Lamentations 2 · 22 verses

विलापगीत 2 Lamentations 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Vilapgeet 2.

1

यहोवा ने सिय्योन की पुत्री को किस प्रकार अपने कोप के बादलों से ढांप दिया है! उसने इस्राएल की शोभा को आकाश से धरती पर पटक दिया; और कोप के दिन अपने पांवों की चौकी को स्मरण नहीं किया।

Yahowa ne siyyon ki putri ko kis prakaar apne kop ke badlon se dhaamp diya hai! Usne Israel ki shobha ko aakaash se dharti par patak diya; aur kop ke din apne panvon ki chauki ko smaran nahi kiya.

2

यहोवा ने याकूब की सब बस्तियों को निठुरता से नष्ट किया है; उसने रोष में आकर यहूदा की पुत्री के दृढ़ गढ़ों को ढाकर मिट्टी में मिला दिया है; उसने हाकिमों समेत राज्य को अपवित्र ठहराया है।

Yahowa ne Yakub ki sab bastiyon ko nithurta se nasht kiya hai; usne rosh mein aakar Yahuda ki putri ke dridh gadhon ko dhakar mitti mein mila diya hai; usne hakimon samet rajya ko apvitra thahraya hai.

3

उसने क्रोध में आकर इस्राएल के सींग को जड़ से काट डाला है; उसने शत्रु के साम्हने उनकी सहायता करने से अपना दहिना हाथ खींच लिया हे; उसने चारों ओर भस्म करती हुई लौ की नाईं याकूब को जला दिया है।

Usne krodh mein aakar Israel ke seeng ko jad se kaat dala hai; usne shatru ke samhane unki sahayta karne se apna dahina haath kheench liya he; usne charon or bhasm karti hui lau ki nai Yakub ko jala diya hai.

4

उसने शत्रु बनकर धनुष चढ़ाया, और बैरी बनकर दाहिना हाथ बढ़ाए हुए खड़ा है; और जितने देखने में मनभावने थे, उन सब को उसने घात किया; सिय्योन की पुत्री के तम्बू पर उसने आग की नाईं अपनी जलजलाहट भड़का दी है।

Usne shatru bankar dhanush chadhaya, aur bairi bankar dahina haath badhaye hue khada hai; aur jitne dekhne mein manbhavne the, un sab ko usne ghaat kiya; siyyon ki putri ke tambu par usne aag ki nai apni jalajlahat bhadka di hai.

5

यहोवा शत्रु बन गया, उसने इस्राएल को निगल लिया; उसके सारे भवनों को उसने मिटा दिया, और उसके दृढ़ गढ़ों को नष्ट कर डाला है; और यहूदा की पुत्री का रोना-पीटना बहुत बढ़ाया है।

Yahowa shatru ban gaya, usne Israel ko nigal liya; uske sare bhavnon ko usne mita diya, aur uske dridh gadhon ko nasht kar dala hai; aur Yahuda ki putri ka rona-peetna bahut badhaya hai.

6

उसने अपना मण्डप बारी के मचान की नाईं अचानक गिरा दिया, अपने मिलापस्थान को उसने नाश किया है; यहोवा ने सिय्योन में नियत पर्व और विश्रामदिन दोनों को भुला दिया है, और अपने भड़के हुए कोप से राजा और याजक दोनों का तिरस्कार किया है।

Usne apna mandap bari ke machaan ki nai achanak gira diya, apne milapasthaan ko usne naash kiya hai; Yahowa ne siyyon mein niyat parva aur vishramdin donon ko bhula diya hai, aur apne bhadke hue kop se raja aur yajak donon ka tiraskaar kiya hai.

7

यहोवा ने अपनी वेदी मन से उतार दी, और अपना पवित्रस्थान अपमान के साथ तज दिया है; उसके भवनों की भीतों को उसने शत्रुओं के वश में कर दिया; यहोवा के भवन में उन्होंने ऐसा कोलाहल मचाया कि मानो नियत वर्ष का दिन हो।

Yahowa ne apni vedi man se utaar di, aur apna pavitrasthaan apmaan ke saath taj diya hai; uske bhavnon ki bheeton ko usne shatruon ke vash mein kar diya; Yahowa ke bhavan mein unhonne aisa kolahal machaya ki mano niyat varsh ka din ho.

