सब चुंगी लेने वाले और पापी उसके पास आया करते थे ताकि उस की सुनें।
Sab chungi lene vale aur papi uske paas aaya karte the taki us ki sunein.
Luke 15 · 32 verses
सब चुंगी लेने वाले और पापी उसके पास आया करते थे ताकि उस की सुनें।
Sab chungi lene vale aur papi uske paas aaya karte the taki us ki sunein.
और फरीसी और शास्त्री कुड़कुड़ा कर कहने लगे, कि यह तो पापियों से मिलता है और उन के साथ खाता भी है॥
Aur phareesi aur shastri kudkuda kar kahne lage, ki yah to papiyon se milta hai aur un ke saath khata bhi hai.
तब उस ने उन से यह दृष्टान्त कहा।
Tab us ne un se yah drishtaant kaha.
तुम में से कौन है जिस की सौ भेड़ें हों, और उन में से एक खो जाए तो निन्नानवे को जंगल में छोड़कर, उस खोई हुई को जब तक मिल न जाए खोजता न रहे?
Tum mein se kaun hai jis ki sau bhedein hon, aur un mein se ek kho jaye to ninnanve ko jangal mein chhodkar, us khoi hui ko jab tak mil na jaye khojta na rahe?
और जब मिल जाती है, तब वह बड़े आनन्द से उसे कांधे पर उठा लेता है।
Aur jab mil jati hai, tab vah bade aanand se use kandhe par utha leta hai.
और घर में आकर मित्रों और पड़ोसियों को इकट्ठे करके कहता है, मेरे साथ आनन्द करो, क्योंकि मेरी खोई हुई भेड़ मिल गई है।
Aur ghar mein aakar mitron aur padosiyon ko ikatthe karke kahta hai, mere saath aanand karo, kyonki meri khoi hui bhed mil gai hai.
मैं तुम से कहता हूं; कि इसी रीति से एक मन फिरानेवाले पापी के विषय में भी स्वर्ग में इतना ही आनन्द होगा, जितना कि निन्नानवे ऐसे धर्मियों के विषय नहीं होता, जिन्हें मन फिराने की आवश्यकता नहीं॥
Main tum se kahta hoon; ki isi reeti se ek man phiranevale papi ke vishay mein bhi swarg mein itna hi aanand hoga, jitna ki ninnanve aise dharmiyon ke vishay nahi hota, jinhein man phirane ki aavashyakta nahi.
या कौन ऐसी स्त्री होगी, जिस के पास दस सिक्के हों, और उन में से एक खो जाए; तो वह दीया बारकर और घर झाड़ बुहार कर जब तक मिल न जाए, जी लगाकर खोजती न रहे?
Ya kaun aisi stri hogi, jis ke paas das sikke hon, aur un mein se ek kho jaye; to vah deeya barkar aur ghar jhaad buhaar kar jab tak mil na jaye, ji lagakar khojti na rahe?
और जब मिल जाता है, तो वह अपने सखियों और पड़ोसिनियों को इकट्ठी करके कहती है, कि मेरे साथ आनन्द करो, क्योंकि मेरा खोया हुआ सिक्का मिल गया है।
Aur jab mil jata hai, to vah apne sakhiyon aur padosiniyon ko ikatthi karke kahti hai, ki mere saath aanand karo, kyonki mera khoya huaa sikka mil gaya hai.
मैं तुम से कहता हूं; कि इसी रीति से एक मन फिराने वाले पापी के विषय में परमेश्वर के स्वर्गदूतों के साम्हने आनन्द होता है॥
Main tum se kahta hoon; ki isi reeti se ek man phirane vale papi ke vishay mein Parmeshwar ke swargadooton ke samhane aanand hota hai.
फिर उस ने कहा, किसी मनुष्य के दो पुत्र थे।
Phir us ne kaha, kisi manushya ke do putra the.
उन में से छुटके ने पिता से कहा कि हे पिता संपत्ति में से जो भाग मेरा हो, वह मुझे दे दीजिए। उस ने उन को अपनी संपत्ति बांट दी।
Un mein se chhutke ne pita se kaha ki he pita sampatti mein se jo bhaag mera ho, vah mujhe de deejiye. Us ne un ko apni sampatti baant di.
और बहुत दिन न बीते थे कि छुटका पुत्र सब कुछ इकट्ठा करके एक दूर देश को चला गया और वहां कुकर्म में अपनी संपत्ति उड़ा दी।
Aur bahut din na beete the ki chhutka putra sab kuchh ikattha karke ek door desh ko chala gaya aur vahan kukarm mein apni sampatti uda di.
जब वह सब कुछ खर्च कर चुका, तो उस देश में बड़ा अकाल पड़ा, और वह कंगाल हो गया।
Jab vah sab kuchh kharch kar chuka, to us desh mein bada akaal pada, aur vah kangaal ho gaya.
और वह उस देश के निवासियों में से एक के यहां जा पड़ा: उस ने उसे अपने खेतों में सूअर चराने के लिये भेजा।
Aur vah us desh ke nivasiyon mein se ek ke yahan ja pada: us ne use apne kheton mein sooar charane ke liye bheja.
और वह चाहता था, कि उन फलियों से जिन्हें सूअर खाते थे अपना पेट भरे; और उसे कोई कुछ नहीं देता था।
Aur vah chahta tha, ki un phaliyon se jinhein sooar khate the apna pet bhare; aur use koi kuchh nahi deta tha.
