Joshua 9 · 27 verses

यहोशू 9 Joshua 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 9.

1

यह सुनकर हित्ती, एमोरी, कनानी, परिज्जी, हिव्वी, और यबूसी, जितने राजा यरदन के इस पार पहाड़ी देश में और नीचे के देश में, और लबानोन के साम्हने के महानगर के तट पर रहते थे,

Yah sunkar hitti, emori, kanani, parijji, hivvi, aur yaboosi, jitne raja yardan ke is paar pahadi desh mein aur neeche ke desh mein, aur labanon ke samhane ke mahangar ke tat par rahte the,

2

वे एक मन हो कर यहोशू और इस्राएलियों से लड़ने को इकट्ठे हुए॥

Ve ek man ho kar yahoshu aur Israeliyon se ladne ko ikatthe hue.

3

जब गिबोन के निवासियों ने सुना कि यहोशू ने यरीहो और ऐ से क्या क्या किया है,

Jab gibon ke nivasiyon ne suna ki yahoshu ne yareeho aur ai se kya kya kiya hai,

4

तब उन्होंने छल किया, और राजदूतों का भेष बनाकर अपने गदहों पर पुराने बोरे, और पुराने फटे, और जोड़े हुए मदिरा के कुप्पे लादकर

Tab unhonne chhal kiya, aur rajdooton ka bhesh banakar apne gadhon par purane bore, aur purane phate, aur jode hue madira ke kuppe ladkar

5

अपने पांवों में पुरानी गांठी हुई जूतियां, और तन पर पुराने वस्त्र पहिने, और अपने भोजन के लिये सूखी और फफूंदी लगी हुई रोटी ले ली।

Apne panvon mein purani ganthi hui jootiyan, aur tan par purane vastra pahine, aur apne bhojan ke liye sookhi aur phaphoondi lagi hui roti le li.

6

तब वे गिलगाल की छावनी में यहोशू के पास जा कर उस से और इस्राएली पुरूषों से कहने लगे, हम दूर देश से आए हैं; इसलिये अब तुम हम से वाचा बान्धो।

Tab ve gilgaal ki chhavni mein yahoshu ke paas ja kar us se aur Israeli purooshon se kahne lage, ham door desh se aaye hain; isliye ab tum ham se vacha bandho.

7

इस्राएली पुरूषों ने उन हिव्वियों से कहा, क्या जाने तुम हमारे मध्य में ही रहते हो; फिर हम तुम से वाचा कैसे बान्धे?

Israeli purooshon ne un hivviyon se kaha, kya jane tum hamare madhya mein hi rahte ho; phir ham tum se vacha kaise bandhe?

8

उन्होंने यहोशू से कहा, हम तेरे दास हैं। तब यहोशू ने उन से कहा, तुम कौन हो? और कहां से आए हो?

Unhonne yahoshu se kaha, ham tere daas hain. Tab yahoshu ne un se kaha, tum kaun ho? Aur kahan se aaye ho?

9

उन्होंने उस से कहा, तेरे दास बहुत दूर के देश से तेरे परमेश्वर यहोवा का नाम सुनकर आए हैं; क्योंकि हम ने यह सब सुना है, अर्थात उसकी कीर्ति और जो कुछ उसने मिस्र में किया,

Unhonne us se kaha, tere daas bahut door ke desh se tere Parmeshwar Yahowa ka naam sunkar aaye hain; kyonki ham ne yah sab suna hai, arthaat uski keerti aur jo kuchh usne Misr mein kiya,

10

और जो कुछ उसने एमोरियों के दोनों राजाओं से किया जो यरदन के उस पार रहते थे, अर्थात हेश्बोन के राजा सीहोन से, और बाशान के राजा ओग से जो अश्तारोत में था।

Aur jo kuchh usne emoriyon ke donon rajaon se kiya jo yardan ke us paar rahte the, arthaat heshbon ke raja seehon se, aur bashaan ke raja og se jo ashtarot mein tha.

11

इसलिये हमारे यहां के वृद्धलोगों ने और हमारे देश के सब निवासियों ने हम से कहा, कि मार्ग के लिये अपने साथ भोजनवस्तु ले कर उन से मिलने को जाओ, और उन से कहना, कि हम तुम्हारे दास हैं; इसलिये अब तुम हम से वाचा बान्धो।

Isliye hamare yahan ke vriddhalogon ne aur hamare desh ke sab nivasiyon ne ham se kaha, ki maarg ke liye apne saath bhojanvastu le kar un se milne ko jao, aur un se kahna, ki ham tumhare daas hain; isliye ab tum ham se vacha bandho.

12

जिस दिन हम तुम्हारे पास चलने को निकले उस दिन तो हम ने अपने अपने घर से यह रोटी गरम और ताजी ली थी; परन्तु अब देखो, यह सूख गई है और इस में फफूंदी लग गई है।

Jis din ham tumhare paas chalne ko nikle us din to ham ne apne apne ghar se yah roti garam aur taji li thi; parantu ab dekho, yah sookh gai hai aur is mein phaphoondi lag gai hai.

13

फिर ये जो मदिरा के कुप्पे हम ने भर लिये थे, तब तो नये थे, परन्तु देखो अब ये फट गए हैं; और हमारे ये वस्त्र और जूतियां बड़ी लम्बी यात्रा के कारण पुरानी हो गई हैं।

Phir ye jo madira ke kuppe ham ne bhar liye the, tab to naye the, parantu dekho ab ye phat gaye hain; aur hamare ye vastra aur jootiyan badi lambi yatra ke karan purani ho gai hain.

14

तब उन पुरूषों ने यहोवा से बिना सलाह लिये उनके भोजन में से कुछ ग्रहण किया।

Tab un purooshon ne Yahowa se bina salaah liye unke bhojan mein se kuchh grahan kiya.