8

यहोवा ने सिय्योन की कुमारी की शहरपनाह तोड़ डालने को ठाना था: उसने डोरी डाली और अपना हाथ उसे नाश करने से नहीं खींचा; उसने किले और शहरपनाह दोनों से विलाप करवाया, वे दोनों एक साथ गिराए गए हैं।

Yahowa ne siyyon ki kumari ki shahrapnaah tod dalne ko thana tha: usne dori dali aur apna haath use naash karne se nahi kheencha; usne kile aur shahrapnaah donon se vilaap karvaya, ve donon ek saath giraye gaye hain.

9

उसके फाटक भूमि में धंस गए हैं, उनके बेड़ों को उसने तोड़ कर नाश किया। उसके राजा और हाकिम अन्यजातियों में रहने के कारण व्यवस्थारहित हो गए हैं, और उसके भविष्यद्वक्ता यहोवा से दर्शन नहीं पाते हैं।

Uske phatak bhoomi mein dhans gaye hain, unke bedon ko usne tod kar naash kiya. Uske raja aur hakim anyajatiyon mein rahne ke karan vyavastharhit ho gaye hain, aur uske bhavishyadwakta Yahowa se darshan nahi pate hain.

10

सिय्योन की पुत्री के पुरनिये भूमि पर चुपचाप बैठे हैं; उन्होंने अपने सिर पर धूल उड़ाई और टाट का फेंटा बान्धा है; यरूशलेम की कुमारियों ने अपना अपना सिर भूमि तक झुकाया है।

Siyyon ki putri ke purniye bhoomi par chupchaap baithe hain; unhonne apne sir par dhool udai aur taat ka phenta bandha hai; Yerushalem ki kumariyon ne apna apna sir bhoomi tak jhukaya hai.

11

मेरी आंखें आंसू बहाते बहाते रह गई हैं; मेरी अन्तड़ियां ऐंठी जाती हैं; मेरे लोगों की पुत्री के विनाश के कारण मेरा कलेजा फट गया है, क्योंकि बच्चे वरन दूधपिउवे बच्चे भी नगर के चौकों में मूर्च्छित होते हैं।

Meri aankhein aansu bahate bahate rah gai hain; meri antadiyan ainthi jati hain; mere logon ki putri ke vinaash ke karan mera kaleja phat gaya hai, kyonki bachche varan doodhpiuve bachche bhi nagar ke chaukon mein moorchchhit hote hain.

12

वे अपनी अपनी माता से रोकर कहते हैं, अन्न और दाखमधु कहां हैं? वे नगर के चौकों में घायल किए हुए मनुष्य की नाईं मूर्च्छित हो कर अपने प्राण अपनी अपनी माता की गोद में छोड़ते हैं।

Ve apni apni mata se rokar kahte hain, ann aur dakhamdhu kahan hain? Ve nagar ke chaukon mein ghayal kiye hue manushya ki nai moorchchhit ho kar apne praan apni apni mata ki god mein chhodte hain.

13

हे यरूशलेम की पुत्री, मैं तुझ से क्या कहूं? मैं तेरी उपमा किस से दूं? हे सिय्योन की कुमारी कन्या, मैं कौन सी वस्तु तेरे समान ठहरा कर तुझे शान्ति दूं? क्योंकि तेरा दु:ख समुद्र सा अपार है; तुझे कौन चंगा कर सकता है?

He Yerushalem ki putri, main tujh se kya kahun? Main teri upma kis se dun? He siyyon ki kumari kanya, main kaun si vastu tere samaan thahra kar tujhe shanti dun? Kyonki tera dukh samudra sa apaar hai; tujhe kaun changa kar sakta hai?

14

तेरे भविष्यद्वक्ताओं ने दर्शन का दावा कर के तुझ से व्यर्थ और मूर्खता की बातें कही हैं; उन्होंने तेरा अधर्म प्रगट नहीं किया, नहीं तो तेरी बंधुआई न होने पाती; परन्तु उन्होंने तुझे व्यर्थ के और झूठे वचन बताए। जो तेरे लिये देश से निकाल दिए जाने का कारण हुए।

Tere bhavishyadwaktaon ne darshan ka dava kar ke tujh se vyarth aur moorkhata ki batein kahi hain; unhonne tera adharm pragat nahi kiya, nahi to teri bandhuaai na hone pati; parantu unhonne tujhe vyarth ke aur jhoothe vachan bataye. Jo tere liye desh se nikaal diye jane ka karan hue.

15

सब बटोही तुझ पर ताली बजाते हैं; वे यरूशलेम की पुत्री पर यह कह कर ताली बजाते और सिर हिलाते हैं, क्या यह वही नगरी है जिसे परमसुन्दरी और सारी पृथ्वी के हर्ष का कारण कहते थे?

