परन्तु सप्ताह के पहिले दिन बड़े भोर को वे उन सुगन्धित वस्तुओं को जो उन्होंने तैयार की थीं, ले कर कब्र पर आईं।
Parantu saptaah ke pahile din bade bhor ko ve un sugandhit vastuon ko jo unhonne taiyaar ki thi, le kar kabra par aai.
Luke 24 · 53 verses
परन्तु सप्ताह के पहिले दिन बड़े भोर को वे उन सुगन्धित वस्तुओं को जो उन्होंने तैयार की थीं, ले कर कब्र पर आईं।
Parantu saptaah ke pahile din bade bhor ko ve un sugandhit vastuon ko jo unhonne taiyaar ki thi, le kar kabra par aai.
और उन्होंने पत्थर को कब्र पर से लुढ़का हुआ पाया।
Aur unhonne patthar ko kabra par se ludhka huaa paya.
और भीतर जाकर प्रभु यीशु की लोथ न पाई।
Aur bheetar jakar Prabhu Yeshu ki loth na pai.
जब वे इस बात से भौचक्की हो रही थीं तो देखो, दो पुरूष झलकते वस्त्र पहिने हुए उन के पास आ खड़े हुए।
Jab ve is baat se bhauchakki ho rahi thi to dekho, do puroosh jhalakte vastra pahine hue un ke paas aa khade hue.
जब वे डर गईं, और धरती की ओर मुंह झुकाए रहीं; तो उन्होंने उन ने कहा; तुम जीवते को मरे हुओं में क्यों ढूंढ़ती हो?
Jab ve dar gai, aur dharti ki or munh jhukaye rahi; to unhonne un ne kaha; tum jeevte ko mare huon mein kyon dhoondhti ho?
वह यहां नहीं, परन्तु जी उठा है; स्मरण करो; कि उस ने गलील में रहते हुए तुम से कहा था।
Vah yahan nahi, parantu ji utha hai; smaran karo; ki us ne galeel mein rahte hue tum se kaha tha.
कि अवश्य है, कि मनुष्य का पुत्र पापियों के हाथ में पकड़वाया जाए, और क्रूस पर चढ़ाया जाए; और तीसरे दिन जी उठे।
Ki avashya hai, ki manushya ka putra papiyon ke haath mein pakadvaya jaye, aur kroos par chadhaya jaye; aur teesre din ji uthe.
तब उस की बातें उन को स्मरण आईं।
Tab us ki batein un ko smaran aai.
और कब्र से लौटकर उन्होंने उन ग्यारहों को, और, और सब को, ये बातें कह सुनाईं।
Aur kabra se lautkar unhonne un gyarhon ko, aur, aur sab ko, ye batein kah sunai.
जिन्हों ने प्रेरितों से ये बातें कहीं, वे मरियम मगदलीनी और योअन्ना और याकूब की माता मरियम और उन के साथ की और स्त्रियां भी थीं।
Jinhon ne preriton se ye batein kahi, ve Mariyam magadleeni aur yoanna aur Yakub ki mata Mariyam aur un ke saath ki aur striyan bhi thi.
परन्तु उन की बातें उन्हें कहानी सी समझ पड़ीं, और उन्होंने उन की प्रतीति न की।
Parantu un ki batein unhein kahani si samajh padi, aur unhonne un ki prateeti na ki.
तब पतरस उठकर कब्र पर दौड़ गया, और झुककर केवल कपड़े पड़े देखे, और जो हुआ था, उस से अचम्भा करता हुआ, अपने घर चला गया॥
Tab Patras uthkar kabra par daud gaya, aur jhukkar keval kapde pade dekhe, aur jo huaa tha, us se achambha karta huaa, apne ghar chala gaya.
देखो, उसी दिन उन में से दो जन इम्माऊस नाम एक गांव को जा रहे थे, जो यरूशलेम से कोई सात मील की दूरी पर था।
Dekho, usi din un mein se do jan immaoos naam ek gaanv ko ja rahe the, jo Yerushalem se koi saat meel ki doori par tha.
