इस्राएली पुरूषों ने तो मिस्पा में शपथ खाकर कहा था, कि हम में कोई अपनी बेटी किसी बिन्यामीनी को न ब्याह देगा।
Israeli purooshon ne to mispa mein shapath khakar kaha tha, ki ham mein koi apni beti kisi binyameeni ko na byaah dega.
Judges 21 · 25 verses
इस्राएली पुरूषों ने तो मिस्पा में शपथ खाकर कहा था, कि हम में कोई अपनी बेटी किसी बिन्यामीनी को न ब्याह देगा।
Israeli purooshon ne to mispa mein shapath khakar kaha tha, ki ham mein koi apni beti kisi binyameeni ko na byaah dega.
वे बेतेल को जा कर सांझ तक परमेश्वर के साम्हने बैठे रहे, और फूट फूटकर बहुत रोते रहे।
Ve betel ko ja kar saanjh tak Parmeshwar ke samhane baithe rahe, aur phoot phootkar bahut rote rahe.
और कहते थे, हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा, इस्राएल में ऐसा क्यों होने पाया, कि आज इस्राएल में एक गोत्र की घटी हुई है?
Aur kahte the, he Israel ke Parmeshwar Yahowa, Israel mein aisa kyon hone paya, ki aaj Israel mein ek gotra ki ghati hui hai?
फिर दूसरे दिन उन्होंने सवेरे उठ वहां वेदी बनाकर होमबलि और मेलबलि चढ़ाए।
Phir doosre din unhonne savere uth vahan vedi banakar homabli aur melabli chadhaye.
तब इस्राएली पूछने लगे, इस्राएल के सारे गोत्रों में से कौन है जो यहोवा के पास सभा में न आया था? उन्होंने तो भारी शपथ खाकर कहा था, कि जो कोई मिस्पा को यहोवा के पास न आए वह निश्चय मार डाला जाएगा।
Tab Israeli poochhne lage, Israel ke sare gotron mein se kaun hai jo Yahowa ke paas sabha mein na aaya tha? Unhonne to bhari shapath khakar kaha tha, ki jo koi mispa ko Yahowa ke paas na aaye vah nishchay maar dala jayega.
तब इस्राएली अपने भाई बिन्यामीन के विषय में यह कहकर पछताने लगे, कि आज इस्राएल में से एक गोत्र कट गया है।
Tab Israeli apne bhai binyameen ke vishay mein yah kahkar pachhtane lage, ki aaj Israel mein se ek gotra kat gaya hai.
हम ने जो यहोवा की शपथ खाकर कहा है, कि हम उन्हें अपनी किसी बेटी को न ब्याह देंगे, इसलिये बचे हुओं को स्त्रियां मिलने के लिये क्या करें?
Ham ne jo Yahowa ki shapath khakar kaha hai, ki ham unhein apni kisi beti ko na byaah denge, isliye bache huon ko striyan milne ke liye kya karein?
जब उन्होंने यह पूछा, कि इस्राएल के गोत्रों में से कौन है जो मिस्पा को यहोवा के पास न आया था? तब यह मालूम हुआ, कि गिलादी यावेश से कोई छावनी में सभा को न आया था।
Jab unhonne yah poochha, ki Israel ke gotron mein se kaun hai jo mispa ko Yahowa ke paas na aaya tha? Tab yah maloom huaa, ki giladi yavesh se koi chhavni mein sabha ko na aaya tha.
अर्थात जब लोगों की गिनती की गई, तब यह जाना गया कि गिलादी यावेश के निवासियों में से कोई यहां नहीं है।
Arthaat jab logon ki ginti ki gai, tab yah jana gaya ki giladi yavesh ke nivasiyon mein se koi yahan nahi hai.
इसलिये मण्डली ने बारह हजार शूरवीरों को वहां यह आज्ञा देकर भेज दिया, कि तुम जा कर स्त्रियों और बालबच्चों समेत गिलादी यावेश को तलवार से नाश करो।
Isliye mandali ne barah hajaar shoorveeron ko vahan yah aagya dekar bhej diya, ki tum ja kar striyon aur balbachchon samet giladi yavesh ko talvaar se naash karo.
और तुम्हें जो करना होगा वह यह है, कि सब पुरूषों को और जितनी स्त्रियों ने पुरूष का मुंह देखा हो उन को सत्यानाश कर डालना।
Aur tumhein jo karna hoga vah yah hai, ki sab purooshon ko aur jitni striyon ne puroosh ka munh dekha ho un ko satyanaash kar dalna.
और उन्हें गिलादी यावेश के निवासियों में से चार सौ जवान कुमारियां मिलीं जिन्होंने पुरूष का मुंह नहीं देखा था; और उन्हें वे शीलो को जो कनान देश में है छावनी में ले आए॥
Aur unhein giladi yavesh ke nivasiyon mein se chaar sau javaan kumariyan mili jinhonne puroosh ka munh nahi dekha tha; aur unhein ve sheelo ko jo kanaan desh mein hai chhavni mein le aaye.
तब सारी मण्डली ने उन बिन्यामीनियों के पास जो रिम्मोन नाम चट्टान पर थे कहला भेजा, और उन से संधि का प्रचार कराया।
Tab sari mandali ne un binyameeniyon ke paas jo rimmon naam chattaan par the kahla bheja, aur un se sandhi ka prachaar karaya.
