Joshua 5 · 15 verses

यहोशू 5 Joshua 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 5.

1

जब यरदन के पच्छिम की ओर रहने वाले एमोरियों के सब राजाओं ने, और समुद्र के पास रहने वाले कनानियों के सब राजाओं ने यह सुना, कि यहोवा ने इस्राएलियों के पार होने तक उनके साम्हने से यरदन का जल हटाकर सुखा रखा है, तब इस्राएलियों के डर के मारे उनका मन घबरा गया, और उनके जी में जी न रहा॥

Jab yardan ke pachchhim ki or rahne vale emoriyon ke sab rajaon ne, aur samudra ke paas rahne vale kananiyon ke sab rajaon ne yah suna, ki Yahowa ne Israeliyon ke paar hone tak unke samhane se yardan ka jal hatakar sukha rakha hai, tab Israeliyon ke dar ke mare unka man ghabra gaya, aur unke ji mein ji na raha.

2

उस समय यहोवा ने यहोशू से कहा, चकमक की छुरियां बनवाकर दूसरी बार इस्राएलियों का खतना करा दें।

Us samay Yahowa ne yahoshu se kaha, chakmak ki chhuriyan banvakar doosri baar Israeliyon ka khatna kara dein.

3

तब यहोशू ने चकमक की छुरियां बनवाकर खलड़ियां नाम टीले पर इस्राएलियों का खतना कराया।

Tab yahoshu ne chakmak ki chhuriyan banvakar khaldiyan naam teele par Israeliyon ka khatna karaya.

4

और यहोशू ने जो खतना कराया, इसका कारण यह है, कि जितने युद्ध के योग्य पुरूष मिस्र से निकले थे वे सब मिस्र से निकलने पर जंगल के मार्ग में मर गए थे।

Aur yahoshu ne jo khatna karaya, iska karan yah hai, ki jitne yuddh ke yogya puroosh Misr se nikle the ve sab Misr se nikalne par jangal ke maarg mein mar gaye the.

5

जो पुरूष मिस्र से निकले थे उन सब का तो खतना हो चुका था, परन्तु जितने उनके मिस्र से निकलने पर जंगल के मार्ग में उत्पन्न हुए उन में से किसी का खतना न हुआ था।

Jo puroosh Misr se nikle the un sab ka to khatna ho chuka tha, parantu jitne unke Misr se nikalne par jangal ke maarg mein utpann hue un mein se kisi ka khatna na huaa tha.

6

क्योंकि इस्राएली तो चालीस वर्ष तक जंगल में फिरते रहे, जब तक उस सारी जाति के लोग, अर्थात जितने युद्ध के योग्य लोग मिस्र से निकले थे वे नाश न हो गए, क्योंकि उन्होंने यहोवा की न मानी थी; सो यहोवा ने शपथ खाकर उन से कहा था, कि जो देश मैं ने तुम्हारे पूर्वजों से शपथ खाकर तुम्हें देने को कहा था, और उस में दूध और मधु की धाराएं बहती हैं, वह देश मैं तुम को नहीं दिखाने का।

Kyonki Israeli to chalees varsh tak jangal mein phirte rahe, jab tak us sari jati ke log, arthaat jitne yuddh ke yogya log Misr se nikle the ve naash na ho gaye, kyonki unhonne Yahowa ki na mani thi; so Yahowa ne shapath khakar un se kaha tha, ki jo desh main ne tumhare poorvajon se shapath khakar tumhein dene ko kaha tha, aur us mein doodh aur madhu ki dharayen bahti hain, vah desh main tum ko nahi dikhane ka.

7

तो उन लोगों के पुत्र जिन को यहोवा ने उनके स्थान पर उत्पन्न किया था, उनका खतना यहोशू से कराया, क्योंकि मार्ग में उनके खतना न होने के कारण वे खतनारहित थे।

To un logon ke putra jin ko Yahowa ne unke sthaan par utpann kiya tha, unka khatna yahoshu se karaya, kyonki maarg mein unke khatna na hone ke karan ve khatnarhit the.

