Joshua 6 · 27 verses

यहोशू 6 Joshua 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 6.

1

और यरीहो के सब फाटक इस्राएलियों के डर के मारे लगातार बन्द रहे, और कोई बाहर भीतर आने जाने नहीं पाता था।

Aur yareeho ke sab phatak Israeliyon ke dar ke mare lagataar band rahe, aur koi bahar bheetar aane jane nahi pata tha.

2

फिर यहोवा ने यहोशू से कहा, सुन, मैं यरीहो को उसके राजा और शूरवीरों समेत तेरे वश में कर देता हूं।

Phir Yahowa ne yahoshu se kaha, sun, main yareeho ko uske raja aur shoorveeron samet tere vash mein kar deta hoon.

3

सो तुम में जितने योद्धा हैं नगर को घेर लें, और उस नगर के चारों ओर एक बार घूम आएं। और छ: दिन तक ऐसा ही किया करना।

So tum mein jitne yoddha hain nagar ko gher lein, aur us nagar ke charon or ek baar ghoom aayen. Aur chha: din tak aisa hi kiya karna.

4

और सात याजक सन्दूक के आगे आगे जुबली के सात नरसिंगे लिए हुए चलें; फिर सातवें दिन तुम नगर के चारों ओर सात बार घूमना, और याजक भी नरसिंगे फूंकते चलें।

Aur saat yajak sandook ke aage aage jubli ke saat narsinge liye hue chalein; phir satvein din tum nagar ke charon or saat baar ghoomna, aur yajak bhi narsinge phoonkte chalein.

5

और जब वे जुबली के नरसिंगे देर तक फूंकते रहें, तब सब लोग नरसिंगे का शब्द सुनते ही बड़ी ध्वनि से जयजयकार करें; तब नगर की शहरपनाह नेव से गिर जाएगी, और सब लोग अपने अपने साम्हने चढ़ जाएं।

Aur jab ve jubli ke narsinge der tak phoonkte rahein, tab sab log narsinge ka shabd sunte hi badi dhvani se jayjaykaar karein; tab nagar ki shahrapnaah nev se gir jayegi, aur sab log apne apne samhane chadh jayen.

6

सो नून के पुत्र यहोशू ने याजकों को बुलवाकर कहा, वाचा के सन्दूक को उठा लो, और सात याजक यहोवा के सन्दूक के आगे आगे जुबली के सात नरसिंगे लिए चलें।

So noon ke putra yahoshu ne yajkon ko bulvakar kaha, vacha ke sandook ko utha lo, aur saat yajak Yahowa ke sandook ke aage aage jubli ke saat narsinge liye chalein.

7

फिर उसने लोगों से कहा, आगे बढ़कर नगर के चारों ओर घूम आओ; और हथियारबन्द पुरूष यहोवा के सन्दूक के आगे आगे चलें।

Phir usne logon se kaha, aage badhkar nagar ke charon or ghoom aao; aur hathiyarband puroosh Yahowa ke sandook ke aage aage chalein.

8

और जब यहोशू ये बातें लोगों से कह चुका, तो वे सात याजक जो यहोवा के साम्हने सात नरसिंगे लिये हुए थे नरसिंगे फूंकते हुए चले, और यहोवा की वाचा का सन्दूक उनके पीछे पीछे चला।

Aur jab yahoshu ye batein logon se kah chuka, to ve saat yajak jo Yahowa ke samhane saat narsinge liye hue the narsinge phoonkte hue chale, aur Yahowa ki vacha ka sandook unke peechhe peechhe chala.

9

और हथियारबन्द पुरूष नरसिंगे फूंकने वाले याजकों के आगे आगे चले, और पीछे वाले सन्दूक के पीछे पीछे चले, और याजक नरसिंगे फूंकते हुए चले।

Aur hathiyarband puroosh narsinge phoonkne vale yajkon ke aage aage chale, aur peechhe vale sandook ke peechhe peechhe chale, aur yajak narsinge phoonkte hue chale.

10

और यहोशू ने लोगों को आज्ञा दी, कि जब तक मैं तुम्हें जयजयकार करने की आज्ञा न दूं, तब तक जयजयकार न करो, और न तुम्हारा कोई शब्द सुनने में आए, न कोई बात तुम्हारे मुंह से निकलने पाए; आज्ञा पाते ही जयजयकार करना।

Aur yahoshu ne logon ko aagya di, ki jab tak main tumhein jayjaykaar karne ki aagya na dun, tab tak jayjaykaar na karo, aur na tumhara koi shabd sunne mein aaye, na koi baat tumhare munh se nikalne paye; aagya pate hi jayjaykaar karna.

