तब इस्राएलियों ने यहोवा की दृष्टि में बुरा किया, इसलिये यहोवा ने उन्हें मिद्यानियों के वश में सात वर्ष कर रखा।
Tab Israeliyon ne Yahowa ki drishti mein bura kiya, isliye Yahowa ne unhein midyaniyon ke vash mein saat varsh kar rakha.
Judges 6 · 40 verses
तब इस्राएलियों ने यहोवा की दृष्टि में बुरा किया, इसलिये यहोवा ने उन्हें मिद्यानियों के वश में सात वर्ष कर रखा।
Tab Israeliyon ne Yahowa ki drishti mein bura kiya, isliye Yahowa ne unhein midyaniyon ke vash mein saat varsh kar rakha.
और मिद्यानी इस्राएलियों पर प्रबल हो गए। मिद्यानियों के डर के मारे इस्राएलियों ने पहाड़ों के गहिरे खड्डों, और गुफाओं, और किलों को अपने निवास बना लिए।
Aur midyani Israeliyon par prabal ho gaye. Midyaniyon ke dar ke mare Israeliyon ne pahadon ke gahire khaddon, aur guphaon, aur kilon ko apne nivaas bana liye.
और जब जब इस्राएली बीज बोते तब तब मिद्यानी और अमालेकी और पूर्वी लोग उनके विरुद्ध चढ़ाई करके
Aur jab jab Israeli beej bote tab tab midyani aur amaleki aur poorvi log unke viruddh chadhai karke
अज्जा तक छावनी डाल डालकर भूमि की उपज नाश कर डालते थे, और इस्राएलियों के लिये न तो कुछ भोजनवस्तु, और न भेड़-बकरी, और न गाय-बैल, और न गदहा छोड़ते थे।
Ajja tak chhavni daal dalkar bhoomi ki upaj naash kar dalte the, aur Israeliyon ke liye na to kuchh bhojanvastu, aur na bhed-bakri, aur na gaay-bail, aur na gadha chhodte the.
क्योंकि वे अपने पशुओं और डेरों को लिए हुए चढ़ाई करते, और टिड्डियों के दल के समान बहुत आते थे; और उनके ऊंट भी अनगिनत होते थे; और वे देश को उजाड़ने के लिये उस में आया करते थे।
Kyonki ve apne pashuon aur deron ko liye hue chadhai karte, aur tiddiyon ke dal ke samaan bahut aate the; aur unke oont bhi anginat hote the; aur ve desh ko ujadne ke liye us mein aaya karte the.
और मिद्यानियों के कारण इस्राएली बड़ी दुर्दशा में पड़ गए; तब इस्राएलियों ने यहोवा की दोहाई दी॥
Aur midyaniyon ke karan Israeli badi durdasha mein pad gaye; tab Israeliyon ne Yahowa ki dohai di.
जब इस्राएलियों ने मिद्यानियों के कारण यहोवा की दोहाई दी,
Jab Israeliyon ne midyaniyon ke karan Yahowa ki dohai di,
तब यहोवा ने इस्राएलियों के पास एक नबी को भेजा, जिसने उन से कहा, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि मैं तुम को मिस्र में से ले आया, और दासत्व के घर से निकाल ले आया;
Tab Yahowa ne Israeliyon ke paas ek nabi ko bheja, jisne un se kaha, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki main tum ko Misr mein se le aaya, aur dasatva ke ghar se nikaal le aaya;
और मैं ने तुम को मिस्रियों के हाथ से, वरन जितने तुम पर अन्धेर करते थे उन सभों के हाथ से छुड़ाया, और उन को तुम्हारे साम्हने से बरबस निकाल कर उनका देश तुम्हें दे दिया;
Aur main ne tum ko misriyon ke haath se, varan jitne tum par andher karte the un sabhon ke haath se chhudaya, aur un ko tumhare samhane se barbas nikaal kar unka desh tumhein de diya;
और मैं ने तुम से कहा, कि मैं तुम्हारा परमेश्वर यहोवा हूं; एमोरी लोग जिनके देश में तुम रहते हो उनके देवताओं का भय न मानना। परन्तु तुम ने मेरा कहना नहीं माना॥
Aur main ne tum se kaha, ki main tumhara Parmeshwar Yahowa hoon; emori log jinke desh mein tum rahte ho unke devtaon ka bhay na manna. Parantu tum ne mera kahna nahi mana.
