फिर वह सब्त के दिन फरीसियों के सरदारों में से किसी के घर में रोटी खाने गया: और वे उस की घात में थे।
Phir vah sabt ke din phareesiyon ke sardaron mein se kisi ke ghar mein roti khane gaya: aur ve us ki ghaat mein the.
Luke 14 · 35 verses
फिर वह सब्त के दिन फरीसियों के सरदारों में से किसी के घर में रोटी खाने गया: और वे उस की घात में थे।
Phir vah sabt ke din phareesiyon ke sardaron mein se kisi ke ghar mein roti khane gaya: aur ve us ki ghaat mein the.
और देखो, एक मनुष्य उसके साम्हने था, जिसे जलन्धर का रोग था।
Aur dekho, ek manushya uske samhane tha, jise jalandhar ka rog tha.
इस पर यीशु ने व्यवस्थापकों और फरीसियों से कहा; क्या सब्त के दिन अच्छा करना उचित है, कि नहीं परन्तु वे चुपचाप रहे।
Is par Yeshu ne vyavasthapkon aur phareesiyon se kaha; kya sabt ke din achchha karna uchit hai, ki nahi parantu ve chupchaap rahe.
तब उस ने उसे हाथ लगा कर चंगा किया, और जाने दिया।
Tab us ne use haath laga kar changa kiya, aur jane diya.
और उन से कहा; कि तुम में से ऐसा कौन है, जिस का गदहा या बैल कुएं में गिर जाए और वह सब्त के दिन उसे तुरन्त बाहर न निकाल ले?
Aur un se kaha; ki tum mein se aisa kaun hai, jis ka gadha ya bail kuein mein gir jaye aur vah sabt ke din use turant bahar na nikaal le?
वे इन बातों का कुछ उत्तर न दे सके॥
Ve in baton ka kuchh uttar na de sake.
जब उस ने देखा, कि नेवताहारी लोग क्योंकर मुख्य मुख्य जगहें चुन लेते हैं तो एक दृष्टान्त देकर उन से कहा।
Jab us ne dekha, ki nevtahari log kyonkar mukhya mukhya jaghein chun lete hain to ek drishtaant dekar un se kaha.
जब कोई तुझे ब्याह में बुलाए, तो मुख्य जगह में न बैठना, कहीं ऐसा न हो, कि उस ने तुझ से भी किसी बड़े को नेवता दिया हो।
Jab koi tujhe byaah mein bulaye, to mukhya jagah mein na baithna, kahi aisa na ho, ki us ne tujh se bhi kisi bade ko nevta diya ho.
और जिस ने तुझे और उसे दोनों को नेवता दिया है: आकर तुझ से कहे, कि इस को जगह दे, और तब तुझे लज्ज़ित होकर सब से नीची जगह में बैठना पड़े।
Aur jis ne tujhe aur use donon ko nevta diya hai: aakar tujh se kahe, ki is ko jagah de, aur tab tujhe lajzit hokar sab se neechi jagah mein baithna pade.
पर जब तू बुलाया जाए, तो सब से नीची जगह जा बैठ, कि जब वह, जिस ने तुझे नेवता दिया है आए, तो तुझ से कहे कि हे मित्र, आगे बढ़कर बैठ; तब तेरे साथ बैठने वालों के साम्हने तेरी बड़ाई होगी।
Par jab tu bulaya jaye, to sab se neechi jagah ja baith, ki jab vah, jis ne tujhe nevta diya hai aaye, to tujh se kahe ki he mitra, aage badhkar baith; tab tere saath baithne valon ke samhane teri badai hogi.
और जो कोई अपने आप को बड़ा बनाएगा, वह छोटा किया जाएगा; और जो कोई अपने आप को छोटा बनाएगा, वह बड़ा किया जाएगा॥
Aur jo koi apne aap ko bada banayega, vah chhota kiya jayega; aur jo koi apne aap ko chhota banayega, vah bada kiya jayega.