और वे इन सब बातों पर जो हुईं थीं, आपस में बातचीत करते जा रहे थे।
Aur ve in sab baton par jo hui thi, aapas mein batcheet karte ja rahe the.
और जब वे आपस में बातचीत और पूछताछ कर रहे थे, तो यीशु आप पास आकर उन के साथ हो लिया।
Aur jab ve aapas mein batcheet aur poochhtaachh kar rahe the, to Yeshu aap paas aakar un ke saath ho liya.
परन्तु उन की आंखे ऐसी बन्द कर दी गईं थी, कि उसे पहिचान न सके।
Parantu un ki aankhe aisi band kar di gai thi, ki use pahichaan na sake.
उस ने उन से पूछा; ये क्या बातें हैं, जो तुम चलते चलते आपस में करते हो? वे उदास से खड़े रह गए।
Us ne un se poochha; ye kya batein hain, jo tum chalte chalte aapas mein karte ho? Ve udaas se khade rah gaye.
यह सुनकर, उनमें से क्लियुपास नाम एक व्यक्ति ने कहा; क्या तू यरूशलेम में अकेला परदेशी है; जो नहीं जानता, कि इन दिनों में उस में क्या क्या हुआ है?
Yah sunkar, unmein se kliyupaas naam ek vyakti ne kaha; kya tu Yerushalem mein akela pardeshi hai; jo nahi janta, ki in dinon mein us mein kya kya huaa hai?
उस ने उन से पूछा; कौन सी बातें? उन्होंने उस से कहा; यीशु नासरी के विषय में जो परमेश्वर और सब लोगों के निकट काम और वचन में सामर्थी भविष्यद्वक्ता था।
Us ne un se poochha; kaun si batein? Unhonne us se kaha; Yeshu nasri ke vishay mein jo Parmeshwar aur sab logon ke nikat kaam aur vachan mein samarthi bhavishyadwakta tha.
और महायाजकों और हमारे सरदारों ने उसे पकड़वा दिया, कि उस पर मृत्यु की आज्ञा दी जाए; और उसे क्रूस पर चढ़वाया।
Aur mahayajkon aur hamare sardaron ne use pakadva diya, ki us par mrityu ki aagya di jaye; aur use kroos par chadhvaya.
परन्तु हमें आशा थी, कि यही इस्त्राएल को छुटकारा देगा, और इन सब बातों के सिवाय इस घटना को हुए तीसरा दिन है।
Parantu hamein aasha thi, ki yahi istrayel ko chhutkara dega, aur in sab baton ke sivaay is ghatna ko hue teesra din hai.
और हम में से कई स्त्रियों ने भी हमें आश्चर्य में डाल दिया है, जो भोर को कब्र पर गई थीं।
Aur ham mein se kai striyon ne bhi hamein aashcharya mein daal diya hai, jo bhor ko kabra par gai thi.
और जब उस की लोथ न पाई, तो यह कहती हुई आईं, कि हम ने स्वर्गदूतों का दर्शन पाया, जिन्हों ने कहा कि वह जीवित है।
Aur jab us ki loth na pai, to yah kahti hui aai, ki ham ne swargadooton ka darshan paya, jinhon ne kaha ki vah jeevit hai.
तब हमारे साथियों में से कई एक कब्र पर गए, और जैसा स्त्रियों ने कहा था, वैसा ही पाया; परन्तु उस को न देखा।
Tab hamare sathiyon mein se kai ek kabra par gaye, aur jaisa striyon ne kaha tha, vaisa hi paya; parantu us ko na dekha.
तब उस ने उन से कहा; हे निर्बुद्धियों, और भविष्यद्वक्ताओं की सब बातों पर विश्वास करने में मन्दमतियों!
Tab us ne un se kaha; he nirbuddhiyon, aur bhavishyadwaktaon ki sab baton par vishwaas karne mein mandamtiyon!
