जब उस सारी जाति के लोग यरदन के पार उतर चुके, तब यहोवा ने यहोशू से कहा,
Jab us sari jati ke log yardan ke paar utar chuke, tab Yahowa ne yahoshu se kaha,
Joshua 4 · 24 verses
जब उस सारी जाति के लोग यरदन के पार उतर चुके, तब यहोवा ने यहोशू से कहा,
Jab us sari jati ke log yardan ke paar utar chuke, tab Yahowa ne yahoshu se kaha,
प्रजा में से बारह पुरूष, अर्थात गोत्र पीछे एक एक पुरूष को चुनकर यह आज्ञा दे,
Praja mein se barah puroosh, arthaat gotra peechhe ek ek puroosh ko chunkar yah aagya de,
कि तुम यरदन के बीच में, जहां याजकों ने पांव धरे थे वहां से बारह पत्थर उठा कर अपने साथ पार ले चलो, और जहां आज की रात पड़ाव होगा वहीं उन को रख देना।
Ki tum yardan ke beech mein, jahan yajkon ne paanv dhare the vahan se barah patthar utha kar apne saath paar le chalo, aur jahan aaj ki raat padaav hoga vahi un ko rakh dena.
तब यहोशू ने उन बारह पुरूषों को, जिन्हें उसने इस्राएलियों के प्रत्येक गोत्र में से छांटकर ठहरा रखा था,
Tab yahoshu ne un barah purooshon ko, jinhein usne Israeliyon ke pratyek gotra mein se chhantkar thahra rakha tha,
बुलवाकर कहा, तुम अपने परमेश्वर यहोवा के सन्दूक के आगे यरदन के बीच में जा कर इस्राएलियों के गोत्रों की गिनती के अनुसार एक एक पत्थर उठा कर अपने अपने कन्धे पर रखो,
Bulvakar kaha, tum apne Parmeshwar Yahowa ke sandook ke aage yardan ke beech mein ja kar Israeliyon ke gotron ki ginti ke anusaar ek ek patthar utha kar apne apne kandhe par rakho,
जिस से यह तुम लोगों के बीच चिन्हानी ठहरे, और आगे को जब तुम्हारे बेटे यह पूछें, कि इन पत्थरों का क्या मतलब है?
Jis se yah tum logon ke beech chinhani thahre, aur aage ko jab tumhare bete yah poochhein, ki in pattharon ka kya matlab hai?
तब तुम उन्हें उत्तर दो, कि यरदन का जल यहोवा की वाचा के सन्दूक के साम्हने से दो भाग हो गया था; क्योंकि जब वह यरदन पार आ रहा था, तब यरदन का जल दो भाग हो गया। सो वे पत्थर इस्राएल को सदा के लिये स्मरण दिलाने वाले ठहरेंगे।
Tab tum unhein uttar do, ki yardan ka jal Yahowa ki vacha ke sandook ke samhane se do bhaag ho gaya tha; kyonki jab vah yardan paar aa raha tha, tab yardan ka jal do bhaag ho gaya. So ve patthar Israel ko sada ke liye smaran dilane vale thahrenge.
यहोशू की इस आज्ञा के अनुसार इस्राएलियों ने किया, जैसा यहोवा ने यहोशू से कहा था वैसा ही उन्होंने इस्राएलियों ने किया, जैसा यहोवा ने यहोशू से कहा था वैसा ही उन्होंने इस्राएली गोत्रों की गिनती के अनुसार बारह पत्थर यरदन के बीच में से उठा लिए; और उन को अपने साथ ले जा कर पड़ाव में रख दिया।
Yahoshu ki is aagya ke anusaar Israeliyon ne kiya, jaisa Yahowa ne yahoshu se kaha tha vaisa hi unhonne Israeliyon ne kiya, jaisa Yahowa ne yahoshu se kaha tha vaisa hi unhonne Israeli gotron ki ginti ke anusaar barah patthar yardan ke beech mein se utha liye; aur un ko apne saath le ja kar padaav mein rakh diya.
और यरदन के बीच जहां याजक वाचा के सन्दूक को उठाए हुए अपने पांव धरे थे वहां यहोशू ने बारह पत्थर खड़े कराए; वे आज तक वहीं पाए जाते हैं।
Aur yardan ke beech jahan yajak vacha ke sandook ko uthaye hue apne paanv dhare the vahan yahoshu ne barah patthar khade karaye; ve aaj tak vahi paye jate hain.
और याजक सन्दूक उठाए हुए उस समय तक यरदन के बीच खड़े रहे जब तक वे सब बातें पूरी न हो चुकीं, जिन्हें यहोवा ने यहोशू को लोगों से कहने की आज्ञा दी थी। तब सब लोग फुर्ती से पार उतर गए;
Aur yajak sandook uthaye hue us samay tak yardan ke beech khade rahe jab tak ve sab batein poori na ho chuki, jinhein Yahowa ne yahoshu ko logon se kahne ki aagya di thi. Tab sab log phurti se paar utar gaye;
और जब सब लोग पार उतर चुके, तब याजक और यहोवा का सन्दूक भी उनके देखते पार हुए।
Aur jab sab log paar utar chuke, tab yajak aur Yahowa ka sandook bhi unke dekhte paar hue.
