Joshua 24 · 33 verses

यहोशू 24 Joshua 24 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 24.

1

फिर यहोशू ने इस्राएल के सब गोत्रों को शकेम में इकट्ठा किया, और इस्राएल के वृद्ध लोगों, और मुख्य पुरूषों, और न्यायियों, और सरदारों को बुलवाया; और वे परमेश्वर के साम्हने उपस्थित हुए।

Phir yahoshu ne Israel ke sab gotron ko shakem mein ikattha kiya, aur Israel ke vriddh logon, aur mukhya purooshon, aur nyayiyon, aur sardaron ko bulvaya; aur ve Parmeshwar ke samhane upasthit hue.

2

तब यहोशू ने उन सब लोगों से कहा, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा इस प्रकार कहता है, कि प्राचीन काल में इब्राहीम और नाहोर का पिता तेरह आदि, तुम्हारे पुरखा परात महानद के उस पार रहते हुए दूसरे देवताओं की उपासना करते थे।

Tab yahoshu ne un sab logon se kaha, Israel ka Parmeshwar Yahowa is prakaar kahta hai, ki pracheen kaal mein Ibrahim aur nahor ka pita terah aadi, tumhare purkha paraat mahanad ke us paar rahte hue doosre devtaon ki upasna karte the.

3

और मैं ने तुम्हारे मूलपुरूष इब्राहीम को महानद के उस पार से ले आकर कनान देश के सब स्थानों में फिराया, और उसका वंश बढ़ाया। और उसे इसहाक को दिया;

Aur main ne tumhare moolpuroosh Ibrahim ko mahanad ke us paar se le aakar kanaan desh ke sab sthanon mein phiraya, aur uska vansh badhaya. Aur use Ishaq ko diya;

4

फिर मैं ने इसहाक को याकूब और ऐसाव दिया। और ऐसाव को मैं ने सेईर नाम पहाड़ी देश दिया कि वह उसका अधिकारी हो, परन्तु याकूब बेटों-पोतों समेत मिस्र को गया।

Phir main ne Ishaq ko Yakub aur aisaav diya. Aur aisaav ko main ne seir naam pahadi desh diya ki vah uska adhikari ho, parantu Yakub beton-poton samet Misr ko gaya.

5

फिर मैं ने मूसा और हारून को भेज कर उन सब कामों के द्वारा जो मैं ने मिस्र में किए उस देश को मारा; और उसके बाद तुम को निकाल लाया।

Phir main ne Musa aur haroon ko bhej kar un sab kamon ke dwara jo main ne Misr mein kiye us desh ko mara; aur uske baad tum ko nikaal laya.

6

और मैं तुम्हारे पुरखाओं को मिस्र में से निकाल लाया, और तुम समुद्र के पास पहुंचे; और मिस्रियों ने रथ और सवारों को संग ले कर लाल समुद्र तक तुम्हारा पीछा किया।

Aur main tumhare purkhaon ko Misr mein se nikaal laya, aur tum samudra ke paas pahunche; aur misriyon ne rath aur savaron ko sang le kar laal samudra tak tumhara peechha kiya.

7

और जब तुम ने यहोवा की दोहाई दी तब उसने तुम्हारे और मिस्रियों के बीच में अन्धियारा कर दिया, और उन पर समुद्र को बहाकर उन को डुबा दिया; और जो कुछ मैं ने मिस्र में किया उसे तुम लोगों ने अपनी आंखों से देखा; फिर तुम बहुत दिन तक जंगल में रहे।

Aur jab tum ne Yahowa ki dohai di tab usne tumhare aur misriyon ke beech mein andhiyara kar diya, aur un par samudra ko bahakar un ko duba diya; aur jo kuchh main ne Misr mein kiya use tum logon ne apni aankhon se dekha; phir tum bahut din tak jangal mein rahe.

