Luke 22 · 71 verses

लूका 22 Luke 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 22.

1

अखमीरी रोटी का पर्व्व जो फसह कहलाता है, निकट था।

Akhmeeri roti ka parvva jo phasah kahlata hai, nikat tha.

2

और महायाजक और शास्त्री इस बात की खोज में थे कि उस को क्योंकर मार डालें, पर वे लोगों से डरते थे॥

Aur mahayajak aur shastri is baat ki khoj mein the ki us ko kyonkar maar dalein, par ve logon se darte the.

3

और शैतान यहूदा में समाया, जो इस्करियोती कहलाता और बारह चेलों में गिना जाता था।

Aur Shaitan Yahuda mein samaya, jo iskariyoti kahlata aur barah chelon mein gina jata tha.

4

उस ने जाकर महायाजकों और पहरूओं के सरदारों के साथ बातचीत की, कि उस को किस प्रकार उन के हाथ पकड़वाए।

Us ne jakar mahayajkon aur pahrooon ke sardaron ke saath batcheet ki, ki us ko kis prakaar un ke haath pakadvaye.

5

वे आनन्दित हुए, और उसे रूपये देने का वचन दिया।

Ve aanandit hue, aur use roopye dene ka vachan diya.

6

उस ने मान लिया, और अवसर ढूंढ़ने लगा, कि बिना उपद्रव के उसे उन के हाथ पकड़वा दे॥

Us ne maan liya, aur avsar dhoondhne laga, ki bina upadrav ke use un ke haath pakadva de.

7

तब अखमीरी रोटी के पर्व्व का दिन आया, जिस में फसह का मेम्ना बली करना अवश्य था।

Tab akhmeeri roti ke parvva ka din aaya, jis mein phasah ka memna bali karna avashya tha.

8

और यीशु ने पतरस और यूहन्ना को यह कहकर भेजा, कि जाकर हमारे खाने के लिये फसह तैयार करो।

Aur Yeshu ne Patras aur Yuhanna ko yah kahkar bheja, ki jakar hamare khane ke liye phasah taiyaar karo.

9

उन्होंने उस से पूछा, तू कहां चाहता है, कि हम तैयार करें?

Unhonne us se poochha, tu kahan chahta hai, ki ham taiyaar karein?

10

उस ने उन से कहा; देखो, नगर में प्रवेश करते ही एक मनुष्य जल का घड़ा उठाए हुए तुम्हें मिलेगा, जिस घर में वह जाए; तुम उसके पीछे चले जाना।

Us ne un se kaha; dekho, nagar mein pravesh karte hi ek manushya jal ka ghada uthaye hue tumhein milega, jis ghar mein vah jaye; tum uske peechhe chale jana.

11

और उस घर के स्वामी से कहो, कि गुरू तुझ से कहता है; कि वह पाहुनशाला कहां है जिस में मैं अपने चेलों के साथ फसह खाऊं?

Aur us ghar ke swami se kaho, ki guru tujh se kahta hai; ki vah pahunshala kahan hai jis mein main apne chelon ke saath phasah khaun?

12

वह तुम्हें एक सजी सजाई बड़ी अटारी दिखा देगा; वहां तैयारी करना।

Vah tumhein ek saji sajai badi atari dikha dega; vahan taiyari karna.

13

उन्होंने जाकर, जैसा उस ने उन से कहा था, वैसा ही पाया, और फसह तैयार किया॥

Unhonne jakar, jaisa us ne un se kaha tha, vaisa hi paya, aur phasah taiyaar kiya.

14

जब घड़ी पहुंची, तो वह प्रेरितों के साथ भोजन करने बैठा।

Jab ghadi pahunchi, to vah preriton ke saath bhojan karne baitha.

15

और उस ने उन से कहा; मुझे बड़ी लालसा थी, कि दुख-भोगने से पहिले यह फसह तुम्हारे साथ खाऊं।

Aur us ne un se kaha; mujhe badi lalsa thi, ki dukh-bhogne se pahile yah phasah tumhare saath khaun.

16

क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि जब तक वह परमेश्वर के राज्य में पूरा न हो तब तक मैं उसे कभी न खाऊंगा।

Kyonki main tum se kahta hoon, ki jab tak vah Parmeshwar ke rajya mein poora na ho tab tak main use kabhi na khaoonga.