क्या अवश्य न था, कि मसीह ये दुख उठाकर अपनी महिमा में प्रवेश करे?
Kya avashya na tha, ki Masih ye dukh uthakar apni mahima mein pravesh kare?
तब उस ने मूसा से और सब भविष्यद्वक्ताओं से आरम्भ करके सारे पवित्र शास्त्रों में से, अपने विषय में की बातों का अर्थ, उन्हें समझा दिया।
Tab us ne Musa se aur sab bhavishyadwaktaon se aarambh karke sare pavitra shastron mein se, apne vishay mein ki baton ka arth, unhein samjha diya.
इतने में वे उस गांव के पास पहुंचे, जहां वे जा रहे थे, और उसके ढंग से ऐसा जान पड़ा, कि वह आगे बढ़ना चाहता है।
Itne mein ve us gaanv ke paas pahunche, jahan ve ja rahe the, aur uske dhang se aisa jaan pada, ki vah aage badhna chahta hai.
परन्तु उन्होंने यह कहकर उसे रोका, कि हमारे साथ रह; क्योंकि संध्या हो चली है और दिन अब बहुत ढल गया है। तब वह उन के साथ रहने के लिये भीतर गया।
Parantu unhonne yah kahkar use roka, ki hamare saath rah; kyonki sandhya ho chali hai aur din ab bahut dhal gaya hai. Tab vah un ke saath rahne ke liye bheetar gaya.
जब वह उन के साथ भोजन करने बैठा, तो उस ने रोटी लेकर धन्यवाद किया, और उसे तोड़कर उन को देने लगा।
Jab vah un ke saath bhojan karne baitha, to us ne roti lekar dhanyavaad kiya, aur use todkar un ko dene laga.
तब उन की आंखे खुल गईं; और उन्होंने उसे पहचान लिया, और वह उन की आंखों से छिप गया।
Tab un ki aankhe khul gai; aur unhonne use pahchaan liya, aur vah un ki aankhon se chhip gaya.
उन्होंने आपस में कहा; जब वह मार्ग में हम से बातें करता था, और पवित्र शास्त्र का अर्थ हमें समझाता था, तो क्या हमारे मन में उत्तेजना न उत्पन्न हुई?
Unhonne aapas mein kaha; jab vah maarg mein ham se batein karta tha, aur pavitra shastra ka arth hamein samjhata tha, to kya hamare man mein uttejna na utpann hui?
वे उसी घड़ी उठकर यरूशलेम को लौट गए, और उन ग्यारहों और उन के साथियों को इकट्ठे पाया।
Ve usi ghadi uthkar Yerushalem ko laut gaye, aur un gyarhon aur un ke sathiyon ko ikatthe paya.
वे कहते थे, प्रभु सचमुच जी उठा है, और शमौन को दिखाई दिया है।
Ve kahte the, Prabhu sachmuch ji utha hai, aur Shamaun ko dikhai diya hai.
तब उन्होंने मार्ग की बातें उन्हें बता दीं और यह भी कि उन्होंने उसे रोटी तोड़ते समय क्योंकर पहचाना॥
Tab unhonne maarg ki batein unhein bata di aur yah bhi ki unhonne use roti todte samay kyonkar pahchana.
वे ये बातें कह ही रहे ये, कि वह आप ही उन के बीच में आ खड़ा हुआ; और उन से कहा, तुम्हें शान्ति मिले।
Ve ye batein kah hi rahe ye, ki vah aap hi un ke beech mein aa khada huaa; aur un se kaha, tumhein shanti mile.
परन्तु वे घबरा गए, और डर गए, और समझे, कि हम किसी भूत को देखते हैं।
Parantu ve ghabra gaye, aur dar gaye, aur samjhe, ki ham kisi bhoot ko dekhte hain.
उस ने उन से कहा; क्यों घबराते हो और तुम्हारे मन में क्यों सन्देह उठते हैं?
Us ne un se kaha; kyon ghabrate ho aur tumhare man mein kyon sandeh uthte hain?