8

तब मैं तुम को उन एमोरियों के देश में ले आया, जो यरदन के उस पार बसे थे; और वे तुम से लड़े और मैं ने उन्हें तुम्हारे वश में कर दिया, और तुम उनके देश के अधिकारी हो गए, और मैं ने उन को तुम्हारे साम्हने से सत्यानाश कर डाला।

Tab main tum ko un emoriyon ke desh mein le aaya, jo yardan ke us paar base the; aur ve tum se lade aur main ne unhein tumhare vash mein kar diya, aur tum unke desh ke adhikari ho gaye, aur main ne un ko tumhare samhane se satyanaash kar dala.

9

फिर मोआब के राजा सिप्पोर का पुत्र बालाक उठ कर इस्राएल से लड़ा; और तुम्हें शाप देने के लिये बोर के पुत्र बिलाम को बुलवा भेजा,

Phir moaab ke raja sippor ka putra balaak uth kar Israel se lada; aur tumhein shaap dene ke liye bor ke putra bilaam ko bulva bheja,

10

परन्तु मैं ने बिलाम की सुनने के लिये नाहीं की; वह तुम को आशीष ही आशीष देता गया; इस प्रकार मैं ने तुम को उसके हाथ से बचाया।

Parantu main ne bilaam ki sunne ke liye nahi ki; vah tum ko aasheesh hi aasheesh deta gaya; is prakaar main ne tum ko uske haath se bachaya.

11

तब तुम यरदन पार हो कर यरीहो के पास आए, और जब यरीहो के लोग, और एमोरी, परिज्जी, कनानी, हित्ती, गिर्गाशी, हिब्बी, और यबूसी तुम से लड़े, तब मैं ने उन्हें तुम्हारे वश में कर दिया।

Tab tum yardan paar ho kar yareeho ke paas aaye, aur jab yareeho ke log, aur emori, parijji, kanani, hitti, girgashi, hibbi, aur yaboosi tum se lade, tab main ne unhein tumhare vash mein kar diya.

12

और मैं ने तुम्हारे आगे बर्रों को भेजा, और उन्होंने एमोरियों के दोनों राजाओं को तुम्हारे साम्हने से भगा दिया; देखो, यह तुम्हारी तलवार वा धनुष का काम नहीं हुआ।

Aur main ne tumhare aage barron ko bheja, aur unhonne emoriyon ke donon rajaon ko tumhare samhane se bhaga diya; dekho, yah tumhari talvaar va dhanush ka kaam nahi huaa.

13

फिर मैं ने तुम्हें ऐसा देश दिया जिस में तुम ने परिश्रम न किया था, और ऐसे नगर भी दिए हैं जिन्हें तुम ने न बसाया था, और तुम उन में बसे हो; और जिन दाख और जलपाई के बगीचों के फल तुम खाते हो उन्हें तुम ने नहीं लगाया था।

Phir main ne tumhein aisa desh diya jis mein tum ne parishram na kiya tha, aur aise nagar bhi diye hain jinhein tum ne na basaya tha, aur tum un mein base ho; aur jin daakh aur jalpai ke bageechon ke phal tum khate ho unhein tum ne nahi lagaya tha.

14

इसलिये अब यहोवा का भय मानकर उसकी सेवा खराई और सच्चाई से करो; और जिन देवताओं की सेवा तुम्हारे पुरखा महानद के उस पार और मिस्र में करते थे, उन्हें दूर करके यहोवा की सेवा करो।

Isliye ab Yahowa ka bhay mankar uski seva kharai aur sachchai se karo; aur jin devtaon ki seva tumhare purkha mahanad ke us paar aur Misr mein karte the, unhein door karke Yahowa ki seva karo.

15

और यदि यहोवा की सेवा करनी तुम्हें बुरी लगे, तो आज चुन लो कि तुम किस की सेवा करोगे, चाहे उन देवताओं की जिनकी सेवा तुम्हारे पुरखा महानद के उस पार करते थे, और चाहे एमोरियों के देवताओं की सेवा करो जिनके देश में तुम रहते हो; परन्तु मैं तो अपने घराने समेत यहोवा की सेवा नित करूंगा।

Aur yadi Yahowa ki seva karni tumhein buri lage, to aaj chun lo ki tum kis ki seva karoge, chahe un devtaon ki jinki seva tumhare purkha mahanad ke us paar karte the, aur chahe emoriyon ke devtaon ki seva karo jinke desh mein tum rahte ho; parantu main to apne gharane samet Yahowa ki seva nit karoonga.

