Luke 20 · 47 verses

लूका 20 Luke 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 20.

1

एक दिन ऐसा हुआ कि जब वह मन्दिर में लोगों को उपदेश देता और सुसमाचार सुना रहा था, तो महायाजक और शास्त्री, पुरनियों के साथ पास आकर खड़े हुए।

Ek din aisa huaa ki jab vah mandir mein logon ko updesh deta aur susmachaar suna raha tha, to mahayajak aur shastri, purniyon ke saath paas aakar khade hue.

2

और कहने लगे, कि हमें बता, तू इन कामों को किस अधिकार से करता है, और वह कौन है, जिस ने तुझे यह अधिकार दिया है?

Aur kahne lage, ki hamein bata, tu in kamon ko kis adhikaar se karta hai, aur vah kaun hai, jis ne tujhe yah adhikaar diya hai?

3

उस ने उन को उत्तर दिया, कि मैं भी तुम में से एक बात पूछता हूं; मुझे बताओ।

Us ne un ko uttar diya, ki main bhi tum mein se ek baat poochhta hoon; mujhe batao.

4

यूहन्ना का बपतिस्मा स्वर्ग की ओर से था या मनुष्यों की ओर से था?

Yuhanna ka baptisma swarg ki or se tha ya manushyon ki or se tha?

5

तब वे आपस में कहने लगे, कि यदि हम कहें स्वर्ग की ओर से, तो वह कहेगा; फिर तुम ने उस की प्रतीति क्यों न की?

Tab ve aapas mein kahne lage, ki yadi ham kahein swarg ki or se, to vah kahega; phir tum ne us ki prateeti kyon na ki?

6

और यदि हम कहें, मनुष्यों की ओर से, तो सब लोग हमें पत्थरवाह करेंगे, क्योंकि वे सचमुच जानते हैं, कि यूहन्ना भविष्यद्वक्ता था।

Aur yadi ham kahein, manushyon ki or se, to sab log hamein pattharvaah karenge, kyonki ve sachmuch jante hain, ki Yuhanna bhavishyadwakta tha.

7

सो उन्होंने उत्तर दिया, हम नहीं जानते, कि वह किस की ओर से था।

So unhonne uttar diya, ham nahi jante, ki vah kis ki or se tha.

8

यीशु ने उन से कहा, तो मैं भी तुम को नहीं बताता, कि मैं ये काम किस अधिकार से करता हूं।

Yeshu ne un se kaha, to main bhi tum ko nahi batata, ki main ye kaam kis adhikaar se karta hoon.

9

तब वह लोगों से यह दृष्टान्त कहने लगा, कि किसी मनुष्य ने दाख की बारी लगाई, और किसानों को उसका ठेका दे दिया और बहुत दिनों के लिये परदेश चला गया।

Tab vah logon se yah drishtaant kahne laga, ki kisi manushya ne daakh ki bari lagai, aur kisanon ko uska theka de diya aur bahut dinon ke liye pardesh chala gaya.

10

समय पर उस ने किसानों के पास एक दास को भेजा, कि वे दाख की बारी के कुछ फलों का भाग उसे दें, पर किसानों ने उसे पीटकर छूछे हाथ लौटा दिया।

Samay par us ne kisanon ke paas ek daas ko bheja, ki ve daakh ki bari ke kuchh phalon ka bhaag use dein, par kisanon ne use peetkar chhoochhe haath lauta diya.

11

फिर उस ने एक और दास को भेजा, ओर उन्होंने उसे भी पीटकर और उसका अपमान करके छूछे हाथ लौटा दिया।

Phir us ne ek aur daas ko bheja, or unhonne use bhi peetkar aur uska apmaan karke chhoochhe haath lauta diya.

12

फिर उस ने तीसरा भेजा, और उन्होंने उसे भी घायल करके निकाल दिया।

Phir us ne teesra bheja, aur unhonne use bhi ghayal karke nikaal diya.

13

तब दाख की बारी के स्वामी ने कहा, मैं क्या करूं? मैं अपने प्रिय पुत्र को भेजूंगा क्या जाने वे उसका आदर करें।

Tab daakh ki bari ke swami ne kaha, main kya karun? Main apne priya putra ko bhejoonga kya jane ve uska aadar karein.

14

जब किसानों ने उसे देखा तो आपस में विचार करने लगे, कि यह तो वारिस है; आओ, हम उसे मार डालें, कि मीरास हमारी हो जाए।

Jab kisanon ne use dekha to aapas mein vichaar karne lage, ki yah to varis hai; aao, ham use maar dalein, ki meeraas hamari ho jaye.

15

और उन्होंने उसे दाख की बारी से बाहर निकालकर मार डाला: इसलिये दाख की बारी का स्वामी उन के साथ क्या करेगा?

