Judges 15 · 20 verses

न्यायियों 15 Judges 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Nyayiyon 15.

1

परन्तु कुछ दिनों बाद, गेहूं की कटनी के दिनों में, शिमशोन ने बकरी का एक बच्चा ले कर अपनी ससुराल में जा कर कहा, मैं अपनी पत्नी के पास कोठरी में जाऊंगा। परन्तु उसके ससुर ने उसे भीतर जाने से रोका।

Parantu kuchh dinon baad, gehun ki katni ke dinon mein, shimshon ne bakri ka ek bachcha le kar apni sasuraal mein ja kar kaha, main apni patni ke paas kothri mein jaoonga. Parantu uske sasur ne use bheetar jane se roka.

2

और उसके ससुर ने कहा, मैं सचमुच यह जानता था कि तू उस से बैर ही रखता है, इसलिये मैं ने उसे तेरे संगी को ब्याह दिया। क्या उसकी छोटी बहिन उस से सुन्दर नहीं है? उसके बदले उसी को ब्याह ले।

Aur uske sasur ne kaha, main sachmuch yah janta tha ki tu us se bair hi rakhta hai, isliye main ne use tere sangi ko byaah diya. Kya uski chhoti bahin us se sundar nahi hai? Uske badle usi ko byaah le.

3

शिमशोन ने उन लोगों से कहा, अब चाहे मैं पलिश्तियों की हानि भी करूं, तौभी उनके विषय में निर्दोष ही ठहरूंगा।

Shimshon ne un logon se kaha, ab chahe main palishtiyon ki hani bhi karun, taubhi unke vishay mein nirdosh hi thahroonga.

4

तब शिमशोन ने जा कर तीन सौ लोमड़ियां पकड़ीं, और मशाल ले कर दो दो लोमड़ियों की पूंछ एक साथ बान्धी, और उनके बीच एक एक मशाल बान्धा।

Tab shimshon ne ja kar teen sau lomdiyan pakdi, aur mashaal le kar do do lomdiyon ki poonchh ek saath bandhi, aur unke beech ek ek mashaal bandha.

5

तब मशालों में आग लगाकर उसने लोमड़ियों को पलिश्तियों के खड़े खेतों में छोड़ दिया; और पूलियों के ढेर वरन खड़े खेत और जलपाई की बारियां भी जल गईं।

Tab mashalon mein aag lagakar usne lomdiyon ko palishtiyon ke khade kheton mein chhod diya; aur pooliyon ke dher varan khade khet aur jalpai ki bariyan bhi jal gai.

6

तब पलिश्ती पूछने लगे, यह किस ने किया है? लोगों ने कहा, उस तिम्नी के दामाद शिमशोन ने यह इसलिये किया, कि उसके ससुर ने उसकी पत्नी उसे संगी को ब्याह दी। तब पलिश्तियों ने जा कर उस पत्नी और उसके पिता दोनों को आग में जला दिया।

Tab palishti poochhne lage, yah kis ne kiya hai? Logon ne kaha, us timni ke damaad shimshon ne yah isliye kiya, ki uske sasur ne uski patni use sangi ko byaah di. Tab palishtiyon ne ja kar us patni aur uske pita donon ko aag mein jala diya.

7

शिमशोन ने उन से कहा, तुम जो ऐसा काम करते हो, इसलिये मैं तुम से पलटा ले कर ही चुप रहूंगा।

Shimshon ne un se kaha, tum jo aisa kaam karte ho, isliye main tum se palta le kar hi chup rahoonga.

8

तब उसने उन को अति निठुरता के साथ बड़ी मार से मार डाला; तब जा कर एताम नाम चट्टान की एक दरार में रहने लगा॥

Tab usne un ko ati nithurta ke saath badi maar se maar dala; tab ja kar etaam naam chattaan ki ek daraar mein rahne laga.

9

तब पलिश्तियों ने चढ़ाई करके यहूदा देश में डेरे खड़े किए, और लही में फैल गए।

Tab palishtiyon ne chadhai karke Yahuda desh mein dere khade kiye, aur lahi mein phail gaye.

10

तब यहूदी मनुष्यों ने उन से पूछा, तुम हम पर क्यों चढ़ाई करते हो? उन्होंने उत्तर दिया, शिमशोन को बान्धने के लिये चढ़ाई करते हैं, कि जैसे उसने हम से किया वैसे ही हम भी उस से करें।

Tab Yahudi manushyon ne un se poochha, tum ham par kyon chadhai karte ho? Unhonne uttar diya, shimshon ko bandhane ke liye chadhai karte hain, ki jaise usne ham se kiya vaise hi ham bhi us se karein.

