Luke 18 · 43 verses

लूका 18 Luke 18 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 18.

1

फिर उस ने इस के विषय में कि नित्य प्रार्थना करना और हियाव न छोड़ना चाहिए उन से यह दृष्टान्त कहा।

Phir us ne is ke vishay mein ki nitya prarthana karna aur hiyaav na chhodna chahiye un se yah drishtaant kaha.

2

कि किसी नगर में एक न्यायी रहता था; जो न परमेश्वर से डरता था और न किसी मनुष्य की परवाह करता था।

Ki kisi nagar mein ek nyayi rahta tha; jo na Parmeshwar se darta tha aur na kisi manushya ki parvaah karta tha.

3

और उसी नगर में एक विधवा भी रहती थी: जो उसके पास आ आकर कहा करती थी, कि मेरा न्याय चुकाकर मुझे मुद्दई से बचा।

Aur usi nagar mein ek vidhva bhi rahti thi: jo uske paas aa aakar kaha karti thi, ki mera nyaay chukakar mujhe muddai se bacha.

4

उस ने कितने समय तक तो न माना परन्तु अन्त में मन में विचारकर कहा, यद्यपि मैं न परमेश्वर से डरता, और न मनुष्यों की कुछ परवाह करता हूं।

Us ne kitne samay tak to na mana parantu ant mein man mein vicharkar kaha, yadyapi main na Parmeshwar se darta, aur na manushyon ki kuchh parvaah karta hoon.

5

तौभी यह विधवा मुझे सताती रहती है, इसलिये मैं उसका न्याय चुकाऊंगा कहीं ऐसा न हो कि घड़ी घड़ी आकर अन्त को मेरा नाक में दम करे।

Taubhi yah vidhva mujhe satati rahti hai, isliye main uska nyaay chukaoonga kahi aisa na ho ki ghadi ghadi aakar ant ko mera naak mein dam kare.

6

प्रभु ने कहा, सुनो, कि यह अधर्मी न्यायी क्या कहता है?

Prabhu ne kaha, suno, ki yah adharmi nyayi kya kahta hai?

7

सो क्या परमेश्वर अपने चुने हुओं का न्याय न चुकाएगा, जो रात-दिन उस की दुहाई देते रहते; और क्या वह उन के विषय में देर करेगा?

So kya Parmeshwar apne chune huon ka nyaay na chukayega, jo raat-din us ki duhai dete rahte; aur kya vah un ke vishay mein der karega?

8

मैं तुम से कहता हूं; वह तुरन्त उन का न्याय चुकाएगा; तौभी मनुष्य का पुत्र जब आएगा, तो क्या वह पृथ्वी पर विश्वास पाएगा?

Main tum se kahta hoon; vah turant un ka nyaay chukayega; taubhi manushya ka putra jab aayega, to kya vah prithvi par vishwaas payega?

9

और उस ने कितनो से जो अपने ऊपर भरोसा रखते थे, कि हम धर्मी हैं, और औरों को तुच्छ जानते थे, यह दृष्टान्त कहा।

Aur us ne kitno se jo apne oopar bharosa rakhte the, ki ham dharmi hain, aur auron ko tuchchh jante the, yah drishtaant kaha.

10

कि दो मनुष्य मन्दिर में प्रार्थना करने के लिये गए; एक फरीसी था और दूसरा चुंगी लेने वाला।

Ki do manushya mandir mein prarthana karne ke liye gaye; ek phareesi tha aur doosra chungi lene vala.

11

फरीसी खड़ा होकर अपने मन में यों प्रार्थना करने लगा, कि हे परमेश्वर, मैं तेरा धन्यवाद करता हूं, कि मैं और मनुष्यों की नाईं अन्धेर करने वाला, अन्यायी और व्यभिचारी नहीं, और न इस चुंगी लेने वाले के समान हूं।

Phareesi khada hokar apne man mein yon prarthana karne laga, ki he Parmeshwar, main tera dhanyavaad karta hoon, ki main aur manushyon ki nai andher karne vala, anyayi aur vyabhichari nahi, aur na is chungi lene vale ke samaan hoon.

12

मैं सप्ताह में दो बार उपवास करता हूं; मैं अपनी सब कमाई का दसवां अंश भी देता हूं।

Main saptaah mein do baar upvaas karta hoon; main apni sab kamai ka dasvan ansh bhi deta hoon.

13

परन्तु चुंगी लेने वाले ने दूर खड़े होकर, स्वर्ग की ओर आंखें उठाना भी न चाहा, वरन अपनी छाती पीट-पीटकर कहा; हे परमेश्वर मुझ पापी पर दया कर।

Parantu chungi lene vale ne door khade hokar, swarg ki or aankhein uthana bhi na chaha, varan apni chhati peet-peetkar kaha; he Parmeshwar mujh papi par daya kar.

