यरूब्बाल का पुत्र अबीमेलेक शकेम को अपने मामाओं के पास जा कर उन से और अपने नाना के सब घराने से यों कहने लगा,
Yaroobbaal ka putra abeemelek shakem ko apne mamaon ke paas ja kar un se aur apne nana ke sab gharane se yon kahne laga,
Judges 9 · 57 verses
यरूब्बाल का पुत्र अबीमेलेक शकेम को अपने मामाओं के पास जा कर उन से और अपने नाना के सब घराने से यों कहने लगा,
Yaroobbaal ka putra abeemelek shakem ko apne mamaon ke paas ja kar un se aur apne nana ke sab gharane se yon kahne laga,
शकेम के सब मनुष्यों से यह पूछो, कि तुम्हारे लिये क्या भला है? क्या यह कि यरूब्बाल के सत्तर पुत्र तुम पर प्रभुता करें? वा यह कि एक ही पुरूष तुम पर प्रभुता करे? और यह भी स्मरण रखो कि मैं तुम्हारा हाड़ मांस हूं।
Shakem ke sab manushyon se yah poochho, ki tumhare liye kya bhala hai? Kya yah ki yaroobbaal ke sattar putra tum par prabhuta karein? Va yah ki ek hi puroosh tum par prabhuta kare? Aur yah bhi smaran rakho ki main tumhara haad maans hoon.
तब उसके मामाओं ने शकेम के सब मनुष्यों से ऐसी ही बातें कहीं; और उन्होंने यह सोचकर कि अबीमेलेक तो हमारा भाई है अपना मन उसके पीछे लगा दिया।
Tab uske mamaon ne shakem ke sab manushyon se aisi hi batein kahi; aur unhonne yah sochkar ki abeemelek to hamara bhai hai apna man uske peechhe laga diya.
तब उन्होंने बालबरीत के मन्दिर में से सत्तर टुकड़े रूपे उसको दिए, और उन्हें लगाकर अबीमेलेक ने नीच और लुच्चे जन रख लिए, जो उसके पीछे हो लिए।
Tab unhonne balabreet ke mandir mein se sattar tukde roope usko diye, aur unhein lagakar abeemelek ne neech aur luchche jan rakh liye, jo uske peechhe ho liye.
तब उसने ओप्रा में अपने पिता के घर जाके अपने भाइयों को जो यरूब्बाल के सत्तर पुत्र थे एक ही पत्थर पर घात किया; परन्तु यरूब्बाल का योताम नाम लहुरा पुत्र छिपकर बच गया॥
Tab usne opra mein apne pita ke ghar jake apne bhaiyon ko jo yaroobbaal ke sattar putra the ek hi patthar par ghaat kiya; parantu yaroobbaal ka yotaam naam lahura putra chhipkar bach gaya.
तब शकेम के सब मनुष्यों और बेतमिल्लो के सब लोगों ने इकट्ठे हो कर शकेम के खम्भे से पास वाले बांजवृझ के पास अबीमेलेक को राजा बनाया।
Tab shakem ke sab manushyon aur betmillo ke sab logon ne ikatthe ho kar shakem ke khambhe se paas vale banjvrijh ke paas abeemelek ko raja banaya.
इसका समाचार सुनकर योताम गरिज्जीम पहाड़ की चोटी पर जा कर खड़ा हुआ, और ऊंचे स्वर से पुकारा के कहने लगा, हे शकेम के मनुष्यों, मेरी सुनो, इसलिये कि परमेश्वर तुम्हारी सुनें।
Iska samachaar sunkar yotaam garijjeem pahaad ki choti par ja kar khada huaa, aur oonche swar se pukara ke kahne laga, he shakem ke manushyon, meri suno, isliye ki Parmeshwar tumhari sunein.
किसी युग में वृक्ष किसी का अभिषेक करके अपने ऊपर राजा ठहराने को चले; तब उन्होंने जलपाई के वृक्ष से कहा, तू हम पर राज्य कर।
Kisi yug mein vriksh kisi ka abhishek karke apne oopar raja thahrane ko chale; tab unhonne jalpai ke vriksh se kaha, tu ham par rajya kar.
