Joshua 7 · 26 verses

यहोशू 7 Joshua 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 7.

1

परन्तु इस्राएलियों ने अर्पण की वस्तु के विषय में विश्वासघात किया; अर्थात यहूदा के गोत्र का आकान, जो जेरहवंशी जब्दी का पोता और कर्म्मी का पुत्र था, उसने अर्पण की वस्तुओं में से कुछ ले लिया; इस कारण यहोवा का कोप इस्राएलियों पर भड़क उठा॥

Parantu Israeliyon ne arpan ki vastu ke vishay mein vishwasghaat kiya; arthaat Yahuda ke gotra ka aakaan, jo jerahvanshi jabdi ka pota aur karmmi ka putra tha, usne arpan ki vastuon mein se kuchh le liya; is karan Yahowa ka kop Israeliyon par bhadak utha.

2

और यहोशू ने यरीहो से ऐ नाम नगर के पास, जो बेतावेन से लगा हुआ बेतेल की पूर्व की ओर है, कितने पुरूषों को यह कहकर भेजा, कि जा कर देश का भेद ले आओ। और उन पुरूषों ने जा कर ऐ का भेद लिया।

Aur yahoshu ne yareeho se ai naam nagar ke paas, jo betaven se laga huaa betel ki poorva ki or hai, kitne purooshon ko yah kahkar bheja, ki ja kar desh ka bhed le aao. Aur un purooshon ne ja kar ai ka bhed liya.

3

और उन्होंने यहोशू के पास लौटकर कहा, सब लोग वहां न जाएं, कोई दो वा तीन हजार पुरूष जा कर ऐ को जीत सकते हैं; सब लोगों को वहां जाने का कष्ट न दे, क्योंकि वे लोग थोड़े ही हैं।

Aur unhonne yahoshu ke paas lautkar kaha, sab log vahan na jayen, koi do va teen hajaar puroosh ja kar ai ko jeet sakte hain; sab logon ko vahan jane ka kasht na de, kyonki ve log thode hi hain.

4

इसलिये कोई तीन हजार पुरूष वहां गए; परन्तु ऐ के रहने वालों के साम्हने से भाग आए,

Isliye koi teen hajaar puroosh vahan gaye; parantu ai ke rahne valon ke samhane se bhaag aaye,

5

तब ऐ के रहने वालों ने उन में से कोई छत्तीस पुरूष मार डाले, और अपने फाटक से शबारीम तक उनका पीछा करके उतराई में उन को मारते गए। तब लोगों का मन पिघलकर जल सा बन गया।

Tab ai ke rahne valon ne un mein se koi chhattees puroosh maar dale, aur apne phatak se shabareem tak unka peechha karke utrai mein un ko marte gaye. Tab logon ka man pighalkar jal sa ban gaya.

6

तब यहोशू ने अपने वस्त्र फाड़े, और वह और इस्राएली वृद्ध लोग यहोवा के सन्दूक के साम्हने मुंह के बल गिरकर पृथ्वी पर सांझ तक पड़े रहे; और उन्होंने अपने अपने सिर पर धूल डाली।

Tab yahoshu ne apne vastra phade, aur vah aur Israeli vriddh log Yahowa ke sandook ke samhane munh ke bal girkar prithvi par saanjh tak pade rahe; aur unhonne apne apne sir par dhool dali.

7

और यहोशू ने कहा, हाय, प्रभु यहोवा, तू अपनी इस प्रजा को यरदन पार क्यों ले आया? क्या हमें एमोरियों के वश में करके नष्ट करने के लिये ले आया है? भला होता कि हम संतोष करके यरदन के उस पार रह जाते।

Aur yahoshu ne kaha, haay, Prabhu Yahowa, tu apni is praja ko yardan paar kyon le aaya? Kya hamein emoriyon ke vash mein karke nasht karne ke liye le aaya hai? Bhala hota ki ham santosh karke yardan ke us paar rah jate.

8

हाय, प्रभु मैं क्या कहूं, जब इस्राएलियों ने अपने शत्रुओं को पीठ दिखाई है!

Haay, Prabhu main kya kahun, jab Israeliyon ne apne shatruon ko peeth dikhai hai!

9

क्योंकि कनानी वरन इस देश के सब निवासी यह सुनकर हम को घेर लेंगे, और हमारा नाम पृथ्वी पर से मिटा डालेंगे; फिर तू अपने बड़े नाम के लिये क्या करेगा?

Kyonki kanani varan is desh ke sab nivasi yah sunkar ham ko gher lenge, aur hamara naam prithvi par se mita dalenge; phir tu apne bade naam ke liye kya karega?

