Joshua 2 · 24 verses

यहोशू 2 Joshua 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 2.

1

तब नून के पुत्र यहोशू ने दो भेदियों को शित्तीम से चुपके से भेज दिया, और उन से कहा, जा कर उस देश और यरीहो को देखो। तुरन्त वे चल दिए, और राहाब नाम किसी वेश्या के घर में जा कर सो गए।

Tab noon ke putra yahoshu ne do bhediyon ko shitteem se chupke se bhej diya, aur un se kaha, ja kar us desh aur yareeho ko dekho. Turant ve chal diye, aur rahaab naam kisi veshya ke ghar mein ja kar so gaye.

2

तब किसी ने यरीहो के राजा से कहा, कि आज की रात कई एक इस्राएली हमारे देश का भेद लेने को यहां आए हुए हैं।

Tab kisi ne yareeho ke raja se kaha, ki aaj ki raat kai ek Israeli hamare desh ka bhed lene ko yahan aaye hue hain.

3

तब यरीहो के राजा ने राहाब के पास यों कहला भेजा, कि जो पुरूष तेरे यहां आए हैं उन्हें बाहर ले आ; क्योंकि वे सारे देश का भेद लेने को आए हैं।

Tab yareeho ke raja ne rahaab ke paas yon kahla bheja, ki jo puroosh tere yahan aaye hain unhein bahar le aa; kyonki ve sare desh ka bhed lene ko aaye hain.

4

उस स्त्री ने दोनों पुरूषों को छिपा रखा; और इस प्रकार कहा, कि मेरे पास कई पुरूष आए तो थे, परन्तु मैं नहीं जानती कि वे कहां के थे;

Us stri ne donon purooshon ko chhipa rakha; aur is prakaar kaha, ki mere paas kai puroosh aaye to the, parantu main nahi janti ki ve kahan ke the;

5

और जब अन्धेरा हुआ, और फाटक बन्द होने लगा, तब वे निकल गए; मुझे मालूम नहीं कि वे कहां गए; तुम फुर्ती करके उनका पीछा करो तो उन्हें जा पकड़ोगे।

Aur jab andhera huaa, aur phatak band hone laga, tab ve nikal gaye; mujhe maloom nahi ki ve kahan gaye; tum phurti karke unka peechha karo to unhein ja pakdoge.

6

उसने उन को घर की छत पर चढ़ाकर सनई की लकड़ियों के नीचे छिपा दिया था जो उसने छत पर सजा कर रखी थी।

Usne un ko ghar ki chhat par chadhakar sanai ki lakdiyon ke neeche chhipa diya tha jo usne chhat par saja kar rakhi thi.

7

वे पुरूष तो यरदन का मार्ग ले उनकी खोज में घाट तक चले गए; और ज्योंही उन को खोजने वाले फाटक से निकले त्योंही फाटक बन्द किया गया।

Ve puroosh to yardan ka maarg le unki khoj mein ghaat tak chale gaye; aur jyonhi un ko khojne vale phatak se nikle tyonhi phatak band kiya gaya.

8

और ये लेटने न पाए थे कि वह स्त्री छत पर इनके पास जा कर

Aur ye letne na paye the ki vah stri chhat par inke paas ja kar

9

इन पुरूषों से कहने लगी, मुझे तो निश्चय है कि यहोवा ने तुम लोगों को यह देश दिया है, और तुम्हारा भय हम लोगों के मन में समाया है, और इस देश के सब निवासी तुम्हारे कारण घबरा रहे हैं।

In purooshon se kahne lagi, mujhe to nishchay hai ki Yahowa ne tum logon ko yah desh diya hai, aur tumhara bhay ham logon ke man mein samaya hai, aur is desh ke sab nivasi tumhare karan ghabra rahe hain.

10

क्योंकि हम ने सुना है कि यहोवा ने तुम्हारे मिस्र से निकलने के समय तुम्हारे साम्हने लाल समुद्र का जल सुखा दिया। और तुम लोगों ने सीहोन और ओग नाम यरदन पार रहने वाले एमोरियों के दोनों राजाओं को सत्यानाश कर डाला है।

Kyonki ham ne suna hai ki Yahowa ne tumhare Misr se nikalne ke samay tumhare samhane laal samudra ka jal sukha diya. Aur tum logon ne seehon aur og naam yardan paar rahne vale emoriyon ke donon rajaon ko satyanaash kar dala hai.

11

और यह सुनते ही हमारा मन पिघल गया, और तुम्हारे कारण किसी के जी में जी न रहा; क्योंकि तुम्हारा परमेश्वर यहोवा ऊपर के आकाश का और नीचे की पृथ्वी का परमेश्वर है।

Aur yah sunte hi hamara man pighal gaya, aur tumhare karan kisi ke ji mein ji na raha; kyonki tumhara Parmeshwar Yahowa oopar ke aakaash ka aur neeche ki prithvi ka Parmeshwar hai.

12

अब मैं ने जो तुम पर दया की है, इसलिये मुझ से यहोवा की शपथ खाओ कि तुम भी मेरे पिता के घराने पर दया करोगे, और इसकी सच्ची चिन्हानी मुझे दो,

Ab main ne jo tum par daya ki hai, isliye mujh se Yahowa ki shapath khao ki tum bhi mere pita ke gharane par daya karoge, aur iski sachchi chinhani mujhe do,

13

कि तुम मेरे माता-पिता, भाइयों और बहिनों को, और जो कुछ उनका है उन सभों को भी जीवित रख छोड़ो, और हम सभों का प्राण मरने से बचाओगे।

Ki tum mere mata-pita, bhaiyon aur bahinon ko, aur jo kuchh unka hai un sabhon ko bhi jeevit rakh chhodo, aur ham sabhon ka praan marne se bachaoge.