और रूबेनी, गादी, और मनश्शे के आधे गोत्र के लोग मूसा के कहने के अनुसार इस्राएलियों के आगे पांति बान्धे हुए पार गए;
Aur roobeni, gadi, aur manashshe ke aadhe gotra ke log Musa ke kahne ke anusaar Israeliyon ke aage panti bandhe hue paar gaye;
अर्थात कोई चालीस हजार पुरूष युद्ध के हथियार बान्धे हुए संग्राम करने के लिये यहोवा के साम्हने पार उतरकर यरीहो के पास के अराबा में पहुंचे।
Arthaat koi chalees hajaar puroosh yuddh ke hathiyaar bandhe hue sangraam karne ke liye Yahowa ke samhane paar utarkar yareeho ke paas ke araba mein pahunche.
उस दिन यहोवा ने सब इस्राएलियों के साम्हने यहोशू की महिमा बढ़ाई; और जैसे वे मूसा का भय मानते थे वैसे ही यहोशू का भी भय उसके जीवन भर मानते रहे॥
Us din Yahowa ne sab Israeliyon ke samhane yahoshu ki mahima badhai; aur jaise ve Musa ka bhay mante the vaise hi yahoshu ka bhi bhay uske jeevan bhar mante rahe.
और यहोवा ने यहोशू से कहा,
Aur Yahowa ne yahoshu se kaha,
कि साक्षी का सन्दूक उठाने वाले याजकों को आज्ञा दे कि यरदन में से निकल आएं।
Ki sakshi ka sandook uthane vale yajkon ko aagya de ki yardan mein se nikal aayen.
तो यहोशू ने याजकों को आज्ञा दी, कि यरदन में से निकल आओ।
To yahoshu ne yajkon ko aagya di, ki yardan mein se nikal aao.
और ज्योंही यहोवा की वाचा का सन्दूक उठाने वाले याजक यरदन के बीच में से निकल आए, और उनके पांव स्थल पर पड़े, त्योंही यरदन का जल अपने स्थान पर आया, और पहिले की नाईं कड़ारो के ऊपर फिर बहने लगा।
Aur jyonhi Yahowa ki vacha ka sandook uthane vale yajak yardan ke beech mein se nikal aaye, aur unke paanv sthal par pade, tyonhi yardan ka jal apne sthaan par aaya, aur pahile ki nai kadaro ke oopar phir bahne laga.
पहिले महिने के दसवें दिन को प्रजा के लोगों ने यरदन में से निकलकर यरीहो के पूर्वी सिवाने पर गिलगाल में अपने डेरे डाले।
Pahile mahine ke dasvein din ko praja ke logon ne yardan mein se nikalkar yareeho ke poorvi sivane par gilgaal mein apne dere dale.
और जो बारह पत्थर यरदन में से निकाले गए थे, उन को यहोशू ने गिलगाल में खड़े किए।
Aur jo barah patthar yardan mein se nikale gaye the, un ko yahoshu ne gilgaal mein khade kiye.
तब उसने इस्राएलियों से कहा, आगे को जब तुम्हारे लड़केबाले अपने अपने पिता से यह पूछें, कि इन पत्थरों का क्या मतलब है?
Tab usne Israeliyon se kaha, aage ko jab tumhare ladkebale apne apne pita se yah poochhein, ki in pattharon ka kya matlab hai?
तब तुम यह कहकर उन को बताना, कि इस्राएली यरदन के पार स्थल ही स्थल चले आए थे।
Tab tum yah kahkar un ko batana, ki Israeli yardan ke paar sthal hi sthal chale aaye the.
क्योंकि जैसे तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने लाल समुद्र को हमारे पार हो जाने तक हमारे साम्हने से हटाकर सुखा रखा था, वैसे ही उसने यरदन का भी जल तुम्हारे पार हो जाने तक तुम्हारे साम्हने से हटाकर सुखा रखा;
Kyonki jaise tumhare Parmeshwar Yahowa ne laal samudra ko hamare paar ho jane tak hamare samhane se hatakar sukha rakha tha, vaise hi usne yardan ka bhi jal tumhare paar ho jane tak tumhare samhane se hatakar sukha rakha;
इसलिये कि पृथ्वी के सब देशों के लोग जान लें कि यहोवा का हाथ बलवन्त है; और तुम सर्वदा अपने परमेश्वर यहोवा का भय मानते रहो॥
Isliye ki prithvi ke sab deshon ke log jaan lein ki Yahowa ka haath balvant hai; aur tum sarvada apne Parmeshwar Yahowa ka bhay mante raho.