17

तब उस ने कटोरा लेकर धन्यवाद किया, और कहा, इस को लो और आपस में बांट लो।

Tab us ne katora lekar dhanyavaad kiya, aur kaha, is ko lo aur aapas mein baant lo.

18

क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि जब तक परमेश्वर का राज्य न आए तब तक मैं दाख रस अब से कभी न पीऊंगा।

Kyonki main tum se kahta hoon, ki jab tak Parmeshwar ka rajya na aaye tab tak main daakh ras ab se kabhi na peeoonga.

19

फिर उस ने रोटी ली, और धन्यवाद करके तोड़ी, और उन को यह कहते हुए दी, कि यह मेरी देह है, जो तुम्हारे लिये दी जाती है: मेरे स्मरण के लिये यही किया करो।

Phir us ne roti li, aur dhanyavaad karke todi, aur un ko yah kahte hue di, ki yah meri deh hai, jo tumhare liye di jati hai: mere smaran ke liye yahi kiya karo.

20

इसी रीति से उस ने बियारी के बाद कटोरा भी यह कहते हुए दिया कि यह कटोरा मेरे उस लोहू में जो तुम्हारे लिये बहाया जाता है नई वाचा है।

Isi reeti se us ne biyari ke baad katora bhi yah kahte hue diya ki yah katora mere us lohu mein jo tumhare liye bahaya jata hai nai vacha hai.

21

पर देखो, मेरे पकड़वाने वाले का हाथ मेरे साथ मेज पर है।

Par dekho, mere pakadvane vale ka haath mere saath mej par hai.

22

क्योंकि मनुष्य का पुत्र तो जैसा उसके लिये ठहराया गया जाता ही है, पर हाय उस मनुष्य पर, जिस के द्वारा वह पकड़वाया जाता है!

Kyonki manushya ka putra to jaisa uske liye thahraya gaya jata hi hai, par haay us manushya par, jis ke dwara vah pakadvaya jata hai!

23

तब वे आपस में पूछ पाछ करने लगे, कि हम में से कौन है, जो यह काम करेगा?

Tab ve aapas mein poochh paachh karne lage, ki ham mein se kaun hai, jo yah kaam karega?

24

उन में यह वाद-विवाद भी हुआ; कि हम में से कौन बड़ा समझा जाता है

Un mein yah vaad-vivaad bhi huaa; ki ham mein se kaun bada samjha jata hai

25

उस ने उन से कहा, अन्यजातियों के राजा उन पर प्रभुता करते हैं; और जो उन पर अधिकार रखते हैं, वे उपकारक कहलाते हैं।

Us ne un se kaha, anyajatiyon ke raja un par prabhuta karte hain; aur jo un par adhikaar rakhte hain, ve upkarak kahlate hain.

26

परन्तु तुम ऐसे न होना; वरन जो तुम में बड़ा है, वह छोटे की नाईं और जो प्रधान है, वह सेवक की नाईं बने।

Parantu tum aise na hona; varan jo tum mein bada hai, vah chhote ki nai aur jo pradhaan hai, vah sevak ki nai bane.

27

क्योंकि बड़ा कौन है; वह जो भोजन पर बैठा या वह जो सेवा करता है? क्या वह नहीं जो भोजन पर बैठा है? पर मैं तुम्हारे बीच में सेवक की नाईं हूं।

Kyonki bada kaun hai; vah jo bhojan par baitha ya vah jo seva karta hai? Kya vah nahi jo bhojan par baitha hai? Par main tumhare beech mein sevak ki nai hoon.

28

परन्तु तुम वह हो, जो मेरी परीक्षाओं में लगातार मेरे साथ रहे।

Parantu tum vah ho, jo meri pareekshaon mein lagataar mere saath rahe.

29

और जैसे मेरे पिता ने मेरे लिये एक राज्य ठहराया है,

Aur jaise mere pita ne mere liye ek rajya thahraya hai,

30

वैसे ही मैं भी तुम्हारे लिये ठहराता हूं, ताकि तुम मेरे राज्य में मेरी मेज पर खाओ-पिओ; वरन सिंहासनों पर बैठकर इस्त्राएल के बारह गोत्रों का न्याय करो।

Vaise hi main bhi tumhare liye thahrata hoon, taki tum mere rajya mein meri mej par khao-pio; varan sinhasnon par baithkar istrayel ke barah gotron ka nyaay karo.