14

तब उन पुरूषों ने उस से कहा, यदि तू हमारी यह बात किसी पर प्रगट न करे, तो तुम्हारे प्राण के बदले हमारा प्राण जाए; और जब यहोवा हम को यह देश देगा, तब हम तेरे साथ कृपा और सच्चाई से बर्ताव करेंगे।

Tab un purooshon ne us se kaha, yadi tu hamari yah baat kisi par pragat na kare, to tumhare praan ke badle hamara praan jaye; aur jab Yahowa ham ko yah desh dega, tab ham tere saath kripa aur sachchai se bartaav karenge.

15

तब राहाब जिसका घर शहरपनाह पर बना था, और वह वहीं रहती थीं, उसने उन को खिड़की से रस्सी के बल उतार के नगर के बाहर कर दिया।

Tab rahaab jiska ghar shahrapnaah par bana tha, aur vah vahi rahti thi, usne un ko khidki se rassi ke bal utaar ke nagar ke bahar kar diya.

16

और उसने उन से कहा, पहाड़ को चले जाओ, ऐसा न हो कि खोजने वाले तुम को पाएं; इसलिये जब तक तुम्हारे खोजने वाले लौट न आएं तब तक, अर्थात तीन दिन वहीं छिपे रहता, उसके बाद अपना मार्ग लेना।

Aur usne un se kaha, pahaad ko chale jao, aisa na ho ki khojne vale tum ko payen; isliye jab tak tumhare khojne vale laut na aayen tab tak, arthaat teen din vahi chhipe rahta, uske baad apna maarg lena.

17

उन्होंने उस से कहा, जो शपथ तू ने हम को खिलाई है उसके विषय में हम तो निर्दोष रहेंगे।

Unhonne us se kaha, jo shapath tu ne ham ko khilai hai uske vishay mein ham to nirdosh rahenge.

18

तुम, जब हम लोग इस देश में आएंगे, तब जिस खिड़की से तू ने हम को उतारा है उस में यही लाल रंग के सूत की डोरी बान्ध देना; और अपने माता पिता, भाइयों, वरन अपने पिता के घराने को इसी घर में अपने पास इकट्ठा कर रखना।

Tum, jab ham log is desh mein aayenge, tab jis khidki se tu ne ham ko utara hai us mein yahi laal rang ke soot ki dori baandh dena; aur apne mata pita, bhaiyon, varan apne pita ke gharane ko isi ghar mein apne paas ikattha kar rakhna.

19

तब जो कोई तेरे घर के द्वार से बाहर निकले, उसके खून का दोष उसी के सिर पड़ेगा, और हम निर्दोष ठहरेंगे: परन्तु यदि तेरे संग घर में रहते हुए किसी पर किसी का हाथ पड़े, तो उसके खून का दोष हमारे सिर पर पड़ेगा।

Tab jo koi tere ghar ke dwaar se bahar nikle, uske khoon ka dosh usi ke sir padega, aur ham nirdosh thahrenge: parantu yadi tere sang ghar mein rahte hue kisi par kisi ka haath pade, to uske khoon ka dosh hamare sir par padega.

20

फिर यदि तू हमारी यह बात किसी पर प्रगट करे, तो जो शपथ तू ने हम को खिलाई है उस से हम निर्बन्ध ठहरेंगे।

Phir yadi tu hamari yah baat kisi par pragat kare, to jo shapath tu ne ham ko khilai hai us se ham nirbandh thahrenge.

21

उसने कहा, तुम्हारे वचनों के अनुसार हो। तब उसने उन को विदा किया, और वे चले गए; और उसने लाल रंग की डोरी को खिड़की में बान्ध दिया।

Usne kaha, tumhare vachnon ke anusaar ho. Tab usne un ko vida kiya, aur ve chale gaye; aur usne laal rang ki dori ko khidki mein baandh diya.

22

और वे जा कर पहाड़ तक पहुंचे, और वहां खोजने वालों के लौटने तक, अर्थात तीन दिन तक रहे; और खोजने वाले उन को सारे मार्ग में ढूंढ़ते रहे और कहीं न पाया।

Aur ve ja kar pahaad tak pahunche, aur vahan khojne valon ke lautne tak, arthaat teen din tak rahe; aur khojne vale un ko sare maarg mein dhoondhte rahe aur kahi na paya.

23

तब वे दोनों पुरूष पहाड़ से उतरे, और पार जा कर नून के पुत्र यहोशू के पास पहुंचकर जो कुछ उन पर बीता था उसका वर्णन किया।

Tab ve donon puroosh pahaad se utre, aur paar ja kar noon ke putra yahoshu ke paas pahunchkar jo kuchh un par beeta tha uska varnan kiya.

24

और उन्होंने यहोशू से कहा, निसन्देह यहोवा ने वह सारा देश हमारे हाथ में कर दिया है; फिर इसके सिवाय उसके सारे निवासी हमारे कारण घबरा रहे हैं॥

Aur unhonne yahoshu se kaha, nisandeh Yahowa ne vah sara desh hamare haath mein kar diya hai; phir iske sivaay uske sare nivasi hamare karan ghabra rahe hain.