तब सारी सभा उठकर उसे पीलातुस के पास ले गई।
Tab sari sabha uthkar use peelatus ke paas le gai.
Luke 23 · 56 verses
तब सारी सभा उठकर उसे पीलातुस के पास ले गई।
Tab sari sabha uthkar use peelatus ke paas le gai.
और वे यह कहकर उस पर दोष लगाने लगे, कि हम ने इसे लोगों को बहकाते और कैसर को कर देने से मना करते, और अपने आप को मसीह राजा कहते हुए सुना है।
Aur ve yah kahkar us par dosh lagane lage, ki ham ne ise logon ko bahkate aur kaisar ko kar dene se mana karte, aur apne aap ko Masih raja kahte hue suna hai.
पीलातुस ने उस से पूछा, क्या तू यहूदियों का राजा है? उस ने उसे उत्तर दिया, कि तू आप ही कह रहा है।
Peelatus ne us se poochha, kya tu Yahudiyon ka raja hai? Us ne use uttar diya, ki tu aap hi kah raha hai.
तब पीलातुस ने महायाजकों और लोगों से कहा, मैं इस मनुष्य में कुछ दोष नहीं पाता।
Tab peelatus ne mahayajkon aur logon se kaha, main is manushya mein kuchh dosh nahi pata.
पर वे और भी दृढ़ता से कहने लगे, यह गलील से लेकर यहां तक सारे यहूदिया में उपदेश दे दे कर लोगों को उकसाता है।
Par ve aur bhi dridhta se kahne lage, yah galeel se lekar yahan tak sare yahoodiya mein updesh de de kar logon ko uksata hai.
यह सुनकर पीलातुस ने पूछा, क्या यह मनुष्य गलीली है?
Yah sunkar peelatus ne poochha, kya yah manushya galeeli hai?
और यह जानकर कि वह हेरोदेस की रियासत का है, उसे हेरोदेस के पास भेज दिया, क्योंकि उन दिनों में वह भी यरूशलेम में था॥
Aur yah jankar ki vah herodes ki riyasat ka hai, use herodes ke paas bhej diya, kyonki un dinon mein vah bhi Yerushalem mein tha.
हेरोदेस यीशु को देखकर बहुत ही प्रसन्न हुआ, क्योंकि वह बहुत दिनों से उस को देखना चाहता था: इसलिये कि उसके विषय में सुना था, और उसका कुछ चिन्ह देखने की आशा रखता था।
Herodes Yeshu ko dekhkar bahut hi prasann huaa, kyonki vah bahut dinon se us ko dekhna chahta tha: isliye ki uske vishay mein suna tha, aur uska kuchh chinh dekhne ki aasha rakhta tha.
वह उस से बहुतेरी बातें पूछता रहा, पर उस ने उस को कुछ भी उत्तर न दिया।
Vah us se bahuteri batein poochhta raha, par us ne us ko kuchh bhi uttar na diya.
और महायाजक और शास्त्री खड़े हुए तन मन से उस पर दोष लगाते रहे।
Aur mahayajak aur shastri khade hue tan man se us par dosh lagate rahe.
तब हेरोदेस ने अपने सिपाहियों के साथ उसका अपमान करके ठट्ठों में उड़ाया, और भड़कीला वस्त्र पहिनाकर उसे पीलातुस के पास लौटा दिया।
Tab herodes ne apne sipahiyon ke saath uska apmaan karke thatthon mein udaya, aur bhadkeela vastra pahinakar use peelatus ke paas lauta diya.
उसी दिन पीलातुस और हेरोदेस मित्र हो गए। इसके पहिले वे एक दूसरे के बैरी थे॥
Usi din peelatus aur herodes mitra ho gaye. Iske pahile ve ek doosre ke bairi the.
पीलातुस ने महायाजकों और सरदारों और लोगों को बुलाकर उन से कहा।
Peelatus ne mahayajkon aur sardaron aur logon ko bulakar un se kaha.