31

शमौन, हे शमौन, देख, शैतान ने तुम लोगों को मांग लिया है कि गेहूं की नाईं फटके।

Shamaun, he Shamaun, dekh, Shaitan ne tum logon ko maang liya hai ki gehun ki nai phatke.

32

परन्तु मैं ने तेरे लिये बिनती की, कि तेरा विश्वास जाता न रहे: और जब तू फिरे, तो अपने भाइयों को स्थिर करना।

Parantu main ne tere liye binti ki, ki tera vishwaas jata na rahe: aur jab tu phire, to apne bhaiyon ko sthir karna.

33

उस ने उस से कहा; हे प्रभु, मैं तेरे साथ बन्दीगृह जाने, वरन मरने को भी तैयार हूं।

Us ne us se kaha; he Prabhu, main tere saath bandeegrih jane, varan marne ko bhi taiyaar hoon.

34

उस ने कहा; हे पतरस मैं तुझ से कहता हूं, कि आज मुर्ग बांग न देगा जब तक तू तीन बार मेरा इन्कार न कर लेगा कि मैं उसे नहीं जानता॥

Us ne kaha; he Patras main tujh se kahta hoon, ki aaj murg baang na dega jab tak tu teen baar mera inkaar na kar lega ki main use nahi janta.

35

और उस ने उन से कहा, कि जब मैं ने तुम्हें बटुए, और झोली, और जूते बिना भेजा था, तो क्या तुम को किसी वस्तु की घटी हुई थी? उन्होंने कहा; किसी वस्तु की नहीं।

Aur us ne un se kaha, ki jab main ne tumhein batue, aur jholi, aur joote bina bheja tha, to kya tum ko kisi vastu ki ghati hui thi? Unhonne kaha; kisi vastu ki nahi.

36

उस ने उन से कहा, परन्तु अब जिस के पास बटुआ हो वह उसे ले, और वैसे ही झोली भी, और जिस के पास तलवार न हो वह अपने कपड़े बेचकर एक मोल ले।

Us ne un se kaha, parantu ab jis ke paas batuaa ho vah use le, aur vaise hi jholi bhi, aur jis ke paas talvaar na ho vah apne kapde bechkar ek mol le.

37

क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि यह जो लिखा है, कि वह अपराधियों के साथ गिना गया, उसका मुझ में पूरा होना अवश्य है; क्योंकि मेरे विषय की बातें पूरी होने पर हैं।

Kyonki main tum se kahta hoon, ki yah jo likha hai, ki vah apradhiyon ke saath gina gaya, uska mujh mein poora hona avashya hai; kyonki mere vishay ki batein poori hone par hain.

38

उन्होंने कहा; हे प्रभु, देख, यहां दो तलवारें हैं: उस ने उन से कहा; बहुत हैं॥

Unhonne kaha; he Prabhu, dekh, yahan do talvarein hain: us ne un se kaha; bahut hain.

39

तब वह बाहर निकलकर अपनी रीति के अनुसार जैतून के पहाड़ पर गया, और चेले उसके पीछे हो लिए।

Tab vah bahar nikalkar apni reeti ke anusaar jaitoon ke pahaad par gaya, aur chele uske peechhe ho liye.

40

उस जगह पहुंचकर उस ने उन से कहा; प्रार्थना करो, कि तुम परीक्षा में न पड़ो।

Us jagah pahunchkar us ne un se kaha; prarthana karo, ki tum pareeksha mein na pado.

41

और वह आप उन से अलग एक ढेला फेंकने के टप्पे भर गया, और घुटने टेक कर प्रार्थना करने लगा।

Aur vah aap un se alag ek dhela phenkne ke tappe bhar gaya, aur ghutne tek kar prarthana karne laga.

42

कि हे पिता यदि तू चाहे तो इस कटोरे को मेरे पास से हटा ले, तौभी मेरी नहीं परन्तु तेरी ही इच्छा पूरी हो।

Ki he pita yadi tu chahe to is katore ko mere paas se hata le, taubhi meri nahi parantu teri hi ichchha poori ho.

