jo doosri naav par the, sanket kiya, ki aakar hamari sahayta karo: aur unhonne aakar, dono naav yahan tak bhar li ki ve doobne lagi.

8

यह देखकर शमौन पतरस यीशु के पांवों पर गिरा, और कहा; हे प्रभु, मेरे पास से जा, क्योंकि मैं पापी मनुष्य हूं।

Yah dekhkar Shamaun Patras Yeshu ke panvon par gira, aur kaha; he Prabhu, mere paas se ja, kyonki main papi manushya hoon.

9

क्योंकि इतनी मछिलयों के पकड़े जाने से उसे और उसके साथियों को बहुत अचम्भा हुआ।

Kyonki itni machhilyon ke pakde jane se use aur uske sathiyon ko bahut achambha huaa.

10

और वैसे ही जब्दी के पुत्र याकूब और यूहन्ना को भी, जो शमौन के सहभागी थे, अचम्भा हुआ: तब यीशु ने शमौन से कहा, मत डर: अब से तू मनुष्यों को जीवता पकड़ा करेगा।

Aur vaise hi jabdi ke putra Yakub aur Yuhanna ko bhi, jo Shamaun ke sahbhagi the, achambha huaa: tab Yeshu ne Shamaun se kaha, mat dar: ab se tu manushyon ko jeevta pakda karega.

11

और व नावों को किनारे पर ले आए और सब कुछ छोड़कर उसके पीछे हो लिए॥

Aur va navon ko kinare par le aaye aur sab kuchh chhodkar uske peechhe ho liye.

12

जब वह किसी नगर में था, तो देखो, वहां कोढ़ से भरा हुआ एक मनुष्य था, और वह यीशु को देखकर मुंह के बल गिरा, और बिनती की; कि हे प्रभु यदि तू चाहे हो मुझे शुद्ध कर सकता है।

Jab vah kisi nagar mein tha, to dekho, vahan kodh se bhara huaa ek manushya tha, aur vah Yeshu ko dekhkar munh ke bal gira, aur binti ki; ki he Prabhu yadi tu chahe ho mujhe shuddh kar sakta hai.

13

उस ने हाथ बढ़ाकर उसे छूआ और कहा मैं चाहता हूं तू शुद्ध हो जा: और उसका कोढ़ तुरन्त जाता रहा।

Us ne haath badhakar use chhooaa aur kaha main chahta hoon tu shuddh ho ja: aur uska kodh turant jata raha.

14

तब उस ने उसे चिताया, कि किसी से न कह, परन्तु जा के अपने आप को याजक को दिखा, और अपने शुद्ध होने के विषय में जो कुछ मूसा ने चढ़ावा ठहराया है उसे चढ़ा; कि उन पर गवाही हो।

Tab us ne use chitaya, ki kisi se na kah, parantu ja ke apne aap ko yajak ko dikha, aur apne shuddh hone ke vishay mein jo kuchh Musa ne chadhava thahraya hai use chadha; ki un par gavahi ho.

15

परन्तु उस की चर्चा और भी फैलती गई, और भीड़ की भीड़ उस की सुनने के लिये और अपनी बिमारियों से चंगे होने के लिये इकट्ठी हुई।

Parantu us ki charcha aur bhi phailti gai, aur bheed ki bheed us ki sunne ke liye aur apni bimariyon se change hone ke liye ikatthi hui.

16

परन्तु वह जंगलों में अलग जाकर प्रार्थना किया करता था॥

Parantu vah janglon mein alag jakar prarthana kiya karta tha.

17

और एक दिन ऐसा हुआ कि वह उपदेश दे रहा था, और फरीसी और व्यवस्थापक वहां बैठे हुए थे, जो गलील और यहूदिया के हर एक गांव से, और यरूशलेम से आए थे; और चंगा करने के लिये प्रभु की सामर्थ उसके साथ थी।

Aur ek din aisa huaa ki vah updesh de raha tha, aur phareesi aur vyavasthapak vahan baithe hue the, jo galeel aur yahoodiya ke har ek gaanv se, aur Yerushalem se aaye the; aur changa karne ke liye Prabhu ki samarth uske saath thi.

