फिर उस ने अपने चेलों से कहा; हो नहीं सकता कि ठोकरें न लगें, परन्तु हाय, उस मनुष्य पर जिस के कारण वे आती हैं!
Phir us ne apne chelon se kaha; ho nahi sakta ki thokrein na lagein, parantu haay, us manushya par jis ke karan ve aati hain!
Luke 17 · 37 verses
फिर उस ने अपने चेलों से कहा; हो नहीं सकता कि ठोकरें न लगें, परन्तु हाय, उस मनुष्य पर जिस के कारण वे आती हैं!
Phir us ne apne chelon se kaha; ho nahi sakta ki thokrein na lagein, parantu haay, us manushya par jis ke karan ve aati hain!
जो इन छोटों में से किसी एक को ठोकर खिलाता है, उसके लिये यह भला होता, कि चक्की का पाट उसके गले में लटकाया जाता, और वह समुद्र में डाल दिया जाता।
Jo in chhoton mein se kisi ek ko thokar khilata hai, uske liye yah bhala hota, ki chakki ka paat uske gale mein latkaya jata, aur vah samudra mein daal diya jata.
सचेत रहो; यदि तेरा भाई अपराध करे तो उसे समझा, और यदि पछताए तो उसे क्षमा कर।
Sachet raho; yadi tera bhai apraadh kare to use samjha, aur yadi pachhtaye to use kshama kar.
यदि दिन भर में वह सात बार तेरा अपराध करे और सातों बार तेरे पास फिर आकर कहे, कि मैं पछताता हूं, तो उसे क्षमा कर॥
Yadi din bhar mein vah saat baar tera apraadh kare aur saton baar tere paas phir aakar kahe, ki main pachhtata hoon, to use kshama kar.
तब प्रेरितों ने प्रभु से कहा, हमारा विश्वास बढ़ा।
Tab preriton ne Prabhu se kaha, hamara vishwaas badha.
प्रभु ने कहा; कि यदि तुम को राई के दाने के बराबर भी विश्वास होता, तो तुम इस तूत के पेड़ से कहते कि जड़ से उखड़कर समुद्र में लग जा, तो वह तुम्हारी मान लेता।
Prabhu ne kaha; ki yadi tum ko rai ke dane ke barabar bhi vishwaas hota, to tum is toot ke ped se kahte ki jad se ukhadkar samudra mein lag ja, to vah tumhari maan leta.
पर तुम में से ऐसा कौन है, जिस का दास हल जोतता, या भेड़ें चराता हो, और जब वह खेत से आए, तो उस से कहे तुरन्त आकर भोजन करने बैठ?
Par tum mein se aisa kaun hai, jis ka daas hal jotta, ya bhedein charata ho, aur jab vah khet se aaye, to us se kahe turant aakar bhojan karne baith?
और यह न कहे, कि मेरा खाना तैयार कर: और जब तक मैं खाऊं-पीऊं तब तक कमर बान्धकर मेरी सेवा कर; इस के बाद तू भी खा पी लेना।
Aur yah na kahe, ki mera khana taiyaar kar: aur jab tak main khaun-peeun tab tak kamar bandhakar meri seva kar; is ke baad tu bhi kha pi lena.
क्या वह उस दास का निहोरा मानेगा, कि उस ने वे ही काम किए जिस की आज्ञा दी गई थी?
Kya vah us daas ka nihora manega, ki us ne ve hi kaam kiye jis ki aagya di gai thi?
इसी रीति से तुम भी, जब उन सब कामों को कर चुको जिस की आज्ञा तुम्हें दी गई थी, तो कहा, हम निकम्मे दास हैं; कि जो हमें करना चाहिए था वही किया है॥
Isi reeti se tum bhi, jab un sab kamon ko kar chuko jis ki aagya tumhein di gai thi, to kaha, ham nikamme daas hain; ki jo hamein karna chahiye tha vahi kiya hai.
और ऐसा हुआ कि वह यरूशलेम को जाते हुए सामरिया और गलील के बीच से होकर जा रहा था।
Aur aisa huaa ki vah Yerushalem ko jate hue samriya aur galeel ke beech se hokar ja raha tha.
और किसी गांव में प्रवेश करते समय उसे दस कोढ़ी मिले।
Aur kisi gaanv mein pravesh karte samay use das kodhi mile.
और उन्होंने दूर खड़े होकर, ऊंचे शब्द से कहा, हे यीशु, हे स्वामी, हम पर दया कर।
Aur unhonne door khade hokar, oonche shabd se kaha, he Yeshu, he swami, ham par daya kar.
उस ने उन्हें देखकर कहा, जाओ; और अपने तई याजकों को दिखाओ; और जाते ही जाते वे शुद्ध हो गए।
Us ne unhein dekhkar kaha, jao; aur apne tai yajkon ko dikhao; aur jate hi jate ve shuddh ho gaye.
तब उन में से एक यह देखकर कि मैं चंगा हो गया हूं, ऊंचे शब्द से परमेश्वर की बड़ाई करता हुआ लौटा।
Tab un mein se ek yah dekhkar ki main changa ho gaya hoon, oonche shabd se Parmeshwar ki badai karta huaa lauta.
और यीशु के पांवों पर मुंह के बल गिरकर, उसका धन्यवाद करने लगा; और वह सामरी था।
Aur Yeshu ke panvon par munh ke bal girkar, uska dhanyavaad karne laga; aur vah samri tha.
इस पर यीशु ने कहा, क्या दसों शुद्ध न हुए? तो फिर वे नौ कहां हैं?
Is par Yeshu ne kaha, kya dason shuddh na hue? To phir ve nau kahan hain?
