Joshua 3 · 17 verses

यहोशू 3 Joshua 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 3.

1

बिहान को यहोशू सबेरे उठा, और सब इस्राएलियों को साथ ले शित्तीम से कूच कर यरदन के किनारे आया; और वे पार उतरने से पहिले वहीं टिक गए।

Bihaan ko yahoshu sabere utha, aur sab Israeliyon ko saath le shitteem se kooch kar yardan ke kinare aaya; aur ve paar utarne se pahile vahi tik gaye.

2

और तीन दिन के बाद सरदारों ने छावनी के बीच जा कर

Aur teen din ke baad sardaron ne chhavni ke beech ja kar

3

प्रजा के लोगों को यह आज्ञा दी, कि जब तुम को अपने परमेश्वर यहोवा की वाचा का सन्दूक और उसे उठाए हुए लेवीय याजक भी देख पड़ें, तब अपने स्थान से कूच करके उसके पीछे पीछे चलना,

Praja ke logon ko yah aagya di, ki jab tum ko apne Parmeshwar Yahowa ki vacha ka sandook aur use uthaye hue leveeya yajak bhi dekh padein, tab apne sthaan se kooch karke uske peechhe peechhe chalna,

4

परन्तु उसके और तुम्हारे बीच में दो हजार हाथ के अटकल अन्तर रहे; तुम सन्दूक के निकट न जाना। ताकि तुम देख सको, कि किस मार्ग से तुम को चलना है, क्योंकि अब तक तुम इस मार्ग पर हो कर नहीं चले।

Parantu uske aur tumhare beech mein do hajaar haath ke atkal antar rahe; tum sandook ke nikat na jana. Taki tum dekh sako, ki kis maarg se tum ko chalna hai, kyonki ab tak tum is maarg par ho kar nahi chale.

5

फिर यहोशू ने प्रजा के लोगों से कहा, तुम अपने आप को पवित्र करो; क्योंकि कल के दिन यहोवा तुम्हारे मध्य में आश्चर्यकर्म करेगा।

Phir yahoshu ne praja ke logon se kaha, tum apne aap ko pavitra karo; kyonki kal ke din Yahowa tumhare madhya mein aashcharyakarm karega.

6

तब यहोशू ने याजकों से कहा, वाचा का सन्दूक उठा कर प्रजा के आगे आगे चलो। तब वे वाचा का सन्दूक उठा कर आगे आगे चले।

Tab yahoshu ne yajkon se kaha, vacha ka sandook utha kar praja ke aage aage chalo. Tab ve vacha ka sandook utha kar aage aage chale.

7

तब यहोवा ने यहोशू से कहा, आज के दिन से मैं सब इस्राएलियों के सम्मुख तेरी प्रशंसा करना आरम्भ करूंगा, जिस से वे जान लें कि जैसे मैं मूसा के संग रहता था वैसे ही मैं तेरे संग भी हूं।

Tab Yahowa ne yahoshu se kaha, aaj ke din se main sab Israeliyon ke sammukh teri prashansa karna aarambh karoonga, jis se ve jaan lein ki jaise main Musa ke sang rahta tha vaise hi main tere sang bhi hoon.

8

और तू वाचा के सन्दूक के उठाने वाले याजकों को यह आज्ञा दे, कि जब तुम यरदन के जल के किनारे पहुंचो, तब यरदन में खड़े रहना॥

Aur tu vacha ke sandook ke uthane vale yajkon ko yah aagya de, ki jab tum yardan ke jal ke kinare pahuncho, tab yardan mein khade rahna.

9

तब यहोशू ने इस्राएलियों से कहा, कि पास आकर अपने परमेश्वर यहोवा के वचन सुनो।

Tab yahoshu ne Israeliyon se kaha, ki paas aakar apne Parmeshwar Yahowa ke vachan suno.