फिर यहोवा का दूत आकर उस बांजवृझ के तले बैठ गया, जो ओप्रा में अबीएजेरी योआश का था, और उसका पुत्र गिदोन एक दाखरस के कुण्ड में गेहूं इसलिये झाड़ रहा था कि उसे मिद्यानियों से छिपा रखे।
Phir Yahowa ka doot aakar us banjvrijh ke tale baith gaya, jo opra mein abeeyejeri yoaash ka tha, aur uska putra gidon ek dakhras ke kund mein gehun isliye jhaad raha tha ki use midyaniyon se chhipa rakhe.
उसको यहोवा के दूत ने दर्शन देकर कहा, हे शूरवीर सूरमा, यहोवा तेरे संग है।
Usko Yahowa ke doot ne darshan dekar kaha, he shoorveer soorma, Yahowa tere sang hai.
गिदोन ने उस से कहा, हे मेरे प्रभु, बिनती सुन, यदि यहोवा हमारे संग होता, तो हम पर यह सब विपत्ति क्यों पड़ती? और जितने आश्चर्यकर्मों का वर्णन हमारे पुरखा यह कहकर करते थे, कि क्या यहोवा हम को मिस्र से छुड़ा नहीं लाया, वे कहां रहे? अब तो यहोवा ने हम को त्याग दिया, और मिद्यानियों के हाथ कर दिया है।
Gidon ne us se kaha, he mere Prabhu, binti sun, yadi Yahowa hamare sang hota, to ham par yah sab vipatti kyon padti? Aur jitne aashcharyakarmon ka varnan hamare purkha yah kahkar karte the, ki kya Yahowa ham ko Misr se chhuda nahi laya, ve kahan rahe? Ab to Yahowa ne ham ko tyaag diya, aur midyaniyon ke haath kar diya hai.
तब यहोवा ने उस पर दृष्टि करके कहा, अपनी इसी शक्ति पर जा और तू इस्राएलियों को मिद्यानियों के हाथ से छुड़ाएगा; क्या मैं ने तुझे नहीं भेजा?
Tab Yahowa ne us par drishti karke kaha, apni isi shakti par ja aur tu Israeliyon ko midyaniyon ke haath se chhudayega; kya main ne tujhe nahi bheja?
उसने कहा, हे मेरे प्रभु, बिनती सुन, मैं इस्राएल को क्योंकर छुड़ाऊ? देख, मेरा कुल मनश्शे में सब से कंगाल है, फिर मैं अपने पिता के घराने में सब से छोटा हूं।
Usne kaha, he mere Prabhu, binti sun, main Israel ko kyonkar chhudau? Dekh, mera kul manashshe mein sab se kangaal hai, phir main apne pita ke gharane mein sab se chhota hoon.
यहोवा ने उस से कहा, निश्चय मैं तेरे संग रहूंगा; सो तू मिद्यानियों को ऐसा मार लेगा जैसा एक मनुष्य को।
Yahowa ne us se kaha, nishchay main tere sang rahoonga; so tu midyaniyon ko aisa maar lega jaisa ek manushya ko.
गिदोन ने उस से कहा, यदि तेरा अनुग्रह मुझ पर हो, तो मुझे इसका कोई चिन्ह दिखा कि तू ही मुझ से बातें कर रहा है।
Gidon ne us se kaha, yadi tera anugrah mujh par ho, to mujhe iska koi chinh dikha ki tu hi mujh se batein kar raha hai.
जब तक मैं तेरे पास फिर आकर अपनी भेंट निकाल कर तेरे साम्हने न रखूं, तब तक तू यहां से न जा। उसने कहा, मैं तेरे लौटने तक ठहरा रहूंगा।
Jab tak main tere paas phir aakar apni bhent nikaal kar tere samhane na rakhun, tab tak tu yahan se na ja. Usne kaha, main tere lautne tak thahra rahoonga.
तब गिदोन ने जा कर बकरी का एक बच्चा और एक एपा मैदे की अखमीरी रोटियां तैयार कीं; तब मांस को टोकरी में, और जूस को तसले में रखकर बांजवृझ के तले उसके पास ले जा कर दिया।
Tab gidon ne ja kar bakri ka ek bachcha aur ek epa maide ki akhmeeri rotiyan taiyaar ki; tab maans ko tokri mein, aur joos ko tasle mein rakhkar banjvrijh ke tale uske paas le ja kar diya.
परमेश्वर के दूत ने उस से कहा, मांस और अखमीरी रोटियों को ले कर इस चट्टान पर रख दे, और जूस को उण्डेल दे। उसने ऐसा ही किया।
Parmeshwar ke doot ne us se kaha, maans aur akhmeeri rotiyon ko le kar is chattaan par rakh de, aur joos ko undel de. Usne aisa hi kiya.
