Luke 11 · 54 verses

लूका 11 Luke 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Looka 11.

1

फिर वह किसी जगह प्रार्थना कर रहा था: और जब वह प्रार्थना कर चुका, तो उसके चेलों में से एक ने उस से कहा; हे प्रभु, जैसे यूहन्ना ने अपने चेलों को प्रार्थना करना सिखलाया वैसे ही हमें भी तू सिखा दे।

Phir vah kisi jagah prarthana kar raha tha: aur jab vah prarthana kar chuka, to uske chelon mein se ek ne us se kaha; he Prabhu, jaise Yuhanna ne apne chelon ko prarthana karna sikhlaya vaise hi hamein bhi tu sikha de.

2

उस ने उन से कहा; जब तुम प्रार्थना करो, तो कहो; हे पिता, तेरा नाम पवित्र माना जाए, तेरा राज्य आए।

Us ne un se kaha; jab tum prarthana karo, to kaho; he pita, tera naam pavitra mana jaye, tera rajya aaye.

3

हमारी दिन भर की रोटी हर दिन हमें दिया कर।

Hamari din bhar ki roti har din hamein diya kar.

4

और हमारे पापों को क्षमा कर, क्योंकि हम भी अपने हर एक अपराधी को क्षमा करते हैं, और हमें परीक्षा में न ला॥

Aur hamare papon ko kshama kar, kyonki ham bhi apne har ek apradhi ko kshama karte hain, aur hamein pareeksha mein na la.

5

और उस ने उन से कहा, तुम में से कौन है कि उसका एक मित्र हो, और वह आधी रात को उसके पास आकर उस से कहे, कि हे मित्र; मुझे तीन रोटियां दे।

Aur us ne un se kaha, tum mein se kaun hai ki uska ek mitra ho, aur vah aadhi raat ko uske paas aakar us se kahe, ki he mitra; mujhe teen rotiyan de.

6

क्योंकि एक यात्री मित्र मेरे पास आया है, और उसके आगे रखने के लिये मेरे पास कुछ नहीं है।

Kyonki ek yatri mitra mere paas aaya hai, aur uske aage rakhne ke liye mere paas kuchh nahi hai.

7

और वह भीतर से उत्तर दे, कि मुझे दुख न दे; अब तो द्वार बन्द है, और मेरे बालक मेरे पास बिछौने पर हैं, इसलिये मैं उठकर तुझे दे नहीं सकता

Aur vah bheetar se uttar de, ki mujhe dukh na de; ab to dwaar band hai, aur mere balak mere paas bichhaune par hain, isliye main uthkar tujhe de nahi sakta

8

मैं तुम से कहता हूं, यदि उसका मित्र होने पर भी उसे उठकर न दे, तौभी उसके लज्ज़ा छोड़कर मांगने के कारण उसे जितनी आवश्यकता हो उतनी उठकर देगा।

Main tum se kahta hoon, yadi uska mitra hone par bhi use uthkar na de, taubhi uske lajza chhodkar mangne ke karan use jitni aavashyakta ho utni uthkar dega.

9

और मैं तुम से कहता हूं; कि मांगो, तो तुम्हें दिया जाएगा; ढूंढ़ों तो तुम पाओगे; खटखटाओ, तो तुम्हारे लिये खोला जाएगा।

Aur main tum se kahta hoon; ki mango, to tumhein diya jayega; dhoondhon to tum paoge; khatakhtao, to tumhare liye khola jayega.

10

क्योंकि जो कोई मांगता है, उसे मिलता है; और जो ढूंढ़ता है, वह पाता है; और जो खटखटाता है, उसके लिये खोला जाएगा।

Kyonki jo koi mangta hai, use milta hai; aur jo dhoondhta hai, vah pata hai; aur jo khatakhtata hai, uske liye khola jayega.

11

तुम में से ऐसा कौन पिता होगा, कि जब उसका पुत्र रोटी मांगे, तो उसे पत्थर दे: या मछली मांगे, तो मछली के बदले उसे सांप दे?

Tum mein se aisa kaun pita hoga, ki jab uska putra roti mange, to use patthar de: ya machhli mange, to machhli ke badle use saamp de?