10

यहोवा ने यहोशू से कहा, उठ, खड़ा हो जा, तू क्यों इस भांति मुंह के बल पृथ्वी पर पड़ा है?

Yahowa ne yahoshu se kaha, uth, khada ho ja, tu kyon is bhanti munh ke bal prithvi par pada hai?

11

इस्राएलियों ने पाप किया है; और जो वाचा मैं ने उन से अपने साथ बन्धाई थी उसको उन्होंने तोड़ दिया है, उन्होंने अर्पण की वस्तुओं में से ले लिया, वरन चोरी भी की, और छल करके उसको अपने सामान में रख लिया है।

Israeliyon ne paap kiya hai; aur jo vacha main ne un se apne saath bandhai thi usko unhonne tod diya hai, unhonne arpan ki vastuon mein se le liya, varan chori bhi ki, aur chhal karke usko apne samaan mein rakh liya hai.

12

इस कारण इस्राएली अपने शत्रुओं के साम्हने खड़े नहीं रह सकते; वे अपने शत्रुओं को पीठ दिखाते हैं, इसलिये कि वे आप अर्पण की वस्तु बन गए हैं। और यदि तुम अपने मध्य में से अर्पण की वस्तु को सत्यानाश न कर डालोगे, तो मैं आगे को तुम्हारे संग नहीं रहूंगा।

Is karan Israeli apne shatruon ke samhane khade nahi rah sakte; ve apne shatruon ko peeth dikhate hain, isliye ki ve aap arpan ki vastu ban gaye hain. Aur yadi tum apne madhya mein se arpan ki vastu ko satyanaash na kar daloge, to main aage ko tumhare sang nahi rahoonga.

13

उठ, प्रजा के लोगों को पवित्र कर, उन से कह; कि बिहान तक अपने अपने को पवित्र कर रखो; क्योंकि इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यह कहता है, कि हे इस्राएल, तेरे मध्य में अर्पण की वस्तु है; इसलिये जब तक तू अर्पण की वस्तु को अपने मध्य में से दूर न करे तब तक तू अपने शत्रुओं के साम्हने खड़ा न रह सकेगा।

Uth, praja ke logon ko pavitra kar, un se kah; ki bihaan tak apne apne ko pavitra kar rakho; kyonki Israel ka Parmeshwar Yahowa yah kahta hai, ki he Israel, tere madhya mein arpan ki vastu hai; isliye jab tak tu arpan ki vastu ko apne madhya mein se door na kare tab tak tu apne shatruon ke samhane khada na rah sakega.

14

इसलिये बिहान को तुम गोत्र गोत्र के अनुसार समीप खड़े किए जाओगे; और जिस गोत्र को यहोवा पकड़े वह एक एक कुल करके पास आए; और जिस कुल को यहोवा पकड़े सो घराना घराना करके पास आए; फिर जिस घराने को यहोवा पकड़े वह एक एक पुरूष करके पास आए।

Isliye bihaan ko tum gotra gotra ke anusaar sameep khade kiye jaoge; aur jis gotra ko Yahowa pakde vah ek ek kul karke paas aaye; aur jis kul ko Yahowa pakde so gharana gharana karke paas aaye; phir jis gharane ko Yahowa pakde vah ek ek puroosh karke paas aaye.

15

तब जो पुरूष अर्पण की वस्तु रखे हुए पकड़ा जाएगा, वह और जो कुछ उसका हो सब आग में डालकर जला दिया जाए; क्योंकि उसने यहोवा की वाचा को तोड़ा है, और इस्राएल में अनुचित कर्म किया है॥

Tab jo puroosh arpan ki vastu rakhe hue pakda jayega, vah aur jo kuchh uska ho sab aag mein dalkar jala diya jaye; kyonki usne Yahowa ki vacha ko toda hai, aur Israel mein anuchit karm kiya hai.

16

बिहान को यहोशू सवेरे उठ कर इस्राएलियों को गोत्र गोत्र करके समीप लिवा ले गया, और यहूदा का गोत्र पकड़ा गया;

Bihaan ko yahoshu savere uth kar Israeliyon ko gotra gotra karke sameep liva le gaya, aur Yahuda ka gotra pakda gaya;

17

तब उसने यहूदा के परिवार को समीप किया, और जेरहवंशियों का कुल पकड़ा गया; फिर जेरहवंशियों के घराने के एक एक पुरूष को समीप लाया, और जब्दी पकड़ा गया;

Tab usne Yahuda ke parivaar ko sameep kiya, aur jerahvanshiyon ka kul pakda gaya; phir jerahvanshiyon ke gharane ke ek ek puroosh ko sameep laya, aur jabdi pakda gaya;

18

तब उसने उसके घराने के एक एक पुरूष को समीप खड़ा किया, और यहूदा गोत्र का आकान, जो जेरहवंशी जब्दी का पोता और कर्म्मी का पुत्र था, पकड़ा गया।

Tab usne uske gharane ke ek ek puroosh ko sameep khada kiya, aur Yahuda gotra ka aakaan, jo jerahvanshi jabdi ka pota aur karmmi ka putra tha, pakda gaya.

