उन दिनों में औगूस्तुस कैसर की ओर से आज्ञा निकली, कि सारे जगत के लोगों के नाम लिखे जाएं।
Un dinon mein augoostus kaisar ki or se aagya nikli, ki sare jagat ke logon ke naam likhe jayen.
Luke 2 · 52 verses
उन दिनों में औगूस्तुस कैसर की ओर से आज्ञा निकली, कि सारे जगत के लोगों के नाम लिखे जाएं।
Un dinon mein augoostus kaisar ki or se aagya nikli, ki sare jagat ke logon ke naam likhe jayen.
यह पहिली नाम लिखाई उस समय हुई, जब क्विरिनियुस सूरिया का हाकिम था।
Yah pahili naam likhai us samay hui, jab kviriniyus sooriya ka hakim tha.
और सब लोग नाम लिखवाने के लिये अपने अपने नगर को गए।
Aur sab log naam likhvane ke liye apne apne nagar ko gaye.
सो यूसुफ भी इसलिये कि वह दाऊद के घराने और वंश का था, गलील के नासरत नगर से यहूदिया में दाऊद के नगर बैतलहम को गया।
So Yusuf bhi isliye ki vah Daud ke gharane aur vansh ka tha, galeel ke nasrat nagar se yahoodiya mein Daud ke nagar baitalham ko gaya.
कि अपनी मंगेतर मरियम के साथ जो गर्भवती थी नाम लिखवाए।
Ki apni mangetar Mariyam ke saath jo garbhavti thi naam likhvaye.
उन के वहां रहते हुए उसके जनने के दिन पूरे हुए।
Un ke vahan rahte hue uske janne ke din poore hue.
और वह अपना पहिलौठा पुत्र जनी और उसे कपड़े में लपेटकर चरनी में रखा: क्योंकि उन के लिये सराय में जगह न थी।
Aur vah apna pahilautha putra jani aur use kapde mein lapetkar charni mein rakha: kyonki un ke liye saraay mein jagah na thi.
और उस देश में कितने गड़ेरिये थे, जो रात को मैदान में रहकर अपने झुण्ड का पहरा देते थे।
Aur us desh mein kitne gaderiye the, jo raat ko maidaan mein rahkar apne jhund ka pahra dete the.
और प्रभु का एक दूत उन के पास आ खड़ा हुआ; और प्रभु का तेज उन के चारों ओर चमका, और वे बहुत डर गए।
Aur Prabhu ka ek doot un ke paas aa khada huaa; aur Prabhu ka tej un ke charon or chamka, aur ve bahut dar gaye.
तब स्वर्गदूत ने उन से कहा, मत डरो; क्योंकि देखो मैं तुम्हें बड़े आनन्द का सुसमाचार सुनाता हूं जो सब लोगों के लिये होगा।
Tab swargadoot ne un se kaha, mat daro; kyonki dekho main tumhein bade aanand ka susmachaar sunata hoon jo sab logon ke liye hoga.
कि आज दाऊद के नगर में तुम्हारे लिये एक उद्धारकर्ता जन्मा है, और यही मसीह प्रभु है।
Ki aaj Daud ke nagar mein tumhare liye ek uddharkarta janma hai, aur yahi Masih Prabhu hai.
और इस का तुम्हारे लिये यह पता है, कि तुम एक बालक को कपड़े में लिपटा हुआ और चरनी में पड़ा पाओगे।
Aur is ka tumhare liye yah pata hai, ki tum ek balak ko kapde mein lipta huaa aur charni mein pada paoge.
तब एकाएक उस स्वर्गदूत के साथ स्वर्गदूतों का दल परमेश्वर की स्तुति करते हुए और यह कहते दिखाई दिया।
Tab ekayek us swargadoot ke saath swargadooton ka dal Parmeshwar ki stuti karte hue aur yah kahte dikhai diya.
कि आकाश में परमेश्वर की महिमा और पृथ्वी पर उन मनुष्यों में जिनसे वह प्रसन्न है शान्ति हो॥
Ki aakaash mein Parmeshwar ki mahima aur prithvi par un manushyon mein jinse vah prasann hai shanti ho.