तब बिन्यामीन उसी समय लौट गए; और उन को वे स्त्रियां दी गईं जो गिलादी यावेश की स्त्रियों में से जीवित छोड़ी गईं थीं; तौभी वे उनके लिये थोड़ी थीं।
Tab binyameen usi samay laut gaye; aur un ko ve striyan di gai jo giladi yavesh ki striyon mein se jeevit chhodi gai thi; taubhi ve unke liye thodi thi.
तब लोग बिन्यामीन के विषय फिर यह कहके पछताथे, कि यहोवा ने इस्राएल के गोत्रों में घटी की है।
Tab log binyameen ke vishay phir yah kahke pachhtathe, ki Yahowa ne Israel ke gotron mein ghati ki hai.
तब मण्डली के वृद्ध गोत्रों ने कहा, कि बिन्यामीनी स्त्रियां जो नाश हुई हैं, तो बचे हुए पुरूषों के लिये स्त्री पाने का हम क्या उपाय करें?
Tab mandali ke vriddh gotron ne kaha, ki binyameeni striyan jo naash hui hain, to bache hue purooshon ke liye stri pane ka ham kya upaay karein?
फिर उन्होंने कहा, बचे हुए बिन्यामीनियों के लिये कोई भाग चाहिये, ऐसा न हो कि इस्राएल में से एक गोत्र मिट जाए।
Phir unhonne kaha, bache hue binyameeniyon ke liye koi bhaag chahiye, aisa na ho ki Israel mein se ek gotra mit jaye.
परन्तु हम तो अपनी किसी बेटी को उन्हें ब्याह नहीं दे सकते, क्योंकि इस्राएलियों ने यह कहकर शपथ खाई है कि शापित हो वह जो किसी बिन्यामीनी को अपनी लड़की ब्याह दे।
Parantu ham to apni kisi beti ko unhein byaah nahi de sakte, kyonki Israeliyon ne yah kahkar shapath khai hai ki shapit ho vah jo kisi binyameeni ko apni ladki byaah de.
फिर उन्होंने कहा, सुनो, शीलो जो बेतेल की उत्तर ओर, और उस सड़क की पूर्व ओर है जो बेतेल से शकेम को चली गई है, और लाबोना की दक्खिन ओर है, उस में प्रति वर्ष यहोवा का एक पर्व माना जाता है।
Phir unhonne kaha, suno, sheelo jo betel ki uttar or, aur us sadak ki poorva or hai jo betel se shakem ko chali gai hai, aur labona ki dakkhin or hai, us mein prati varsh Yahowa ka ek parva mana jata hai.
इसलिये उन्होंने बिन्यामीनियों को यह आज्ञा दी, कि तुम जा कर दाख की बारियों के बीच घात लगाए बैठे रहो,
Isliye unhonne binyameeniyon ko yah aagya di, ki tum ja kar daakh ki bariyon ke beech ghaat lagaye baithe raho,
और देखते रहो; और यदि शीलो की लड़कियां नाचने को निकलें, तो तुम दाख की बारियों से निकलकर शीलो की लड़कियों में से अपनी अपनी स्त्री को पकड़कर बिन्यामीन के देश को चले जाना।
Aur dekhte raho; aur yadi sheelo ki ladkiyan nachne ko niklein, to tum daakh ki bariyon se nikalkar sheelo ki ladkiyon mein se apni apni stri ko pakadkar binyameen ke desh ko chale jana.
और जब उनके पिता वा भाई हमारे पास झगड़ने को आएंगे, तब हम उन से कहेंगे, कि अनुग्रह करके उन को हमें दे दो, क्योंकि लड़ाई के समय हम ने उन में से एक एक के लिये स्त्री नहीं बचाई; और तुम लोगों ने तो उन को ब्याह नहीं दिया, नहीं तो तुम अब दोषी ठहरते।
Aur jab unke pita va bhai hamare paas jhagadne ko aayenge, tab ham un se kahenge, ki anugrah karke un ko hamein de do, kyonki ladai ke samay ham ne un mein se ek ek ke liye stri nahi bachai; aur tum logon ne to un ko byaah nahi diya, nahi to tum ab doshi thaharte.
तब बिन्यामीनियों ने ऐसा ही किया, अर्थात उन्होंने अपनी गिनती के अनुसार उन नाचने वालियों में से पकड़कर स्त्रियां ले लीं; तब अपने भाग को लौट गए, और नगरों को बसाकर उन में रहने लगे।
Tab binyameeniyon ne aisa hi kiya, arthaat unhonne apni ginti ke anusaar un nachne valiyon mein se pakadkar striyan le li; tab apne bhaag ko laut gaye, aur nagron ko basakar un mein rahne lage.
उसी समय इस्राएली वहां से चलकर अपने अपने गोत्र और अपने अपने घराने को गए, और वहां से वे अपने अपने निज भाग को गए।
Usi samay Israeli vahan se chalkar apne apne gotra aur apne apne gharane ko gaye, aur vahan se ve apne apne nij bhaag ko gaye.
उन दिनों में इस्राएलियों का कोई राजा न था; जिस को जो ठीक सूझ पड़ता था वही वह करता था॥
Un dinon mein Israeliyon ka koi raja na tha; jis ko jo theek soojh padta tha vahi vah karta tha.