तुम इस मनुष्य को लोगों का बहकाने वाला ठहराकर मेरे पास लाए हो, और देखो, मैं ने तुम्हारे साम्हने उस की जांच की, पर जिन बातों का तुम उस पर दोष लगाते हो, उन बातों के विषय में मैं ने उस में कुछ भी दोष नहीं पाया है।
Tum is manushya ko logon ka bahkane vala thahrakar mere paas laye ho, aur dekho, main ne tumhare samhane us ki jaanch ki, par jin baton ka tum us par dosh lagate ho, un baton ke vishay mein main ne us mein kuchh bhi dosh nahi paya hai.
न हेरोदेस ने, क्योंकि उस ने उसे हमारे पास लौटा दिया है: और देखो, उस से ऐसा कुछ नहीं हुआ कि वह मृत्यु के दण्ड के योग्य ठहराया जाए।
Na herodes ne, kyonki us ne use hamare paas lauta diya hai: aur dekho, us se aisa kuchh nahi huaa ki vah mrityu ke dand ke yogya thahraya jaye.
इसलिये मैं उसे पिटवाकर छोड़ देता हूं।
Isliye main use pitvakar chhod deta hoon.
तब सब मिलकर चिल्ला उठे,
Tab sab milkar chilla uthe,
इस का काम तमाम कर, और हमारे लिये बरअब्बा को छोड़ दे।
Is ka kaam tamaam kar, aur hamare liye baraabba ko chhod de.
यही किसी बलवे के कारण जो नगर में हुआ था, और हत्या के कारण बन्दीगृह में डाला गया था।
Yahi kisi balve ke karan jo nagar mein huaa tha, aur hatya ke karan bandeegrih mein dala gaya tha.
पर पीलातुस ने यीशु को छोड़ने की इच्छा से लोगों को फिर समझाया।
Par peelatus ne Yeshu ko chhodne ki ichchha se logon ko phir samjhaya.
परन्तु उन्होंने चिल्लाकर कहा: कि उसे क्रूस पर चढ़ा, क्रूस पर।
Parantu unhonne chillakar kaha: ki use kroos par chadha, kroos par.
उस ने तीसरी बार उन से कहा; क्यों? उस ने कौन सी बुराई की है? मैं ने उस में मृत्यु दण्ड के योग्य कोई बात नहीं पाई! इसलिये मैं उसे पिटवाकर छोड़ देता हूं।
Us ne teesri baar un se kaha; kyon? Us ne kaun si burai ki hai? Main ne us mein mrityu dand ke yogya koi baat nahi pai! Isliye main use pitvakar chhod deta hoon.
परन्तु वे चिल्ला-चिल्ला कर पीछे पड़ गए, कि वह क्रूस पर चढ़ाया जाए, और उन का चिल्लाना प्रबल हुआ।
Parantu ve chilla-chilla kar peechhe pad gaye, ki vah kroos par chadhaya jaye, aur un ka chillana prabal huaa.
सो पीलातुस ने आज्ञा दी, कि उन की बिनती के अनुसार किया जाए।
So peelatus ne aagya di, ki un ki binti ke anusaar kiya jaye.
और उस ने उस मनुष्य को जो बलवे और हत्या के कारण बन्दीगृह में डाला गया था, और जिसे वे मांगते थे, छोड़ दिया; और यीशु को उन की इच्छा के अनुसार सौंप दिया॥
Aur us ne us manushya ko jo balve aur hatya ke karan bandeegrih mein dala gaya tha, aur jise ve mangte the, chhod diya; aur Yeshu ko un ki ichchha ke anusaar saump diya.
जब वे उसे लिए जाते थे, तो उन्होंने शमौन नाम एक कुरेनी को जो गांव से आ रहा था, पकड़कर उस पर क्रूस को लाद दिया कि उसे यीशु के पीछे पीछे ले चले॥
Jab ve use liye jate the, to unhonne Shamaun naam ek kureni ko jo gaanv se aa raha tha, pakadkar us par kroos ko laad diya ki use Yeshu ke peechhe peechhe le chale.
और लोगों की बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली: और बहुत सी स्त्रियां भी, जो उसके लिये छाती-पीटती और विलाप करती थीं।
Aur logon ki badi bheed uske peechhe ho li: aur bahut si striyan bhi, jo uske liye chhati-peetti aur vilaap karti thi.
यीशु ने उन की ओर फिरकर कहा; हे यरूशलेम की पुत्रियों, मेरे लिये मत रोओ; परन्तु अपने और अपने बालकों के लिये रोओ।
Yeshu ne un ki or phirkar kaha; he Yerushalem ki putriyon, mere liye mat roo; parantu apne aur apne balkon ke liye roo.