11

तब तीन हजार यहूदी पुरूष ऐताम नाम चट्टान की दरार में जा कर शिमशोन से कहने लगे, क्या तू नहीं जानता कि पलिश्ती हम पर प्रभुता करते हैं? फिर तू ने हम से ऐसा क्यों किया है? उसने उन से कहा, जैसा उन्होंने मुझ से किया था, वैसा ही मैं ने भी उन से किया है।

Tab teen hajaar Yahudi puroosh aitaam naam chattaan ki daraar mein ja kar shimshon se kahne lage, kya tu nahi janta ki palishti ham par prabhuta karte hain? Phir tu ne ham se aisa kyon kiya hai? Usne un se kaha, jaisa unhonne mujh se kiya tha, vaisa hi main ne bhi un se kiya hai.

12

उन्होंने उस से कहा, हम तुझे बान्धकर पलिश्तियों के हाथ में कर देने के लिये आए हैं। शिमशोन ने उन से कहा, मुझ से यह शपथ खाओ कि तुम मुझ पर प्रहार न करोगे।

Unhonne us se kaha, ham tujhe bandhakar palishtiyon ke haath mein kar dene ke liye aaye hain. Shimshon ne un se kaha, mujh se yah shapath khao ki tum mujh par prahaar na karoge.

13

उन्होंने कहा, ऐसा न होगा; हम तुझे कसकर उनके हाथ में कर देंगे; परन्तु तुझे किसी रीति मार न डालेंगे। तब वे उसको दो नई रस्सियों बान्धकर उस चट्टान पर ले गए।

Unhonne kaha, aisa na hoga; ham tujhe kaskar unke haath mein kar denge; parantu tujhe kisi reeti maar na dalenge. Tab ve usko do nai rassiyon bandhakar us chattaan par le gaye.

14

वह लही तक आ गया था, कि पलिश्ती उसको देखकर ललकारने लगे; तब यहोवा का आत्मा उस पर बल से उतरा, और उसकी बांहों की रस्सियां आग में जले हुए सन के समान हो गईं, और उसके हाथों के बन्धन मानों गलकर टूट पड़े।

Vah lahi tak aa gaya tha, ki palishti usko dekhkar lalkarne lage; tab Yahowa ka aatma us par bal se utra, aur uski banhon ki rassiyan aag mein jale hue san ke samaan ho gai, aur uske hathon ke bandhan manon galkar toot pade.

15

तब उसको गदहे के जबड़े की एक नई हड्डी मिली, और उसने हाथ बढ़ा उसे ले कर एक हजार पुरूषों को मार डाला।

Tab usko gadhe ke jabde ki ek nai haddi mili, aur usne haath badha use le kar ek hajaar purooshon ko maar dala.

16

तब शिमशोन ने कहा, गदहे के जबड़े की हड्डी से ढेर के ढेर लग गए, गदहे के जबड़े की हड्डी ही से मैं ने हजार पुरूषों को मार डाला॥

Tab shimshon ne kaha, gadhe ke jabde ki haddi se dher ke dher lag gaye, gadhe ke jabde ki haddi hi se main ne hajaar purooshon ko maar dala.

17

जब वह ऐसा कह चुका, तब उसने जबड़े की हड्डी फेंक दी और उस स्थान का नाम रामत-लही रखा गया।

Jab vah aisa kah chuka, tab usne jabde ki haddi phenk di aur us sthaan ka naam ramat-lahi rakha gaya.

18

तब उसको बड़ी प्यास लगी, और उसने यहोवा को पुकार के कहा तू ने अपने दास से यह बड़ा छुटकारा कराया है; फिर क्या मैं अब प्यासों मरके उन खतनाहीन लोगों के हाथ में पडूं?

Tab usko badi pyaas lagi, aur usne Yahowa ko pukaar ke kaha tu ne apne daas se yah bada chhutkara karaya hai; phir kya main ab pyason marke un khatnaheen logon ke haath mein padun?

19

तब परमेश्वर ने लही में ओखली सा गड़हा कर दिया, और उस में से पानी निकलने लगा; और जब शिमशोन ने पीया, तब उसके जी में जी आया, और वह फिर ताजा दम हो गया। इस कारण उस सोते का नाम एनहक्कोरे रखा गया, वह आज के दिन तक लही में हैं।

Tab Parmeshwar ne lahi mein okhli sa gadha kar diya, aur us mein se pani nikalne laga; aur jab shimshon ne peeya, tab uske ji mein ji aaya, aur vah phir taja dam ho gaya. Is karan us sote ka naam enhakkore rakha gaya, vah aaj ke din tak lahi mein hain.

20

शिमशोन तो पलिश्तियों के दिनों में बीस वर्ष तक इस्राएल का न्याय करता रहा॥

Shimshon to palishtiyon ke dinon mein bees varsh tak Israel ka nyaay karta raha.