11

उसने यहोवा के सन्दूक को एक बार नगर के चारों ओर घुमवाया; तब वे छावनी में आए, और रात वहीं काटी॥

Usne Yahowa ke sandook ko ek baar nagar ke charon or ghumvaya; tab ve chhavni mein aaye, aur raat vahi kati.

12

बिहान को यहोशू सबेरे उठा, और याजकों ने यहोवा का सन्दूक उठा लिया।

Bihaan ko yahoshu sabere utha, aur yajkon ne Yahowa ka sandook utha liya.

13

और उन सात याजकों ने जुबली के सात नरसिंगे लिए और यहोवा के सन्दूक के आगे आगे फूंकते हुए चले; और उनके आगे हथियारबन्द पुरूष चले, और पीछे वाले यहोवा के सन्दूक के पीछे पीछे चले, और याजक नरसिंगे फूंकते चले गए।

Aur un saat yajkon ne jubli ke saat narsinge liye aur Yahowa ke sandook ke aage aage phoonkte hue chale; aur unke aage hathiyarband puroosh chale, aur peechhe vale Yahowa ke sandook ke peechhe peechhe chale, aur yajak narsinge phoonkte chale gaye.

14

इस प्रकार वे दूसरे दिन भी एक बार नगर के चारों ओर घूमकर छावनी में लौट आए। और इसी प्रकार उन्होंने छ: दिन तक किया।

Is prakaar ve doosre din bhi ek baar nagar ke charon or ghoomkar chhavni mein laut aaye. Aur isi prakaar unhonne chha: din tak kiya.

15

फिर सातवें दिन वे भोर को बड़े तड़के उठ कर उसी रीति से नगर के चारों ओर सात बार घूम आए; केवल उसी दिन वे सात बार घूमे।

Phir satvein din ve bhor ko bade tadke uth kar usi reeti se nagar ke charon or saat baar ghoom aaye; keval usi din ve saat baar ghoome.

16

तब सातवीं बार जब याजक नरसिंगे फूंकते थे, तब यहोशू ने लोगों से कहा, जयजयकार करो; क्योंकि यहोवा ने यह नगर तुम्हें दे दिया है।

Tab satvi baar jab yajak narsinge phoonkte the, tab yahoshu ne logon se kaha, jayjaykaar karo; kyonki Yahowa ne yah nagar tumhein de diya hai.

17

और नगर और जो कुछ उस में है यहोवा के लिये अर्पण की वस्तु ठहरेगी; केवल राहाब वेश्या और जितने उसके घर में होंवे जीवित छोड़े जाएंगे, क्योंकि उसने हमारे भेजे हुए दूतों को छिपा रखा था।

Aur nagar aur jo kuchh us mein hai Yahowa ke liye arpan ki vastu thahregi; keval rahaab veshya aur jitne uske ghar mein honve jeevit chhode jayenge, kyonki usne hamare bheje hue dooton ko chhipa rakha tha.

18

और तुम अर्पण की हुई वस्तुओं से सावधानी से अपने आप को अलग रखो, ऐसा न हो कि अर्पण की वस्तु ठहराकर पीछे उसी अर्पण की वस्तु में से कुछ ले लो, और इस प्रकार इस्राएली छावनी को भ्रष्ट करके उसे कष्ट में डाल दो।

Aur tum arpan ki hui vastuon se savdhani se apne aap ko alag rakho, aisa na ho ki arpan ki vastu thahrakar peechhe usi arpan ki vastu mein se kuchh le lo, aur is prakaar Israeli chhavni ko bhrasht karke use kasht mein daal do.

19

सब चांदी, सोना, और जो पात्र पीतल और लोहे के हैं, वे यहोवा के लिये पवित्र हैं, और उसी के भण्डार में रखे जाएं।

Sab chandi, sona, aur jo patra peetal aur lohe ke hain, ve Yahowa ke liye pavitra hain, aur usi ke bhandaar mein rakhe jayen.