10

और यहोशू कहने लगा, कि इस से तुम जान लोगे कि जीवित ईश्वर तुम्हारे मध्य में है, और वह तुम्हारे सामहने से नि:सन्देह कनानियों, हित्तियों, हिव्वियों, परिज्जियों, गिर्गाशियों, एमोरियों, और यबूसियों को उनके देश में से निकाल देगा।

Aur yahoshu kahne laga, ki is se tum jaan loge ki jeevit ishwar tumhare madhya mein hai, aur vah tumhare samahne se nisandeh kananiyon, hittiyon, hivviyon, parijjiyon, girgashiyon, emoriyon, aur yaboosiyon ko unke desh mein se nikaal dega.

11

सुनो, पृथ्वी भर के प्रभु की वाचा का सन्दूक तुम्हारे आगे आगे यरदन में जाने पर है।

Suno, prithvi bhar ke Prabhu ki vacha ka sandook tumhare aage aage yardan mein jane par hai.

12

इसलिये अब इस्राएल के गोत्रों में से बारह पुरूषों को चुन लो, वे एक एक गोत्र में से एक पुरूष हो।

Isliye ab Israel ke gotron mein se barah purooshon ko chun lo, ve ek ek gotra mein se ek puroosh ho.

13

और जिस समय पृथ्वी भर के प्रभु यहोवा की वाचा का सन्दूक उठाने वाले याजकों के पांव यरदन के जल में पड़ेंगे, उस समय यरदन का ऊपर से बहता हुआ जल थम जाएगा, और ढेर हो कर ठहरा रहेगा।

Aur jis samay prithvi bhar ke Prabhu Yahowa ki vacha ka sandook uthane vale yajkon ke paanv yardan ke jal mein padenge, us samay yardan ka oopar se bahta huaa jal tham jayega, aur dher ho kar thahra rahega.

14

सो जब प्रजा के लोगों ने अपने डेरों से यरदन पार जाने को कूच किया, और याजक वाचा का सन्दूक उठाए हुए प्रजा के आगे आगे चले,

So jab praja ke logon ne apne deron se yardan paar jane ko kooch kiya, aur yajak vacha ka sandook uthaye hue praja ke aage aage chale,

15

और सन्दूक के उठाने वाले यरदन पर पहुंचे, और सन्दूक के उठाने वाले याजकों के पांव यरदन के तीर के जल में डूब गए (यरदन का जल तो कटनी के समय के सब दिन कड़ारों के ऊपर ऊपर बहा करता है),

Aur sandook ke uthane vale yardan par pahunche, aur sandook ke uthane vale yajkon ke paanv yardan ke teer ke jal mein doob gaye (yardan ka jal to katni ke samay ke sab din kadaron ke oopar oopar baha karta hai),

16

तब जो जल ऊपर की ओर से बहा आता था वह बहुत दूर, अर्थात आदाम नगर के पास जो सारतान के निकट है रूककर एक ढेर हो गया, और दीवार सा उठा रहा, और जो जल अराबा का ताल, जो खारा ताल भी कहलाता है, उसकी ओर बहा जाता था, वह पूरी रीति से सूख गया; और प्रजा के लाग यरीहो के साम्हने पार उतर गए।

Tab jo jal oopar ki or se baha aata tha vah bahut door, arthaat aadaam nagar ke paas jo sartaan ke nikat hai rookkar ek dher ho gaya, aur deevaar sa utha raha, aur jo jal araba ka taal, jo khara taal bhi kahlata hai, uski or baha jata tha, vah poori reeti se sookh gaya; aur praja ke laag yareeho ke samhane paar utar gaye.

17

और याजक यहोवा की वाचा का सन्दूक उठाए हुए यरदन के बीचोंबीच पहुंचकर स्थल पर स्थिर खड़े रहे, और सब इस्राएली स्थल ही स्थल पार उतरते रहे, निदान उस सारी जाति के लोग यरदन पार हो गए॥

Aur yajak Yahowa ki vacha ka sandook uthaye hue yardan ke beechombeech pahunchkar sthal par sthir khade rahe, aur sab Israeli sthal hi sthal paar utarte rahe, nidaan us sari jati ke log yardan paar ho gaye.