तब जलपाई के वृक्ष ने कहा, क्या मैं अपनी उस चिकनाहट को छोड़कर, जिस से लोग परमेश्वर और मनुष्य दोनों का आदर मान करते हैं, वृक्षों का अधिकारी हो कर इधर उधर डोलने को चलूं?
Tab jalpai ke vriksh ne kaha, kya main apni us chiknahat ko chhodkar, jis se log Parmeshwar aur manushya donon ka aadar maan karte hain, vrikshon ka adhikari ho kar idhar udhar dolne ko chalun?
तब वृक्षों ने अंजीर के वृक्ष से कहा, तू आकर हम पर राज्य कर।
Tab vrikshon ne anjeer ke vriksh se kaha, tu aakar ham par rajya kar.
अंजीर के वृक्ष ने उन से कहा, क्या मैं अपने मीठेपन और अपने अच्छे अच्छे फलों को छोड़ वृक्षों का अधिकारी हो कर इधर उधर डोलने को चलूं?
Anjeer ke vriksh ne un se kaha, kya main apne meethepan aur apne achchhe achchhe phalon ko chhod vrikshon ka adhikari ho kar idhar udhar dolne ko chalun?
फिर वृक्षों ने दाखलता से कहा, तू आकर हम पर राज्य कर।
Phir vrikshon ne dakhalta se kaha, tu aakar ham par rajya kar.
दाखलता ने उन से कहा, क्या मैं अपने नये मधु को छोड़, जिस से परमेश्वर और मनुष्य दोनों को आनन्द होता है, वृक्षों की अधिकारिणी हो कर इधर उधर डोलने को चलूं?
Dakhalta ne un se kaha, kya main apne naye madhu ko chhod, jis se Parmeshwar aur manushya donon ko aanand hota hai, vrikshon ki adhikarini ho kar idhar udhar dolne ko chalun?
तब सब वृक्षों ने झड़बेरी से कहा, तू आकर हम पर राज्य कर।
Tab sab vrikshon ne jhadberi se kaha, tu aakar ham par rajya kar.
झड़बेरी ने उन वृक्षों से कहा, यदि तुम अपने ऊपर राजा होने को मेरा अभिषेक सच्चाई से करते हो, तो आकर मेरी छांह में शरण लो; और नहीं तो, झड़बेरी से आग निकलेगी जिस से लबानोन के देवदारू भी भस्म हो जाएंगे।
Jhadberi ne un vrikshon se kaha, yadi tum apne oopar raja hone ko mera abhishek sachchai se karte ho, to aakar meri chhaanh mein sharan lo; aur nahi to, jhadberi se aag niklegi jis se labanon ke devdaru bhi bhasm ho jayenge.
इसलिये अब यदि तुम ने सच्चाई और खराई से अबीमेलेक को राजा बनाया है, और यरूब्बाल और उसके घराने से भलाई की, और उसने उसके काम के योग्य बर्ताव किया हो, तो भला।
Isliye ab yadi tum ne sachchai aur kharai se abeemelek ko raja banaya hai, aur yaroobbaal aur uske gharane se bhalai ki, aur usne uske kaam ke yogya bartaav kiya ho, to bhala.
