Luke 3 · 38 verses

लूका 3 Luke 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 3.

1

तिबिरियुस कैसर के राज्य के पंद्रहवें वर्ष में जब पुन्तियुस पीलातुस यहूदिया का हाकिम था, और गलील में हेरोदेस नाम चौथाई का इतूरैया, और त्रखोनीतिस में, उसका भाई फिलेप्पुस, और अबिलेने में लिसानियास चौथाई के राजा थे।

Tibiriyus kaisar ke rajya ke pandrahvein varsh mein jab puntiyus peelatus yahoodiya ka hakim tha, aur galeel mein herodes naam chauthai ka itooraiya, aur trakhoneetis mein, uska bhai phileppus, aur abilene mein lisaniyaas chauthai ke raja the.

2

और जब हन्ना और कैफा महायाजक थे, उस समय परमेश्वर का वचन जंगल में जकरयाह के पुत्र यूहन्ना के पास पहुंचा।

Aur jab hanna aur kaipha mahayajak the, us samay Parmeshwar ka vachan jangal mein jakaryaah ke putra Yuhanna ke paas pahuncha.

3

और वह यरदन के आस पास के सारे देश में आकर, पापों की क्षमा के लिये मन फिराव के बपतिस्मा का प्रचार करने लगा।

Aur vah yardan ke aas paas ke sare desh mein aakar, papon ki kshama ke liye man phiraav ke baptisma ka prachaar karne laga.

4

जैसे यशायाह भविष्यद्वक्ता के कहे हुए वचनों की पुस्तक में लिखा है, कि जंगल में एक पुकारने वाले का शब्द हो रहा हे कि प्रभु का मार्ग तैयार करो, उस की सड़कें सीधी बनाओ।

Jaise yashayaah bhavishyadwakta ke kahe hue vachnon ki pustak mein likha hai, ki jangal mein ek pukarne vale ka shabd ho raha he ki Prabhu ka maarg taiyaar karo, us ki sadkein seedhi banao.

5

हर एक घाटी भर दी जाएगी, और हर एक पहाड़ और टीला नीचा किया जाएगा; और जो टेढ़ा है सीधा, और जो ऊंचा नीचा है वह चौरस मार्ग बनेगा।

Har ek ghati bhar di jayegi, aur har ek pahaad aur teela neecha kiya jayega; aur jo tedha hai seedha, aur jo ooncha neecha hai vah chauras maarg banega.

6

और हर प्राणी परमेश्वर के उद्धार को देखेगा॥

Aur har prani Parmeshwar ke uddhaar ko dekhega.

7

जो भीड़ की भीड़ उस से बपतिस्मा लेने को निकल कर आती थी, उन से वह कहता था; हे सांप के बच्चों, तुम्हें किस ने जता दिया, कि आने वाले क्रोध से भागो।

Jo bheed ki bheed us se baptisma lene ko nikal kar aati thi, un se vah kahta tha; he saamp ke bachchon, tumhein kis ne jata diya, ki aane vale krodh se bhago.

8

सो मन फिराव के योग्य फल लाओ: और अपने अपने मन में यह न सोचो, कि हमारा पिता इब्राहीम है; क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि परमेश्वर इन पत्थरों से इब्राहीम के लिये सन्तान उत्पन्न कर सकता है।

So man phiraav ke yogya phal lao: aur apne apne man mein yah na socho, ki hamara pita Ibrahim hai; kyonki main tum se kahta hoon, ki Parmeshwar in pattharon se Ibrahim ke liye santaan utpann kar sakta hai.

9

और अब ही कुल्हाड़ा पेड़ों की जड़ पर धरा है, इसलिये जो जो पेड़ अच्छा फल नहीं लाता, वह काटा और आग में झोंका जाता है।

Aur ab hi kulhada pedon ki jad par dhara hai, isliye jo jo ped achchha phal nahi lata, vah kata aur aag mein jhonka jata hai.

10

और लोगों ने उस से पूछा, तो हम क्या करें?

Aur logon ne us se poochha, to ham kya karein?

11

उस ने उन्हें उतर दिया, कि जिस के पास दो कुरते हों वह उसके साथ जिस के पास नहीं हैं बांट दे और जिस के पास भोजन हो, वह भी ऐसा ही करे।

Us ne unhein utar diya, ki jis ke paas do kurte hon vah uske saath jis ke paas nahi hain baant de aur jis ke paas bhojan ho, vah bhi aisa hi kare.