14

मैं तुम से कहता हूं, कि वह दूसरा नहीं; परन्तु यही मनुष्य धर्मी ठहराया जाकर अपने घर गया; क्योंकि जो कोई अपने आप को बड़ा बनाएगा, वह छोटा किया जाएगा; और जो अपने आप को छोटा बनाएगा, वह बड़ा किया जाएगा॥

Main tum se kahta hoon, ki vah doosra nahi; parantu yahi manushya dharmi thahraya jakar apne ghar gaya; kyonki jo koi apne aap ko bada banayega, vah chhota kiya jayega; aur jo apne aap ko chhota banayega, vah bada kiya jayega.

15

फिर लोग अपने बच्चों को भी उसके पास लाने लगे, कि वह उन पर हाथ रखे; और चेलों ने देख कर उन्हें डांटा।

Phir log apne bachchon ko bhi uske paas lane lage, ki vah un par haath rakhe; aur chelon ne dekh kar unhein danta.

16

यीशु ने बच्चों को पास बुलाकर कहा, बालकों को मेरे पास आने दो, और उन्हें मना न करो: क्योंकि परमेश्वर का राज्य ऐसों ही का है।

Yeshu ne bachchon ko paas bulakar kaha, balkon ko mere paas aane do, aur unhein mana na karo: kyonki Parmeshwar ka rajya aison hi ka hai.

17

मैं तुम से सच कहता हूं, कि जो कोई परमेश्वर के राज्य को बालक की नाईं ग्रहण न करेगा वह उस में कभी प्रवेश करने न पाएगा॥

Main tum se sach kahta hoon, ki jo koi Parmeshwar ke rajya ko balak ki nai grahan na karega vah us mein kabhi pravesh karne na payega.

18

किसी सरदार ने उस से पूछा, हे उत्तम गुरू, अनन्त जीवन का अधिकारी होने के लिये मैं क्या करूं?

Kisi sardaar ne us se poochha, he uttam guru, anant jeevan ka adhikari hone ke liye main kya karun?

19

यीशु ने उस से कहा; तू मुझे उत्तम क्यों कहता है? कोई उत्तम नहीं, केवल एक, अर्थात परमेश्वर।

Yeshu ne us se kaha; tu mujhe uttam kyon kahta hai? Koi uttam nahi, keval ek, arthaat Parmeshwar.

20

तू आज्ञाओं को तो जानता है, कि व्यभिचार न करना, हत्या न करना, और चोरी न करना, झूठी गवाही न देना, अपने पिता और अपनी माता का आदर करना।

Tu aagyaon ko to janta hai, ki vyabhichaar na karna, hatya na karna, aur chori na karna, jhoothi gavahi na dena, apne pita aur apni mata ka aadar karna.

21

उस ने कहा, मैं तो इन सब को लड़कपन ही से मानता आया हूं।

Us ne kaha, main to in sab ko ladakpan hi se manta aaya hoon.

22

यह सुन, यीशु ने उस से कहा, तुझ में अब भी एक बात की घटी है, अपना सब कुछ बेच कर कंगालों को बांट दे; और तुझे स्वर्ग में धन मिलेगा, और आकर मेरे पीछे हो ले।

Yah sun, Yeshu ne us se kaha, tujh mein ab bhi ek baat ki ghati hai, apna sab kuchh bech kar kangalon ko baant de; aur tujhe swarg mein dhan milega, aur aakar mere peechhe ho le.

23

वह यह सुनकर बहुत उदास हुआ, क्योंकि वह बड़ा धनी था।

Vah yah sunkar bahut udaas huaa, kyonki vah bada dhani tha.

24

यीशु ने उसे देख कर कहा; धनवानों का परमेश्वर के राज्य में प्रवेश करना कैसा कठिन है?

Yeshu ne use dekh kar kaha; dhanvanon ka Parmeshwar ke rajya mein pravesh karna kaisa kathin hai?

25

परमेश्वर के राज्य में धनवान के प्रवेश करने से ऊंट का सूई के नाके में से निकल जाना सहज है।

Parmeshwar ke rajya mein dhanvaan ke pravesh karne se oont ka sooi ke nake mein se nikal jana sahaj hai.

26

और सुनने वालों ने कहा, तो फिर किस का उद्धार हो सकता है?

Aur sunne valon ne kaha, to phir kis ka uddhaar ho sakta hai?

27

उस ने कहा; जो मनुष्य से नहीं हो सकता, वह परमेश्वर से हो सकता है।

Us ne kaha; jo manushya se nahi ho sakta, vah Parmeshwar se ho sakta hai.