(मेरा पिता तो तुम्हारे निमित्त लड़ा, और अपने प्राण पर खेलकर तुम को मिद्यानियों के हाथ से छुड़ाया;
(mera pita to tumhare nimitt lada, aur apne praan par khelkar tum ko midyaniyon ke haath se chhudaya;
परन्तु तुम ने आज मेरे पिता के घराने के विरुद्ध उठ कर बलवा किया, और उसके सत्तर पुत्र एक ही पत्थर पर घात किए, और उसकी लौंडी के पुत्र अबीमेलेक को इसलिये शकेम के मनुष्यों के ऊपर राजा बनाया है कि वह तुम्हारा भाई है);
Parantu tum ne aaj mere pita ke gharane ke viruddh uth kar balva kiya, aur uske sattar putra ek hi patthar par ghaat kiye, aur uski laundi ke putra abeemelek ko isliye shakem ke manushyon ke oopar raja banaya hai ki vah tumhara bhai hai);
इसलिये यदि तुम लोगों ने आज के दिन यरूब्बाल और उसके घराने से सच्चाई और खराई से बर्ताव किया हो, तो अबीमेलेक के कारण आनन्द करो, और वह भी तुम्हारे कारण आनन्द करे;
Isliye yadi tum logon ne aaj ke din yaroobbaal aur uske gharane se sachchai aur kharai se bartaav kiya ho, to abeemelek ke karan aanand karo, aur vah bhi tumhare karan aanand kare;
और नहीं, तो अबीमेलेक से ऐसी आग निकले जिस से शकेम के मनुष्य और बेतमिल्लो भस्म हो जाएं: शकेम के मनुष्यों और बेतमिल्लो से ऐसी आग निकले जिस से अबीमेलेक भस्म हो जाए।
Aur nahi, to abeemelek se aisi aag nikle jis se shakem ke manushya aur betmillo bhasm ho jayen: shakem ke manushyon aur betmillo se aisi aag nikle jis se abeemelek bhasm ho jaye.
तब योताम भागा, और अपने भाई अबीमेलेक के डर के मारे बेर को जा कर वहां रहने लगा॥
Tab yotaam bhaga, aur apne bhai abeemelek ke dar ke mare ber ko ja kar vahan rahne laga.
और अबीमेलेक इस्राएल के ऊपर तीन वर्ष हाकिम रहा।
Aur abeemelek Israel ke oopar teen varsh hakim raha.
तब परमेश्वर ने अबीमेलेक और शकेम के मनुष्यों के बीच एक बुरी आत्मा भेज दी; सो शकेम के मनुष्य अबीमेलेक का विश्वासघात करने लगे;
Tab Parmeshwar ne abeemelek aur shakem ke manushyon ke beech ek buri aatma bhej di; so shakem ke manushya abeemelek ka vishwasghaat karne lage;
जिस से यरूब्बाल के सत्तर पुत्रों पर किए हुए उपद्रव का फल भोगा जाए, और उनका खून उनके घात करने वाले उनके भाई अबीमेलेक के सिर पर, और उसके अपने भाइयों के घात करने में उसकी सहायता करने वाले शकेम के मनुष्यों के सिर पर भी हो।
Jis se yaroobbaal ke sattar putron par kiye hue upadrav ka phal bhoga jaye, aur unka khoon unke ghaat karne vale unke bhai abeemelek ke sir par, aur uske apne bhaiyon ke ghaat karne mein uski sahayta karne vale shakem ke manushyon ke sir par bhi ho.
तब शकेम के मनुष्यों ने पहाड़ों की चोटियों पर उसके लिये घातकों को बैठाया, जो उस मार्ग से सब आने जाने वालों को लूटते थे; और इसका समाचार अबीमेलेक को मिला॥
Tab shakem ke manushyon ne pahadon ki chotiyon par uske liye ghatkon ko baithaya, jo us maarg se sab aane jane valon ko lootte the; aur iska samachaar abeemelek ko mila.
तब एबेद का पुत्र गाल अपने भाइयों समेत शकेम में आया; और शकेम के मनुष्यों ने उसका भरोसा किया।
Tab ebed ka putra gaal apne bhaiyon samet shakem mein aaya; aur shakem ke manushyon ne uska bharosa kiya.
और उन्होंने मैदान में जा कर अपनी अपनी दाख की बारियों के फल तोड़े और उनका रस रौन्दा, और स्तुति का बलिदान कर अपने देवता के मन्दिर में जा कर खाने पीने और अबीमेलेक को कोसने लगे।
Aur unhonne maidaan mein ja kar apni apni daakh ki bariyon ke phal tode aur unka ras raunda, aur stuti ka balidaan kar apne devta ke mandir mein ja kar khane peene aur abeemelek ko kosne lage.