जब वह अपने आपे में आया, तब कहने लगा, कि मेरे पिता के कितने ही मजदूरों को भोजन से अधिक रोटी मिलती है, और मैं यहां भूखा मर रहा हूं।
Jab vah apne aape mein aaya, tab kahne laga, ki mere pita ke kitne hi majdooron ko bhojan se adhik roti milti hai, aur main yahan bhookha mar raha hoon.
मैं अब उठकर अपने पिता के पास जाऊंगा और उस से कहूंगा कि पिता जी मैं ने स्वर्ग के विरोध में और तेरी दृष्टि में पाप किया है।
Main ab uthkar apne pita ke paas jaoonga aur us se kahoonga ki pita ji main ne swarg ke virodh mein aur teri drishti mein paap kiya hai.
अब इस योग्य नहीं रहा कि तेरा पुत्र कहलाऊं, मुझे अपने एक मजदूर की नाईं रख ले।
Ab is yogya nahi raha ki tera putra kahlaun, mujhe apne ek majdoor ki nai rakh le.
तब वह उठकर, अपने पिता के पास चला: वह अभी दूर ही था, कि उसके पिता ने उसे देखकर तरस खाया, और दौड़कर उसे गले लगाया, और बहुत चूमा।
Tab vah uthkar, apne pita ke paas chala: vah abhi door hi tha, ki uske pita ne use dekhkar taras khaya, aur daudkar use gale lagaya, aur bahut chooma.
पुत्र ने उस से कहा; पिता जी, मैं ने स्वर्ग के विरोध में और तेरी दृष्टि में पाप किया है; और अब इस योग्य नहीं रहा, कि तेरा पुत्र कहलाऊं।
Putra ne us se kaha; pita ji, main ne swarg ke virodh mein aur teri drishti mein paap kiya hai; aur ab is yogya nahi raha, ki tera putra kahlaun.
परन्तु पिता ने अपने दासों से कहा; फट अच्छे से अच्छा वस्त्र निकालकर उसे पहिनाओ, और उसके हाथ में अंगूठी, और पांवों में जूतियां पहिनाओ।
Parantu pita ne apne dason se kaha; phat achchhe se achchha vastra nikalkar use pahinao, aur uske haath mein angoothi, aur panvon mein jootiyan pahinao.
और पला हुआ बछड़ा लाकर मारो ताकि हम खांए और आनन्द मनावें।
Aur pala huaa bachhda lakar maro taki ham khanye aur aanand manavein.
क्योंकि मेरा यह पुत्र मर गया था, फिर जी गया है: खो गया था, अब मिल गया है: और वे आनन्द करने लगे।
Kyonki mera yah putra mar gaya tha, phir ji gaya hai: kho gaya tha, ab mil gaya hai: aur ve aanand karne lage.
परन्तु उसका जेठा पुत्र खेत में था: और जब वह आते हुए घर के निकट पहुंचा, तो उस ने गाने बजाने और नाचने का शब्द सुना।
Parantu uska jetha putra khet mein tha: aur jab vah aate hue ghar ke nikat pahuncha, to us ne gane bajane aur nachne ka shabd suna.
और उस ने एक दास को बुलाकर पूछा; यह क्या हो रहा है?
Aur us ne ek daas ko bulakar poochha; yah kya ho raha hai?
उस ने उस से कहा, तेरा भाई आया है; और तेरे पिता ने पला हुआ बछड़ा कटवाया है, इसलिये कि उसे भला चंगा पाया है।
Us ne us se kaha, tera bhai aaya hai; aur tere pita ne pala huaa bachhda katvaya hai, isliye ki use bhala changa paya hai.
यह सुनकर वह क्रोध से भर गया, और भीतर जाना न चाहा: परन्तु उसका पिता बाहर आकर उसे मनाने लगा।
Yah sunkar vah krodh se bhar gaya, aur bheetar jana na chaha: parantu uska pita bahar aakar use manane laga.
उस ने पिता को उत्तर दिया, कि देख; मैं इतने वर्ष से तरी सेवा कर रहा हूं, और कभी भी तेरी आज्ञा नहीं टाली, तौभी तू ने मुझे कभी एक बकरी का बच्चा भी न दिया, कि मैं अपने मित्रों के साथ आनन्द करता।
Us ne pita ko uttar diya, ki dekh; main itne varsh se tari seva kar raha hoon, aur kabhi bhi teri aagya nahi tali, taubhi tu ne mujhe kabhi ek bakri ka bachcha bhi na diya, ki main apne mitron ke saath aanand karta.
परन्तु जब तेरा यह पुत्र, जिस ने तेरी संपत्ति वेश्याओं में उड़ा दी है, आया, तो उसके लिये तू ने पला हुआ बछड़ा कटवाया।
Parantu jab tera yah putra, jis ne teri sampatti veshyaon mein uda di hai, aaya, to uske liye tu ne pala huaa bachhda katvaya.
उस ने उस से कहा; पुत्र, तू सर्वदा मेरे साथ है; और जो कुछ मेरा है वह सब तेरा ही है।
Us ne us se kaha; putra, tu sarvada mere saath hai; aur jo kuchh mera hai vah sab tera hi hai.
परन्तु अब आनन्द करना और मगन होना चाहिए क्योंकि यह तेरा भाई मर गया था फिर जी गया है; खो गया था, अब मिल गया है॥
Parantu ab aanand karna aur magan hona chahiye kyonki yah tera bhai mar gaya tha phir ji gaya hai; kho gaya tha, ab mil gaya hai.