12

या अण्डा मांगे तो उसे बिच्छू दे?

Ya anda mange to use bichchhu de?

13

सो जब तुम बुरे होकर अपने लड़के-बालों को अच्छी वस्तुएं देना जानते हो, तो स्वर्गीय पिता अपने मांगने वालों को पवित्र आत्मा क्यों न देगा॥

So jab tum bure hokar apne ladke-balon ko achchhi vastuein dena jante ho, to swargeeya pita apne mangne valon ko pavitra aatma kyon na dega.

14

फिर उस ने एक गूंगी दुष्टात्मा को निकाला: जब दुष्टात्मा निकल गई, तो गूंगा बोलने लगा; और लोगों ने अचम्भा किया।

Phir us ne ek goongi dushtatma ko nikala: jab dushtatma nikal gai, to goonga bolne laga; aur logon ne achambha kiya.

15

परन्तु उन में से कितनों ने कहा, यह तो शैतान नाम दुष्टात्माओं के प्रधान की सहायता से दुष्टात्माओं को निकालता है।

Parantu un mein se kitnon ne kaha, yah to Shaitan naam dushtatmaon ke pradhaan ki sahayta se dushtatmaon ko nikalta hai.

16

औरों ने उस की परीक्षा करने के लिये उस से आकाश का एक चिन्ह मांगा।

Auron ne us ki pareeksha karne ke liye us se aakaash ka ek chinh manga.

17

परन्तु उस ने, उन के मन की बातें जानकर, उन से कहा; जिस जिस राज्य में फूट होती है, वह राज्य उजड़ जाता है: और जिस घर में फूट होती है, वह नाश हो जाता है।

Parantu us ne, un ke man ki batein jankar, un se kaha; jis jis rajya mein phoot hoti hai, vah rajya ujad jata hai: aur jis ghar mein phoot hoti hai, vah naash ho jata hai.

18

और यदि शैतान अपना ही विरोधी हो जाए, तो उसका राज्य क्योंकर बना रहेगा? क्योंकि तुम मेरे विषय में तो कहते हो, कि यह शैतान की सहायता से दुष्टात्मा निकालता है।

Aur yadi Shaitan apna hi virodhi ho jaye, to uska rajya kyonkar bana rahega? Kyonki tum mere vishay mein to kahte ho, ki yah Shaitan ki sahayta se dushtatma nikalta hai.

19

भला यदि मैं शैतान की सहायता से दुष्टात्माओं को निकालता हूं, तो तुम्हारी सन्तान किस की सहायता से निकालते हैं? इसलिये वे ही तुम्हारा न्याय चुकाएंगे।

Bhala yadi main Shaitan ki sahayta se dushtatmaon ko nikalta hoon, to tumhari santaan kis ki sahayta se nikalte hain? Isliye ve hi tumhara nyaay chukayenge.

20

परन्तु यदि मैं परमेश्वर की सामर्थ से दुष्टात्माओं को निकालता हूं, तो परमेश्वर का राज्य तुम्हारे पास आ पहुंचा।

Parantu yadi main Parmeshwar ki samarth se dushtatmaon ko nikalta hoon, to Parmeshwar ka rajya tumhare paas aa pahuncha.

21

जब बलवन्त मनुष्य हथियार बान्धे हुए अपने घर की रखवाली करता है, तो उस की संपत्ति बची रहती है।

Jab balvant manushya hathiyaar bandhe hue apne ghar ki rakhvali karta hai, to us ki sampatti bachi rahti hai.

22

पर जब उस से बढ़कर कोई और बलवन्त चढ़ाई करके उसे जीत लेता है, तो उसके वे हथियार जिन पर उसका भरोसा था, छीन लेता है और उस की संपत्ति लूटकर बांट देता है।

Par jab us se badhkar koi aur balvant chadhai karke use jeet leta hai, to uske ve hathiyaar jin par uska bharosa tha, chheen leta hai aur us ki sampatti lootkar baant deta hai.

