Judges 3 · 31 verses

न्यायियों 3 Judges 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nyayiyon 3.

1

इस्राएलियों में से जितने कनान में की लड़ाईयों में भागी न हुए थे, उन्हें परखने के लिये यहोवा ने इन जातियों को देश में इसलिये रहने दिया;

Israeliyon mein se jitne kanaan mein ki ladaiyon mein bhagi na hue the, unhein parakhne ke liye Yahowa ne in jatiyon ko desh mein isliye rahne diya;

2

कि पीढ़ी पीढ़ी के इस्राएलियों में से जो लड़ाई को पहिले न जानते थे वे सीखें, और जान लें,

Ki peedhi peedhi ke Israeliyon mein se jo ladai ko pahile na jante the ve seekhein, aur jaan lein,

3

अर्थात पांचो सरदारों समेत पलिश्तियों, और सब कनानियों, और सीदोनियों, और बालहेर्मोन नाम पहाड़ से ले कर हमात की तराई तक लबानोन पर्वत में रहने वाले हिव्वियों को।

Arthaat pancho sardaron samet palishtiyon, aur sab kananiyon, aur seedoniyon, aur balhermon naam pahaad se le kar hamaat ki tarai tak labanon parvat mein rahne vale hivviyon ko.

4

ये इसलिये रहने पाए कि उनके द्वारा इस्राएलियों की बात में परीक्षा हो, कि जो आज्ञाएं यहोवा ने मूसा के द्वारा उनके पूर्वजों को दिलाई थीं, उन्हें वे मानेंगे वा नहीं।

Ye isliye rahne paye ki unke dwara Israeliyon ki baat mein pareeksha ho, ki jo aagyayen Yahowa ne Musa ke dwara unke poorvajon ko dilai thi, unhein ve manenge va nahi.

5

इसलिये इस्राएली कनानियों, हित्तियों, एमोरियों, परिज्जियों, हिव्वियों, और यबूसियों के बीच में बस गए;

Isliye Israeli kananiyon, hittiyon, emoriyon, parijjiyon, hivviyon, aur yaboosiyon ke beech mein bas gaye;

6

तब वे उनकी बेटियां ब्याह में लेने लगे, और अपनी बेटियां उनके बेटों को ब्याह में देने लगे; और उनके देवताओं की भी उपासना करने लगे॥

Tab ve unki betiyan byaah mein lene lage, aur apni betiyan unke beton ko byaah mein dene lage; aur unke devtaon ki bhi upasna karne lage.

7

इस प्रकार इस्राएलियों ने यहोवा की दृष्टि में बुरा किया, और अपने परमेश्वर यहोवा को भूलकर बाल नाम देवताओं और अशेरा नाम देवियों की उपासना करने लग गए।

Is prakaar Israeliyon ne Yahowa ki drishti mein bura kiya, aur apne Parmeshwar Yahowa ko bhoolkar baal naam devtaon aur ashera naam deviyon ki upasna karne lag gaye.

8

तब यहोवा का क्रोध इस्राएलियों पर भड़का, और उसने उन को अरम्नहरैम के राजा कूशत्रिशातैम के आधीन कर दिया; सो इस्राएली आठ वर्ष तक कूशत्रिशातैम के आधीन में रहे।

Tab Yahowa ka krodh Israeliyon par bhadka, aur usne un ko aramnahraim ke raja kooshatrishataim ke aadheen kar diya; so Israeli aath varsh tak kooshatrishataim ke aadheen mein rahe.

9

तब इस्राएलियों ने यहोवा की दोहाई दी, और उसने इस्राएलियों के लिये कालेब के छोटे भाई ओत्नीएल नाम एक कनजी छुड़ाने वाले को ठहराया, और उसने उन को छुड़ाया।

Tab Israeliyon ne Yahowa ki dohai di, aur usne Israeliyon ke liye kaleb ke chhote bhai otneeyel naam ek kanji chhudane vale ko thahraya, aur usne un ko chhudaya.

10

उस में यहोवा का आत्मा समाया, और वह इस्राएलियों का न्यायी बन गया, और लड़ने को निकला, और यहोवा ने अराम के राजा कूशत्रिशातैम को उसके हाथ में कर दिया; और वह कूशत्रिशातैम पर जयवन्त हुआ।

Us mein Yahowa ka aatma samaya, aur vah Israeliyon ka nyayi ban gaya, aur ladne ko nikla, aur Yahowa ne araam ke raja kooshatrishataim ko uske haath mein kar diya; aur vah kooshatrishataim par jayvant huaa.