तब उस ने अपने नेवता देने वाले से भी कहा, जब तू दिन का या रात का भोज करे, तो अपने मित्रों या भाइयों या कुटुम्बियों या धनवान पड़ोसियों न बुला, कहीं ऐसा न हो, कि वे भी तुझे नेवता दें, और तेरा बदला हो जाए।
Tab us ne apne nevta dene vale se bhi kaha, jab tu din ka ya raat ka bhoj kare, to apne mitron ya bhaiyon ya kutumbiyon ya dhanvaan padosiyon na bula, kahi aisa na ho, ki ve bhi tujhe nevta dein, aur tera badla ho jaye.
परन्तु जब तू भोज करे, तो कंगालों, टुण्डों, लंगड़ों और अन्धों को बुला।
Parantu jab tu bhoj kare, to kangalon, tundon, langdon aur andhon ko bula.
तब तू धन्य होगा, क्योंकि उन के पास तुझे बदला देने को कुछ नहीं, परन्तु तुझे धर्मियों के जी उठने पर इस का प्रतिफल मिलेगा।
Tab tu dhanya hoga, kyonki un ke paas tujhe badla dene ko kuchh nahi, parantu tujhe dharmiyon ke ji uthne par is ka pratiphal milega.
उसके साथ भोजन करने वालों में से एक ने ये बातें सुनकर उस से कहा, धन्य है वह, जो परमेश्वर के राज्य में रोटी खाएगा।
Uske saath bhojan karne valon mein se ek ne ye batein sunkar us se kaha, dhanya hai vah, jo Parmeshwar ke rajya mein roti khayega.
उस ने उस से कहा; किसी मनुष्य ने बड़ी जेवनार की और बहुतों को बुलाया।
Us ne us se kaha; kisi manushya ne badi jevnaar ki aur bahuton ko bulaya.
जब भोजन तैयार हो गया, तो उस ने अपने दास के हाथ नेवतहारियों को कहला भेजा, कि आओ; अब भोजन तैयार है।
Jab bhojan taiyaar ho gaya, to us ne apne daas ke haath nevathariyon ko kahla bheja, ki aao; ab bhojan taiyaar hai.
पर वे सब के सब क्षमा मांगने लगे, पहिले ने उस से कहा, मैं ने खेत मोल लिया है; और अवश्य है कि उसे देखूं: मैं तुझ से बिनती करता हूं, मुझे क्षमा करा दे।
Par ve sab ke sab kshama mangne lage, pahile ne us se kaha, main ne khet mol liya hai; aur avashya hai ki use dekhun: main tujh se binti karta hoon, mujhe kshama kara de.
दूसरे ने कहा, मैं ने पांच जोड़े बैल मोल लिए हैं: और उन्हें परखने जाता हूं: मैं तुझ से बिनती करता हूं, मुझे क्षमा करा दे।
Doosre ne kaha, main ne paanch jode bail mol liye hain: aur unhein parakhne jata hoon: main tujh se binti karta hoon, mujhe kshama kara de.
एक और ने कहा; मै ने ब्याह किया है, इसलिये मैं नहीं आ सकता।
Ek aur ne kaha; mai ne byaah kiya hai, isliye main nahi aa sakta.
उस दास ने आकर अपने स्वामी को ये बातें कह सुनाईं, तब घर के स्वामी ने क्रोध में आकर अपने दास से कहा, नगर के बाजारों और गलियों में तुरन्त जाकर कंगालों, टुण्डों, लंगड़ों और अन्धों को यहां ले आओ।
Us daas ne aakar apne swami ko ye batein kah sunai, tab ghar ke swami ne krodh mein aakar apne daas se kaha, nagar ke bajaron aur galiyon mein turant jakar kangalon, tundon, langdon aur andhon ko yahan le aao.
दास ने फिर कहा; हे स्वामी, जैसे तू ने कहा था, वैसे ही किया गया है; फिर भी जगह है।
Daas ne phir kaha; he swami, jaise tu ne kaha tha, vaise hi kiya gaya hai; phir bhi jagah hai.
