Judges 16 · 31 verses

न्यायियों 16 Judges 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nyayiyon 16.

1

तब शिमशोन अज्जा को गया, और वहां एक वेश्या को देखकर उसके पास गया।

Tab shimshon ajja ko gaya, aur vahan ek veshya ko dekhkar uske paas gaya.

2

जब अज्जियों को इसका समाचार मिला कि शिमशोन यहां आया है, तब उन्होंने उसको घेर लिया, और रात भर नगर के फाटक पर उसकी घात में लगे रहे; और यह कहकर रात भर चुपचाप रहे, कि बिहान को भोर होते ही हम उसको घात करेंगे।

Jab ajjiyon ko iska samachaar mila ki shimshon yahan aaya hai, tab unhonne usko gher liya, aur raat bhar nagar ke phatak par uski ghaat mein lage rahe; aur yah kahkar raat bhar chupchaap rahe, ki bihaan ko bhor hote hi ham usko ghaat karenge.

3

परन्तु शिमशोन आधी रात तक पड़ा रह कर, आधी रात को उठ कर, उसने नगर के फाटक के दोनों पल्लों और दोनों बाजुओं को पकड़कर बेंड़ों समेत उखाड़ लिया, और अपने कन्धों पर रखकर उन्हें उस पहाड़ की चोटी पर ले गया, जो हेब्रोन के साम्हने है॥

Parantu shimshon aadhi raat tak pada rah kar, aadhi raat ko uth kar, usne nagar ke phatak ke donon pallon aur donon bajuon ko pakadkar bendon samet ukhaad liya, aur apne kandhon par rakhkar unhein us pahaad ki choti par le gaya, jo hebron ke samhane hai.

4

इसके बाद वह सोरेक नाम नाले में रहनेवाली दलीला नाम एक स्त्री से प्रीति करने लगा।

Iske baad vah sorek naam nale mein rahnevali daleela naam ek stri se preeti karne laga.

5

तब पलिश्तियों के सरदारों ने उस स्त्री के पास जाके कहा, तू उसको फुसलाकर बूझ ले कि उसके महाबल का भेद क्या है, और कौन उपाय करके हम उस पर ऐसे प्रबल हों, कि उसे बान्धकर दबा रखें; तब हम तुझे ग्यारह ग्यारह सौ टुकड़े चान्दी देंगे।

Tab palishtiyon ke sardaron ne us stri ke paas jake kaha, tu usko phuslakar boojh le ki uske mahabal ka bhed kya hai, aur kaun upaay karke ham us par aise prabal hon, ki use bandhakar daba rakhein; tab ham tujhe gyarah gyarah sau tukde chandi denge.

6

तब दलीला ने शिमशोन से कहा, मुझे बता दे कि तेरे बड़े बल का भेद क्या है, और किसी रीति से कोई तुझे बान्धकर दबा रख सके।

Tab daleela ne shimshon se kaha, mujhe bata de ki tere bade bal ka bhed kya hai, aur kisi reeti se koi tujhe bandhakar daba rakh sake.

7

शिमशोन ने उस से कहा, यदि मैं सात ऐसी नई नई तातों से बान्धा जाऊं जो सुखाई न गई हों, तो मेरा बल घट जायेगा, और मैं साधारण मनुष्य सा हो जाऊंगा।

Shimshon ne us se kaha, yadi main saat aisi nai nai taton se bandha jaun jo sukhai na gai hon, to mera bal ghat jayega, aur main sadharan manushya sa ho jaoonga.

8

तब पलिश्तियों के सरदार दलीला के पास ऐसी नई नई सात तातें ले गए जो सुखाई न गई थीं, और उन से उसने शिमशोन को बान्धा।

Tab palishtiyon ke sardaar daleela ke paas aisi nai nai saat tatein le gaye jo sukhai na gai thi, aur un se usne shimshon ko bandha.