8

और जब उस सारी जाति के लोगों का खतना हो चुका, तब वे चंगे हो जाने तक अपने अपने स्थान पर छावनी में रहे।

Aur jab us sari jati ke logon ka khatna ho chuka, tab ve change ho jane tak apne apne sthaan par chhavni mein rahe.

9

तब यहोवा ने यहोशू से कहा, तुम्हारी नामधराई जो मिस्रियों में हुई है उसे मैं ने आज दूर की है। इस कारण उस स्थान का नाम आज के दिन तक गिलगाल पड़ा है॥

Tab Yahowa ne yahoshu se kaha, tumhari namadhrai jo misriyon mein hui hai use main ne aaj door ki hai. Is karan us sthaan ka naam aaj ke din tak gilgaal pada hai.

10

सो इस्राएली गिलगाल में डेरे डाले हुए रहे, और उन्होंने यरीहो के पास के अराबा में पूर्णमासी की सन्ध्या के समय फसह माना।

So Israeli gilgaal mein dere dale hue rahe, aur unhonne yareeho ke paas ke araba mein poornamasi ki sandhya ke samay phasah mana.

11

और फसह के दूसरे दिन वे उस देश की उपज में से अखमीरी रोटी और उसी दिन से भुना हुआ दाना भी खाने लगे।

Aur phasah ke doosre din ve us desh ki upaj mein se akhmeeri roti aur usi din se bhuna huaa dana bhi khane lage.

12

और जिस दिन वे उस देश की उपज में से खाने लगे, उसी दिन बिहान को मन्ना बन्द हो गया; और इस्राएलियों को आगे फिर कभी मन्ना न मिला, परन्तु उस वर्ष उन्होंने कनान देश की उपज में से खाई॥

Aur jis din ve us desh ki upaj mein se khane lage, usi din bihaan ko manna band ho gaya; aur Israeliyon ko aage phir kabhi manna na mila, parantu us varsh unhonne kanaan desh ki upaj mein se khai.

13

जब यहोशू यरीहो के पास था तब उसने अपनी आंखें उठाई, और क्या देखा, कि हाथ में नंगी तलवार लिये हुए एक पुरूष साम्हने खड़ा है; और यहोशू ने उसके पास जा कर पूछा, क्या तू हमारी ओर का है, वा हमारे बैरियों की ओर का?

Jab yahoshu yareeho ke paas tha tab usne apni aankhein uthai, aur kya dekha, ki haath mein nangi talvaar liye hue ek puroosh samhane khada hai; aur yahoshu ne uske paas ja kar poochha, kya tu hamari or ka hai, va hamare bairiyon ki or ka?

14

उसने उत्तर दिया, कि नहीं; मैं यहोवा की सेना का प्रधान हो कर अभी आया हूं। तब यहोशू ने पृथ्वी पर मुंह के बल गिरकर दण्डवत किया, और उस से कहा, अपने दास के लिये मेरे प्रभु की क्या आज्ञा है?

Usne uttar diya, ki nahi; main Yahowa ki sena ka pradhaan ho kar abhi aaya hoon. Tab yahoshu ne prithvi par munh ke bal girkar dandavat kiya, aur us se kaha, apne daas ke liye mere Prabhu ki kya aagya hai?

15

यहोवा की सेना के प्रधान ने यहोशू से कहा, अपनी जूती पांव से उतार डाल, क्योंकि जिस स्थान पर तू खड़ा है वह पवित्र है। तब यहोशू ने वैसा ही किया॥

Yahowa ki sena ke pradhaan ne yahoshu se kaha, apni jooti paanv se utaar daal, kyonki jis sthaan par tu khada hai vah pavitra hai. Tab yahoshu ne vaisa hi kiya.