फिर उस ने आंख उठाकर धनवानों को अपना अपना दान भण्डार में डालते देखा।
Phir us ne aankh uthakar dhanvanon ko apna apna daan bhandaar mein dalte dekha.
Luke 21 · 38 verses
फिर उस ने आंख उठाकर धनवानों को अपना अपना दान भण्डार में डालते देखा।
Phir us ne aankh uthakar dhanvanon ko apna apna daan bhandaar mein dalte dekha.
और उस ने एक कंगाल विधवा को भी उस में दो दमड़ियां डालते देखा।
Aur us ne ek kangaal vidhva ko bhi us mein do damdiyan dalte dekha.
तब उस ने कहा; मैं तुम से सच कहता हूं कि इस कंगाल विधवा ने सब से बढ़कर डाला है।
Tab us ne kaha; main tum se sach kahta hoon ki is kangaal vidhva ne sab se badhkar dala hai.
क्योंकि उन सब ने अपनी अपनी बढ़ती में से दान में कुछ डाला है, परन्तु इस ने अपनी घटी में से अपनी सारी जीविका डाल दी है॥
Kyonki un sab ne apni apni badhti mein se daan mein kuchh dala hai, parantu is ne apni ghati mein se apni sari jeevika daal di hai.
जब कितने लोग मन्दिर के विषय में कह रहे थे, कि वह कैसे सुन्दर पत्थरों और भेंट की वस्तुओं से संवारा गया है तो उस ने कहा।
Jab kitne log mandir ke vishay mein kah rahe the, ki vah kaise sundar pattharon aur bhent ki vastuon se sanvara gaya hai to us ne kaha.
वे दिन आएंगे, जिन में यह सब जो तुम देखते हो, उन में से यहां किसी पत्थर पर पत्थर भी न छूटेगा, जो ढाया न जाएगा।
Ve din aayenge, jin mein yah sab jo tum dekhte ho, un mein se yahan kisi patthar par patthar bhi na chhootega, jo dhaya na jayega.
उन्होंने उस से पूछा, हे गुरू, यह सब कब होगा और ये बातें जब पूरी होने पर होंगी, तो उस समय का क्या चिन्ह होगा?
Unhonne us se poochha, he guru, yah sab kab hoga aur ye batein jab poori hone par hongi, to us samay ka kya chinh hoga?
उस ने कहा; चौकस रहो, कि भरमाए न जाओ, क्योंकि बहुतेरे मेरे नाम से आकर कहेंगे, कि मैं वही हूं; और यह भी कि समय निकट आ पहुंचा है: तुम उन के पीछे न चले जाना।
Us ne kaha; chaukas raho, ki bharmaye na jao, kyonki bahutere mere naam se aakar kahenge, ki main vahi hoon; aur yah bhi ki samay nikat aa pahuncha hai: tum un ke peechhe na chale jana.
और जब तुम लड़ाइयों और बलवों की चर्चा सुनो, तो घबरा न जाना; क्योंकि इन का पहिले होना अवश्य है; परन्तु उस समय तुरन्त अन्त न होगा।
Aur jab tum ladaiyon aur balvon ki charcha suno, to ghabra na jana; kyonki in ka pahile hona avashya hai; parantu us samay turant ant na hoga.
तब उस ने उन से कहा, कि जाति पर जाति और राज्य पर राज्य चढ़ाई करेगा।
Tab us ne un se kaha, ki jati par jati aur rajya par rajya chadhai karega.
और बड़ें बड़ें भूईडोल होंगे, और जगह जगह अकाल और मरियां पड़ेंगी, और आकाश में भयंकर बातें और बड़े बड़े चिन्ह प्रगट होंगे।
Aur badein badein bhooidol honge, aur jagah jagah akaal aur mariyan padengi, aur aakaash mein bhayankar batein aur bade bade chinh pragat honge.