18

और देखो कई लोग एक मनुष्य को जो झोले का मारा हुआ था, खाट पर लाए, और वे उसे भीतर ले जाने और यीशु के साम्हने रखने का उपाय ढूंढ़ रहे थे।

Aur dekho kai log ek manushya ko jo jhole ka mara huaa tha, khaat par laye, aur ve use bheetar le jane aur Yeshu ke samhane rakhne ka upaay dhoondh rahe the.

19

और जब भीड़ के कारण उसे भीतर न ले जा सके तो उन्होंने कोठे पर चढ़ कर और खप्रैल हटाकर, उसे खाट समेत बीच में यीशु के साम्हने उतरा दिया।

Aur jab bheed ke karan use bheetar na le ja sake to unhonne kothe par chadh kar aur khaprail hatakar, use khaat samet beech mein Yeshu ke samhane utra diya.

20

उस ने उन का विश्वास देखकर उस से कहा; हे मनुष्य, तेरे पाप क्षमा हुए।

Us ne un ka vishwaas dekhkar us se kaha; he manushya, tere paap kshama hue.

21

तब शास्त्री और फरीसी विवाद करने लगे, कि यह कौन है, जो परमेश्वर की निन्दा करता है? परमेश्वर का छोड़ कौन पापों की क्षमा कर सकता है?

Tab shastri aur phareesi vivaad karne lage, ki yah kaun hai, jo Parmeshwar ki ninda karta hai? Parmeshwar ka chhod kaun papon ki kshama kar sakta hai?

22

यीशु ने उन के मन की बातें जानकर, उन से कहा कि तुम अपने मनों में क्या विवाद कर रहे हो?

Yeshu ne un ke man ki batein jankar, un se kaha ki tum apne manon mein kya vivaad kar rahe ho?

23

सहज क्या है? क्या यह कहना, कि तेरे पाप क्षमा हुए, या यह कहना कि उठ, और चल फिर?

Sahaj kya hai? Kya yah kahna, ki tere paap kshama hue, ya yah kahna ki uth, aur chal phir?

24

परन्तु इसलिये कि तुम जानो कि मनुष्य के पुत्र को पृथ्वी पर पाप क्षमा करने का भी अधिकार है (उस ने उस झोले के मारे हुए से कहा), मैं तुझ से कहता हूं, उठ और अपनी खाट उठाकर अपने घर चला जा।

Parantu isliye ki tum jano ki manushya ke putra ko prithvi par paap kshama karne ka bhi adhikaar hai (us ne us jhole ke mare hue se kaha), main tujh se kahta hoon, uth aur apni khaat uthakar apne ghar chala ja.

25

वह तुरन्त उन के साम्हने उठा, और जिस पर वह पड़ा था उसे उठाकर, परमेश्वर की बड़ाई करता हुआ अपने घर चला गया।

Vah turant un ke samhane utha, aur jis par vah pada tha use uthakar, Parmeshwar ki badai karta huaa apne ghar chala gaya.

26

तब सब चकित हुए और परमेश्वर की बड़ाई करने लगे, और बहुत डरकर कहने लगे, कि आज हम ने अनोखी बातें देखी हैं॥

Tab sab chakit hue aur Parmeshwar ki badai karne lage, aur bahut darkar kahne lage, ki aaj ham ne anokhi batein dekhi hain.

27

और इसके बाद वह बाहर गया, और लेवी नाम एक चुंगी लेने वाले को चुंगी की चौकी पर बैठे देखा, और उस से कहा, मेरे पीछे हो ले।

Aur iske baad vah bahar gaya, aur levi naam ek chungi lene vale ko chungi ki chauki par baithe dekha, aur us se kaha, mere peechhe ho le.