क्योंकि देखो, वे दिन आते हैं, जिन में कहेंगे, धन्य हैं वे जो बांझ हैं, और वे गर्भ जो न जने और वे स्तन जिन्हों ने दूध न पिलाया।
Kyonki dekho, ve din aate hain, jin mein kahenge, dhanya hain ve jo baanjh hain, aur ve garbh jo na jane aur ve stan jinhon ne doodh na pilaya.
उस समय वे पहाड़ों से कहने लगेंगे, कि हम पर गिरो, और टीलों से कि हमें ढाँप लो।
Us samay ve pahadon se kahne lagenge, ki ham par giro, aur teelon se ki hamein dhaamp lo.
क्योंकि जब वे हरे पेड़ के साथ ऐसा करते हैं, तो सूखे के साथ क्या कुछ न किया जाएगा?
Kyonki jab ve hare ped ke saath aisa karte hain, to sookhe ke saath kya kuchh na kiya jayega?
वे और दो मनुष्यों को भी जो कुकर्मी थे उसके साथ घात करने को ले चले॥
Ve aur do manushyon ko bhi jo kukarmi the uske saath ghaat karne ko le chale.
जब वे उस जगह जिसे खोपड़ी कहते हैं पहुंचे, तो उन्होंने वहां उसे और उन कुकर्मियों को भी एक को दाहिनी और और दूसरे को बाईं और क्रूसों पर चढ़ाया।
Jab ve us jagah jise khopdi kahte hain pahunche, to unhonne vahan use aur un kukarmiyon ko bhi ek ko dahini aur aur doosre ko bai aur krooson par chadhaya.
तब यीशु ने कहा; हे पिता, इन्हें क्षमा कर, क्योंकि ये नहीं जानते कि क्या कर रहें हैं और उन्होंने चिट्ठियां डालकर उसके कपड़े बांट लिए।
Tab Yeshu ne kaha; he pita, inhein kshama kar, kyonki ye nahi jante ki kya kar rahein hain aur unhonne chitthiyan dalkar uske kapde baant liye.
लोग खड़े खड़े देख रहे थे, और सरदार भी ठट्ठा कर करके कहते थे, कि इस ने औरों को बचाया, यदि यह परमेश्वर का मसीह है, और उसका चुना हुआ है, तो अपने आप को बचा ले।
Log khade khade dekh rahe the, aur sardaar bhi thattha kar karke kahte the, ki is ne auron ko bachaya, yadi yah Parmeshwar ka Masih hai, aur uska chuna huaa hai, to apne aap ko bacha le.
सिपाही भी पास आकर और सिरका देकर उसका ठट्ठा करके कहते थे।
Sipahi bhi paas aakar aur sirka dekar uska thattha karke kahte the.
यदि तू यहूदियों का राजा है, तो अपने आप को बचा।
Yadi tu Yahudiyon ka raja hai, to apne aap ko bacha.
और उसके ऊपर एक पत्र भी लगा था, कि यह यहूदियों का राजा है।
Aur uske oopar ek patra bhi laga tha, ki yah Yahudiyon ka raja hai.
जो कुकर्मी लटकाए गए थे, उन में से एक ने उस की निन्दा करके कहा; क्या तू मसीह नहीं तो फिर अपने आप को और हमें बचा।
Jo kukarmi latkaye gaye the, un mein se ek ne us ki ninda karke kaha; kya tu Masih nahi to phir apne aap ko aur hamein bacha.
इस पर दूसरे ने उसे डांटकर कहा, क्या तू परमेश्वर से भी नहीं डरता? तू भी तो वही दण्ड पा रहा है।
Is par doosre ne use dantkar kaha, kya tu Parmeshwar se bhi nahi darta? Tu bhi to vahi dand pa raha hai.
और हम तो न्यायानुसार दण्ड पा रहे हैं, क्योंकि हम अपने कामों का ठीक फल पा रहे हैं; पर इस ने कोई अनुचित काम नहीं किया।
Aur ham to nyayanusaar dand pa rahe hain, kyonki ham apne kamon ka theek phal pa rahe hain; par is ne koi anuchit kaam nahi kiya.