तब एबेद के पुत्र गाल ने कहा, अबीमेलेक कौन है? शकेम कौन है कि हम उसके आधीन रहें? क्या वह यरूब्बाल का पुत्र नहीं? क्या जबूल उसका नाइब नहीं? शकेम के पिता हमोर के लोगों के तो आधीन हो, परन्तु हमे उसके आधीन क्यों रहें?
Tab ebed ke putra gaal ne kaha, abeemelek kaun hai? Shakem kaun hai ki ham uske aadheen rahein? Kya vah yaroobbaal ka putra nahi? Kya jabool uska naib nahi? Shakem ke pita hamor ke logon ke to aadheen ho, parantu hame uske aadheen kyon rahein?
और यह प्रजा मेरे वश में होती हो क्या ही भला होता! तब तो मैं अबीमेलेक को दूर करता। फिर उसने अबीमेलेक से कहा, अपनी सेना की गिनती बढ़ाकर निकल आ।
Aur yah praja mere vash mein hoti ho kya hi bhala hota! Tab to main abeemelek ko door karta. Phir usne abeemelek se kaha, apni sena ki ginti badhakar nikal aa.
एबेद के पुत्र गाल की वे बातें सुनकर नगर के हाकिम जबूल का क्रोध भड़क उठा।
Ebed ke putra gaal ki ve batein sunkar nagar ke hakim jabool ka krodh bhadak utha.
और उसने अबीमेलेक के पास छिपके दूतों से कहला भेजा, कि एबेद का पुत्र गाल और उसके भाई शकेम में आके नगर वालों को तेरा विरोध करने को उसका रहे हैं।
Aur usne abeemelek ke paas chhipke dooton se kahla bheja, ki ebed ka putra gaal aur uske bhai shakem mein aake nagar valon ko tera virodh karne ko uska rahe hain.
इसलिये तू अपने संग वालों समेत रात को उठ कर मैदान में घात लगा।
Isliye tu apne sang valon samet raat ko uth kar maidaan mein ghaat laga.
फिर बिहान को सवेरे सूर्य के निकलते ही उठ कर इस नगर पर चढ़ाई करना; और जब वह अपने संग वालों समेत तेरा साम्हना करने को निकले तब जो तुझ से बन पड़े वही उस से करना॥
Phir bihaan ko savere soorya ke nikalte hi uth kar is nagar par chadhai karna; aur jab vah apne sang valon samet tera samhana karne ko nikle tab jo tujh se ban pade vahi us se karna.
तब अबीमेलेक और उसके संग के सब लोग रात को उठ चार झुण्ड बान्धकर शकेम के विरुद्ध घात में बैठ गए।
Tab abeemelek aur uske sang ke sab log raat ko uth chaar jhund bandhakar shakem ke viruddh ghaat mein baith gaye.
और एबेद का पुत्र गाल बाहर जा कर नगर के फाटक में खड़ा हुआ; तब अबीमेलेक और उसके संगी घात छोड़कर उठ खड़े हुए।
Aur ebed ka putra gaal bahar ja kar nagar ke phatak mein khada huaa; tab abeemelek aur uske sangi ghaat chhodkar uth khade hue.
उन लोगों को देखकर गाल जबूल से कहने लगा, देख, पहाड़ों की चोटियों पर से लोग उतरे आते हैं! जबूल ने उस से कहा, वह तो पहाड़ों की छाया है जो तुझे मनुष्यों के समान देख पड़ती है।
Un logon ko dekhkar gaal jabool se kahne laga, dekh, pahadon ki chotiyon par se log utre aate hain! Jabool ne us se kaha, vah to pahadon ki chhaya hai jo tujhe manushyon ke samaan dekh padti hai.