9

उसके पास तो कुछ मनुष्य कोठरी में घात लगाए बैठे थे। तब उसने उस से कहा, हे शिमशोन, पलिश्ती तेरी घात में हैं! तब उसने तांतों को ऐसा तोड़ा जैसा सन का सूत आग में छूते ही टूट जाता है। और उसके बल का भेद न खुला।

Uske paas to kuchh manushya kothri mein ghaat lagaye baithe the. Tab usne us se kaha, he shimshon, palishti teri ghaat mein hain! Tab usne tanton ko aisa toda jaisa san ka soot aag mein chhoote hi toot jata hai. Aur uske bal ka bhed na khula.

10

तब दलीला ने शिमशोन से कहा, सुन, तू ने तो मुझ से छल किया, और झूठ कहा है; अब मुझे बता दे कि तू किस वस्तु से बन्ध सकता है।

Tab daleela ne shimshon se kaha, sun, tu ne to mujh se chhal kiya, aur jhooth kaha hai; ab mujhe bata de ki tu kis vastu se bandh sakta hai.

11

उसने उस से कहा, यदि मैं ऐसी नई नई रस्सियों जो किसी काम में न आई हों कसकर बान्धा जाऊं, तो मेरा बल घट जाएगा, और मैं साधारण मनुष्य के समान हो जाऊंगा।

Usne us se kaha, yadi main aisi nai nai rassiyon jo kisi kaam mein na aai hon kaskar bandha jaun, to mera bal ghat jayega, aur main sadharan manushya ke samaan ho jaoonga.

12

तब दलीला ने नई नई रस्सियां ले कर और उसको बान्धकर कहा, हे शिमशोन, पलिश्ती तेरी घात में हैं! कितने मनुष्य तो उस कोठरी में घात लगाए हुए थे। तब उसने उन को सूत की नाईं अपनी भुजाओं पर से तोड़ डाला।

Tab daleela ne nai nai rassiyan le kar aur usko bandhakar kaha, he shimshon, palishti teri ghaat mein hain! Kitne manushya to us kothri mein ghaat lagaye hue the. Tab usne un ko soot ki nai apni bhujaon par se tod dala.

13

तब दलीला ने शिमशोन से कहा, अब तक तू मुझ से छल करता, और झूठ बोलता आया है; अब मुझे बता दे कि तू काहे से बन्ध सकता है? उसने कहा यदि तू मेरे सिर की सातों लटें ताने में बुने तो बन्ध सकूंगा।

Tab daleela ne shimshon se kaha, ab tak tu mujh se chhal karta, aur jhooth bolta aaya hai; ab mujhe bata de ki tu kahe se bandh sakta hai? Usne kaha yadi tu mere sir ki saton latein tane mein bune to bandh sakoonga.

14

सो उसने उसे खूंटी से जकड़ा। तब उस से कहा, हे शिमशोन, पलिश्ती तेरी घात में हैं! तब वह नींद से चौंक उठा, और खूंटी को धरन में से उखाड़कर उसे ताने समेत ले गया।

So usne use khoonti se jakda. Tab us se kaha, he shimshon, palishti teri ghaat mein hain! Tab vah neend se chaunk utha, aur khoonti ko dharan mein se ukhadkar use tane samet le gaya.

15

तब दलीला ने उस से कहा, तेरा मन तो मुझ से नहीं लगा, फिर तू क्यों कहता है, कि मैं तुझ से प्रीति रखता हूं? तू ने ये तीनों बार मुझ से छल किया, और मुझे नहीं बताया कि तेरे बड़े बल का भेद क्या है।

Tab daleela ne us se kaha, tera man to mujh se nahi laga, phir tu kyon kahta hai, ki main tujh se preeti rakhta hoon? Tu ne ye teenon baar mujh se chhal kiya, aur mujhe nahi bataya ki tere bade bal ka bhed kya hai.