तब उस ने कहा; हे यीशु, जब तू अपने राज्य में आए, तो मेरी सुधि लेना।
Tab us ne kaha; he Yeshu, jab tu apne rajya mein aaye, to meri sudhi lena.
उस ने उस से कहा, मैं तुझ से सच कहता हूं; कि आज ही तू मेरे साथ स्वर्गलोक में होगा॥
Us ne us se kaha, main tujh se sach kahta hoon; ki aaj hi tu mere saath swargalok mein hoga.
और लगभग दो पहर से तीसरे पहर तक सारे देश में अन्धियारा छाया रहा।
Aur lagbhag do pahar se teesre pahar tak sare desh mein andhiyara chhaya raha.
और सूर्य का उजियाला जाता रहा, और मन्दिर का परदा बीच में फट गया।
Aur soorya ka ujiyala jata raha, aur mandir ka parda beech mein phat gaya.
और यीशु ने बड़े शब्द से पुकार कर कहा; हे पिता, मैं अपनी आत्मा तेरे हाथों में सौंपता हूं: और यह कहकर प्राण छोड़ दिए।
Aur Yeshu ne bade shabd se pukaar kar kaha; he pita, main apni aatma tere hathon mein saumpta hoon: aur yah kahkar praan chhod diye.
सूबेदार ने, जो कुछ हुआ था देखकर, परमेश्वर की बड़ाई की, और कहा; निश्चय यह मनुष्य धर्मी था।
Soobedaar ne, jo kuchh huaa tha dekhkar, Parmeshwar ki badai ki, aur kaha; nishchay yah manushya dharmi tha.
और भीड़ जो यह देखने को इकट्ठी हुई भी, इस घटना को, देखकर छाती- पीटती हुई लौट गई।
Aur bheed jo yah dekhne ko ikatthi hui bhi, is ghatna ko, dekhkar chhati- peetti hui laut gai.
और उसके सब जान पहचान, और जो स्त्रियां गलील से उसके साथ आई थीं, दूर खड़ी हुई यह सब देख रही थीं॥
Aur uske sab jaan pahchaan, aur jo striyan galeel se uske saath aai thi, door khadi hui yah sab dekh rahi thi.
और देखो यूसुफ नाम एक मन्त्री जो सज्जन और धर्मी पुरूष था।
Aur dekho Yusuf naam ek mantri jo sajjan aur dharmi puroosh tha.
और उन के विचार और उन के इस काम से प्रसन्न न था; और वह यहूदियों के नगर अरिमतीया का रहनेवाला और परमेश्वर के राज्य की बाट जोहनेवाला था।
Aur un ke vichaar aur un ke is kaam se prasann na tha; aur vah Yahudiyon ke nagar arimteeya ka rahnevala aur Parmeshwar ke rajya ki baat johnevala tha.
उस ने पीलातुस के पास जाकर यीशु की लोथ मांग ली।
Us ne peelatus ke paas jakar Yeshu ki loth maang li.
और उसे उतारकर चादर में लपेटा, और एक कब्र में रखा, जो चट्टान में खोदी हुई थी; और उस में कोई कभी न रखा गया था।
Aur use utarkar chadar mein lapeta, aur ek kabra mein rakha, jo chattaan mein khodi hui thi; aur us mein koi kabhi na rakha gaya tha.
वह तैयारी का दिन था, और सब्त का दिन आरम्भ होने पर था।
Vah taiyari ka din tha, aur sabt ka din aarambh hone par tha.
और उन स्त्रियों ने जो उसके साथ गलील से आईं थीं, पीछे पीछे जाकर उस कब्र को देखा, और यह भी कि उस की लोथ किस रीति से रखी गई है।
Aur un striyon ne jo uske saath galeel se aai thi, peechhe peechhe jakar us kabra ko dekha, aur yah bhi ki us ki loth kis reeti se rakhi gai hai.
और लौटकर सुगन्धित वस्तुएं और इत्र तैयार किया: और सब्त के दिन तो उन्होंने आज्ञा के अनुसार विश्राम किया॥
Aur lautkar sugandhit vastuein aur itra taiyaar kiya: aur sabt ke din to unhonne aagya ke anusaar vishraam kiya.