गाल ने फिर कहा, देख, लोग देश के बीचोंबीच हो कर उतरे आते हैं, और एक झुण्ड मोननीम नाम बांज वृक्ष के मार्ग से चला आता है।
Gaal ne phir kaha, dekh, log desh ke beechombeech ho kar utre aate hain, aur ek jhund monneem naam baanj vriksh ke maarg se chala aata hai.
जबूल ने उस से कहा, तेरी यह बात कहां रही, कि अबीमेलेक कौन है कि हम उसके आधीन रहें? ये तो वे ही लोग हैं जिन को तू ने निकम्मा जाना था; इसलिये अब निकलकर उन से लड़।
Jabool ne us se kaha, teri yah baat kahan rahi, ki abeemelek kaun hai ki ham uske aadheen rahein? Ye to ve hi log hain jin ko tu ne nikamma jana tha; isliye ab nikalkar un se lad.
तब गाल शकेम के पुरूषों का अगुवा हो बाहर निकलकर अबीमेलेक से लड़ा।
Tab gaal shakem ke purooshon ka aguva ho bahar nikalkar abeemelek se lada.
और अबीमेलेक ने उसको खदेड़ा, और अबीमेलेक के साम्हने से भागा; और नगर के फाटक तक पहुंचते पहुंचते बहुतेरे घायल हो कर गिर पड़े।
Aur abeemelek ne usko khadeda, aur abeemelek ke samhane se bhaga; aur nagar ke phatak tak pahunchte pahunchte bahutere ghayal ho kar gir pade.
तब अबीमेलेक अरूमा में रहने लगा; और जबूल ने गाल और उसके भाइयों को निकाल दिया, और शकेम में रहने न दिया।
Tab abeemelek arooma mein rahne laga; aur jabool ne gaal aur uske bhaiyon ko nikaal diya, aur shakem mein rahne na diya.
दूसरे दिन लोग मैदान में निकल गए; और यह अबीमेलेक को बताया गया।
Doosre din log maidaan mein nikal gaye; aur yah abeemelek ko bataya gaya.
और उसने अपनी सेना के तीन दल बान्धकर मैदान में घात लगाई; और जब देखा कि लोग नगर से निकले आते हैं तब उन पर चढ़ाई करके उन्हें मार लिया।
Aur usne apni sena ke teen dal bandhakar maidaan mein ghaat lagai; aur jab dekha ki log nagar se nikle aate hain tab un par chadhai karke unhein maar liya.
अबीमेलेक अपने संग के दलों समेत आगे दौड़कर नगर के फाटक पर खड़ा हो गया, और दो दलों ने उन सब लोगों पर धावा करके जो मैदान में थे उन्हें मार डाला।
Abeemelek apne sang ke dalon samet aage daudkar nagar ke phatak par khada ho gaya, aur do dalon ne un sab logon par dhava karke jo maidaan mein the unhein maar dala.
उसी दिन अबीमेलेक ने नगर से दिन भर लड़कर उसको ले दिया, और उसके लोगों को घात करके नगर को ढा दिया, और उस पर नमक छिड़कवा दिया॥
Usi din abeemelek ne nagar se din bhar ladkar usko le diya, aur uske logon ko ghaat karke nagar ko dha diya, aur us par namak chhidakva diya.
यह सुनकर शकेम के गुम्मट के सब रहने वाले एलबरीत के मन्दिर के गढ़ में जा घुसे।
Yah sunkar shakem ke gummat ke sab rahne vale elabreet ke mandir ke gadh mein ja ghuse.
जब अबीमेलेक को यह समाचार मिला कि शकेम के गुम्मट के सब मनुष्य इकट्ठे हुए हैं,
Jab abeemelek ko yah samachaar mila ki shakem ke gummat ke sab manushya ikatthe hue hain,
तब वह अपने सब संगियों समेत सलमोन नाम पहाड़ पर चढ़ गया; और हाथ में कुल्हाड़ी ले पेड़ों में से एक डाली काटी, ओर उसे उठा कर अपने कन्धे पर रख ली। और अपने संग वालों से कहा कि जैसा तुम ने मुझे करते देखा वैसा ही तुम भी झटपट करो।
Tab vah apne sab sangiyon samet salmon naam pahaad par chadh gaya; aur haath mein kulhadi le pedon mein se ek dali kati, or use utha kar apne kandhe par rakh li. Aur apne sang valon se kaha ki jaisa tum ne mujhe karte dekha vaisa hi tum bhi jhatpat karo.