परन्तु इन सब बातों से पहिले वे मेरे नाम के कारण तुम्हें पकड़ेंगे, और सताएंगे, और पंचायतों में सौपेंगे, और बन्दीगृह मे डलवाएंगे, और राजाओं और हाकिमों के साम्हने ले जाएंगे।
Parantu in sab baton se pahile ve mere naam ke karan tumhein pakdenge, aur satayenge, aur panchayton mein saupenge, aur bandeegrih me dalvayenge, aur rajaon aur hakimon ke samhane le jayenge.
पर यह तुम्हारे लिये गवाही देने का अवसर हो जाएगा।
Par yah tumhare liye gavahi dene ka avsar ho jayega.
इसलिये अपने अपने मन में ठान रखो कि हम पहिले से उत्तर देने की चिन्ता न करेंगे।
Isliye apne apne man mein thaan rakho ki ham pahile se uttar dene ki chinta na karenge.
क्योंकि मैं तुम्हें ऐसा बोल और बुद्धि दूंगा, कि तुम्हारे सब विरोधी साम्हना या खण्डन न कर सकेंगे।
Kyonki main tumhein aisa bol aur buddhi doonga, ki tumhare sab virodhi samhana ya khandan na kar sakenge.
और तुम्हारे माता पिता और भाई और कुटुम्ब, और मित्र भी तुम्हें पकड़वाएंगे; यहां तक कि तुम में से कितनों को मरवा डालेंगे।
Aur tumhare mata pita aur bhai aur kutumb, aur mitra bhi tumhein pakadvayenge; yahan tak ki tum mein se kitnon ko marva dalenge.
और मेरे नाम के कारण सब लोग तुम से बैर करेंगे।
Aur mere naam ke karan sab log tum se bair karenge.
परन्तु तुम्हारे सिर का एक बाल भी बांका न होगा।
Parantu tumhare sir ka ek baal bhi banka na hoga.
अपने धीरज से तुम अपने प्राणों को बचाए रखोगे॥
Apne dheeraj se tum apne pranon ko bachaye rakhoge.
जब तुम यरूशलेम को सेनाओं से घिरा हुआ देखो, तो जान लेना कि उसका उजड़ जाना निकट है।
Jab tum Yerushalem ko senaon se ghira huaa dekho, to jaan lena ki uska ujad jana nikat hai.
तब जो यहूदिया में हों वह पहाड़ों पर भाग जाएं, और जो यरूशलेम के भीतर हों वे बाहर निकल जाएं; और जो गावों में हो वे उस में न जांए।
Tab jo yahoodiya mein hon vah pahadon par bhaag jayen, aur jo Yerushalem ke bheetar hon ve bahar nikal jayen; aur jo gavon mein ho ve us mein na janye.
क्योंकि यह पलटा लेने के ऐसे दिन होंगे, जिन में लिखी हुई सब बातें पूरी हो जाएंगी।
Kyonki yah palta lene ke aise din honge, jin mein likhi hui sab batein poori ho jayengi.
उन दिनों में जो गर्भवती और दूध पिलाती होंगी, उन के लिये हाय, हाय, क्योंकि देश में बड़ा क्लेश और इन लोगों पर बड़ी आपत्ति होगी।
Un dinon mein jo garbhavti aur doodh pilati hongi, un ke liye haay, haay, kyonki desh mein bada klesh aur in logon par badi aapatti hogi.
वे तलवार के कौर हो जाएंगे, और सब देशों के लोगों में बन्धुए होकर पहुंचाए जाएंगे, और जब तक अन्य जातियों का समय पूरा न हो, तब तक यरूशलेम अन्य जातियों से रौंदा जाएगा।
Ve talvaar ke kaur ho jayenge, aur sab deshon ke logon mein bandhue hokar pahunchaye jayenge, aur jab tak anya jatiyon ka samay poora na ho, tab tak Yerushalem anya jatiyon se raunda jayega.
और सूरज और चान्द और तारों में चिन्ह दिखाई देंगे, और पृथ्वी पर, देश देश के लोगों को संकट होगा; क्योंकि वे समुद्र के गरजने और लहरों के कोलाहल से घबरा जाएंगे।
Aur sooraj aur chaand aur taron mein chinh dikhai denge, aur prithvi par, desh desh ke logon ko sankat hoga; kyonki ve samudra ke garajne aur lahron ke kolahal se ghabra jayenge.