23

जो मेरे साथ नहीं वह मेरे विरोध में है और जो मेरे साथ नहीं बटोरता वह बिथराता है।

Jo mere saath nahi vah mere virodh mein hai aur jo mere saath nahi batorta vah bithrata hai.

24

जब अशुद्ध आत्मा मनुष्य में से निकल जाती है तो सूखी जगहों में विश्राम ढूंढ़ती फिरती है; और जब नहीं पाती तो कहती है; कि मैं अपने उसी घर में जहां से निकली थी लौट जाऊंगी।

Jab ashuddh aatma manushya mein se nikal jati hai to sookhi jaghon mein vishraam dhoondhti phirti hai; aur jab nahi pati to kahti hai; ki main apne usi ghar mein jahan se nikli thi laut jaoongi.

25

और आकर उसे झाड़ा-बुहारा और सजा-सजाया पाती है।

Aur aakar use jhada-buhara aur saja-sajaya pati hai.

26

तब वह आकर अपने से और बुरी सात आत्माओं को अपने साथ ले आती है, और वे उस में पैठकर वास करती हैं, और उस मनुष्य की पिछली दशा पहिले से भी बुरी हो जाती है॥

Tab vah aakar apne se aur buri saat aatmaon ko apne saath le aati hai, aur ve us mein paithkar vaas karti hain, aur us manushya ki pichhli dasha pahile se bhi buri ho jati hai.

27

जब वह ये बातें कह ही रहा था तो भीड़ में से किसी स्त्री ने ऊंचे शब्द से कहा, धन्य वह गर्भ जिस में तू रहा; और वे स्तन, जो तू ने चूसे।

Jab vah ye batein kah hi raha tha to bheed mein se kisi stri ne oonche shabd se kaha, dhanya vah garbh jis mein tu raha; aur ve stan, jo tu ne choose.

28

उस ने कहा, हां; परन्तु धन्य वे हैं, जो परमेश्वर का वचन सुनते और मानते हैं॥

Us ne kaha, han; parantu dhanya ve hain, jo Parmeshwar ka vachan sunte aur mante hain.

29

जब बड़ी भीड़ इकट्ठी होती जाती थी तो वह कहने लगा; कि इस युग के लोग बुरे हैं; वे चिन्ह ढूंढ़ते हैं; पर यूनुस के चिन्ह को छोड़ कोई और चिन्ह उन्हें न दिया जाएगा।

Jab badi bheed ikatthi hoti jati thi to vah kahne laga; ki is yug ke log bure hain; ve chinh dhoondhte hain; par yoonus ke chinh ko chhod koi aur chinh unhein na diya jayega.

30

जैसा यूनुस नीनवे के लोगों के लिये चिन्ह ठहरा, वैसा ही मनुष्य का पुत्र भी इस युग के लोगों के लिये ठहरेगा।

Jaisa yoonus neenve ke logon ke liye chinh thahra, vaisa hi manushya ka putra bhi is yug ke logon ke liye thahrega.

31

दक्खिन की रानी न्याय के दिन इस समय के मनुष्यों के साथ उठकर, उन्हें दोषी ठहराएगी, क्योंकि वह सुलैमान का ज्ञान सुनने को पृथ्वी की छोर से आई, और देखो यहां वह है जो सुलैमान से भी बड़ा है।

Dakkhin ki rani nyaay ke din is samay ke manushyon ke saath uthkar, unhein doshi thahrayegi, kyonki vah sulaimaan ka gyaan sunne ko prithvi ki chhor se aai, aur dekho yahan vah hai jo sulaimaan se bhi bada hai.

32

नीनवे के लोग न्याय के दिन इस समय के लोगों के साथ खड़े होकर, उन्हें दोषी ठहराएंगे; क्योंकि उन्होंने यूनुस का प्रचार सुनकर मन फिराया और देखो, यहां वह है, जो यूनुस से भी बड़ा है॥

Neenve ke log nyaay ke din is samay ke logon ke saath khade hokar, unhein doshi thahrayenge; kyonki unhonne yoonus ka prachaar sunkar man phiraya aur dekho, yahan vah hai, jo yoonus se bhi bada hai.