Sab batohi tujh par tali bajate hain; ve Yerushalem ki putri par yah kah kar tali bajate aur sir hilate hain, kya yah vahi nagri hai jise paramsundari aur sari prithvi ke harsh ka karan kahte the?

16

तेरे सब शत्रुओं ने तुझ पर मुंह पसारा है, वे ताली बजाते और दांत पीसते हैं, वे कहते हैं, हम उसे निगल गए हैं! जिस दिन की बाट हम जोहते थे, वह यही है, वह हम को मिल गया, हम उसको देख चुके हैं!

Tere sab shatruon ne tujh par munh pasara hai, ve tali bajate aur daant peeste hain, ve kahte hain, ham use nigal gaye hain! Jis din ki baat ham johte the, vah yahi hai, vah ham ko mil gaya, ham usko dekh chuke hain!

17

यहोवा ने जो कुछ ठाना था वही किया भी है, जो वचन वह प्राचीनकाल से कहता आया है वही उसने पूरा भी किया है; उसने निठुरता से तुझे ढा दिया है, उसने शत्रुओं को तुझ पर आनन्दित किया, और तेरे द्रोहियों के सींग को ऊंचा किया हे।

Yahowa ne jo kuchh thana tha vahi kiya bhi hai, jo vachan vah pracheenkaal se kahta aaya hai vahi usne poora bhi kiya hai; usne nithurta se tujhe dha diya hai, usne shatruon ko tujh par aanandit kiya, aur tere drohiyon ke seeng ko ooncha kiya he.

18

वे प्रभु की ओर तन मन से पुकारते हैं! हे सिय्योन की कुमारी (की शहरपनाह), अपने आंसू रात दिन नदी की नाईं बहाती रह! तनिक भी विश्राम न ले, न तेरी आंख की पुतली चैन ले!

Ve Prabhu ki or tan man se pukarte hain! He siyyon ki kumari (ki shahrapnaah), apne aansu raat din nadi ki nai bahati rah! Tanik bhi vishraam na le, na teri aankh ki putli chain le!

19

रात के हर पहर के आरम्भ में उठ कर चिल्लाया कर! प्रभु के सम्मुख अपने मन की बातों को धारा की नाईं उण्डेल! तेरे बाल-बच्चे जो हर एक सड़क के सिरे पर भूख के कारण मूर्च्छित हो रहे हैं, उनके प्राण के निमित्त अपने हाथ उसकी ओर फैला।

Raat ke har pahar ke aarambh mein uth kar chillaya kar! Prabhu ke sammukh apne man ki baton ko dhara ki nai undel! Tere baal-bachche jo har ek sadak ke sire par bhookh ke karan moorchchhit ho rahe hain, unke praan ke nimitt apne haath uski or phaila.

20

हे यहोवा दृष्टि कर, और ध्यान से देख कि तू ने यह सब दु:ख किस को दिया है? क्या स्त्रियां अपना फल अर्थात अपनी गोद के बच्चों को खा डालें? हे प्रभु, क्या याजक और भविष्यद्वक्ता तेरे पवित्रस्थान में घात किए जाएं?

He Yahowa drishti kar, aur dhyaan se dekh ki tu ne yah sab dukh kis ko diya hai? Kya striyan apna phal arthaat apni god ke bachchon ko kha dalein? He Prabhu, kya yajak aur bhavishyadwakta tere pavitrasthaan mein ghaat kiye jayen?

21

सड़कों में लड़के और बूढ़े दोनों भूमि पर पड़े हैं; मेरी कुमारियां और जवान लोग तलवार से गिर गए हैं; तू ने कोप करने के दिन उन्हें घात किया; तू ने निठुरता के साथ उनका वध किया है।

Sadkon mein ladke aur boodhe donon bhoomi par pade hain; meri kumariyan aur javaan log talvaar se gir gaye hain; tu ne kop karne ke din unhein ghaat kiya; tu ne nithurta ke saath unka vadh kiya hai.

22

तू ने मेरे भय के कारणों को नियत पर्व की भीड़ के समान चारों ओर से बुलाया है; और यहोवा के कोप के दिन न तो कोई भाग निकला और न कोई बच रहा है; जिन को मैं ने गोद में लिया और पाल-पोसकर बढ़ाया था, मेरे शत्रु ने उनका अन्त कर डाला है।

Tu ne mere bhay ke karnon ko niyat parva ki bheed ke samaan charon or se bulaya hai; aur Yahowa ke kop ke din na to koi bhaag nikla aur na koi bach raha hai; jin ko main ne god mein liya aur paal-poskar badhaya tha, mere shatru ne unka ant kar dala hai.