जब स्वर्गदूत उन के पास से स्वर्ग को चले गए, तो गड़ेरियों ने आपस में कहा, आओ, हम बैतलहम जाकर यह बात जो हुई है, और जिसे प्रभु ने हमें बताया है, देखें।
Jab swargadoot un ke paas se swarg ko chale gaye, to gaderiyon ne aapas mein kaha, aao, ham baitalham jakar yah baat jo hui hai, aur jise Prabhu ne hamein bataya hai, dekhein.
और उन्होंने तुरन्त जाकर मरियम और यूसुफ को और चरनी में उस बालक को पड़ा देखा।
Aur unhonne turant jakar Mariyam aur Yusuf ko aur charni mein us balak ko pada dekha.
इन्हें देखकर उन्होंने वह बात जो इस बालक के विषय में उन से कही गई थी, प्रगट की।
Inhein dekhkar unhonne vah baat jo is balak ke vishay mein un se kahi gai thi, pragat ki.
और सब सुनने वालों ने उन बातों से जो गड़िरयों ने उन से कहीं आश्चर्य किया।
Aur sab sunne valon ne un baton se jo gadiryon ne un se kahi aashcharya kiya.
परन्तु मरियम ये सब बातें अपने मन में रखकर सोचती रही।
Parantu Mariyam ye sab batein apne man mein rakhkar sochti rahi.
और गड़ेरिये जैसा उन से कहा गया था, वैसा ही सब सुनकर और देखकर परमेश्वर की महिमा और स्तुति करते हुए लौट गए॥
Aur gaderiye jaisa un se kaha gaya tha, vaisa hi sab sunkar aur dekhkar Parmeshwar ki mahima aur stuti karte hue laut gaye.
जब आठ दिन पूरे हुए, और उसके खतने का समय आया, तो उसका नाम यीशु रखा गया, जो स्वर्गदूत ने उसके पेट में आने से पहिले कहा था।
Jab aath din poore hue, aur uske khatne ka samay aaya, to uska naam Yeshu rakha gaya, jo swargadoot ne uske pet mein aane se pahile kaha tha.
और जब मूसा की व्यवस्था के अनुसार उन के शुद्ध होने के दिन पूरे हुए तो वे उसे यरूशलेम में ले गए, कि प्रभु के सामने लाएं।
Aur jab Musa ki vyavastha ke anusaar un ke shuddh hone ke din poore hue to ve use Yerushalem mein le gaye, ki Prabhu ke samne layen.
(जैसा कि प्रभु की व्यवस्था में लिखा है कि हर एक पहिलौठा प्रभु के लिये पवित्र ठहरेगा)।
(jaisa ki Prabhu ki vyavastha mein likha hai ki har ek pahilautha Prabhu ke liye pavitra thahrega).
और प्रभु की व्यवस्था के वचन के अनुसार पंडुकों का एक जोड़ा, या कबूतर के दो बच्चे ला कर बलिदान करें।
Aur Prabhu ki vyavastha ke vachan ke anusaar pandukon ka ek joda, ya kabootar ke do bachche la kar balidaan karein.
और देखो, यरूशलेम में शमौन नाम एक मनुष्य था, और वह मनुष्य धर्मी और भक्त था; और इस्राएल की शान्ति की बाट जोह रहा था, और पवित्र आत्मा उस पर था।
Aur dekho, Yerushalem mein Shamaun naam ek manushya tha, aur vah manushya dharmi aur bhakt tha; aur Israel ki shanti ki baat joh raha tha, aur pavitra aatma us par tha.
और पवित्र आत्मा से उस को चितावनी हुई थी, कि जब तक तू प्रभु के मसीह को देख ने लेगा, तक तक मृत्यु को न देखेगा।
Aur pavitra aatma se us ko chitavni hui thi, ki jab tak tu Prabhu ke Masih ko dekh ne lega, tak tak mrityu ko na dekhega.