11

तब चालीस वर्ष तक देश में शान्ति बनी रही। और उन्हीं दिनों में कन्जी ओत्नीएल मर गया॥

Tab chalees varsh tak desh mein shanti bani rahi. Aur unhi dinon mein kanji otneeyel mar gaya.

12

तब इस्राएलियों ने फिर यहोवा की दृष्टि में बुरा किया; और यहोवा ने मोआब के राजा एग्लोन को इस्राएल पर प्रबल किया, क्योंकि उन्होंने यहोवा की दृष्टि में बुरा किया था।

Tab Israeliyon ne phir Yahowa ki drishti mein bura kiya; aur Yahowa ne moaab ke raja eglon ko Israel par prabal kiya, kyonki unhonne Yahowa ki drishti mein bura kiya tha.

13

इसलिये उसने अम्मोनियों और अमालेकियों को अपने पास इकट्ठा किया, और जा कर इस्राएल को मार लिया; और खजूर वाले नगर को अपने वश में कर लिया।

Isliye usne ammoniyon aur amalekiyon ko apne paas ikattha kiya, aur ja kar Israel ko maar liya; aur khajoor vale nagar ko apne vash mein kar liya.

14

तब इस्राएली अठारह वर्ष तक मोआब के राजा एग्लोन के आधीन में रहे।

Tab Israeli atharah varsh tak moaab ke raja eglon ke aadheen mein rahe.

15

फिर इस्राएलियों ने यहोवा की दोहाई दी, और उसने गेरा के पुत्र एहूद नाम एक बिन्यामीनी को उनका छुड़ाने वाला ठहराया; वह बैंहत्था था। इस्राएलियों ने उसी के हाथ से मोआब के राजा एग्लोन के पास कुछ भेंट भेजी।

Phir Israeliyon ne Yahowa ki dohai di, aur usne gera ke putra ehood naam ek binyameeni ko unka chhudane vala thahraya; vah bainhattha tha. Israeliyon ne usi ke haath se moaab ke raja eglon ke paas kuchh bhent bheji.

16

एहूद ने हाथ भर लम्बी एक दोधारी तलवार बनवाई थी, और उसको अपने वस्त्र के नीचे दाहिनी जांघ पर लटका लिया।

Ehood ne haath bhar lambi ek dodhari talvaar banvai thi, aur usko apne vastra ke neeche dahini jaangh par latka liya.

17

तब वह उस भेंट को मोआब के राजा एग्लोन के पास जो बड़ा मोटा पुरूष था ले गया।

Tab vah us bhent ko moaab ke raja eglon ke paas jo bada mota puroosh tha le gaya.

18

जब वह भेंट को दे चुका, तब भेंट के लाने वाले को विदा किया।

Jab vah bhent ko de chuka, tab bhent ke lane vale ko vida kiya.

19

परन्तु वह आप गिलगाल के निकट की खुदी हुई मूरतों के पास लौट गया, और एग्लोन के पास कहला भेजा, कि हे राजा, मुझे तुझ से एक भेद की बात कहनी है। तब राजा ने कहा, थोड़ी देर के लिये बाहर जाओ। तब जितने लोग उसके पास उपस्थित थे वे सब बाहर चले गए।

Parantu vah aap gilgaal ke nikat ki khudi hui moorton ke paas laut gaya, aur eglon ke paas kahla bheja, ki he raja, mujhe tujh se ek bhed ki baat kahni hai. Tab raja ne kaha, thodi der ke liye bahar jao. Tab jitne log uske paas upasthit the ve sab bahar chale gaye.

20

तब एहूद उसके पास गया; वह तो अपनी एक हवादार अटारी में अकेला बैठा था। एहूद ने कहा, परमेश्वर की ओर से मुझे तुझ से एक बात कहनी है। तब वह गद्दी पर से उठ खड़ा हुआ।

Tab ehood uske paas gaya; vah to apni ek havadaar atari mein akela baitha tha. Ehood ne kaha, Parmeshwar ki or se mujhe tujh se ek baat kahni hai. Tab vah gaddi par se uth khada huaa.

