वह यरीहो में प्रवेश करके जा रहा था।
Vah yareeho mein pravesh karke ja raha tha.
Luke 19 · 48 verses
वह यरीहो में प्रवेश करके जा रहा था।
Vah yareeho mein pravesh karke ja raha tha.
और देखो, ज़क्कई नाम एक मनुष्य था जो चुंगी लेने वालों का सरदार और धनी था।
Aur dekho, zakkai naam ek manushya tha jo chungi lene valon ka sardaar aur dhani tha.
वह यीशु को देखना चाहता था कि वह कौन सा है परन्तु भीड़ के कारण देख न सकता था। क्योंकि वह नाटा था।
Vah Yeshu ko dekhna chahta tha ki vah kaun sa hai parantu bheed ke karan dekh na sakta tha. Kyonki vah nata tha.
तब उस को देखने के लिये वह आगे दौड़कर एक गूलर के पेड़ पर चढ़ गया, क्योंकि वह उसी मार्ग से जाने वाला था।
Tab us ko dekhne ke liye vah aage daudkar ek goolar ke ped par chadh gaya, kyonki vah usi maarg se jane vala tha.
जब यीशु उस जगह पहुंचा, तो ऊपर दृष्टि कर के उस से कहा; हे ज़क्कई झट उतर आ; क्योंकि आज मुझे तेरे घर में रहना अवश्य है।
Jab Yeshu us jagah pahuncha, to oopar drishti kar ke us se kaha; he zakkai jhat utar aa; kyonki aaj mujhe tere ghar mein rahna avashya hai.
वह तुरन्त उतर कर आनन्द से उसे अपने घर को ले गया।
Vah turant utar kar aanand se use apne ghar ko le gaya.
यह देख कर सब लोगे कुड़कुड़ा कर कहने लगे, वह तो एक पापी मनुष्य के यहां जा उतरा है।
Yah dekh kar sab loge kudkuda kar kahne lage, vah to ek papi manushya ke yahan ja utra hai.
ज़क्कई ने खड़े होकर प्रभु से कहा; हे प्रभु, देख मैं अपनी आधी सम्पत्ति कंगालों को देता हूं, और यदि किसी का कुछ भी अन्याय करके ले लिया है तो उसे चौगुना फेर देता हूं।
Zakkai ne khade hokar Prabhu se kaha; he Prabhu, dekh main apni aadhi sampatti kangalon ko deta hoon, aur yadi kisi ka kuchh bhi anyaay karke le liya hai to use chauguna pher deta hoon.
तब यीशु ने उस से कहा; आज इस घर में उद्धार आया है, इसलिये कि यह भी इब्राहीम का एक पुत्र है।
Tab Yeshu ne us se kaha; aaj is ghar mein uddhaar aaya hai, isliye ki yah bhi Ibrahim ka ek putra hai.
क्योंकि मनुष्य का पुत्र खोए हुओं को ढूंढ़ने और उन का उद्धार करने आया है॥
Kyonki manushya ka putra khoye huon ko dhoondhne aur un ka uddhaar karne aaya hai.
जब वे ये बातें सुन रहे थे, तो उस ने एक दृष्टान्त कहा, इसलिये कि वह यरूशलेम के निकट था, और वे समझते थे, कि परमेश्वर का राज्य अभी प्रगट हुआ चाहता है।
Jab ve ye batein sun rahe the, to us ne ek drishtaant kaha, isliye ki vah Yerushalem ke nikat tha, aur ve samajhte the, ki Parmeshwar ka rajya abhi pragat huaa chahta hai.
सो उस ने कहा, एक धनी मनुष्य दूर देश को चला ताकि राजपद पाकर फिर आए।
So us ne kaha, ek dhani manushya door desh ko chala taki rajpad pakar phir aaye.
और उस ने अपने दासों में से दस को बुलाकर उन्हें दस मुहरें दीं, और उन से कहा, मेरे लौट आने तक लेन-देन करना।
Aur us ne apne dason mein se das ko bulakar unhein das muhrein di, aur un se kaha, mere laut aane tak len-den karna.
परन्तु उसके नगर के रहने वाले उस से बैर रखते थे, और उसके पीछे दूतों के द्वारा कहला भेजा, कि हम नहीं चाहते, कि यह हम पर राज्य करे।
Parantu uske nagar ke rahne vale us se bair rakhte the, aur uske peechhe dooton ke dwara kahla bheja, ki ham nahi chahte, ki yah ham par rajya kare.
जब वह राजपद पाकर लौट आया, तो ऐसा हुआ कि उस ने अपने दासों को जिन्हें रोकड़ दी थी, अपने पास बुलवाया ताकि मालूम करे कि उन्होंने लेन-देन से क्या क्या कमाया।
Jab vah rajpad pakar laut aaya, to aisa huaa ki us ne apne dason ko jinhein rokad di thi, apne paas bulvaya taki maloom kare ki unhonne len-den se kya kya kamaya.