Aur unhonne use daakh ki bari se bahar nikalkar maar dala: isliye daakh ki bari ka swami un ke saath kya karega?

16

वह आकर उन किसानों को नाश करेगा, और दाख की बारी औरों को सौंपेगा: यह सुनकर उन्होंने कहा, परमेश्वर ऐसा न करे।

Vah aakar un kisanon ko naash karega, aur daakh ki bari auron ko saumpega: yah sunkar unhonne kaha, Parmeshwar aisa na kare.

17

उस ने उन की ओर देखकर कहा; फिर यह क्या, लिखा है, कि जिस पत्थर को राजमिस्त्रियों ने निकम्मा ठहराया था, वही कोने का सिरा हो गया।

Us ne un ki or dekhkar kaha; phir yah kya, likha hai, ki jis patthar ko rajmistriyon ne nikamma thahraya tha, vahi kone ka sira ho gaya.

18

जो कोई उस पत्थर पर गिरेगा वह चकनाचूर हो जाएगा, और जिस पर वह गिरेगा, उसे वह पीस डालेगा॥

Jo koi us patthar par girega vah chaknachoor ho jayega, aur jis par vah girega, use vah pees dalega.

19

उसी घड़ी शास्त्रियों और महायाजकों ने उसे पकड़ना चाहा, क्योंकि समझ गए, कि उस ने हम पर यह दृष्टान्त कहा, परन्तु वे लोगों से डरे।

Usi ghadi shastriyon aur mahayajkon ne use pakadna chaha, kyonki samajh gaye, ki us ne ham par yah drishtaant kaha, parantu ve logon se dare.

20

और वे उस की ताक में लगे और भेदिये भेजे, कि धर्म का भेष धरकर उस की कोई न कोई बात पकड़ें, कि उसे हाकिम के हाथ और अधिकार में सौंप दें।

Aur ve us ki taak mein lage aur bhediye bheje, ki dharm ka bhesh dharkar us ki koi na koi baat pakdein, ki use hakim ke haath aur adhikaar mein saump dein.

21

उन्होंने उस से यह पूछा, कि हे गुरू, हम जानते हैं कि तू ठीक कहता, और सिखाता भी है, और किसी का पक्षपात नहीं करता; वरन परमेश्वर का मार्ग सच्चाई से बताता है।

Unhonne us se yah poochha, ki he guru, ham jante hain ki tu theek kahta, aur sikhata bhi hai, aur kisi ka pakshapaat nahi karta; varan Parmeshwar ka maarg sachchai se batata hai.

22

क्या हमें कैसर को कर देना उचित है, कि नहीं।

Kya hamein kaisar ko kar dena uchit hai, ki nahi.

23

उस ने उन की चतुराई को ताड़कर उन से कहा; एक दीनार मुझे दिखाओ।

Us ne un ki chaturai ko tadkar un se kaha; ek deenaar mujhe dikhao.

24

इस पर किस की मूर्ति और नाम है उन्होंने कहा, कैसर का।

Is par kis ki moorti aur naam hai unhonne kaha, kaisar ka.

25

उस ने उन से कहा; तो जो कैसर का है, वह कैसर को दो और जो परमेश्वर का है, वह परमेश्वर को दो।

Us ne un se kaha; to jo kaisar ka hai, vah kaisar ko do aur jo Parmeshwar ka hai, vah Parmeshwar ko do.

26

वे लोगों के साम्हने उस बात को पकड़ न सके, वरन उसके उत्तर से अचम्भित होकर चुप रह गए।

Ve logon ke samhane us baat ko pakad na sake, varan uske uttar se achambhit hokar chup rah gaye.

27

फिर सदूकी जो कहते हैं, कि मरे हुओं का जी उठना है ही नहीं, उन में से कितनों ने उसके पास आकर पूछा।

Phir sadooki jo kahte hain, ki mare huon ka ji uthna hai hi nahi, un mein se kitnon ne uske paas aakar poochha.

28

कि हे गुरू, मूसा ने हमारे लिये यह लिखा है, कि यदि किसी का भाई अपनी पत्नी के रहते हुए बिना सन्तान मर जाए, तो उसका भाई उस की पत्नी को ब्याह ले, और अपने भाई के लिये वंश उत्पन्न करे।

Ki he guru, Musa ne hamare liye yah likha hai, ki yadi kisi ka bhai apni patni ke rahte hue bina santaan mar jaye, to uska bhai us ki patni ko byaah le, aur apne bhai ke liye vansh utpann kare.

29

सो सात भाई थे, पहिला भाई ब्याह करके बिना सन्तान मर गया।

So saat bhai the, pahila bhai byaah karke bina santaan mar gaya.

30

फिर दूसरे और तीसरे ने भी उस स्त्री को ब्याह लिया।

Phir doosre aur teesre ne bhi us stri ko byaah liya.

