Judges 2 · 23 verses

न्यायियों 2 Judges 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nyayiyon 2.

1

और यहोवा का दूत गिलगाल से बोकीम को जा कर कहने लगा, कि मैं ने तुम को मिस्र से ले आकर इस देश में पहुंचाया है, जिसके विषय में मैं ने तुम्हारे पुरखाओं से शपथ खाई थी। और मैं ने कहा था, कि जो वाचा मैं ने तुम से बान्धी है, उसे मैं कभी न तोडूंगा;

Aur Yahowa ka doot gilgaal se bokeem ko ja kar kahne laga, ki main ne tum ko Misr se le aakar is desh mein pahunchaya hai, jiske vishay mein main ne tumhare purkhaon se shapath khai thi. Aur main ne kaha tha, ki jo vacha main ne tum se bandhi hai, use main kabhi na todoonga;

2

इसलिये तुम इस देश के निवासियों वाचा न बान्धना; तुम उनकी वेदियों को ढा देना। परन्तु तुम ने मेरी बात नहीं मानी। तुम ने ऐसा क्यों किया है?

Isliye tum is desh ke nivasiyon vacha na bandhana; tum unki vediyon ko dha dena. Parantu tum ne meri baat nahi mani. Tum ne aisa kyon kiya hai?

3

इसलिये मैं कहता हूं, कि मैं उन लोगों को तुम्हारे साम्हने से न निकालूंगा; और वे तुम्हारे पांजर में कांटे, और उनके देवता तुम्हारे लिये फंदे ठहरेंगे।

Isliye main kahta hoon, ki main un logon ko tumhare samhane se na nikaloonga; aur ve tumhare panjar mein kante, aur unke devta tumhare liye phande thahrenge.

4

जब यहोवा के दूत ने सारे इस्राएलियों से ये बातें कहीं, तब वे लोग चिल्ला चिल्लाकर रोने लगे।

Jab Yahowa ke doot ne sare Israeliyon se ye batein kahi, tab ve log chilla chillakar rone lage.

5

और उन्होंने उस स्थान का नाम बोकीम रखा। और वहां उन्होंने यहोवा के लिये बलि चढ़ाया॥

Aur unhonne us sthaan ka naam bokeem rakha. Aur vahan unhonne Yahowa ke liye bali chadhaya.

6

जब यहोशू ने लोगों को विदा किया था, तब इस्राएली देश को अपने अधिकार में कर लेने के लिये अपने अपने निज भाग पर गए।

Jab yahoshu ne logon ko vida kiya tha, tab Israeli desh ko apne adhikaar mein kar lene ke liye apne apne nij bhaag par gaye.

7

और यहोशू के जीवन भर, और उन वृद्ध लोगों के जीवन भर जो यहोशू के मरने के बाद जीवित रहे और देख चुके थे कि यहोवा ने इस्राएल के लिये कैसे कैसे बड़े काम किए हैं, इस्राएली लोग यहोवा की सेवा करते रहे।

Aur yahoshu ke jeevan bhar, aur un vriddh logon ke jeevan bhar jo yahoshu ke marne ke baad jeevit rahe aur dekh chuke the ki Yahowa ne Israel ke liye kaise kaise bade kaam kiye hain, Israeli log Yahowa ki seva karte rahe.

8

निदान यहोवा का दास नून का पुत्र यहोशू एक सौ दस वर्ष का हो कर मर गया।

Nidaan Yahowa ka daas noon ka putra yahoshu ek sau das varsh ka ho kar mar gaya.

9

और उसको तिम्नथेरेस में जो एप्रैम के पहाड़ी देश में गाश नाम पहाड़ की उत्तर अलंग पर है, उसी के भाग में मिट्टी दी गई।

Aur usko timnatheres mein jo epraim ke pahadi desh mein gaash naam pahaad ki uttar alang par hai, usi ke bhaag mein mitti di gai.

10

और उस पीढ़ी के सब लोग भी अपने अपने पितरों में मिल गए; तब उसके बाद जो दूसरी पीढ़ी हुई उसके लोग न तो यहोवा को जानते थे और न उस काम को जो उसने इस्राएल के लिये किया था॥

Aur us peedhi ke sab log bhi apne apne pitron mein mil gaye; tab uske baad jo doosri peedhi hui uske log na to Yahowa ko jante the aur na us kaam ko jo usne Israel ke liye kiya tha.

11

इसलिये इस्राएली वह करने लगे जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है, और बाल नाम देवताओं की उपासना करने लगे;

Isliye Israeli vah karne lage jo Yahowa ki drishti mein bura hai, aur baal naam devtaon ki upasna karne lage;

12

वे अपने पूर्वजों के परमेश्वर यहोवा को, जो उन्हें मिस्र देश से निकाल लाया था, त्यागकर पराये देवताओं की उपासना करने लगे, और उन्हें दण्डवत किया; और यहोवा को रिस दिलाई।

Ve apne poorvajon ke Parmeshwar Yahowa ko, jo unhein Misr desh se nikaal laya tha, tyagkar paraye devtaon ki upasna karne lage, aur unhein dandavat kiya; aur Yahowa ko ris dilai.