16

तब लोगों ने उत्तर दिया, यहोवा को त्यागकर दूसरे देवताओं की सेवा करनी हम से दूर रहे;

Tab logon ne uttar diya, Yahowa ko tyagkar doosre devtaon ki seva karni ham se door rahe;

17

क्योंकि हमारा परमेश्वर यहोवा वही है जो हम को और हमारे पुरखाओं को दासत्व के घर, अर्थात मिस्र देश से निकाल ले आया, और हमारे देखते बड़े बड़े आश्चर्य कर्म किए, और जिस मार्ग पर और जितनी जातियों के मध्य में से हम चले आते थे उन में हमारी रक्षा की;

Kyonki hamara Parmeshwar Yahowa vahi hai jo ham ko aur hamare purkhaon ko dasatva ke ghar, arthaat Misr desh se nikaal le aaya, aur hamare dekhte bade bade aashcharya karm kiye, aur jis maarg par aur jitni jatiyon ke madhya mein se ham chale aate the un mein hamari raksha ki;

18

और हमारे साम्हने से इस देश में रहनेवाली एमोरी आदि सब जातियों को निकाल दिया है; इसलिये हम भी यहोवा की सेवा करेंगे, क्योंकि हमारा परमेश्वर वही है।

Aur hamare samhane se is desh mein rahnevali emori aadi sab jatiyon ko nikaal diya hai; isliye ham bhi Yahowa ki seva karenge, kyonki hamara Parmeshwar vahi hai.

19

यहोशू ने लोगों से कहा, तुम से यहोवा की सेवा नहीं हो सकती; क्योंकि वह पवित्र परमेश्वर है; वह जलन रखनेवाला ईश्वर है; वह तुम्हारे अपराध और पाप क्षमा न करेगा।

Yahoshu ne logon se kaha, tum se Yahowa ki seva nahi ho sakti; kyonki vah pavitra Parmeshwar hai; vah jalan rakhnevala ishwar hai; vah tumhare apraadh aur paap kshama na karega.

20

यदि तुम यहोवा को त्यागकर पराए देवताओं की सेवा करने लगोगे, तो यद्दपि वह तुम्हारा भला करता आया है तौभी वह फिरकर तुम्हारी हानि करेगा और तुम्हारा अन्त भी कर डालेगा।

Yadi tum Yahowa ko tyagkar paraye devtaon ki seva karne lagoge, to yaddapi vah tumhara bhala karta aaya hai taubhi vah phirkar tumhari hani karega aur tumhara ant bhi kar dalega.

21

लोगों ने यहोशू से कहा, नहीं; हम यहोवा ही की सेवा करेंगे।

Logon ne yahoshu se kaha, nahi; ham Yahowa hi ki seva karenge.

22

यहोशू ने लोगों से कहा, तुम आप ही अपने साक्षी हो कि तुम ने यहोवा की सेवा करनी अंगीकार कर ली है। उन्होंने कहा, हां, हम साक्षी हैं।

Yahoshu ne logon se kaha, tum aap hi apne sakshi ho ki tum ne Yahowa ki seva karni angeekaar kar li hai. Unhonne kaha, han, ham sakshi hain.

23

यहोशू ने कहा, अपने बीच पराए देवताओं को दूर करके अपना अपना मन इस्राएल के परमेश्वर की ओर लगाओ।

Yahoshu ne kaha, apne beech paraye devtaon ko door karke apna apna man Israel ke Parmeshwar ki or lagao.

24

लोगों ने यहोशू से कहा, हम तो अपने परमेश्वर यहोवा ही की सेवा करेंगे, और उसी की बात मानेंगे।

Logon ne yahoshu se kaha, ham to apne Parmeshwar Yahowa hi ki seva karenge, aur usi ki baat manenge.

25

तब यहोशू ने उसी दिन उन लोगों से वाचा बन्धाई, और शकेम में उनके लिये विधि और नियम ठहराया॥

Tab yahoshu ne usi din un logon se vacha bandhai, aur shakem mein unke liye vidhi aur niyam thahraya.