और वह आत्मा के सिखाने से मन्दिर में आया; और जब माता-पिता उस बालक यीशु को भीतर लाए, कि उसके लिये व्यवस्था की रीति के अनुसार करें।
Aur vah aatma ke sikhane se mandir mein aaya; aur jab mata-pita us balak Yeshu ko bheetar laye, ki uske liye vyavastha ki reeti ke anusaar karein.
तो उस ने उसे अपनी गोद में लिया और परमेश्वर का धन्यवाद करके कहा,
To us ne use apni god mein liya aur Parmeshwar ka dhanyavaad karke kaha,
हे स्वामी, अब तू अपने दास को अपने वचन के अनुसार शान्ति से विदा करता है।
He swami, ab tu apne daas ko apne vachan ke anusaar shanti se vida karta hai.
क्योंकि मेरी आंखो ने तेरे उद्धार को देख लिया है।
Kyonki meri aankho ne tere uddhaar ko dekh liya hai.
जिसे तू ने सब देशों के लोगों के साम्हने तैयार किया है।
Jise tu ne sab deshon ke logon ke samhane taiyaar kiya hai.
कि वह अन्य जातियों को प्रकाश देने के लिये ज्योति, और तेरे निज लोग इस्राएल की महिमा हो।
Ki vah anya jatiyon ko prakaash dene ke liye jyoti, aur tere nij log Israel ki mahima ho.
और उसका पिता और उस की माता इन बातों से जो उसके विषय में कही जाती थीं, आश्चर्य करते थे।
Aur uska pita aur us ki mata in baton se jo uske vishay mein kahi jati thi, aashcharya karte the.
तब शमौन ने उन को आशीष देकर, उस की माता मरियम से कहा; देख, वह तो इस्राएल में बहुतों के गिरने, और उठने के लिये, और एक ऐसा चिन्ह होने के लिये ठहराया गया है, जिस के विरोध में बातें की जाएगीं --
Tab Shamaun ne un ko aasheesh dekar, us ki mata Mariyam se kaha; dekh, vah to Israel mein bahuton ke girne, aur uthne ke liye, aur ek aisa chinh hone ke liye thahraya gaya hai, jis ke virodh mein batein ki jayegi --
वरन तेरा प्राण भी तलवार से वार पार छिद जाएगा-- इस से बहुत हृदयों के विचार प्रगट होंगे।
Varan tera praan bhi talvaar se vaar paar chhid jayega-- is se bahut hridyon ke vichaar pragat honge.
और अशेर के गोत्र में से हन्नाह नाम फनूएल की बेटी एक भविष्यद्वक्तिन थी: वह बहुत बूढ़ी थी, और ब्याह होने के बाद सात वर्ष अपने पति के साथ रह पाई थी।
Aur asher ke gotra mein se hannaah naam phanooyel ki beti ek bhavishyadwaktin thi: vah bahut boodhi thi, aur byaah hone ke baad saat varsh apne pati ke saath rah pai thi.
वह चौरासी वर्ष से विधवा थी: और मन्दिर को नहीं छोड़ती थी पर उपवास और प्रार्थना कर करके रात-दिन उपासना किया करती थी।
Vah chaurasi varsh se vidhva thi: aur mandir ko nahi chhodti thi par upvaas aur prarthana kar karke raat-din upasna kiya karti thi.
और वह उस घड़ी वहां आकर प्रभु का धन्यवाद करने लगी, और उन सभों से, जो यरूशलेम के छुटकारे की बाट जोहते थे, उसके विषय में बातें करने लगी।
Aur vah us ghadi vahan aakar Prabhu ka dhanyavaad karne lagi, aur un sabhon se, jo Yerushalem ke chhutkare ki baat johte the, uske vishay mein batein karne lagi.
और जब वे प्रभु की व्यवस्था के अनुसार सब कुछ निपटा चुके तो गलील में अपने नगर नासरत को फिर चले गए॥
Aur jab ve Prabhu ki vyavastha ke anusaar sab kuchh nipta chuke to galeel mein apne nagar nasrat ko phir chale gaye.