43

तब स्वर्ग से एक दूत उस को दिखाई दिया जो उसे सामर्थ देता था।

Tab swarg se ek doot us ko dikhai diya jo use samarth deta tha.

44

और वह अत्यन्त संकट में व्याकुल होकर और भी ह्रृदय वेदना से प्रार्थना करने लगा; और उसका पसीना मानो लोहू की बड़ी बड़ी बून्दों की नाईं भूमि पर गिर रहा था।

Aur vah atyant sankat mein vyakul hokar aur bhi hrriday vedna se prarthana karne laga; aur uska paseena mano lohu ki badi badi boondon ki nai bhoomi par gir raha tha.

45

तब वह प्रार्थना से उठा और अपने चेलों के पास आकर उन्हें उदासी के मारे सोता पाया; और उन से कहा, क्यों सोते हो?

Tab vah prarthana se utha aur apne chelon ke paas aakar unhein udasi ke mare sota paya; aur un se kaha, kyon sote ho?

46

उठो, प्रार्थना करो, कि परीक्षा में न पड़ो॥

Utho, prarthana karo, ki pareeksha mein na pado.

47

वह यह कह ही रहा था, कि देखो एक भीड़ आई, और उन बारहों में से एक जिस का नाम यहूदा था उनके आगे आगे आ रहा था, वह यीशु के पास आया, कि उसका चूमा ले।

Vah yah kah hi raha tha, ki dekho ek bheed aai, aur un barhon mein se ek jis ka naam Yahuda tha unke aage aage aa raha tha, vah Yeshu ke paas aaya, ki uska chooma le.

48

यीशु ने उस से कहा, हे यहूदा, क्या तू चूमा लेकर मनुष्य के पुत्र को पकड़वाता है?

Yeshu ne us se kaha, he Yahuda, kya tu chooma lekar manushya ke putra ko pakadvata hai?

49

उसके साथियों ने जब देखा कि क्या होनेवाला है, कहा; हे प्रभु, क्या हम तलवार चलाएं?

Uske sathiyon ne jab dekha ki kya honevala hai, kaha; he Prabhu, kya ham talvaar chalayen?

50

और उन में से एक ने महायाजक के दास पर चलाकर उसका दाहिना कान उड़ा दिया।

Aur un mein se ek ne mahayajak ke daas par chalakar uska dahina kaan uda diya.

51

इस पर यीशु ने कहा; अब बस करो: और उसका कान छूकर उसे अच्छा किया।

Is par Yeshu ne kaha; ab bas karo: aur uska kaan chhookar use achchha kiya.

52

तब यीशु ने महायाजकों; और मन्दिर के पहरूओं के सरदारों और पुरनियों से, जो उस पर चढ़ आए थे, कहा; क्या तुम मुझे डाकू जानकर तलवारें और लाठियां लिए हुए निकले हो?

Tab Yeshu ne mahayajkon; aur mandir ke pahrooon ke sardaron aur purniyon se, jo us par chadh aaye the, kaha; kya tum mujhe daku jankar talvarein aur lathiyan liye hue nikle ho?

53

जब मैं मन्दिर में हर दिन तुम्हारे साथ था, तो तुम ने मुझ पर हाथ न डाला; पर यह तुम्हारी घड़ी है, और अन्धकार का अधिकार है॥

Jab main mandir mein har din tumhare saath tha, to tum ne mujh par haath na dala; par yah tumhari ghadi hai, aur andhakaar ka adhikaar hai.

54

फिर वे उसे पकड़कर ले चले, और महायाजक के घर में लाए और पतरस दूर ही दूर उसके पीछे पीछे चलता था।

Phir ve use pakadkar le chale, aur mahayajak ke ghar mein laye aur Patras door hi door uske peechhe peechhe chalta tha.

55

और जब वे आंगन में आग सुलगाकर इकट्ठे बैठे, तो पतरस भी उन के बीच में बैठ गया।

Aur jab ve aangan mein aag sulgakar ikatthe baithe, to Patras bhi un ke beech mein baith gaya.

56

और एक लौंडी उसे आग के उजियाले में बैठे देखकर और उस की ओर ताककर कहने लगी, यह भी तो उसके साथ था।

Aur ek laundi use aag ke ujiyale mein baithe dekhkar aur us ki or takkar kahne lagi, yah bhi to uske saath tha.