तब यहोवा के दूत ने अपने हाथ की लाठी को बढ़ाकर मांस और अखमीरी रोटियों को छूआ; और चट्टान से आग निकली जिस से मांस और अखमीरी रोटियां भस्म हो गई; तब यहोवा का दूत उसकी दृष्टि से अन्तरध्यान हो गया।
Tab Yahowa ke doot ne apne haath ki lathi ko badhakar maans aur akhmeeri rotiyon ko chhooaa; aur chattaan se aag nikli jis se maans aur akhmeeri rotiyan bhasm ho gai; tab Yahowa ka doot uski drishti se antaradhyaan ho gaya.
जब गिदोन ने जान लिया कि वह यहोवा का दूत था, तब गिदोन कहने लगा, हाय, प्रभु यहोवा! मैं ने तो यहोवा के दूत को साक्षात देखा है।
Jab gidon ne jaan liya ki vah Yahowa ka doot tha, tab gidon kahne laga, haay, Prabhu Yahowa! Main ne to Yahowa ke doot ko sakshaat dekha hai.
यहोवा ने उस से कहा, तुझे शान्ति मिले; मत डर, तू न मरेगा।
Yahowa ne us se kaha, tujhe shanti mile; mat dar, tu na marega.
तब गिदोन ने वहां यहोवा की एक वेदी बनाकर उसका नाम यहोवा शालोम रखा। वह आज के दिन तक अबीएजेरियों के ओप्रा में बनी है।
Tab gidon ne vahan Yahowa ki ek vedi banakar uska naam Yahowa shalom rakha. Vah aaj ke din tak abeeyejeriyon ke opra mein bani hai.
फिर उसी रात को यहोवा ने गिदोन से कहा, अपने पिता का जवान बैल, अर्थात दूसरा सात वर्ष का बैल ले, और बाल की जो वेदी तेरे पिता की है उसे गिरा दे, और जो अशेरा देवी उसके पास है उसे काट डाल;
Phir usi raat ko Yahowa ne gidon se kaha, apne pita ka javaan bail, arthaat doosra saat varsh ka bail le, aur baal ki jo vedi tere pita ki hai use gira de, aur jo ashera devi uske paas hai use kaat daal;
और उस दृढ़ स्थान की चोटी पर ठहराई हुई रीति से अपने परमेश्वर यहोवा की एक वेदी बना; तब उस दूसरे बैल को ले, और उस अशेरा की लकड़ी जो तू काट डालेगा जलाकर होमबलि चढ़ा।
Aur us dridh sthaan ki choti par thahrai hui reeti se apne Parmeshwar Yahowa ki ek vedi bana; tab us doosre bail ko le, aur us ashera ki lakdi jo tu kaat dalega jalakar homabli chadha.
तब गिदोन ने अपने संग दस दासों को ले कर यहोवा के वचन के अनुसार किया; परन्तु अपने पिता के घराने और नगर के लोगों के डर के मारे वह काम दिन को न कर सका, इसलिये रात में किया।
Tab gidon ne apne sang das dason ko le kar Yahowa ke vachan ke anusaar kiya; parantu apne pita ke gharane aur nagar ke logon ke dar ke mare vah kaam din ko na kar saka, isliye raat mein kiya.
बिहान को नगर के लोग सवेरे उठ कर क्या देखते हैं, कि बाल की वेदी गिरी पड़ी है, और उसके पास की अशेरा कटी पड़ी है, और दूसरा बैल बनाई हुई वेदी पर चढ़ाया हुआ है।
Bihaan ko nagar ke log savere uth kar kya dekhte hain, ki baal ki vedi giri padi hai, aur uske paas ki ashera kati padi hai, aur doosra bail banai hui vedi par chadhaya huaa hai.
तब वे आपस में कहने लगे, यह काम किस ने किया? और पूछपाछ और ढूंढ़-ढांढ़ करके वे कहने लगे, कि यह योआश के पुत्र गिदोन का काम है।
Tab ve aapas mein kahne lage, yah kaam kis ne kiya? Aur poochhpaachh aur dhoondh-dhaandh karke ve kahne lage, ki yah yoaash ke putra gidon ka kaam hai.
तब नगर के मनुष्यों ने योआश से कहा, अपने पुत्र को बाहर ले आ, कि मार डाला जाए, क्योंकि उसने बाल की वेदी को गिरा दिया है, और उसके पास की अशेरा को भी काट डाला है।
Tab nagar ke manushyon ne yoaash se kaha, apne putra ko bahar le aa, ki maar dala jaye, kyonki usne baal ki vedi ko gira diya hai, aur uske paas ki ashera ko bhi kaat dala hai.