और बालक बढ़ता, और बलवन्त होता, और बुद्धि से परिपूर्ण होता गया; और परमेश्वर का अनुग्रह उस पर था।
Aur balak badhta, aur balvant hota, aur buddhi se paripoorn hota gaya; aur Parmeshwar ka anugrah us par tha.
उसके माता-पिता प्रति वर्ष फसह के पर्व में यरूशलेम को जाया करते थे।
Uske mata-pita prati varsh phasah ke parva mein Yerushalem ko jaya karte the.
जब वह बारह वर्ष का हुआ, तो वे पर्व की रीति के अनुसार यरूशलेम को गए।
Jab vah barah varsh ka huaa, to ve parva ki reeti ke anusaar Yerushalem ko gaye.
और जब वे उन दिनों को पूरा करके लौटने लगे, तो वह लड़का यीशु यरूशलेम में रह गया; और यह उसके माता-पिता नहीं जानते थे।
Aur jab ve un dinon ko poora karke lautne lage, to vah ladka Yeshu Yerushalem mein rah gaya; aur yah uske mata-pita nahi jante the.
वे यह समझकर, कि वह और यात्रियों के साथ होगा, एक दिन का पड़ाव निकल गए: और उसे अपने कुटुम्बियों और जान-पहचानों में ढूंढ़ने लगे।
Ve yah samajhkar, ki vah aur yatriyon ke saath hoga, ek din ka padaav nikal gaye: aur use apne kutumbiyon aur jaan-pahchanon mein dhoondhne lage.
पर जब नहीं मिला, तो ढूंढ़ते-ढूंढ़ते यरूशलेम को फिर लौट गए।
Par jab nahi mila, to dhoondhte-dhoondhte Yerushalem ko phir laut gaye.
और तीन दिन के बाद उन्होंने उसे मन्दिर में उपदेशकों के बीच में बैठे, उन की सुनते और उन से प्रश्न करते हुए पाया।
Aur teen din ke baad unhonne use mandir mein updeshkon ke beech mein baithe, un ki sunte aur un se prashn karte hue paya.
और जितने उस की सुन रहे थे, वे सब उस की समझ और उसके उत्तरों से चकित थे।
Aur jitne us ki sun rahe the, ve sab us ki samajh aur uske uttaron se chakit the.
तब वे उसे देखकर चकित हुए और उस की माता ने उस से कहा; हे पुत्र, तू ने हम से क्यों ऐसा व्यवहार किया? देख, तेरा पिता और मैं कुढ़ते हुए तुझे ढूंढ़ते थे।
Tab ve use dekhkar chakit hue aur us ki mata ne us se kaha; he putra, tu ne ham se kyon aisa vyavhaar kiya? Dekh, tera pita aur main kudhte hue tujhe dhoondhte the.
उस ने उन से कहा; तुम मुझे क्यों ढूंढ़ते थे? क्या नहीं जानते थे, कि मुझे अपने पिता के भवन में होना अवश्य है?
Us ne un se kaha; tum mujhe kyon dhoondhte the? Kya nahi jante the, ki mujhe apne pita ke bhavan mein hona avashya hai?
परन्तु जो बात उस ने उन से कही, उन्होंने उसे नहीं समझा।
Parantu jo baat us ne un se kahi, unhonne use nahi samjha.
तब वह उन के साथ गया, और नासरत में आया, और उन के वश में रहा; और उस की माता ने ये सब बातें अपने मन में रखीं॥
Tab vah un ke saath gaya, aur nasrat mein aaya, aur un ke vash mein raha; aur us ki mata ne ye sab batein apne man mein rakhi.
और यीशु बुद्धि और डील-डौल में और परमेश्वर और मनुष्यों के अनुग्रह में बढ़ता गया॥
Aur Yeshu buddhi aur deel-daul mein aur Parmeshwar aur manushyon ke anugrah mein badhta gaya.