यहोशू के मरने के बाद इस्राएलियों ने यहोवा से पूछा, कि कनानियों के विरुद्ध लड़ने को हमारी ओर से पहिले कौन चढ़ाई करेगा?
Yahoshu ke marne ke baad Israeliyon ne Yahowa se poochha, ki kananiyon ke viruddh ladne ko hamari or se pahile kaun chadhai karega?
Judges 1 · 36 verses
यहोशू के मरने के बाद इस्राएलियों ने यहोवा से पूछा, कि कनानियों के विरुद्ध लड़ने को हमारी ओर से पहिले कौन चढ़ाई करेगा?
Yahoshu ke marne ke baad Israeliyon ne Yahowa se poochha, ki kananiyon ke viruddh ladne ko hamari or se pahile kaun chadhai karega?
यहोवा ने उत्तर दिया, यहूदा चढ़ाई करेगा; सुनो, मैं ने इस देश को उसके हाथ में दे दिया है।
Yahowa ne uttar diya, Yahuda chadhai karega; suno, main ne is desh ko uske haath mein de diya hai.
तब यहूदा ने अपने भाई शिमोन से कहा, मेरे संग मेरे भाग में आ, कि हम कनानियों से लड़ें; और मैं भी तेरे भाग में जाऊंगा। सो शिमोन उसके संग चला।
Tab Yahuda ne apne bhai shimon se kaha, mere sang mere bhaag mein aa, ki ham kananiyon se ladein; aur main bhi tere bhaag mein jaoonga. So shimon uske sang chala.
और यहूदा ने चढ़ाई की, और यहोवा ने कनानियों और परिज्जियों को उसके हाथ में कर दिया; तब उन्होंने बेजेक में उन में से दस हजार पुरूष मार डाले।
Aur Yahuda ne chadhai ki, aur Yahowa ne kananiyon aur parijjiyon ko uske haath mein kar diya; tab unhonne bejek mein un mein se das hajaar puroosh maar dale.
और बेजेक में अदोनीबेजेक को पाकर वे उस से लड़े, और कनानियों और परिज्जियों को मार डाला।
Aur bejek mein adoneebejek ko pakar ve us se lade, aur kananiyon aur parijjiyon ko maar dala.
परन्तु अदोनीबेजेक भागा; तब उन्होंने उसका पीछा करके उसे पकड़ लिया, और उसके हाथ पांव के अंगूठे काट डाले।
Parantu adoneebejek bhaga; tab unhonne uska peechha karke use pakad liya, aur uske haath paanv ke angoothe kaat dale.
तब अदोनीबेजेक ने कहा, हाथ पांव के अंगूठे काटे हुए सत्तर राजा मेरी मेज के नीचे टुकड़े बीनते थे; जैसा मैं ने किया था, वैसा ही बदला परमेश्वर ने मुझे दिया है। तब वे उसे यरूशलेम को ले गए और वहां वह मर गया॥
Tab adoneebejek ne kaha, haath paanv ke angoothe kate hue sattar raja meri mej ke neeche tukde beente the; jaisa main ne kiya tha, vaisa hi badla Parmeshwar ne mujhe diya hai. Tab ve use Yerushalem ko le gaye aur vahan vah mar gaya.
और यहूदियों ने यरूशलेम से लड़कर उसे ले लिया, और तलवार से उसके निवासियों मार डाला, और नगर को फूंक दिया।
Aur Yahudiyon ne Yerushalem se ladkar use le liya, aur talvaar se uske nivasiyon maar dala, aur nagar ko phoonk diya.
और तब यहूदी पहाड़ी देश और दक्खिन देश, और नीचे के देश में रहने वाले कनानियों से लड़ने को गए।
Aur tab Yahudi pahadi desh aur dakkhin desh, aur neeche ke desh mein rahne vale kananiyon se ladne ko gaye.
और यहूदा ने उन कनानियों पर चढ़ाई की जो हेब्रोन में रहते थे (हेब्रोन का नाम तो पूर्वकाल में किर्यतर्बा था); और उन्होंने शेशै, अहीमन, और तल्मै को मार डाला।
Aur Yahuda ne un kananiyon par chadhai ki jo hebron mein rahte the (hebron ka naam to poorvakaal mein kiryatarba tha); aur unhonne sheshai, aheeman, aur talmai ko maar dala.
वहां से उसने जा कर दबीर के निवासियों पर चढ़ाई की। (दबीर का नाम तो पूर्वकाल में किर्यत्सेपेर था।)
Vahan se usne ja kar dabeer ke nivasiyon par chadhai ki. (dabeer ka naam to poorvakaal mein kiryatseper tha.)