योआश ने उन सभों से जो उसके साम्हने खड़े हुए थे कहा, क्या तुम बाल के लिये वाद विवाद करोगे? क्या तुम उसे बचाओगे? जो कोई उसके लिये वाद विवाद करे वह मार डाला जाएगा। बिहान तक ठहरे रहो; तब तक यदि वह परमेश्वर हो, तो जिसने उसकी वेदी गिराई है उस से वह आप ही अपना वाद विवाद करे।
Yoaash ne un sabhon se jo uske samhane khade hue the kaha, kya tum baal ke liye vaad vivaad karoge? Kya tum use bachaoge? Jo koi uske liye vaad vivaad kare vah maar dala jayega. Bihaan tak thahre raho; tab tak yadi vah Parmeshwar ho, to jisne uski vedi girai hai us se vah aap hi apna vaad vivaad kare.
इसलिये उस दिन गिदोन का नाम यह कहकर यरूब्बाल रखा गया, कि इस ने जो बाल की वेदी गिराई है तो इस पर बाल आप वाद विवाद कर ले॥
Isliye us din gidon ka naam yah kahkar yaroobbaal rakha gaya, ki is ne jo baal ki vedi girai hai to is par baal aap vaad vivaad kar le.
इसके बाद सब मिद्यानी और अमालेकी और पूर्वी इकट्ठे हुए, और पार आकर यिज्रेल की तराई में डेरे डाले।
Iske baad sab midyani aur amaleki aur poorvi ikatthe hue, aur paar aakar yijrel ki tarai mein dere dale.
तब यहोवा का आत्मा गिदोन में समाया; और उसने नरसिंगा फूंका, तब अबीएजेरी उसकी सुनने के लिये इकट्ठे हुए।
Tab Yahowa ka aatma gidon mein samaya; aur usne narsinga phoonka, tab abeeyejeri uski sunne ke liye ikatthe hue.
फिर उसने कुल मनश्शे के पास अपने दूत भेजे; और वे भी उसके समीप इकट्ठे हुए। और उसने आशेर, जबूलून, और नप्ताली के पास भी दूत भेजे; तब वे भी उस से मिलने को चले आए।
Phir usne kul manashshe ke paas apne doot bheje; aur ve bhi uske sameep ikatthe hue. Aur usne aasher, jabooloon, aur naptali ke paas bhi doot bheje; tab ve bhi us se milne ko chale aaye.
तब गिदोन ने परमेश्वर से कहा, यदि तू अपने वचन के अनुसार इस्राएल को मेरे द्वारा छुड़ाएगा,
Tab gidon ne Parmeshwar se kaha, yadi tu apne vachan ke anusaar Israel ko mere dwara chhudayega,
तो सुन, मैं एक भेड़ी की ऊन खलिहान में रखूंगा, और यदि ओस केवल उस ऊन पर पड़े, और उसे छोड़ सारी भूमि सूखी रह जाए, तो मैं जान लूंगा कि तू अपने वचन के अनुसार इस्राएल को मेरे द्वारा छुड़ाएगा।
To sun, main ek bhedi ki oon khalihaan mein rakhoonga, aur yadi os keval us oon par pade, aur use chhod sari bhoomi sookhi rah jaye, to main jaan loonga ki tu apne vachan ke anusaar Israel ko mere dwara chhudayega.
और ऐसा ही हुआ। इसलिये जब उसने बिहान को सबेरे उठ कर उस ऊन को दबाकर उस में से ओस निचोड़ी, तब एक कटोरा भर गया।
Aur aisa hi huaa. Isliye jab usne bihaan ko sabere uth kar us oon ko dabakar us mein se os nichodi, tab ek katora bhar gaya.
फिर गिदोन ने परमेश्वर से कहा, यदि मैं एक बार फिर कहूं, तो तेरा क्रोध मुझ पर न भड़के; मैं इस ऊन से एक बार और भी तेरी परीक्षा करूं, अर्थात केवल ऊन ही सूखी रहे, और सारी भूमि पर ओस पड़े।
Phir gidon ne Parmeshwar se kaha, yadi main ek baar phir kahun, to tera krodh mujh par na bhadke; main is oon se ek baar aur bhi teri pareeksha karun, arthaat keval oon hi sookhi rahe, aur sari bhoomi par os pade.
इस रात को परमेश्वर ने ऐसा ही किया; अर्थात केवल ऊन ही सूखी रह गई, और सारी भूमि पर ओस पड़ी॥
Is raat ko Parmeshwar ne aisa hi kiya; arthaat keval oon hi sookhi rah gai, aur sari bhoomi par os padi.