तब पहिले ने आकर कहा, हे स्वामी तेरे मोहर से दस और मोहरें कमाई हैं।
Tab pahile ne aakar kaha, he swami tere mohar se das aur mohrein kamai hain.
उस ने उस से कहा; धन्य हे उत्तम दास, तुझे धन्य है, तू बहुत ही थोड़े में विश्वासी निकला अब दस नगरों पर अधिकार रख।
Us ne us se kaha; dhanya he uttam daas, tujhe dhanya hai, tu bahut hi thode mein vishwasi nikla ab das nagron par adhikaar rakh.
दूसरे ने आकर कहा; हे स्वामी तेरी मोहर से पांच और मोहरें कमाई हैं।
Doosre ne aakar kaha; he swami teri mohar se paanch aur mohrein kamai hain.
उस ने कहा, कि तू भी पांच नगरों पर हाकिम हो जा।
Us ne kaha, ki tu bhi paanch nagron par hakim ho ja.
तीसरे ने आकर कहा; हे स्वामी देख, तेरी मोहर यह है, जिसे मैं ने अंगोछे में बान्ध रखी।
Teesre ne aakar kaha; he swami dekh, teri mohar yah hai, jise main ne angochhe mein baandh rakhi.
क्योंकि मैं तुझ से डरता था, इसलिये कि तू कठोर मनुष्य है: जो तू ने नहीं रखा उसे उठा लेता है, और जो तू ने नहीं बोया, उसे काटता है।
Kyonki main tujh se darta tha, isliye ki tu kathor manushya hai: jo tu ne nahi rakha use utha leta hai, aur jo tu ne nahi boya, use katta hai.
उस ने उस से कहा; हे दुष्ट दास, मैं तेरे ही मुंह से तुझे दोषी ठहराता हूं: तू मुझे जानता था कि कठोर मनुष्य हूं, जो मैं ने नहीं रखा उसे उठा लेता, और जो मैं ने नहीं बोया, उसे काटता हूं।
Us ne us se kaha; he dusht daas, main tere hi munh se tujhe doshi thahrata hoon: tu mujhe janta tha ki kathor manushya hoon, jo main ne nahi rakha use utha leta, aur jo main ne nahi boya, use katta hoon.
तो तू ने मेरे रूपये कोठी में क्यों नहीं रख दिए, कि मैं आकर ब्याज समेत ले लेता?
To tu ne mere roopye kothi mein kyon nahi rakh diye, ki main aakar byaaj samet le leta?
और जो लोग निकट खड़े थे, उस ने उन से कहा, वह मोहर उस से ले लो, और जिस के पास दस मोहरें हैं उसे दे दो।
Aur jo log nikat khade the, us ne un se kaha, vah mohar us se le lo, aur jis ke paas das mohrein hain use de do.
(उन्होंने उस से कहा; हे स्वामी, उसके पास दस मोहरें तो हैं)।
(unhonne us se kaha; he swami, uske paas das mohrein to hain).
मैं तुम से कहता हूं, कि जिस के पास है, उसे दिया जाएगा; और जिस के पास नहीं, उस से वह भी जो उसके पास है ले लिया जाएगा।
Main tum se kahta hoon, ki jis ke paas hai, use diya jayega; aur jis ke paas nahi, us se vah bhi jo uske paas hai le liya jayega.
परन्तु मेरे उन बैरियों को जो नहीं चाहते थे कि मैं उन पर राज्य करूं, उन को यहां लाकर मेरे सामने घात करो॥
Parantu mere un bairiyon ko jo nahi chahte the ki main un par rajya karun, un ko yahan lakar mere samne ghaat karo.
ये बातें कहकर वह यरूशलेम की ओर उन के आगे आगे चला॥
Ye batein kahkar vah Yerushalem ki or un ke aage aage chala.
और जब वह जैतून नाम पहाड़ पर बैतफगे और बैतनियाह के पास पहुंचा, तो उस ने अपने चेलों में से दो को यह कहके भेजा।
Aur jab vah jaitoon naam pahaad par baitaphge aur baitniyaah ke paas pahuncha, to us ne apne chelon mein se do ko yah kahke bheja.
कि साम्हने के गांव में जाओ, और उस में पहुंचते ही एक गदही का बच्चा जिस पर कभी कोई सवार नहीं हुआ, बन्धा हुआ तुम्हें मिलेगा, उसे खोल कर लाओ।
Ki samhane ke gaanv mein jao, aur us mein pahunchte hi ek gadhi ka bachcha jis par kabhi koi savaar nahi huaa, bandha huaa tumhein milega, use khol kar lao.
और यदि कोई तुम से पूछे, कि क्यों खोलते हो, तो यह कह देना, कि प्रभु को इस का प्रयोजन है।
Aur yadi koi tum se poochhe, ki kyon kholte ho, to yah kah dena, ki Prabhu ko is ka prayojan hai.