13

वे यहोवा को त्याग कर के बाल देवताओं और अशतोरेत देवियों की उपासना करने लगे।

Ve Yahowa ko tyaag kar ke baal devtaon aur ashtoret deviyon ki upasna karne lage.

14

इसलिये यहोवा का कोप इस्राएलियों पर भड़क उठा, और उसने उन को लुटेरों के हाथ में कर दिया जो उन्हें लूटने लगे; और उसने उन को चारों ओर के शत्रुओं के आधीन कर दिया; और वे फिर अपने शत्रुओं के साम्हने ठहर न सके।

Isliye Yahowa ka kop Israeliyon par bhadak utha, aur usne un ko luteron ke haath mein kar diya jo unhein lootne lage; aur usne un ko charon or ke shatruon ke aadheen kar diya; aur ve phir apne shatruon ke samhane thahar na sake.

15

जहां कहीं वे बाहर जाते वहां यहोवा का हाथ उनकी बुराई में लगा रहता था, जैसे यहोवा ने उन से कहा था, वरन यहोवा ने शपथ खाई थी; इस प्रकार से बड़े संकट में पड़ गए।

Jahan kahi ve bahar jate vahan Yahowa ka haath unki burai mein laga rahta tha, jaise Yahowa ne un se kaha tha, varan Yahowa ne shapath khai thi; is prakaar se bade sankat mein pad gaye.

16

तौभी यहोवा उनके लिये न्यायी ठहराता था जो उन्हें लूटने वाले के हाथ से छुड़ाते थे।

Taubhi Yahowa unke liye nyayi thahrata tha jo unhein lootne vale ke haath se chhudate the.

17

परन्तु वे अपने न्यायियों की भी नहीं मानते थे; वरन व्यभिचारिन की नाईं पराये देवताओं के पीछे चलते और उन्हें दण्डवत करते थे; उनके पूर्वज जो यहोवा की आज्ञाएं मानते थे, उनकी उस लीक को उन्होंने शीघ्र ही छोड़ दिया, और उनके अनुसार न किया।

Parantu ve apne nyayiyon ki bhi nahi mante the; varan vyabhicharin ki nai paraye devtaon ke peechhe chalte aur unhein dandavat karte the; unke poorvaj jo Yahowa ki aagyayen mante the, unki us leek ko unhonne sheeghra hi chhod diya, aur unke anusaar na kiya.

18

और जब जब यहोवा उनके लिये न्यायी को ठहराता तब तब वह उस न्यायी के संग रहकर उसके जीवन भर उन्हें शत्रुओं के हाथ से छुड़ाता था; क्योंकि यहोवा उनका कराहना जो अन्धेर और उपद्रव करने वालों के कारण होता था सुनकर दु:खी था।

Aur jab jab Yahowa unke liye nyayi ko thahrata tab tab vah us nyayi ke sang rahkar uske jeevan bhar unhein shatruon ke haath se chhudata tha; kyonki Yahowa unka karahna jo andher aur upadrav karne valon ke karan hota tha sunkar dukhi tha.

19

परन्तु जब न्यायी मर जाता, तब वे फिर पराये देवताओं के पीछे चलकर उनकी उपासना करते, और उन्हें दण्डवत करके अपने पुरखाओं से अधिक बिगड़ जाते थे; और अपने बुरे कामों और हठीली चाल को नहीं छोड़ते थे।

Parantu jab nyayi mar jata, tab ve phir paraye devtaon ke peechhe chalkar unki upasna karte, aur unhein dandavat karke apne purkhaon se adhik bigad jate the; aur apne bure kamon aur hatheeli chaal ko nahi chhodte the.

20

इसलिये यहोवा का कोप इस्राएल पर भड़क उठा; और उसने कहा, इस जाति ने उस वाचा को जो मैं ने उनके पूर्वजों से बान्धी थी तोड़ दिया, और मेरी बात नहीं मानी,

Isliye Yahowa ka kop Israel par bhadak utha; aur usne kaha, is jati ne us vacha ko jo main ne unke poorvajon se bandhi thi tod diya, aur meri baat nahi mani,

21

इस कारण जिन जातियों को यहोशू मरते समय छोड़ गया है उन में से मैं अब किसी को उनके साम्हने से न निकालूंगा;

Is karan jin jatiyon ko yahoshu marte samay chhod gaya hai un mein se main ab kisi ko unke samhane se na nikaloonga;

22

जिस से उनके द्वारा मैं इस्राएलियों की परीक्षा करूं, कि जैसे उनके पूर्वज मेरे मार्ग पर चलते थे वैसे ही ये भी चलेंगे कि नहीं।

Jis se unke dwara main Israeliyon ki pareeksha karun, ki jaise unke poorvaj mere maarg par chalte the vaise hi ye bhi chalenge ki nahi.

23

इसलिये यहोवा ने उन जातियों को एकाएक न निकाला, वरन रहने दिया, और उसने उन्हें यहोशू के हाथ में भी उन को न सौंपा था॥

Isliye Yahowa ne un jatiyon ko ekayek na nikala, varan rahne diya, aur usne unhein yahoshu ke haath mein bhi un ko na saumpa tha.