26

यह सारा वृत्तान्त यहोशू ने परमेश्वर की व्यवस्था की पुस्तक में लिख दिया; और एक बड़ा पत्थर चुनकर वहां उस बांज वृक्ष के तले खड़ा किया, जो यहोवा के पवित्र स्थान में था।

Yah sara vrittaant yahoshu ne Parmeshwar ki vyavastha ki pustak mein likh diya; aur ek bada patthar chunkar vahan us baanj vriksh ke tale khada kiya, jo Yahowa ke pavitra sthaan mein tha.

27

तब यहोशू ने सब लोगों से कहा, सुनो, यह पत्थर हम लोगों का साक्षी रहेगा, क्योंकि जितने वचन यहोवा ने हम से कहें हैं उन्हें इस ने सुना है; इसलिये यह तुम्हारा साक्षी रहेगा, ऐसा न हो कि तुम अपने परमेश्वर से मुकर जाओ।

Tab yahoshu ne sab logon se kaha, suno, yah patthar ham logon ka sakshi rahega, kyonki jitne vachan Yahowa ne ham se kahein hain unhein is ne suna hai; isliye yah tumhara sakshi rahega, aisa na ho ki tum apne Parmeshwar se mukar jao.

28

तब यहोशू ने लोगों को अपने अपने निज भाग पर जाने के लिये विदा किया॥

Tab yahoshu ne logon ko apne apne nij bhaag par jane ke liye vida kiya.

29

इन बातों के बाद यहोवा का दास, नून का पुत्र यहोशू, एक सौ दस वर्ष का हो कर मर गया।

In baton ke baad Yahowa ka daas, noon ka putra yahoshu, ek sau das varsh ka ho kar mar gaya.

30

और उसको तिम्नत्सेरह में, जो एप्रैम के पहाड़ी देश में गाश नाम पहाड़ की उत्तर अलंग पर है, उसी के भाग में मिट्टी दी गई।

Aur usko timnatserah mein, jo epraim ke pahadi desh mein gaash naam pahaad ki uttar alang par hai, usi ke bhaag mein mitti di gai.

31

और यहोशू के जीवन भर, और जो वृद्ध लोग यहोशू के मरने के बाद जीवित रहे और जानते थे कि यहोवा ने इस्राएल के लिये कैसे कैसे काम किए थे, उनके भी जीवन भर इस्राएली यहोवा ही की सेवा करते रहे।

Aur yahoshu ke jeevan bhar, aur jo vriddh log yahoshu ke marne ke baad jeevit rahe aur jante the ki Yahowa ne Israel ke liye kaise kaise kaam kiye the, unke bhi jeevan bhar Israeli Yahowa hi ki seva karte rahe.

32

फिर यूसुफ की हड्डियां जिन्हें इस्राएली मिस्र से ले आए थे वे शकेम की भूमि के उस भाग में गाड़ी गईं, जिसे याकूब ने शकेम के पिता हामोर से एक सौ चांदी के सिक्कों में मोल लिया था; इसलिये वह यूसुफ की सन्तान का निज भाग हो गया।

Phir Yusuf ki haddiyan jinhein Israeli Misr se le aaye the ve shakem ki bhoomi ke us bhaag mein gadi gai, jise Yakub ne shakem ke pita hamor se ek sau chandi ke sikkon mein mol liya tha; isliye vah Yusuf ki santaan ka nij bhaag ho gaya.

33

और हारून का पुत्र एलीआज़र भी मर गया; और उसको एप्रैम के पहाड़ी देश में उस पहाड़ी पर मिट्टी दी गई, जो उसके पुत्र पीनहास के नाम पर गिबत्पीनहास कहलाती है और उसको दे दी गई थी॥

Aur haroon ka putra eleeaazar bhi mar gaya; aur usko epraim ke pahadi desh mein us pahadi par mitti di gai, jo uske putra peenhaas ke naam par gibatpeenhaas kahlati hai aur usko de di gai thi.