28

तब वह सब कुछ छोड़कर उठा, और उसके पीछे हो लिया।

Tab vah sab kuchh chhodkar utha, aur uske peechhe ho liya.

29

और लेवी ने अपने घर में उसके लिये बड़ी जेवनार की; और चुंगी लेने वालों की और औरों की जो उसके साथ भोजन करने बैठे थे एक बड़ी भीड़ थी।

Aur levi ne apne ghar mein uske liye badi jevnaar ki; aur chungi lene valon ki aur auron ki jo uske saath bhojan karne baithe the ek badi bheed thi.

30

और फरीसी और उन के शास्त्री उस के चेलों से यह कहकर कुड़कुड़ाने लगे, कि तुम चुंगी लेने वालों और पापियों के साथ क्यों खाते-पीते हो?

Aur phareesi aur un ke shastri us ke chelon se yah kahkar kudkudane lage, ki tum chungi lene valon aur papiyon ke saath kyon khate-peete ho?

31

यीशु ने उन को उत्तर दिया; कि वैद्य भले चंगों के लिये नहीं, परन्तु बीमारों के लिये अवश्य है।

Yeshu ne un ko uttar diya; ki vaidya bhale changon ke liye nahi, parantu beemaron ke liye avashya hai.

32

मैं धर्मियों को नहीं, परन्तु पापियों को मन फिराने के लिये बुलाने आया हूं।

Main dharmiyon ko nahi, parantu papiyon ko man phirane ke liye bulane aaya hoon.

33

और उन्होंने उस से कहा, यूहन्ना के चेले तो बराबर उपवास रखते और प्रार्थना किया करते हैं, और वैसे ही फरीसियों के भी, परन्तु तेरे चेले तो खाते पीते हैं!

Aur unhonne us se kaha, Yuhanna ke chele to barabar upvaas rakhte aur prarthana kiya karte hain, aur vaise hi phareesiyon ke bhi, parantu tere chele to khate peete hain!

34

यीशु ने उन से कहा; क्या तुम बरातियों से जब तक दूल्हा उन के साथ रहे, उपवास करवा सकते हो?।

Yeshu ne un se kaha; kya tum baratiyon se jab tak doolha un ke saath rahe, upvaas karva sakte ho?.

35

परन्तु वे दिन आएंगे, जिन में दूल्हा उन से अलग किया जाएगा, तब वे उन दिनों में उपवास करेंगे।

Parantu ve din aayenge, jin mein doolha un se alag kiya jayega, tab ve un dinon mein upvaas karenge.

36

उस ने एक और दृष्टान्त भी उन से कहा; कि कोई मनुष्य नये पहिरावन में से फाड़कर पुराने पहिरावन में पैबन्द नहीं लगाता, नहीं तो नया फट जाएगा और वह पैबन्द पुराने में मेल भी नहीं खाएगा।

Us ne ek aur drishtaant bhi un se kaha; ki koi manushya naye pahiravan mein se phadkar purane pahiravan mein paiband nahi lagata, nahi to naya phat jayega aur vah paiband purane mein mel bhi nahi khayega.

37

और कोई नया दाखरस पुरानी मशकों में नही भरता, नहीं तो नया दाखरस मशकों को फाड़कर बह जाएगा, और मशकें भी नाश हो जाएंगी।

Aur koi naya dakhras purani mashkon mein nahi bharta, nahi to naya dakhras mashkon ko phadkar bah jayega, aur mashkein bhi naash ho jayengi.

38

परन्तु नया दाखरस नई मशकों में भरना चाहिये।

Parantu naya dakhras nai mashkon mein bharna chahiye.

39

कोई मनुष्य पुराना दाखरस पीकर नया नहीं चाहता क्योंकि वह कहता है, कि पुराना ही अच्छा है॥

Koi manushya purana dakhras peekar naya nahi chahta kyonki vah kahta hai, ki purana hi achchha hai.