क्या इस परदेशी को छोड़ कोई और न निकला, जो परमेश्वर की बड़ाई करता?
Kya is pardeshi ko chhod koi aur na nikla, jo Parmeshwar ki badai karta?
तब उस ने उस से कहा; उठकर चला जा; तेरे विश्वास ने तुझे चंगा किया है॥
Tab us ne us se kaha; uthkar chala ja; tere vishwaas ne tujhe changa kiya hai.
जब फरीसियों ने उस से पूछा, कि परमेश्वर का राज्य कब आएगा? तो उस ने उन को उत्तर दिया, कि परमेश्वर का राज्य प्रगट रूप से नहीं आता।
Jab phareesiyon ne us se poochha, ki Parmeshwar ka rajya kab aayega? To us ne un ko uttar diya, ki Parmeshwar ka rajya pragat roop se nahi aata.
और लोग यह न कहेंगे, कि देखो, यहां है, या वहां है, क्योंकि देखो, परमेश्वर का राज्य तुम्हारे बीच में है॥
Aur log yah na kahenge, ki dekho, yahan hai, ya vahan hai, kyonki dekho, Parmeshwar ka rajya tumhare beech mein hai.
और उस ने चेलों से कहा; वे दिन आएंगे, जिन में तुम मनुष्य के पुत्र के दिनों में से एक दिन को देखना चाहोगे, और नहीं देखने पाओगे।
Aur us ne chelon se kaha; ve din aayenge, jin mein tum manushya ke putra ke dinon mein se ek din ko dekhna chahoge, aur nahi dekhne paoge.
लोग तुम से कहेंगे, देखो, वहां है, या देखो यहां है; परन्तु तुम चले न जाना और न उन के पीछे हो लेना।
Log tum se kahenge, dekho, vahan hai, ya dekho yahan hai; parantu tum chale na jana aur na un ke peechhe ho lena.
क्योंकि जैसे बिजली आकाश की एक ओर से कौन्धकर आकाश की दूसरी ओर चमकती है, वैसे ही मनुष्य का पुत्र भी अपने दिन में प्रगट होगा।
Kyonki jaise bijli aakaash ki ek or se kaundhakar aakaash ki doosri or chamakti hai, vaise hi manushya ka putra bhi apne din mein pragat hoga.
परन्तु पहिले अवश्य है, कि वह बहुत दुख उठाए, और इस युग के लोग उसे तुच्छ ठहराएं।
Parantu pahile avashya hai, ki vah bahut dukh uthaye, aur is yug ke log use tuchchh thahrayen.
जैसा नूह के दिनों में हुआ था, वैसा ही मनुष्य के पुत्र के दिनों में भी होगा।
Jaisa nooh ke dinon mein huaa tha, vaisa hi manushya ke putra ke dinon mein bhi hoga.
जिस दिन तक नूह जहाज पर न चढ़ा, उस दिन तक लोग खाते-पीते थे, और उन में ब्याह-शादी होती थी; तब जल-प्रलय ने आकर उन सब को नाश किया।
Jis din tak nooh jahaaj par na chadha, us din tak log khate-peete the, aur un mein byaah-shadi hoti thi; tab jal-pralay ne aakar un sab ko naash kiya.
और जैसा लूत के दिनों में हुआ था, कि लोग खाते-पीते लेन-देन करते, पेड़ लगाते और घर बनाते थे।
Aur jaisa loot ke dinon mein huaa tha, ki log khate-peete len-den karte, ped lagate aur ghar banate the.
परन्तु जिस दिन लूत सदोम से निकला, उस दिन आग और गन्धक आकाश से बरसी और सब को नाश कर दिया।
Parantu jis din loot sadom se nikla, us din aag aur gandhak aakaash se barsi aur sab ko naash kar diya.
मनुष्य के पुत्र के प्रगट होने के दिन भी ऐसा ही होगा।
Manushya ke putra ke pragat hone ke din bhi aisa hi hoga.
उस दिन जो कोठे पर हो; और उसका सामान घर में हो, वह उसे लेने को न उतरे, और वैसे ही जो खेत में हो वह पीछे न लौटे।
Us din jo kothe par ho; aur uska samaan ghar mein ho, vah use lene ko na utre, aur vaise hi jo khet mein ho vah peechhe na laute.
लूत की पत्नी को स्मरण रखो।
Loot ki patni ko smaran rakho.
जो कोई अपना प्राण बचाना चाहे वह उसे खोएगा, और जो कोई उसे खोए वह उसे जीवित रखेगा।
Jo koi apna praan bachana chahe vah use khoyega, aur jo koi use khoye vah use jeevit rakhega.
मैं तुम से कहता हूं, उस रात दो मनुष्य एक खाट पर होंगे, एक ले लिया जाएगा, और दूसरा छोड़ दिया जाएगा।
Main tum se kahta hoon, us raat do manushya ek khaat par honge, ek le liya jayega, aur doosra chhod diya jayega.
दो स्त्रियां एक साथ चक्की पीसती होंगी, एक ले ली जाएगी, और दूसरी छोड़ दी जाएगी।
Do striyan ek saath chakki peesti hongi, ek le li jayegi, aur doosri chhod di jayegi.
दो जन खेत में होंगे एक ले लिया जाएगा और दूसरा छोड़ा जाएगा।
Do jan khet mein honge ek le liya jayega aur doosra chhoda jayega.
यह सुन उन्होंने उस से पूछा, हे प्रभु यह कहां होगा? उस ने उन से कहा, जहां लोथ हैं, वहां गिद्ध इकट्ठे होंगे॥
Yah sun unhonne us se poochha, he Prabhu yah kahan hoga? Us ne un se kaha, jahan loth hain, vahan giddh ikatthe honge.