मेरे हाथ और मेरे पांव को देखो, कि मैं वहीं हूं; मुझे छूकर देखो; क्योंकि आत्मा के हड्डी मांस नहीं होता जैसा मुझ में देखते हो।
Mere haath aur mere paanv ko dekho, ki main vahi hoon; mujhe chhookar dekho; kyonki aatma ke haddi maans nahi hota jaisa mujh mein dekhte ho.
यह कहकर उस ने उन्हें अपने हाथ पांव दिखाए।
Yah kahkar us ne unhein apne haath paanv dikhaye.
जब आनन्द के मारे उन को प्रतीति न हुई, और आश्चर्य करते थे, तो उस ने उन से पूछा; क्या यहां तुम्हारे पास कुछ भोजन है?
Jab aanand ke mare un ko prateeti na hui, aur aashcharya karte the, to us ne un se poochha; kya yahan tumhare paas kuchh bhojan hai?
उन्होंने उसे भूनी मछली का टुकड़ा दिया।
Unhonne use bhooni machhli ka tukda diya.
उस ने लेकर उन के साम्हने खाया।
Us ne lekar un ke samhane khaya.
फिर उस ने उन से कहा, ये मेरी वे बातें हैं, जो मैं ने तुम्हारे साथ रहते हुए, तुम से कही थीं, कि अवश्य है, कि जितनी बातें मूसा की व्यवस्था और भविष्यद्वक्ताओं और भजनों की पुस्तकों में, मेरे विषय में लिखी हैं, सब पूरी हों।
Phir us ne un se kaha, ye meri ve batein hain, jo main ne tumhare saath rahte hue, tum se kahi thi, ki avashya hai, ki jitni batein Musa ki vyavastha aur bhavishyadwaktaon aur bhajnon ki pustakon mein, mere vishay mein likhi hain, sab poori hon.
तब उस ने पवित्र शास्त्र बूझने के लिये उन की समझ खोल दी।
Tab us ne pavitra shastra boojhne ke liye un ki samajh khol di.
और उन से कहा, यों लिखा है; कि मसीह दु:ख उठाएगा, और तीसरे दिन मरे हुओं में से जी उठेगा।
Aur un se kaha, yon likha hai; ki Masih dukh uthayega, aur teesre din mare huon mein se ji uthega.
और यरूशलेम से लेकर सब जातियों में मन फिराव का और पापों की क्षमा का प्रचार, उसी के नाम से किया जाएगा।
Aur Yerushalem se lekar sab jatiyon mein man phiraav ka aur papon ki kshama ka prachaar, usi ke naam se kiya jayega.
तुम इन सब बातें के गवाह हो।
Tum in sab batein ke gavaah ho.
और देखो, जिस की प्रतिज्ञा मेरे पिता ने की है, मैं उस को तुम पर उतारूंगा और जब तक स्वर्ग से सामर्थ न पाओ, तब तक तुम इसी नगर में ठहरे रहो॥
Aur dekho, jis ki pratigya mere pita ne ki hai, main us ko tum par utaroonga aur jab tak swarg se samarth na pao, tab tak tum isi nagar mein thahre raho.
तब वह उन्हें बैतनिय्याह तक बाहर ले गया, और अपने हाथ उठाकर उन्हें आशीष दी।
Tab vah unhein baitniyyaah tak bahar le gaya, aur apne haath uthakar unhein aasheesh di.
और उन्हें आशीष देते हुए वह उन से अलग हो गया और स्वर्ग से उठा लिया गया।
Aur unhein aasheesh dete hue vah un se alag ho gaya aur swarg se utha liya gaya.
और वे उस को दण्डवत करके बड़े आनन्द से यरूशलेम को लौट गए।
Aur ve us ko dandavat karke bade aanand se Yerushalem ko laut gaye.
और लगातार मन्दिर में उपस्थित होकर परमेश्वर की स्तुति किया करते थे॥
Aur lagataar mandir mein upasthit hokar Parmeshwar ki stuti kiya karte the.