16

सो जब उसने हर दिन बातें करते करते उसको तंग किया, और यहां तक हठ किया, कि उसके नाकों में दम आ गया,

So jab usne har din batein karte karte usko tang kiya, aur yahan tak hath kiya, ki uske nakon mein dam aa gaya,

17

तब उसने अपने मन का सारा भेद खोल कर उस से कहा, मेरे सिर पर छुरा कभी नहीं फिरा, क्योंकि मैं मां के पेट ही से परमेश्वर का नाजीर हूं, यदि मैं मूड़ा जाऊं, तो मेरा बल इतना घट जाएगा, कि मैं साधारण मनुष्य सा हो जाऊंगा।

Tab usne apne man ka sara bhed khol kar us se kaha, mere sir par chhura kabhi nahi phira, kyonki main maa ke pet hi se Parmeshwar ka najeer hoon, yadi main mooda jaun, to mera bal itna ghat jayega, ki main sadharan manushya sa ho jaoonga.

18

यह देखकर, कि उसने अपने मन का सारा भेद मुझ से कह दिया है, दलीला ने पलिश्तियों के सरदारों के पास कहला भेजा, कि अब की बार फिर आओ, क्योंकि उसने अपने मन का सब भेद मुझे बता दिया है। तब पलिश्तियों के सरदार हाथ में रूपया लिए हुए उसके पास गए।

Yah dekhkar, ki usne apne man ka sara bhed mujh se kah diya hai, daleela ne palishtiyon ke sardaron ke paas kahla bheja, ki ab ki baar phir aao, kyonki usne apne man ka sab bhed mujhe bata diya hai. Tab palishtiyon ke sardaar haath mein roopya liye hue uske paas gaye.

19

तब उसने उसको अपने घुटनों पर सुला रखा; और एक मनुष्य बुलवाकर उसके सिर की सातों लटें मुण्डवा डालीं। और वह उसको दबाने लगी, और वह निर्बल हो गया।

Tab usne usko apne ghutnon par sula rakha; aur ek manushya bulvakar uske sir ki saton latein mundava dali. Aur vah usko dabane lagi, aur vah nirbal ho gaya.

20

तब उसने कहा, हे शिमशोन, पलिश्ती तेरी घात में हैं! तब वह चौंककर सोचने लगा, कि मैं पहिले की नाईं बाहर जा कर झटकूंगा। वह तो न जानता था, कि यहोवा उसके पास से चला गया है।

Tab usne kaha, he shimshon, palishti teri ghaat mein hain! Tab vah chaunkkar sochne laga, ki main pahile ki nai bahar ja kar jhatkoonga. Vah to na janta tha, ki Yahowa uske paas se chala gaya hai.

21

तब पलिश्तियों ने उसको पकड़कर उसकी आंखें फोड़ डालीं, और उसे अज्जा को ले जाके पीतल की बेड़ियों से जकड़ दिया; और वह बन्दीगृह में चक्की पीसने लगा।

Tab palishtiyon ne usko pakadkar uski aankhein phod dali, aur use ajja ko le jake peetal ki bediyon se jakad diya; aur vah bandeegrih mein chakki peesne laga.

22

उसके सिर के बाल मुण्ड जाने के बाद फिर बढ़ने लगे॥

Uske sir ke baal mund jane ke baad phir badhne lage.

23

तब पलिश्तियों के सरदार अपने दागोन नाम देवता के लिये बड़ा यज्ञ, और आनन्द करने को यह कहकर इकट्ठे हुए, कि हमारे देवता ने हमारे शत्रु शिमशोन को हमारे हाथ में कर दिया है।

Tab palishtiyon ke sardaar apne dagon naam devta ke liye bada yagy, aur aanand karne ko yah kahkar ikatthe hue, ki hamare devta ne hamare shatru shimshon ko hamare haath mein kar diya hai.

24

और जब लोगों ने उसे देखा, तब यह कहकर अपने देवता की स्तुति की, कि हमारे देवता ने हमारे शत्रु और हमारे देश के नाश करने वाले को, जिसने हम में से बहुतों को मार भी डाला, हमारे हाथ में कर दिया है।

Aur jab logon ne use dekha, tab yah kahkar apne devta ki stuti ki, ki hamare devta ne hamare shatru aur hamare desh ke naash karne vale ko, jisne ham mein se bahuton ko maar bhi dala, hamare haath mein kar diya hai.