स्वामी ने दास से कहा, सड़कों पर और बाड़ों की ओर जाकर लोगों को बरबस ले ही आ ताकि मेरा घर भर जाए।
Swami ne daas se kaha, sadkon par aur badon ki or jakar logon ko barbas le hi aa taki mera ghar bhar jaye.
क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि उन नेवते हुओं में से कोई मेरी जेवनार को न चखेगा।
Kyonki main tum se kahta hoon, ki un nevte huon mein se koi meri jevnaar ko na chakhega.
और जब बड़ी भीड़ उसके साथ जा रही थी, तो उस ने पीछे फिरकर उन से कहा।
Aur jab badi bheed uske saath ja rahi thi, to us ne peechhe phirkar un se kaha.
यदि कोई मेरे पास आए, और अपने पिता और माता और पत्नी और लड़के बालों और भाइयों और बहिनों वरन अपने प्राण को भी अप्रिय न जाने, तो वह मेरा चेला नहीं हो सकता।
Yadi koi mere paas aaye, aur apne pita aur mata aur patni aur ladke balon aur bhaiyon aur bahinon varan apne praan ko bhi apriya na jane, to vah mera chela nahi ho sakta.
और जो कोई अपना क्रूस न उठाए; और मेरे पीछे न आए; वह भी मेरा चेला नहीं हो सकता।
Aur jo koi apna kroos na uthaye; aur mere peechhe na aaye; vah bhi mera chela nahi ho sakta.
तुम में से कौन है कि गढ़ बनाना चाहता हो, और पहिले बैठकर खर्च न जोड़े, कि पूरा करने की बिसात मेरे पास है कि नहीं?
Tum mein se kaun hai ki gadh banana chahta ho, aur pahile baithkar kharch na jode, ki poora karne ki bisaat mere paas hai ki nahi?
कहीं ऐसा न हो, कि जब नेव डालकर तैयार न कर सके, तो सब देखने वाले यह कहकर उसे ठट्ठों में उड़ाने लगें।
Kahi aisa na ho, ki jab nev dalkar taiyaar na kar sake, to sab dekhne vale yah kahkar use thatthon mein udane lagein.
कि यह मनुष्य बनाने तो लगा, पर तैयार न कर सका?
Ki yah manushya banane to laga, par taiyaar na kar saka?
या कौन ऐसा राजा है, कि दूसरे राजा से युद्ध करने जाता हो, और पहिले बैठकर विचार न कर ले कि जो बीस हजार लेकर उसका साम्हना कर सकता हूं, कि नहीं?
Ya kaun aisa raja hai, ki doosre raja se yuddh karne jata ho, aur pahile baithkar vichaar na kar le ki jo bees hajaar lekar uska samhana kar sakta hoon, ki nahi?
नहीं तो उसके दूर रहते ही, वह दूतों को भेजकर मिलाप करना चाहेगा।
Nahi to uske door rahte hi, vah dooton ko bhejkar milaap karna chahega.
इसी रीति से तुम में से जो कोई अपना सब कुछ त्याग न दे, तो वह मेरा चेला नहीं हो सकता।
Isi reeti se tum mein se jo koi apna sab kuchh tyaag na de, to vah mera chela nahi ho sakta.
नमक तो अच्छा है, परन्तु यदि नमक का स्वाद बिगड़ जाए, तो वह किस वस्तु से स्वादिष्ट किया जाएगा।
Namak to achchha hai, parantu yadi namak ka swaad bigad jaye, to vah kis vastu se swadisht kiya jayega.
वह न तो भूमि के और न खाद के लिये काम में आता है: उसे तो लोग बाहर फेंक देते हैं: जिस के सुनने के कान हों वह सुन ले॥
Vah na to bhoomi ke aur na khaad ke liye kaam mein aata hai: use to log bahar phenk dete hain: jis ke sunne ke kaan hon vah sun le.