33

कोई मनुष्य दीया बार के तलघरे में, या पैमाने के नीचे नहीं रखता, परन्तु दीवट पर रखता है कि भीतर आने वाले उजियाला पाएं।

Koi manushya deeya baar ke talaghre mein, ya paimane ke neeche nahi rakhta, parantu deevat par rakhta hai ki bheetar aane vale ujiyala payen.

34

तेरे शरीर का दीया तेरी आंख है, इसलिये जब तेरी आंख निर्मल है, तो तेरा सारा शरीर भी उजियाला है; परन्तु जब वह बुरी है, तो तेरा शरीर भी अन्धेरा है।

Tere shareer ka deeya teri aankh hai, isliye jab teri aankh nirmal hai, to tera sara shareer bhi ujiyala hai; parantu jab vah buri hai, to tera shareer bhi andhera hai.

35

इसलिये चौकस रहना, कि जो उजियाला तुझ में है वह अन्धेरा न हो जाए।

Isliye chaukas rahna, ki jo ujiyala tujh mein hai vah andhera na ho jaye.

36

इसलिये यदि तेरा सारा शरीर उजियाला हो, ओर उसका कोई भाग अन्धेरा न रहे, तो सब का सब ऐसा उजियाला होगा, जैसा उस समय होता है, जब दीया अपनी चमक से तुझे उजाला देता है॥

Isliye yadi tera sara shareer ujiyala ho, or uska koi bhaag andhera na rahe, to sab ka sab aisa ujiyala hoga, jaisa us samay hota hai, jab deeya apni chamak se tujhe ujala deta hai.

37

जब वह बातें कर रहा था, तो किसी फरीसी ने उस से बिनती की, कि मेरे यहां भोजन कर; और वह भीतर जाकर भोजन करने बैठा।

Jab vah batein kar raha tha, to kisi phareesi ne us se binti ki, ki mere yahan bhojan kar; aur vah bheetar jakar bhojan karne baitha.

38

फरीसी ने यह देखकर अचम्भा दिया कि उस ने भोजन करने से पहिले स्नान नहीं किया।

Phareesi ne yah dekhkar achambha diya ki us ne bhojan karne se pahile snaan nahi kiya.

39

प्रभु ने उस से कहा, हे फरीसियों, तुम कटोरे और थाली को ऊपर ऊपर तो मांजते हो, परन्तु तुम्हारे भीतर अन्धेर और दुष्टता भरी है।

Prabhu ne us se kaha, he phareesiyon, tum katore aur thali ko oopar oopar to manjte ho, parantu tumhare bheetar andher aur dushtata bhari hai.

40

हे निर्बुद्धियों, जिस ने बाहर का भाग बनाया, क्या उस ने भीतर का भाग नहीं बनाया?

He nirbuddhiyon, jis ne bahar ka bhaag banaya, kya us ne bheetar ka bhaag nahi banaya?

41

परन्तु हां, भीतरवाली वस्तुओं को दान कर दो, तो देखो, सब कुछ तुम्हारे लिये शुद्ध हो जाएगा॥

Parantu han, bheetarvali vastuon ko daan kar do, to dekho, sab kuchh tumhare liye shuddh ho jayega.

42

पर हे फरीसियों, तुम पर हाय! तुम पोदीने और सुदाब का, और सब भांति के साग-पात का दसवां अंश देते हो, परन्तु न्याय को और परमेश्वर के प्रेम को टाल देते हो: चाहिए तो था कि इन्हें भी करते रहते और उन्हें भी न छोड़ते।

Par he phareesiyon, tum par haay! Tum podeene aur sudaab ka, aur sab bhanti ke saag-paat ka dasvan ansh dete ho, parantu nyaay ko aur Parmeshwar ke prem ko taal dete ho: chahiye to tha ki inhein bhi karte rahte aur unhein bhi na chhodte.

43

हे फरीसियों, तुम पर हाय! तुम आराधनालयों में मुख्य मुख्य आसन और बाजारों में नमस्कार चाहते हो।

He phareesiyon, tum par haay! Tum aaradhnalyon mein mukhya mukhya aasan aur bajaron mein namaskaar chahte ho.