21

इतने में एहूद ने अपना बायां हाथ बढ़ाकर अपनी दाहिनी जांघ पर से तलवार खींचकर उसकी तोंद में घुसेड़ दी;

Itne mein ehood ne apna bayan haath badhakar apni dahini jaangh par se talvaar kheenchkar uski tond mein ghused di;

22

और फल के पीछे मूठ भी पैठ गई, ओर फल चर्बी में धंसा रहा, क्योंकि उसने तलवार को उसकी तोंद में से न निकाला; वरन वह उसके आरपार निकल गई।

Aur phal ke peechhe mooth bhi paith gai, or phal charbi mein dhansa raha, kyonki usne talvaar ko uski tond mein se na nikala; varan vah uske aarpaar nikal gai.

23

तब एहूद छज्जे से निकलकर बाहर गया, और अटारी के किवाड़ खींचकर उसको बन्द करके ताला लगा दिया।

Tab ehood chhajje se nikalkar bahar gaya, aur atari ke kivaad kheenchkar usko band karke tala laga diya.

24

उसके निकल जाते ही राजा के दास आए, तो क्या देखते हैं, कि अटारी के किवाड़ों में ताला लगा है; इस कारण वे बोले, कि निश्चय वह हवादार कोठरी में लघुशंका करता होगा।

Uske nikal jate hi raja ke daas aaye, to kya dekhte hain, ki atari ke kivadon mein tala laga hai; is karan ve bole, ki nishchay vah havadaar kothri mein laghushanka karta hoga.

25

वे बाट जोहते जोहते लज्जित हो गए; तब यह देखकर कि वह अटारी के किवाड़ नहीं खोलता, उन्होंने कुंजी ले कर किवाड़ खोले तो क्या देखा, कि उनका स्वामी भूमि पर मरा पड़ा है।

Ve baat johte johte lajjit ho gaye; tab yah dekhkar ki vah atari ke kivaad nahi kholta, unhonne kunji le kar kivaad khole to kya dekha, ki unka swami bhoomi par mara pada hai.

26

जब तक वे सोच विचार कर ही रहे थे तब तक एहूद भाग निकला, और खूदी हुई मूरतों की परली ओर हो कर सेइरे में जा कर शरण ली।

Jab tak ve soch vichaar kar hi rahe the tab tak ehood bhaag nikla, aur khoodi hui moorton ki parli or ho kar seire mein ja kar sharan li.

27

वहां पहुंचकर उसने एप्रैम के पहाड़ी देश में नरसिंगा फूंका; तब इस्राएली उसके संग हो कर पहाड़ी देश से उसके पीछे पीछे नीचे गए।

Vahan pahunchkar usne epraim ke pahadi desh mein narsinga phoonka; tab Israeli uske sang ho kar pahadi desh se uske peechhe peechhe neeche gaye.

28

और उसने उन से कहा, मेरे पीछे पीछे चले आओ; क्योंकि यहोवा ने तुम्हारे मोआबी शत्रुओं को तुम्हारे हाथ में कर दिया है। तब उन्होंने उसके पीछे पीछे जाके यरदन के घाटों को जो मोआब देश की ओर है ले लिया, और किसी को उतरने न दिया।

Aur usne un se kaha, mere peechhe peechhe chale aao; kyonki Yahowa ne tumhare moaabi shatruon ko tumhare haath mein kar diya hai. Tab unhonne uske peechhe peechhe jake yardan ke ghaton ko jo moaab desh ki or hai le liya, aur kisi ko utarne na diya.

29

उस समय उन्होंने कोई दस हजार मोआबियों को मार डाला; वे सब के सब हृष्ट पुष्ट और शूरवीर थे, परन्तु उन में से एक भी न बचा।

Us samay unhonne koi das hajaar moaabiyon ko maar dala; ve sab ke sab hrisht pusht aur shoorveer the, parantu un mein se ek bhi na bacha.

30

इस प्रकार उस समय मोआब इस्राएल के हाथ के तले दब गया। तब अस्सी वर्ष तक देश में शान्ति बनी रही॥

Is prakaar us samay moaab Israel ke haath ke tale dab gaya. Tab assi varsh tak desh mein shanti bani rahi.

31

उसके बाद अनात का पुत्र शमगर हुआ, उसने छ: सौ पलिश्ती पुरूषों को बैल के पैने से मार डाला; इस कारण वह भी इस्राएल का छुड़ाने वाला हुआ॥

Uske baad anaat ka putra shamgar huaa, usne chha: sau palishti purooshon ko bail ke paine se maar dala; is karan vah bhi Israel ka chhudane vala huaa.