57

परन्तु उस ने यह कहकर इन्कार किया, कि हे नारी, मैं उसे नहीं जानता।

Parantu us ne yah kahkar inkaar kiya, ki he nari, main use nahi janta.

58

थोड़ी देर बाद किसी और ने उसे देखकर कहा, तू भी तो उन्हीं में से है: पतरस ने कहा; हे मनुष्य मैं नहीं हूं।

Thodi der baad kisi aur ne use dekhkar kaha, tu bhi to unhi mein se hai: Patras ne kaha; he manushya main nahi hoon.

59

कोई घंटे भर के बाद एक और मनुष्य दृढ़ता से कहने लगा, निश्चय यह भी तो उसके साथ था; क्योंकि यह गलीली है।

Koi ghante bhar ke baad ek aur manushya dridhta se kahne laga, nishchay yah bhi to uske saath tha; kyonki yah galeeli hai.

60

पतरस ने कहा, हे मनुष्य, मैं नहीं जानता कि तू क्या कहता है! वह कह ही रहा था कि तुरन्त मुर्ग ने बांग दी।

Patras ne kaha, he manushya, main nahi janta ki tu kya kahta hai! Vah kah hi raha tha ki turant murg ne baang di.

61

तब प्रभु ने घूमकर पतरस की ओर देखा, और पतरस को प्रभु की वह बात याद आई जो उस ने कही थी, कि आज मुर्ग के बांग देने से पहिले, तू तीन बार मेरा इन्कार करेगा।

Tab Prabhu ne ghoomkar Patras ki or dekha, aur Patras ko Prabhu ki vah baat yaad aai jo us ne kahi thi, ki aaj murg ke baang dene se pahile, tu teen baar mera inkaar karega.

62

और वह बाहर निकलकर फूट फूट कर रोने लगा॥

Aur vah bahar nikalkar phoot phoot kar rone laga.

63

जो मनुष्य यीशु को पकड़े हुए थे, वे उसे ठट्ठों में उड़ाकर पीटने लगे।

Jo manushya Yeshu ko pakde hue the, ve use thatthon mein udakar peetne lage.

64

और उस की आंखे ढांपकर उस से पूछा, कि भविष्यद्वाणी करके बता कि तुझे किसने मारा।

Aur us ki aankhe dhampkar us se poochha, ki bhavishyadwani karke bata ki tujhe kisne mara.

65

और उन्होंने बहुत सी और भी निन्दा की बातें उसके विरोध में कहीं॥

Aur unhonne bahut si aur bhi ninda ki batein uske virodh mein kahi.

66

जब दिन हुआ तो लोगों के पुरिनए और महायाजक और शास्त्री इकट्ठे हुए, और उसे अपनी महासभा में लाकर पूछा,

Jab din huaa to logon ke purinaye aur mahayajak aur shastri ikatthe hue, aur use apni mahasbha mein lakar poochha,

67

यदि तू मसीह है, तो हम से कह दे! उस ने उन से कहा, यदि मैं तुम से कहूं तो प्रतीति न करोगे।

Yadi tu Masih hai, to ham se kah de! Us ne un se kaha, yadi main tum se kahun to prateeti na karoge.

68

और यदि पूछूं, तो उत्तर न दोगे।

Aur yadi poochhun, to uttar na doge.

69

परन्तु अब से मनुष्य का पुत्र सर्वशक्तिमान परमेश्वर की दाहिनी और बैठा रहेगा।

Parantu ab se manushya ka putra sarvashaktimaan Parmeshwar ki dahini aur baitha rahega.

70

इस पर सब ने कहा, तो क्या तू परमेश्वर का पुत्र है? उस ने उन से कहा; तुम आप ही कहते हो, क्योंकि मैं हूं।

Is par sab ne kaha, to kya tu Parmeshwar ka putra hai? Us ne un se kaha; tum aap hi kahte ho, kyonki main hoon.

71

तब उन्होंने कहा; अब हमें गवाही का क्या प्रयोजन है; क्योंकि हम ने आप ही उसके मुंह से सुन लिया है॥

Tab unhonne kaha; ab hamein gavahi ka kya prayojan hai; kyonki ham ne aap hi uske munh se sun liya hai.