20

तब लोगों ने जयजयकार किया, और याजक नरसिंगे फूंकते रहे। और जब लोगों ने नरसिंगे का शब्द सुना तो फिर बड़ी ही ध्वनि से उन्होंने जयजयकार किया, तब शहरपनाह नेव से गिर पड़ी, और लोग अपने अपने साम्हने से उस नगर में चढ़ गए, और नगर को ले लिया।

Tab logon ne jayjaykaar kiya, aur yajak narsinge phoonkte rahe. Aur jab logon ne narsinge ka shabd suna to phir badi hi dhvani se unhonne jayjaykaar kiya, tab shahrapnaah nev se gir padi, aur log apne apne samhane se us nagar mein chadh gaye, aur nagar ko le liya.

21

और क्या पुरूष, क्या स्त्री, क्या जवान, क्या बूढ़े, वरन बैल, भेड़-बकरी, गदहे, और जितने नगर में थे, उन सभों को उन्होंने अर्पण की वस्तु जानकर तलवार से मार डाला।

Aur kya puroosh, kya stri, kya javaan, kya boodhe, varan bail, bhed-bakri, gadhe, aur jitne nagar mein the, un sabhon ko unhonne arpan ki vastu jankar talvaar se maar dala.

22

तब यहोशू ने उन दोनों पुरूषों से जो उस देश का भेद लेने गए थे कहा, अपनी शपथ के अनुसार उस वेश्या के घर में जा कर उसको और जो उसके पास हों उन्हें भी निकाल ले आओ।

Tab yahoshu ne un donon purooshon se jo us desh ka bhed lene gaye the kaha, apni shapath ke anusaar us veshya ke ghar mein ja kar usko aur jo uske paas hon unhein bhi nikaal le aao.

23

तब वे दोनों जवान भेदिए भीतर जा कर राहाब को, और उसके माता-पिता, भाइयों, और सब को जो उसके यहां रहते थे, वरन उसके सब कुटुम्बियों को निकाल लाए, और इस्राएल की छावनी से बाहर बैठा दिया।

Tab ve donon javaan bhediye bheetar ja kar rahaab ko, aur uske mata-pita, bhaiyon, aur sab ko jo uske yahan rahte the, varan uske sab kutumbiyon ko nikaal laye, aur Israel ki chhavni se bahar baitha diya.

24

तब उन्होंने नगर को, और जो कुछ उस में था, सब को आग लगाकर फूंक दिया; केवल चांदी, सोना, और जो पात्र पीतल और लोहे के थे, उन को उन्होंने यहोवा के भवन के भण्डार में रख दिया।

Tab unhonne nagar ko, aur jo kuchh us mein tha, sab ko aag lagakar phoonk diya; keval chandi, sona, aur jo patra peetal aur lohe ke the, un ko unhonne Yahowa ke bhavan ke bhandaar mein rakh diya.

25

और यहोशू ने राहाब वेश्या और उसके पिता के घराने को, वरन उसके सब लोगों को जीवित छोड़ दिया; और आज तक उसका वंश इस्राएलियों के बीच में रहता है, क्योंकि जो दूत यहोशू ने यरीहो के भेद लेने को भेजे थे उन को उसने छिपा रखा था।

Aur yahoshu ne rahaab veshya aur uske pita ke gharane ko, varan uske sab logon ko jeevit chhod diya; aur aaj tak uska vansh Israeliyon ke beech mein rahta hai, kyonki jo doot yahoshu ne yareeho ke bhed lene ko bheje the un ko usne chhipa rakha tha.

26

फिर उसी समय यहोशू ने इस्राएलियों के सम्मुख शपथ रखी, और कहा, कि जो मनुष्य उठ कर इस नगर यरीहो को फिर से बनाए वह यहोवा की ओर से शापित हो। जब वह उसकी नेव डालेगा तब तो उसका जेठा पुत्र मरेगा, और जब वह उसके फाटक लगावाएगा तब उसका छोटा पुत्र मर जाएगा।

Phir usi samay yahoshu ne Israeliyon ke sammukh shapath rakhi, aur kaha, ki jo manushya uth kar is nagar yareeho ko phir se banaye vah Yahowa ki or se shapit ho. Jab vah uski nev dalega tab to uska jetha putra marega, aur jab vah uske phatak lagavayega tab uska chhota putra mar jayega.

27

और यहोवा यहोशू के संग रहा; और यहोशू की कीर्ति उस सारे देश में फैल गई॥

Aur Yahowa yahoshu ke sang raha; aur yahoshu ki keerti us sare desh mein phail gai.