जो भेजे गए थे; उन्होंने जाकर जैसा उस ने उन से कहा था, वैसा ही पाया।
Jo bheje gaye the; unhonne jakar jaisa us ne un se kaha tha, vaisa hi paya.
जब वे गदहे के बच्चे को खोल रहे थे, तो उसके मालिकों ने उन से पूछा; इस बच्चे को क्यों खोलते हो?
Jab ve gadhe ke bachche ko khol rahe the, to uske malikon ne un se poochha; is bachche ko kyon kholte ho?
उन्होंने कहा, प्रभु को इस का प्रयोजन है।
Unhonne kaha, Prabhu ko is ka prayojan hai.
वे उस को यीशु के पास ले आए और अपने कपड़े उस बच्चे पर डालकर यीशु को उस पर सवार किया।
Ve us ko Yeshu ke paas le aaye aur apne kapde us bachche par dalkar Yeshu ko us par savaar kiya.
जब वह जा रहा था, तो वे अपने कपड़े मार्ग में बिछाते जाते थे।
Jab vah ja raha tha, to ve apne kapde maarg mein bichhate jate the.
और निकट आते हुए जब वह जैतून पहाड़ की ढलान पर पहुंचा, तो चेलों की सारी मण्डली उन सब सामर्थ के कामों के कारण जो उन्होंने देखे थे, आनन्दित होकर बड़े शब्द से परमेश्वर की स्तुति करने लगी।
Aur nikat aate hue jab vah jaitoon pahaad ki dhalaan par pahuncha, to chelon ki sari mandali un sab samarth ke kamon ke karan jo unhonne dekhe the, aanandit hokar bade shabd se Parmeshwar ki stuti karne lagi.
कि धन्य है वह राजा, जो प्रभु के नाम से आता है; स्वर्ग में शान्ति और आकाश मण्डल में महिमा हो।
Ki dhanya hai vah raja, jo Prabhu ke naam se aata hai; swarg mein shanti aur aakaash mandal mein mahima ho.
तब भीड़ में से कितने फरीसी उस से कहने लगे, हे गुरू अपने चेलों को डांट।
Tab bheed mein se kitne phareesi us se kahne lage, he guru apne chelon ko daant.
उस ने उत्तर दिया, कि तुम से कहता हूं, यदि ये चुप रहें, तो पत्थर चिल्ला उठेंगे॥
Us ne uttar diya, ki tum se kahta hoon, yadi ye chup rahein, to patthar chilla uthenge.
जब वह निकट आया तो नगर को देखकर उस पर रोया।
Jab vah nikat aaya to nagar ko dekhkar us par roya.
और कहा, क्या ही भला होता, कि तू; हां, तू ही, इसी दिन में कुशल की बातें जानता, परन्तु अब वे तेरी आंखों से छिप गई हैं।
Aur kaha, kya hi bhala hota, ki tu; han, tu hi, isi din mein kushal ki batein janta, parantu ab ve teri aankhon se chhip gai hain.
क्योंकि वे दिन तुझ पर आएंगे कि तेरे बैरी मोर्चा बान्धकर तुझे घेर लेंगे, और चारों ओर से तुझे दबाएंगे।
Kyonki ve din tujh par aayenge ki tere bairi morcha bandhakar tujhe gher lenge, aur charon or se tujhe dabayenge.
और तुझे और तेरे बालकों को जो तुझ में हैं, मिट्टी में मिलाएंगे, और तुझ में पत्थर पर पत्थर भी न छोड़ेंगे; क्योंकि तू ने वह अवसर जब तुझ पर कृपा दृष्टि की गई न पहिचाना॥
Aur tujhe aur tere balkon ko jo tujh mein hain, mitti mein milayenge, aur tujh mein patthar par patthar bhi na chhodenge; kyonki tu ne vah avsar jab tujh par kripa drishti ki gai na pahichana.
तब वह मन्दिर में जाकर बेचने वालों को बाहर निकालने लगा।
Tab vah mandir mein jakar bechne valon ko bahar nikalne laga.
और उन से कहा, लिखा है; कि मेरा घर प्रार्थना का घर होगा: परन्तु तुम ने उसे डाकुओं की खोह बना दिया है॥
Aur un se kaha, likha hai; ki mera ghar prarthana ka ghar hoga: parantu tum ne use dakuon ki khoh bana diya hai.
और वह प्रति दिन मन्दिर में उपदेश करता था: और महायाजक और शास्त्री और लोगों के रईस उसे नाश करने का अवसर ढूंढ़ते थे।
Aur vah prati din mandir mein updesh karta tha: aur mahayajak aur shastri aur logon ke rais use naash karne ka avsar dhoondhte the.
परन्तु कोई उपाय न निकाल सके; कि यह किस प्रकार करें क्योंकि सब लोग बड़ी चाह से उस की सुनते थे।
Parantu koi upaay na nikaal sake; ki yah kis prakaar karein kyonki sab log badi chaah se us ki sunte the.