44

हाय तुम पर! क्योंकि तुम उन छिपी कब्रों के समान हो, जिन पर लोग चलते हैं, परन्तु नहीं जानते॥

Haay tum par! Kyonki tum un chhipi kabron ke samaan ho, jin par log chalte hain, parantu nahi jante.

45

तब एक व्यवस्थापक ने उस को उत्तर दिया, कि हे गुरू, इन बातों के कहने से तू हमारी निन्दा करता है।

Tab ek vyavasthapak ne us ko uttar diya, ki he guru, in baton ke kahne se tu hamari ninda karta hai.

46

उस ने कहा; हे व्यवस्थापकों, तुम पर भी हाय! तुम ऐसे बोझ जिन को उठाना कठिन है, मनुष्यों पर लादते हो परन्तु तुम आप उन बोझों को अपनी एक उंगली से भी नहीं छूते।

Us ne kaha; he vyavasthapkon, tum par bhi haay! Tum aise bojh jin ko uthana kathin hai, manushyon par ladte ho parantu tum aap un bojhon ko apni ek ungli se bhi nahi chhoote.

47

हाय तुम पर! तुम उन भविष्यद्वक्ताओं की कब्रें बनाते हो, जिन्हें ही तुम्हारे बाप-दादों ने मार डाला था।

Haay tum par! Tum un bhavishyadwaktaon ki kabrein banate ho, jinhein hi tumhare baap-dadon ne maar dala tha.

48

सो तुम गवाह हो, और अपने बाप-दादों के कामों में सहमत हो; क्योंकि उन्होंने तो उन्हें मार डाला और तुम उन की कब्रें बनाते हो।

So tum gavaah ho, aur apne baap-dadon ke kamon mein sahmat ho; kyonki unhonne to unhein maar dala aur tum un ki kabrein banate ho.

49

इसलिये परमेश्वर की बुद्धि ने भी कहा है, कि मैं उन के पास भविष्यद्वक्ताओं और प्रेरितों को भेजूंगी: और वे उन में से कितनों को मार डालेंगे, और कितनों को सताएंगे।

Isliye Parmeshwar ki buddhi ne bhi kaha hai, ki main un ke paas bhavishyadwaktaon aur preriton ko bhejoongi: aur ve un mein se kitnon ko maar dalenge, aur kitnon ko satayenge.

50

ताकि जितने भविष्यद्वक्ताओं का लोहू जगत की उत्पत्ति से बहाया गया है, सब का लेखा, इस युग के लोगों से लिया जाए।

Taki jitne bhavishyadwaktaon ka lohu jagat ki utpatti se bahaya gaya hai, sab ka lekha, is yug ke logon se liya jaye.

51

हाबील की हत्या से लेकर जकरयाह की हत्या तक जो वेदी और मन्दिर के बीच में घात किया गया: मैं तुम से सच कहता हूं; उसका लेखा इसी समय के लोगों से लिया जाएगा।

Habeel ki hatya se lekar jakaryaah ki hatya tak jo vedi aur mandir ke beech mein ghaat kiya gaya: main tum se sach kahta hoon; uska lekha isi samay ke logon se liya jayega.

52

हाय तुम व्यवस्थापकों पर! कि तुम ने ज्ञान की कुंजी ले तो ली, परन्तु तुम ने आप ही प्रवेश नहीं किया, और प्रवेश करने वालों को भी रोक दिया।

Haay tum vyavasthapkon par! Ki tum ne gyaan ki kunji le to li, parantu tum ne aap hi pravesh nahi kiya, aur pravesh karne valon ko bhi rok diya.

53

जब वह वहां से निकला, तो शास्त्री और फरीसी बहुत पीछे पड़ गए और छेड़ने लगे, कि वह बहुत सी बातों की चर्चा करे।

Jab vah vahan se nikla, to shastri aur phareesi bahut peechhe pad gaye aur chhedne lage, ki vah bahut si baton ki charcha kare.

54

और उस की घात में लगे रहे, कि उसके मुंह की कोई बात पकड़ें॥

Aur us ki ghaat mein lage rahe, ki uske munh ki koi baat pakdein.