12

और महसूल लेने वाले भी बपतिस्मा लेने आए, और उस से पूछा, कि हे गुरू, हम क्या करें?

Aur mahsool lene vale bhi baptisma lene aaye, aur us se poochha, ki he guru, ham kya karein?

13

उस ने उन से कहा, जो तुम्हारे लिये ठहराया गया है, उस से अधिक न लेना।

Us ne un se kaha, jo tumhare liye thahraya gaya hai, us se adhik na lena.

14

और सिपाहियों ने भी उस से यह पूछा, हम क्या करें? उस ने उन से कहा, किसी पर उपद्रव न करना, और न झूठा दोष लगाना, और अपनी मजदूरी पर सन्तोष करना॥

Aur sipahiyon ne bhi us se yah poochha, ham kya karein? Us ne un se kaha, kisi par upadrav na karna, aur na jhootha dosh lagana, aur apni majdoori par santosh karna.

15

जब लोग आस लगाए हुए थे, और सब अपने अपने मन में यूहन्ना के विषय में विचार कर रहे थे, कि क्या यही मसीह तो नहीं है।

Jab log aas lagaye hue the, aur sab apne apne man mein Yuhanna ke vishay mein vichaar kar rahe the, ki kya yahi Masih to nahi hai.

16

तो यूहन्ना ने उन सब से उत्तर में कहा: कि मैं तो तुम्हें पानी से बपतिस्मा देता हूं, परन्तु वह आनेवाला है, जो मुझ से शक्तिमान है; मैं तो इस योग्य भी नहीं, कि उसके जूतों का बन्ध खोल सकूं, वह तुम्हें पवित्र आत्मा और आग से बपतिस्मा देगा।

To Yuhanna ne un sab se uttar mein kaha: ki main to tumhein pani se baptisma deta hoon, parantu vah aanevala hai, jo mujh se shaktimaan hai; main to is yogya bhi nahi, ki uske jooton ka bandh khol sakun, vah tumhein pavitra aatma aur aag se baptisma dega.

17

उसका सूप, उसके हाथ में है; और वह अपना खलिहान अच्छी तरह से साफ करेगा; और गेहूं को अपने खत्ते में इकट्ठा करेगा, परन्तु भूसी को उस आग में जो बुझने की नहीं जला देगा॥

Uska soop, uske haath mein hai; aur vah apna khalihaan achchhi tarah se saaph karega; aur gehun ko apne khatte mein ikattha karega, parantu bhoosi ko us aag mein jo bujhne ki nahi jala dega.

18

सो वह बहुत सी शिक्षा दे देकर लोगों को सुसमाचार सुनाता रहा।

So vah bahut si shiksha de dekar logon ko susmachaar sunata raha.

19

परन्तु उस ने चौथाई देश के राजा हेरोदेस को उसके भाई फिलेप्पुस की पत्नी हेरोदियास के विषय, और सब कुकर्मों के विषय में जो उस ने किए थे, उलाहना दिया।

Parantu us ne chauthai desh ke raja herodes ko uske bhai phileppus ki patni herodiyaas ke vishay, aur sab kukarmon ke vishay mein jo us ne kiye the, ulahna diya.

20

इसलिये हेरोदेस ने उन सब से बढ़कर यह कुकर्म भी किया, कि यूहन्ना को बन्दीगृह में डाल दिया॥

Isliye herodes ne un sab se badhkar yah kukarm bhi kiya, ki Yuhanna ko bandeegrih mein daal diya.

21

जब सब लोगों ने बपतिस्मा लिया, और यीशु भी बपतिस्मा लेकर प्रार्थना कर रहा था, तो आकाश खुल गया।

Jab sab logon ne baptisma liya, aur Yeshu bhi baptisma lekar prarthana kar raha tha, to aakaash khul gaya.

22

और पवित्र आत्मा शारीरिक रूप में कबूतर की नाईं उस पर उतरा, और यह आकाशवाणी हुई, कि तू मेरा प्रिय पुत्र है, मैं तुझ से प्रसन्न हूं॥

Aur pavitra aatma shareerik roop mein kabootar ki nai us par utra, aur yah aakashvani hui, ki tu mera priya putra hai, main tujh se prasann hoon.