तब उन सब लोगों ने भी एक एक डाली काट ली, और अबीमेलेक के पीछे हो उन को गढ़ पर डालकर गढ़ में आग लगाई; तब शकेम के गुम्मट के सब स्त्री पुरूष जो अटकल एक हजार थे मर गए॥
Tab un sab logon ne bhi ek ek dali kaat li, aur abeemelek ke peechhe ho un ko gadh par dalkar gadh mein aag lagai; tab shakem ke gummat ke sab stri puroosh jo atkal ek hajaar the mar gaye.
तब अबीमेलेक ने तेबेस को जा कर उसके साम्हने डेरे खड़े करके उसको ले लिया।
Tab abeemelek ne tebes ko ja kar uske samhane dere khade karke usko le liya.
परन्तु एक नगर के बीच एक दृढ़ गुम्मट था, सो क्या स्त्री पुरूष, नगर के सब लोग भागकर उस में घुसे; और उसे बन्द करके गुम्मट की छत पर चढ़ गए।
Parantu ek nagar ke beech ek dridh gummat tha, so kya stri puroosh, nagar ke sab log bhagkar us mein ghuse; aur use band karke gummat ki chhat par chadh gaye.
तब अबीमेलेक गुम्मट के निकट जा कर उसके विरुद्ध लड़ने लगा, और गुम्मट के द्वार तक गया कि उस में आग लगाए।
Tab abeemelek gummat ke nikat ja kar uske viruddh ladne laga, aur gummat ke dwaar tak gaya ki us mein aag lagaye.
तब किसी स्त्री ने चली के ऊपर का पाट अबीमेलेक के सिर पर डाल दिया, और उसकी खोपड़ी फट गई।
Tab kisi stri ne chali ke oopar ka paat abeemelek ke sir par daal diya, aur uski khopdi phat gai.
तब उसने फट अपने हथियारों के ढोने वाले जवान को बुलाकर कहा, अपनी तलवार खींचकर मुझे मार डाल, ऐसा न हो कि लोग मेरे विषय में कहने पाएं, कि उसको एक स्त्री ने घात किया। तब उसके जवान ने तलवार भोंक दी, और वह मर गया।
Tab usne phat apne hathiyaron ke dhone vale javaan ko bulakar kaha, apni talvaar kheenchkar mujhe maar daal, aisa na ho ki log mere vishay mein kahne payen, ki usko ek stri ne ghaat kiya. Tab uske javaan ne talvaar bhonk di, aur vah mar gaya.
यह देखकर कि अबीमेलेक मर गया है इस्राएली अपने अपने स्थान को चले गए।
Yah dekhkar ki abeemelek mar gaya hai Israeli apne apne sthaan ko chale gaye.
इस प्रकार जो दुष्ट काम अबीमेलेक ने अपने सत्तर भाइयों को घात करके अपने पिता के साथ किया था, उसको परमेश्वर ने उसके सिर पर लौटा दिया;
Is prakaar jo dusht kaam abeemelek ne apne sattar bhaiyon ko ghaat karke apne pita ke saath kiya tha, usko Parmeshwar ne uske sir par lauta diya;
और शकेम के पुरूषों के भी सब दुष्ट काम परमेश्वर ने उनके सिर पर लौटा दिए, और यरूब्बाल के पुत्र योताम का शाप उन पर घट गया॥
Aur shakem ke purooshon ke bhi sab dusht kaam Parmeshwar ne unke sir par lauta diye, aur yaroobbaal ke putra yotaam ka shaap un par ghat gaya.