19

तब यहोशू आकान से कहने लगा, हे मेरे बेटे, इस्राएल के परमेश्वर यहोवा का आदर कर, और उसके आगे अंगीकार कर; और जो कुछ तू ने किया है वह मुझ को बता दे, और मुझ से कुछ मत छिपा।

Tab yahoshu aakaan se kahne laga, he mere bete, Israel ke Parmeshwar Yahowa ka aadar kar, aur uske aage angeekaar kar; aur jo kuchh tu ne kiya hai vah mujh ko bata de, aur mujh se kuchh mat chhipa.

20

और आकान ने यहोशू को उत्तर दिया, कि सचमुच मैं ने इस्राएल के परमेश्वर यहोवा के विरुद्ध पाप किया है, और इस प्रकार मैं ने किया है,

Aur aakaan ne yahoshu ko uttar diya, ki sachmuch main ne Israel ke Parmeshwar Yahowa ke viruddh paap kiya hai, aur is prakaar main ne kiya hai,

21

कि जब मुझे लूट में शिनार देश का एक सुन्दर ओढ़ना, और दो सौ शेकेल चांदी, और पचास शेकेल सोने की एक ईंट देख पड़ी, तब मैं ने उनका लालच करके उन्हें रख लिया; वे मेरे डेरे के भीतर भूमि में गड़े हैं, और सब के नीचे चांदी है।

Ki jab mujhe loot mein shinaar desh ka ek sundar odhna, aur do sau shekel chandi, aur pachaas shekel sone ki ek int dekh padi, tab main ne unka lalach karke unhein rakh liya; ve mere dere ke bheetar bhoomi mein gade hain, aur sab ke neeche chandi hai.

22

तब यहोशू ने दूत भेजे, और वे उस डेरे में दौड़े गए; और क्या देखा, कि वे वस्तुएं उसके डेरे में गड़ी हैं, और सब के नीचे चांदी है।

Tab yahoshu ne doot bheje, aur ve us dere mein daude gaye; aur kya dekha, ki ve vastuein uske dere mein gadi hain, aur sab ke neeche chandi hai.

23

उन को उन्होंने डेरे में से निकाल कर यहोशू और सब इस्राएलियों के पास लाकर यहोवा के साम्हने रख दिया।

Un ko unhonne dere mein se nikaal kar yahoshu aur sab Israeliyon ke paas lakar Yahowa ke samhane rakh diya.

24

तब सब इस्राएलियों समेत यहोशू जेरहवंशी आकान को, और उस चांदी और ओढ़ने और सोने की ईंट को, और उसके बेटे-बेटियों को, और उसके बैलों, गदहों और भेड़-बकरियों को, और उसके डेरे को, निदान जो कुछ उसका था उन सब को आकोर नाम तराई में ले गया।

Tab sab Israeliyon samet yahoshu jerahvanshi aakaan ko, aur us chandi aur odhne aur sone ki int ko, aur uske bete-betiyon ko, aur uske bailon, gadhon aur bhed-bakriyon ko, aur uske dere ko, nidaan jo kuchh uska tha un sab ko aakor naam tarai mein le gaya.

25

तब यहोशू ने उस से कहा, तू ने हमें क्यों कष्ट दिया है? आज के दिन यहोवा तुझी को कष्ट देगा। तब सब इस्राएलियों ने उसको पत्थरवाह किया; और उन को आग में डालकर जलाया, और उनके ऊपर पत्थर डाल दिए।

Tab yahoshu ne us se kaha, tu ne hamein kyon kasht diya hai? Aaj ke din Yahowa tujhi ko kasht dega. Tab sab Israeliyon ne usko pattharvaah kiya; aur un ko aag mein dalkar jalaya, aur unke oopar patthar daal diye.

26

और उन्होंने उसके ऊपर पत्थरों का बड़ा ढेर लगा दिया जो आज तक बना है; तब यहोवा का भड़का हुआ कोप शान्त हो गया। इस कारण उस स्थान का नाम आज तक आ को र तराई पड़ा है॥

Aur unhonne uske oopar pattharon ka bada dher laga diya jo aaj tak bana hai; tab Yahowa ka bhadka huaa kop shaant ho gaya. Is karan us sthaan ka naam aaj tak aa ko ra tarai pada hai.