28

पतरस ने कहा; देख, हम तो घर बार छोड़कर तेरे पीछे हो लिये हैं।

Patras ne kaha; dekh, ham to ghar baar chhodkar tere peechhe ho liye hain.

29

उस ने उन से कहा; मैं तुम से सच कहता हूं, कि ऐसा कोई नहीं जिस ने परमेश्वर के राज्य के लिये घर या पत्नी या भाइयों या माता पिता या लड़के-बालों को छोड़ दिया हो।

Us ne un se kaha; main tum se sach kahta hoon, ki aisa koi nahi jis ne Parmeshwar ke rajya ke liye ghar ya patni ya bhaiyon ya mata pita ya ladke-balon ko chhod diya ho.

30

और इस समय कई गुणा अधिक न पाए; और परलोक में अनन्त जीवन॥

Aur is samay kai guna adhik na paye; aur parlok mein anant jeevan.

31

फिर उस ने बारहों को साथ लेकर उन से कहा; देखो, हम यरूशलेम को जाते हैं, और जितनी बातें मनुष्य के पुत्र के लिये भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा लिखी गई हैं वे सब पूरी होंगी।

Phir us ne barhon ko saath lekar un se kaha; dekho, ham Yerushalem ko jate hain, aur jitni batein manushya ke putra ke liye bhavishyadwaktaon ke dwara likhi gai hain ve sab poori hongi.

32

क्योंकि वह अन्यजातियों के हाथ में सौंपा जाएगा, और वे उसे ठट्ठों में उड़ाएंगे; और उसका अपमान करेंगे, और उस पर थूकेंगे।

Kyonki vah anyajatiyon ke haath mein saumpa jayega, aur ve use thatthon mein udayenge; aur uska apmaan karenge, aur us par thookenge.

33

और उसे कोड़े मारेंगे, और घात करेंगे, और वह तीसरे दिन जी उठेगा।

Aur use kode marenge, aur ghaat karenge, aur vah teesre din ji uthega.

34

और उन्होंने इन बातों में से कोई बात न समझी: और यह बात उन में छिपी रही, और जो कहा गया था वह उन की समझ में न आया॥

Aur unhonne in baton mein se koi baat na samjhi: aur yah baat un mein chhipi rahi, aur jo kaha gaya tha vah un ki samajh mein na aaya.

35

जब वह यरीहो के निकट पहुंचा, तो एक अन्धा सड़क के किनारे बैठा हुआ भीख मांग रहा था।

Jab vah yareeho ke nikat pahuncha, to ek andha sadak ke kinare baitha huaa bheekh maang raha tha.

36

और वह भीड़ के चलने की आहट सुनकर पूछने लगा, यह क्या हो रहा है?

Aur vah bheed ke chalne ki aahat sunkar poochhne laga, yah kya ho raha hai?

37

उन्होंने उस को बताया, कि यीशु नासरी जा रहा है।

Unhonne us ko bataya, ki Yeshu nasri ja raha hai.

38

तब उस ने पुकार के कहा, हे यीशु दाऊद की सन्तान, मुझ पर दया कर।

Tab us ne pukaar ke kaha, he Yeshu Daud ki santaan, mujh par daya kar.

39

जो आगे जाते थे, वे उसे डांटने लगे कि चुप रहे: परन्तु वह और भी चिल्लाने लगा, कि हे दाऊद की सन्तान, मुझ पर दया कर।

Jo aage jate the, ve use dantne lage ki chup rahe: parantu vah aur bhi chillane laga, ki he Daud ki santaan, mujh par daya kar.

40

तब यीशु ने खड़े होकर आज्ञा दी कि उसे मेरे पास लाओ, और जब वह निकट आया, तो उस ने उस से यह पूछा।

Tab Yeshu ne khade hokar aagya di ki use mere paas lao, aur jab vah nikat aaya, to us ne us se yah poochha.

41

तू क्या चाहता है, कि मैं तेरे लिये करूं? उस ने कहा; हे प्रभु यह कि मैं देखने लगूं।

Tu kya chahta hai, ki main tere liye karun? Us ne kaha; he Prabhu yah ki main dekhne lagun.

42

यीशु ने उससे कहा; देखने लग, तेरे विश्वास ने तुझे अच्छा कर दिया है।

Yeshu ne usse kaha; dekhne lag, tere vishwaas ne tujhe achchha kar diya hai.

43

और वह तुरन्त देखने लगा; और परमेश्वर की बड़ाई करता हुआ उसके पीछे हो लिया, और सब लोगों ने देख कर परमेश्वर की स्तुति की॥

Aur vah turant dekhne laga; aur Parmeshwar ki badai karta huaa uske peechhe ho liya, aur sab logon ne dekh kar Parmeshwar ki stuti ki.