31

इसी रीति से सातों बिना सन्तान मर गए।

Isi reeti se saton bina santaan mar gaye.

32

सब के पीछे वह स्त्री भी मर गई।

Sab ke peechhe vah stri bhi mar gai.

33

सो जी उठने पर वह उन में से किस की पत्नी होगी, क्योंकि वह सातों की पत्नी हो चुकी थी।

So ji uthne par vah un mein se kis ki patni hogi, kyonki vah saton ki patni ho chuki thi.

34

यीशु ने उन से कहा; कि इस युग के सन्तानों में तो ब्याह शादी होती है।

Yeshu ne un se kaha; ki is yug ke santanon mein to byaah shadi hoti hai.

35

पर जो लोग इस योग्य ठहरेंगे, कि उस युग को और मरे हुओं में से जी उठना प्राप्त करें, उन में ब्याह शादी न होगी।

Par jo log is yogya thahrenge, ki us yug ko aur mare huon mein se ji uthna praapt karein, un mein byaah shadi na hogi.

36

वे फिर मरने के भी नहीं; क्योंकि वे स्वर्गदूतों के समान होंगे, और जी उठने के सन्तान होने से परमेश्वर के भी सन्तान होंगे।

Ve phir marne ke bhi nahi; kyonki ve swargadooton ke samaan honge, aur ji uthne ke santaan hone se Parmeshwar ke bhi santaan honge.

37

परन्तु इस बात को कि मरे हुए जी उठते हैं, मूसा न भी झाड़ी की कथा में प्रगट की है, कि वह प्रभु को इब्राहीम का परमेश्वर, और इसहाक का परमेश्वर, और याकूब का परमेश्वर कहता है।

Parantu is baat ko ki mare hue ji uthte hain, Musa na bhi jhadi ki katha mein pragat ki hai, ki vah Prabhu ko Ibrahim ka Parmeshwar, aur Ishaq ka Parmeshwar, aur Yakub ka Parmeshwar kahta hai.

38

परमेश्वर तो मुरदों का नहीं परन्तु जीवतों का परमेश्वर है: क्योंकि उसके निकट सब जीवित हैं।

Parmeshwar to murdon ka nahi parantu jeevton ka Parmeshwar hai: kyonki uske nikat sab jeevit hain.

39

तब यह सुनकर शास्त्रियों में से कितनों ने कहा, कि हे गुरू, तू ने अच्छा कहा।

Tab yah sunkar shastriyon mein se kitnon ne kaha, ki he guru, tu ne achchha kaha.

40

और उन्हें फिर उस से कुछ और पूछने का हियाव न हुआ॥

Aur unhein phir us se kuchh aur poochhne ka hiyaav na huaa.

41

फिर उस ने उन से पूछा, मसीह को दाऊद का सन्तान क्योंकर कहते हैं।

Phir us ne un se poochha, Masih ko Daud ka santaan kyonkar kahte hain.

42

दाऊद आप भजनसंहिता की पुस्तक में कहता है, कि प्रभु ने मेरे प्रभु से कहा।

Daud aap bhajansanhita ki pustak mein kahta hai, ki Prabhu ne mere Prabhu se kaha.

43

मेरे दाहिने बैठ, जब तक कि मैं तेरे बैरियों को तेरे पांवों के तले न कर दूं।

Mere dahine baith, jab tak ki main tere bairiyon ko tere panvon ke tale na kar dun.

44

दाऊद तो उसे प्रभु कहता है; तो फिर वह उस की सन्तान क्योंकर ठहरा?

Daud to use Prabhu kahta hai; to phir vah us ki santaan kyonkar thahra?

45

जब सब लोग सुन रहे थे, तो उस ने अपने चेलों से कहा।

Jab sab log sun rahe the, to us ne apne chelon se kaha.

46

शास्त्रियों से चौकस रहो, जिन को लम्बे लम्बे वस्त्र पहिने हुए फिरना भला है, और जिन्हें बाजारों में नमस्कार, और सभाओं में मुख्य आसन और जेवनारों में मुख्य स्थान प्रिय लगते हैं।

Shastriyon se chaukas raho, jin ko lambe lambe vastra pahine hue phirna bhala hai, aur jinhein bajaron mein namaskaar, aur sabhaon mein mukhya aasan aur jevnaron mein mukhya sthaan priya lagte hain.

47

वे विधवाओं के घर खा जाते हैं, और दिखाने के लिये बड़ी देर तक प्रार्थना करते रहते हैं: ये बहुत ही दण्ड पाएंगे॥

Ve vidhvaon ke ghar kha jate hain, aur dikhane ke liye badi der tak prarthana karte rahte hain: ye bahut hi dand payenge.