15

तब यहोशू ने उन से मेल करके उन से यह वाचा बान्धी, कि तुम को जीवित छोड़ेंगे; और मण्डली के प्रधानों ने उन से शपथ खाई।

Tab yahoshu ne un se mel karke un se yah vacha bandhi, ki tum ko jeevit chhodenge; aur mandali ke pradhanon ne un se shapath khai.

16

और उनके साथ वाचा बान्धने के तीन दिन के बाद उन को यह समाचार मिला; कि वे हमारे पड़ोस के रहने वाले लोग हैं, और हमारे ही मध्य में बसे हैं।

Aur unke saath vacha bandhane ke teen din ke baad un ko yah samachaar mila; ki ve hamare pados ke rahne vale log hain, aur hamare hi madhya mein base hain.

17

तब इस्राएली कूच करके तीसरे दिन उनके नगरों को जिनके नाम गिबोन, कपीरा, बेरोत, और किर्यत्यारीम है पहुंच गए,

Tab Israeli kooch karke teesre din unke nagron ko jinke naam gibon, kapeera, berot, aur kiryatyareem hai pahunch gaye,

18

और इस्राएलियों ने उन को न मारा, क्योंकि मण्डली के प्रधानों ने उनके संग इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की शपथ खाई थी। तब सारी मण्डली के लोग प्रधानों के विरुद्ध कुड़कुड़ाने लगे।

Aur Israeliyon ne un ko na mara, kyonki mandali ke pradhanon ne unke sang Israel ke Parmeshwar Yahowa ki shapath khai thi. Tab sari mandali ke log pradhanon ke viruddh kudkudane lage.

19

तब सब प्रधानों ने सारी मण्डली से कहा, हम ने उन से इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की शपथ खाई है, इसलिये अब उन को छू नहीं सकते।

Tab sab pradhanon ne sari mandali se kaha, ham ne un se Israel ke Parmeshwar Yahowa ki shapath khai hai, isliye ab un ko chhu nahi sakte.

20

हम उन से यही करेंगे, कि उस शपथ के अनुसार हम उन को जीवित छोड़ देंगे, नहीं तो हमारी खाई हुई शपथ के कारण हम पर क्रोध पड़ेगा

Ham un se yahi karenge, ki us shapath ke anusaar ham un ko jeevit chhod denge, nahi to hamari khai hui shapath ke karan ham par krodh padega

21

फिर प्रधानों ने उन से कहा, वे जीवित छोड़े जाएं। सो प्रधानों के इस वचन के अनुसार वे सारी मण्डली के लिये लकड़हारे और पानी भरने वाले बने।

Phir pradhanon ne un se kaha, ve jeevit chhode jayen. So pradhanon ke is vachan ke anusaar ve sari mandali ke liye lakadhare aur pani bharne vale bane.

22

फिर यहोशू ने उन को बुलवाकर कहा, तुम तो हमारे ही बीच में रहते हो, फिर तुम ने हम से यह कहकर क्यों छल किया है, कि हम तुम से बहुत दूर रहते हैं?

Phir yahoshu ne un ko bulvakar kaha, tum to hamare hi beech mein rahte ho, phir tum ne ham se yah kahkar kyon chhal kiya hai, ki ham tum se bahut door rahte hain?

23

इसलिये अब तुम शापित हो, और तुम में से ऐसा कोई न रहेगा जो दास, अर्थात मेरे परमेश्वर के भवन के लिये लकड़हारा और पानी भरनेवाला न हो।

Isliye ab tum shapit ho, aur tum mein se aisa koi na rahega jo daas, arthaat mere Parmeshwar ke bhavan ke liye lakadhara aur pani bharnevala na ho.

24

उन्होंने यहोशू को उत्तर दिया, तेरे दासों को यह निश्चय बतलाया गया था, कि तेरे परमेश्वर यहोवा ने अपने दास मूसा को आज्ञा दी थी कि तुम को वह सारा देश दे, और उसके सारे निवासियों तुम्हारे साम्हने से सर्वनाश करे; इसलिये हम लोगों को तुम्हारे कारण से अपने प्राणों के लाले पड़ गए, इसलिये हम ने ऐसा काम किया।

Unhonne yahoshu ko uttar diya, tere dason ko yah nishchay batlaya gaya tha, ki tere Parmeshwar Yahowa ne apne daas Musa ko aagya di thi ki tum ko vah sara desh de, aur uske sare nivasiyon tumhare samhane se sarvanaash kare; isliye ham logon ko tumhare karan se apne pranon ke lale pad gaye, isliye ham ne aisa kaam kiya.

25

और अब हम तेरे वश में हैं, जैसा बर्ताव तुझे भला लगे और ठीक जान पड़े, वैसा ही व्यवहार हमारे साथ कर।

Aur ab ham tere vash mein hain, jaisa bartaav tujhe bhala lage aur theek jaan pade, vaisa hi vyavhaar hamare saath kar.

26

तब उसने उन से वैसा ही किया, और उन्हें इस्राएलियों के हाथ से ऐसा बचाया, कि वे उन्हें घात करने न पाए।

Tab usne un se vaisa hi kiya, aur unhein Israeliyon ke haath se aisa bachaya, ki ve unhein ghaat karne na paye.

27

परन्तु यहोशू ने उसी दिन उन को मण्डली के लिये, और जो स्थान यहोवा चुन ले उसमें उसकी वेदी के लिये, लकड़हारे और पानी भरने वाले नियुक्त कर दिया, जैसा आज तक है॥

Parantu yahoshu ne usi din un ko mandali ke liye, aur jo sthaan Yahowa chun le usmein uski vedi ke liye, lakadhare aur pani bharne vale niyukt kar diya, jaisa aaj tak hai.