और भय के कारण और संसार पर आनेवाली घटनाओं की बाट देखते देखते लोगों के जी में जी न रहेगा क्योंकि आकाश की शक्तियां हिलाई जाएंगी।
Aur bhay ke karan aur sansaar par aanevali ghatnaon ki baat dekhte dekhte logon ke ji mein ji na rahega kyonki aakaash ki shaktiyan hilai jayengi.
तब वे मनुष्य के पुत्र को सामर्थ और बड़ी महिमा के साथ बादल पर आते देखेंगे।
Tab ve manushya ke putra ko samarth aur badi mahima ke saath badal par aate dekhenge.
जब ये बातें होने लगें, तो सीधे होकर अपने सिर ऊपर उठाना; क्योंकि तुम्हारा छुटकारा निकट होगा॥
Jab ye batein hone lagein, to seedhe hokar apne sir oopar uthana; kyonki tumhara chhutkara nikat hoga.
उस ने उन से एक दृष्टान्त भी कहा कि अंजीर के पेड़ और सब पेड़ों को देखो।
Us ne un se ek drishtaant bhi kaha ki anjeer ke ped aur sab pedon ko dekho.
ज्योंही उन की कोंपलें निकलती हैं, तो तुम देखकर आप ही जान लेते हो, कि ग्रीष्म काल निकट है।
Jyonhi un ki komplein nikalti hain, to tum dekhkar aap hi jaan lete ho, ki greeshm kaal nikat hai.
इसी रीति से जब तुम ये बातें होते देखो, तब जान लो कि परमेश्वर का राज्य निकट है।
Isi reeti se jab tum ye batein hote dekho, tab jaan lo ki Parmeshwar ka rajya nikat hai.
मैं तुम से सच कहता हूं, कि जब तक ये सब बातें न हो लें, तब तक इस पीढ़ी का कदापि अन्त न होगा।
Main tum se sach kahta hoon, ki jab tak ye sab batein na ho lein, tab tak is peedhi ka kadapi ant na hoga.
आकाश और पृथ्वी टल जाएंगे, परन्तु मेरी बातें कभी न टलेंगी॥
Aakaash aur prithvi tal jayenge, parantu meri batein kabhi na talengi.
इसलिये सावधान रहो, ऐसा न हो कि तुम्हारे मन खुमार और मतवालेपन, और इस जीवन की चिन्ताओं से सुस्त हो जाएं, और वह दिन तुम पर फन्दे की नाईं अचानक आ पड़े।
Isliye savdhaan raho, aisa na ho ki tumhare man khumaar aur matvalepan, aur is jeevan ki chintaon se sust ho jayen, aur vah din tum par phande ki nai achanak aa pade.
क्योंकि वह सारी पृथ्वी के सब रहने वालों पर इसी प्रकार आ पड़ेगा।
Kyonki vah sari prithvi ke sab rahne valon par isi prakaar aa padega.
इसलिये जागते रहो और हर समय प्रार्थना करते रहो कि तुम इन सब आने वाली घटनाओं से बचने, और मनुष्य के पुत्र के साम्हने खड़े होने के योग्य बनो॥
Isliye jagte raho aur har samay prarthana karte raho ki tum in sab aane vali ghatnaon se bachne, aur manushya ke putra ke samhane khade hone ke yogya bano.
और वह दिन को मन्दिर में उपदेश करता था; और रात को बाहर जाकर जैतून नाम पहाड़ पर रहा करता था।
Aur vah din ko mandir mein updesh karta tha; aur raat ko bahar jakar jaitoon naam pahaad par raha karta tha.
और भोर को तड़के सब लोग उस की सुनने के लिये मन्दिर में उसके पास आया करते थे।
Aur bhor ko tadke sab log us ki sunne ke liye mandir mein uske paas aaya karte the.