25

जब उनका मन मगन हो गया, तब उन्होंने कहा, शिमशोन को बुलवा लो, कि वह हमारे लिये तमाशा करे। इसलिये शिमशोन बन्दीगृह में से बुलवाया गया, और उनके लिये तमाशा करने लगा, और खम्भों के बीच खड़ा कर दिया गया।

Jab unka man magan ho gaya, tab unhonne kaha, shimshon ko bulva lo, ki vah hamare liye tamasha kare. Isliye shimshon bandeegrih mein se bulvaya gaya, aur unke liye tamasha karne laga, aur khambhon ke beech khada kar diya gaya.

26

तब शिमशोन ने उस लड़के से जो उसका हाथ पकड़े था कहा, मुझे उन खम्भों को जिन से घर सम्भला हुआ है छूने दे, कि मैं उस पर टेक लगाऊं।

Tab shimshon ne us ladke se jo uska haath pakde tha kaha, mujhe un khambhon ko jin se ghar sambhala huaa hai chhoone de, ki main us par tek lagaun.

27

वह घर तो स्त्री पुरूषों से भरा हुआ था; पलिश्तियों के सब सरदार भी वहां थे, और छत पर कोई तीन हजार स्त्री पुरूष थे, जो शिमशोन को तमाशा करते हुए देख रहे थे।

Vah ghar to stri purooshon se bhara huaa tha; palishtiyon ke sab sardaar bhi vahan the, aur chhat par koi teen hajaar stri puroosh the, jo shimshon ko tamasha karte hue dekh rahe the.

28

तब शिमशोन ने यह कहकर यहोवा की दोहाई दी, कि हे प्रभु यहोवा, मेरी सुधि ले; हे परमेश्वर, अब की बार मुझे बल दे, कि मैं पलिश्तियों से अपनी दोनों आंखों का एक ही पलटा लूं।

Tab shimshon ne yah kahkar Yahowa ki dohai di, ki he Prabhu Yahowa, meri sudhi le; he Parmeshwar, ab ki baar mujhe bal de, ki main palishtiyon se apni donon aankhon ka ek hi palta lun.

29

तब शिमशोन ने उन दोनों बीच वाले खम्भों को जिन से घर सम्भला हुआ था पकड़कर एक पर तो दाहिने हाथ से और दूसरे पर बाएं हाथ से बल लगा दिया।

Tab shimshon ne un donon beech vale khambhon ko jin se ghar sambhala huaa tha pakadkar ek par to dahine haath se aur doosre par bayen haath se bal laga diya.

30

और शिमशोन ने कहा, पलिश्तियों के संग मेरा प्राण भी जाए। और वह अपना सारा बल लगाकर झुका; तब वह घर सब सरदारों और उस में से सारे लोगों पर गिर पड़ा। सो जिन को उसने मरते समय मार डाला वे उन से भी अधिक थे जिन्हें उसने अपने जीवन में मार डाला था।

Aur shimshon ne kaha, palishtiyon ke sang mera praan bhi jaye. Aur vah apna sara bal lagakar jhuka; tab vah ghar sab sardaron aur us mein se sare logon par gir pada. So jin ko usne marte samay maar dala ve un se bhi adhik the jinhein usne apne jeevan mein maar dala tha.

31

तब उसके भाई और उसके पिता के सारे घराने के लोग आए, और उसे उठा कर ले गए, और सोरा और एशताओल के मध्य अपने पिता मानोह की कबर में मिट्टी दी। उसने इस्राएल का न्याय बीस वर्ष तक किया था।

Tab uske bhai aur uske pita ke sare gharane ke log aaye, aur use utha kar le gaye, aur sora aur eshtaol ke madhya apne pita manoh ki kabar mein mitti di. Usne Israel ka nyaay bees varsh tak kiya tha.