Judges 10 · 18 verses

न्यायियों 10 Judges 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nyayiyon 10.

1

अबीमेलेक के बाद इस्राएल के छुड़ाने के लिये तोला नाम एक इस्साकारी उठा, वह दोदो का पोता और पूआ का पुत्र था; और एप्रैम के पहाड़ी देश के शामीर नगर में रहता था।

Abeemelek ke baad Israel ke chhudane ke liye tola naam ek issakari utha, vah dodo ka pota aur pooaa ka putra tha; aur epraim ke pahadi desh ke shameer nagar mein rahta tha.

2

वह तेईस वर्ष तक इस्राएल का न्याय करता रहा। तब मर गया, और उसको शामीर में मिट्टी दी गई॥

Vah teis varsh tak Israel ka nyaay karta raha. Tab mar gaya, aur usko shameer mein mitti di gai.

3

उसके बाद गिलादी याईर उठा, वह बाईस वर्ष तक इस्राएल का न्याय करता रहा।

Uske baad giladi yair utha, vah bais varsh tak Israel ka nyaay karta raha.

4

और उसके तीस पुत्र थे जो गदहियों के तीस बच्चों पर सवार हुआ करते थे; और उनके तीस नगर भी थे जो गिलाद देश में हैं, और आज तक हब्बोत्याईर कहलाते हैं।

Aur uske tees putra the jo gadhiyon ke tees bachchon par savaar huaa karte the; aur unke tees nagar bhi the jo gilaad desh mein hain, aur aaj tak habbotyair kahlate hain.

5

और याईर मर गया, और उसको कामोन में मिट्टी दी गई॥

Aur yair mar gaya, aur usko kamon mein mitti di gai.

6

तब इस्राएलियों ने फिर यहोवा की दृष्टि में बुरा किया, अर्थात बाल देवताओं और अश्तोरेत देवियों और आराम, सीदोन, मोआब, अम्मोनियों, और पलिश्तियों के देवताओं की उपासना करने लगे; और यहोवा को त्याग दिया, और उसकी उपासना न की।

Tab Israeliyon ne phir Yahowa ki drishti mein bura kiya, arthaat baal devtaon aur ashtoret deviyon aur aaraam, seedon, moaab, ammoniyon, aur palishtiyon ke devtaon ki upasna karne lage; aur Yahowa ko tyaag diya, aur uski upasna na ki.

7

तब यहोवा का क्रोध इस्राएल पर भड़का, और उसने उन्हें पलिश्तियों और अम्मोनियों के आधीन कर दिया,

Tab Yahowa ka krodh Israel par bhadka, aur usne unhein palishtiyon aur ammoniyon ke aadheen kar diya,

8

और उस वर्ष ये इस्राएलियों को सताते और पीसते रहे। वरन यरदन पार एमोरियों के देश गिलाद में रहने वाले सब इस्राएलियों पर अठारह वर्ष तक अन्धेर करते रहे।

Aur us varsh ye Israeliyon ko satate aur peeste rahe. Varan yardan paar emoriyon ke desh gilaad mein rahne vale sab Israeliyon par atharah varsh tak andher karte rahe.

9

अम्मोनी यहूदा और बिन्यामीन से और एप्रैम के घराने से लड़ने को यरदन पार जाते थे, यहां तक कि इस्राएल बड़े संकट में पड़ गया।

Ammoni Yahuda aur binyameen se aur epraim ke gharane se ladne ko yardan paar jate the, yahan tak ki Israel bade sankat mein pad gaya.

10

तब इस्राएलियों ने यह कहकर यहोवा की दोहाई दी, कि हम ने जो अपने परमेश्वर को त्यागकर बाल देवताओं की उपासना की है, यह हम ने तेरे विरुद्ध महा पाप किया है।

Tab Israeliyon ne yah kahkar Yahowa ki dohai di, ki ham ne jo apne Parmeshwar ko tyagkar baal devtaon ki upasna ki hai, yah ham ne tere viruddh maha paap kiya hai.

11

यहोवा ने इस्राएलियों से कहा, क्या मैं ने तुम को मिस्रियों, एमोरियों, अम्मोनियों, और पलिश्तियों के हाथ से न छुड़ाया था?

Yahowa ne Israeliyon se kaha, kya main ne tum ko misriyon, emoriyon, ammoniyon, aur palishtiyon ke haath se na chhudaya tha?

12

फिर जब सीदोनी, और अमालेकी, और माओनी लोगों ने तुम पर अन्धेर किया; और तुम ने मेरी दोहाई दी, तब मैं ने तुम को उनके हाथ से भी न छुड़ाया?

Phir jab seedoni, aur amaleki, aur maoni logon ne tum par andher kiya; aur tum ne meri dohai di, tab main ne tum ko unke haath se bhi na chhudaya?

13

तौभी तुम ने मुझे त्यागकर पराये देवताओं की उपासना की है; इसलिये मैं फिर तुम को न छुड़ाऊंगा।

Taubhi tum ne mujhe tyagkar paraye devtaon ki upasna ki hai; isliye main phir tum ko na chhudaoonga.

14

जाओ, अपने माने हुए देवताओं की दोहाई दो; तुम्हारे संकट के समय वे ही तुम्हें छुड़ाएं।

Jao, apne mane hue devtaon ki dohai do; tumhare sankat ke samay ve hi tumhein chhudayen.

15

इस्राएलियों ने यहोवा से कहा, हम ने पाप किया है; इसलिये जो कुछ तेरी दृष्टि में भला हो वही हम से कर; परन्तु अभी हमें छुड़ा।

Israeliyon ne Yahowa se kaha, ham ne paap kiya hai; isliye jo kuchh teri drishti mein bhala ho vahi ham se kar; parantu abhi hamein chhuda.

16

तब वे पराए देवताओं को अपने मध्य में से दूर करके यहोवा की उपासना करने लगे; और वह इस्राएलियों के कष्ट के कारण खेदित हुआ॥

Tab ve paraye devtaon ko apne madhya mein se door karke Yahowa ki upasna karne lage; aur vah Israeliyon ke kasht ke karan khedit huaa.

17

तब अम्मोनियों ने इकट्ठे हो कर गिलाद में अपने डेरे डाले; और इस्राएलियों ने भी इकट्ठे हो कर मिस्पा में अपने डेरे डाले।

Tab ammoniyon ne ikatthe ho kar gilaad mein apne dere dale; aur Israeliyon ne bhi ikatthe ho kar mispa mein apne dere dale.

18

तब गिलाद के हाकिम एक दूसरे से कहने लगे, कौन पुरूष अम्मोनियों से संग्राम आरम्भ करेगा? वही गिलाद के सब निवासियों का प्रधान ठहरेगा॥

Tab gilaad ke hakim ek doosre se kahne lage, kaun puroosh ammoniyon se sangraam aarambh karega? Vahi gilaad ke sab nivasiyon ka pradhaan thahrega.