तब कालेब ने कहा, जो किर्यत्सेपेर को मार के ले ले उसे मैं अपनी बेटी अकसा को ब्याह दूंगा।
Tab kaleb ne kaha, jo kiryatseper ko maar ke le le use main apni beti aksa ko byaah doonga.
इस पर कालेब के छोटे भाई कनजी ओत्नीएल ने उसे ले लिया; और उसने उसे अपनी बेटी अकसा को ब्याह दिया।
Is par kaleb ke chhote bhai kanji otneeyel ne use le liya; aur usne use apni beti aksa ko byaah diya.
और जब वह ओत्नीएल के पास आई, तब उसने उसको अपने पिता से कुछ भूमि मांगने को उभारा; फिर वह अपने गदहे पर से उतरी, तब कालेब ने उस से पूछा, तू क्या चाहती है?
Aur jab vah otneeyel ke paas aai, tab usne usko apne pita se kuchh bhoomi mangne ko ubhara; phir vah apne gadhe par se utri, tab kaleb ne us se poochha, tu kya chahti hai?
वह उस से बोली मुझे आशीर्वाद दे; तू ने मुझे दक्खिन देश तो दिया है, तो जल के सोते भी दे। इस प्रकार कालेब ने उसको ऊपर और नीचे के दोनों सोते दे दिए॥
Vah us se boli mujhe aasheervaad de; tu ne mujhe dakkhin desh to diya hai, to jal ke sote bhi de. Is prakaar kaleb ne usko oopar aur neeche ke donon sote de diye.
और मूसा के साले, एक केनी मनुष्य के सन्तान, यहूदी के संग खजूर वाले नगर से यहूदा के जंगल में गए जो अराद के दक्खिन की ओर है, और जा कर इस्राएल लोगों के साथ रहने लगे।
Aur Musa ke sale, ek keni manushya ke santaan, Yahudi ke sang khajoor vale nagar se Yahuda ke jangal mein gaye jo araad ke dakkhin ki or hai, aur ja kar Israel logon ke saath rahne lage.
फिर यहूदा ने अपने भाई शिमोन के संग जा कर सपत में रहने वाले कनानियों को मार लिया, और उस नगर को सत्यानाश कर डाला। इसलिये उस नगर का नाम होर्मा पड़ा।
Phir Yahuda ne apne bhai shimon ke sang ja kar sapat mein rahne vale kananiyon ko maar liya, aur us nagar ko satyanaash kar dala. Isliye us nagar ka naam horma pada.
और यहूदा ने चारों ओर की भूमि समेत अज्जा, अशकलोन, और एक्रोन को ले लिया।
Aur Yahuda ne charon or ki bhoomi samet ajja, ashaklon, aur ekron ko le liya.
और यहोवा यहूदा के साथ रहा, इसलिये उसने पहाड़ी देश के निवासियों निकाल दिया; परन्तु तराई के निवासियों के पास लोहे के रथ थे, इसलिये वह उन्हें न निकाल सका।
Aur Yahowa Yahuda ke saath raha, isliye usne pahadi desh ke nivasiyon nikaal diya; parantu tarai ke nivasiyon ke paas lohe ke rath the, isliye vah unhein na nikaal saka.
और उन्होंने मूसा के कहने के अनुसार हेब्रोन कालेब को दे दिया: और उसने वहां से अनाक के तीनों पुत्रों को निकाल दिया।
Aur unhonne Musa ke kahne ke anusaar hebron kaleb ko de diya: aur usne vahan se anaak ke teenon putron ko nikaal diya.
और यरूशलेम में रहने वाले यबूसियों को बिन्यामीनियों ने न निकाला; इसलिये यबूसी आज के दिन तक यरूशलेम में बिन्यामीनियों के संग रहते हैं॥
Aur Yerushalem mein rahne vale yaboosiyon ko binyameeniyon ne na nikala; isliye yaboosi aaj ke din tak Yerushalem mein binyameeniyon ke sang rahte hain.
फिर यूसुफ के घराने ने बेतेल पर चढ़ाई की; और यहोवा उनके संग था।
Phir Yusuf ke gharane ne betel par chadhai ki; aur Yahowa unke sang tha.
और यूसुफ के घराने ने बेतेल का भेद लेने को लोग भेजे। (और उस नगर का नाम पूर्वकाल में लूज था।)
Aur Yusuf ke gharane ne betel ka bhed lene ko log bheje. (aur us nagar ka naam poorvakaal mein looj tha.)