23

जब यीशु आप उपदेश करने लगा, जो लगभग तीस वर्ष की आयु का था और (जैसा समझा जाता था) यूसुफ का पुत्र था; और वह एली का।

Jab Yeshu aap updesh karne laga, jo lagbhag tees varsh ki aayu ka tha aur (jaisa samjha jata tha) Yusuf ka putra tha; aur vah eli ka.

24

और वह मत्तात का, और वह लेवी का, और वह मलकी का, और वह यन्ना का, और वह यूसुफ का।

Aur vah mattaat ka, aur vah levi ka, aur vah malki ka, aur vah yanna ka, aur vah Yusuf ka.

25

और वह मत्तित्याह का, और वह आमोस का, और वह नहूम का, और वह असल्याह का, और वह नोगह का।

Aur vah mattityaah ka, aur vah aamos ka, aur vah nahoom ka, aur vah asalyaah ka, aur vah nogah ka.

26

और वह मात का, और वह मत्तित्याह का, और वह शिमी का, और वह योसेख का, और वह योदाह का।

Aur vah maat ka, aur vah mattityaah ka, aur vah shimi ka, aur vah yosekh ka, aur vah yodaah ka.

27

और वह यूहन्ना का, और वह रेसा का, और वह जरूब्बाबिल का, और वह शालतियेल का, और वह नेरी का।

Aur vah Yuhanna ka, aur vah resa ka, aur vah jaroobbabil ka, aur vah shaltiyel ka, aur vah neri ka.

28

और वह मलकी का, और वह अद्दी का, और वह कोसाम का, और वह इलमोदाम का, और वह एर का।

Aur vah malki ka, aur vah addi ka, aur vah kosaam ka, aur vah ilmodaam ka, aur vah er ka.

29

और वह येशू का, और वह इलाजार का, और वह योरीम का, और वह मत्तात का, और वह लेवी का।

Aur vah yeshu ka, aur vah ilajaar ka, aur vah yoreem ka, aur vah mattaat ka, aur vah levi ka.

30

और वह शमौन का, और वह यहूदाह का, और वह यूसुफ का, और वह योनान का, और वह इलयाकीम का।

Aur vah Shamaun ka, aur vah yahoodaah ka, aur vah Yusuf ka, aur vah yonaan ka, aur vah ilyakeem ka.

31

और वह मलेआह का, और वह मिन्नाह का, और वह मत्तता का, और वह नातान का, और वह दाऊद का।

Aur vah maleaah ka, aur vah minnaah ka, aur vah mattata ka, aur vah nataan ka, aur vah Daud ka.

32

और वह यिशै का, और वह ओबेद का, और वह बोअज का, और वह सलमोन का, और वह नहशोन का।

Aur vah yishai ka, aur vah obed ka, aur vah boaj ka, aur vah salmon ka, aur vah nahshon ka.

33

और वह अम्मीनादाब का, और वह अरनी का, और वह हिस्रोन का, और वह फिरिस का, और वह यहूदाह का।

Aur vah ammeenadaab ka, aur vah arni ka, aur vah hisron ka, aur vah phiris ka, aur vah yahoodaah ka.

34

और वह याकूब का, और वह इसहाक का, और वह इब्राहीम का, और वह तिरह का, और वह नाहोर का।

Aur vah Yakub ka, aur vah Ishaq ka, aur vah Ibrahim ka, aur vah tirah ka, aur vah nahor ka.

35

और वह सरूग का, और वह रऊ का, और वह फिलिग का, और वह एबिर का, और वह शिलह का।

Aur vah saroog ka, aur vah rau ka, aur vah philig ka, aur vah ebir ka, aur vah shilah ka.

36

और वह केनान का, वह अरफज्ञद का, और वह शेम का, वह नूह का, वह लिमिक का।

Aur vah kenaan ka, vah arphagyad ka, aur vah shem ka, vah nooh ka, vah limik ka.

37

और वह मथूशिलह का, और वह हनोक का, और वह यिरिद का, और वह महललेल का, और वह केनान का।

Aur vah mathooshilah ka, aur vah hanok ka, aur vah yirid ka, aur vah mahallel ka, aur vah kenaan ka.

38

और वह इनोश का, और वह शेत का, और वह आदम का, और वह परमेश्वर का था॥

Aur vah inosh ka, aur vah shet ka, aur vah aadam ka, aur vah Parmeshwar ka tha.