और पहरूओं ने एक मनुष्य को उस नगर से निकलते हुए देखा, और उस से कहा, नगर में जाने का मार्ग हमें दिखा, और हम तुझ पर दया करेंगे।
Aur pahrooon ne ek manushya ko us nagar se nikalte hue dekha, aur us se kaha, nagar mein jane ka maarg hamein dikha, aur ham tujh par daya karenge.
जब उसने उन्हें नगर में जाने का मार्ग दिखाया, तब उन्होंने नगर को तो तलवार से मारा, परन्तु उस मनुष्य को सारे घराने समेत छोड़ दिया।
Jab usne unhein nagar mein jane ka maarg dikhaya, tab unhonne nagar ko to talvaar se mara, parantu us manushya ko sare gharane samet chhod diya.
उस मनुष्य ने हित्तियों के देश में जा कर एक नगर बसाया, और उसका नाम लूज रखा; और आज के दिन तक उसका नाम वही है॥
Us manushya ne hittiyon ke desh mein ja kar ek nagar basaya, aur uska naam looj rakha; aur aaj ke din tak uska naam vahi hai.
मनश्शे ने अपने अपने गांवों समेत बेतशान, तानाक, दोर, यिबलाम, और मगिद्दों के निवासियों को न निकाला; इस प्रकार कनानी उस देश में बसे ही रहे।
Manashshe ne apne apne ganvon samet betshaan, tanaak, dor, yiblaam, aur magiddon ke nivasiyon ko na nikala; is prakaar kanani us desh mein base hi rahe.
परन्तु जब इस्राएली सामर्थी हुए, तब उन्होंने कनानियों से बेगारी ली, परन्तु उन्हें पूरी रीति से न निकाला॥
Parantu jab Israeli samarthi hue, tab unhonne kananiyon se begari li, parantu unhein poori reeti se na nikala.
और एप्रैम ने गेजेर में रहने वाले कनानियों को न निकाला; इसलिये कनानी गेजेर में उनके बीच में बसे रहे॥
Aur epraim ne gejer mein rahne vale kananiyon ko na nikala; isliye kanani gejer mein unke beech mein base rahe.
जबलून ने कित्रोन और नहलोल के निवासियों न निकाला; इसलिये कनानी उनके बीच में बसे रहे, और उनके वश में हो गए॥
Jabloon ne kitron aur nahlol ke nivasiyon na nikala; isliye kanani unke beech mein base rahe, aur unke vash mein ho gaye.
आशेर ने अक्को, सीदोन, अहलाब, अकजीब, हेलवा, अपनीक, और रहोब के निवासियों को न निकाला;
Aasher ne akko, seedon, ahlaab, akjeeb, helva, apneek, aur rahob ke nivasiyon ko na nikala;
इसलिये आशेरी लोग देश के निवासी कनानियों के बीच में बस गए; क्योंकि उन्होंने उन को न निकाला था॥
Isliye aasheri log desh ke nivasi kananiyon ke beech mein bas gaye; kyonki unhonne un ko na nikala tha.
नप्ताली ने बेतशेमेश और बेतनात के निवासियों न निकाला, परन्तु देश के निवासी कनानियों के बीच में बस गए; तौभी बेतशेमेश और बेतनात के लोग उनके वश में हो गए॥
Naptali ne betshemesh aur betnaat ke nivasiyon na nikala, parantu desh ke nivasi kananiyon ke beech mein bas gaye; taubhi betshemesh aur betnaat ke log unke vash mein ho gaye.
और एमोरियों ने दानियों को पहाड़ी देश में भगा दिया, और तराई में आने न दिया;
Aur emoriyon ne daniyon ko pahadi desh mein bhaga diya, aur tarai mein aane na diya;
इसलिये एमोरी हेरेस नाम पहाड़, अय्यलोन और शालबीम में बसे ही रहे, तौभी यूसुफ का घराना यहां तक प्रबल हो गया कि वे उनके वश में हो गए।
Isliye emori heres naam pahaad, ayyalon aur shalbeem mein base hi rahe, taubhi Yusuf ka gharana yahan tak prabal ho gaya ki ve unke vash mein ho gaye.
और एमोरियों के देश का सिवाना अक्रब्बीम नाम पर्वत की चढ़ाई से आरम्भ करके ऊपर की ओर था॥
Aur emoriyon ke desh ka sivana akrabbeem naam parvat ki chadhai se aarambh karke oopar ki or tha.