Joshua 23 · 16 verses

यहोशू 23 Joshua 23 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 23.

1

इसके बहुत दिनों के बाद, जब यहोवा ने इस्राएलियों को उनके चारों ओर के शत्रुओं से विश्राम दिया, और यहोशू बूढ़ा और बहुत आयु का हो गया,

Iske bahut dinon ke baad, jab Yahowa ne Israeliyon ko unke charon or ke shatruon se vishraam diya, aur yahoshu boodha aur bahut aayu ka ho gaya,

2

तब यहोशू सब इस्राएलियों को, अर्थात पुरनियों, मुख्य पुरूषों, न्यायियों, और सरदारों को बुलवाकर कहने लगा, मैं तो अब बूढ़ा और बहुत आयु का हो गया हूं;

Tab yahoshu sab Israeliyon ko, arthaat purniyon, mukhya purooshon, nyayiyon, aur sardaron ko bulvakar kahne laga, main to ab boodha aur bahut aayu ka ho gaya hoon;

3

और तुम ने देखा कि तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने तुम्हारे निमित्त इन सब जातियों से क्या क्या किया है, क्योंकि जो तुम्हारी ओर लड़ता आया है वह तुम्हारा परमेश्वर यहोवा है।

Aur tum ne dekha ki tumhare Parmeshwar Yahowa ne tumhare nimitt in sab jatiyon se kya kya kiya hai, kyonki jo tumhari or ladta aaya hai vah tumhara Parmeshwar Yahowa hai.

4

देखो, मैं ने इन बची हुई जातियों को चिट्ठी डाल डालकर तुम्हारे गोत्रों का भाग कर दिया है; और यरदन से ले कर सूर्यास्त की ओर के बड़े समुद्र तक रहने वाली उन सब जातियों को भी ऐसा ही दिया है, जिन को मैं ने काट डाला है।

Dekho, main ne in bachi hui jatiyon ko chitthi daal dalkar tumhare gotron ka bhaag kar diya hai; aur yardan se le kar sooryaast ki or ke bade samudra tak rahne vali un sab jatiyon ko bhi aisa hi diya hai, jin ko main ne kaat dala hai.

5

और तुम्हारा परमेश्वर यहोवा उन को तुम्हारे साम्हने से उनके देश से निकाल देगा; और तुम अपने परमेश्वर यहोवा के वचन के अनुसार उनके देश के अधिकारी हो जाओगे।

Aur tumhara Parmeshwar Yahowa un ko tumhare samhane se unke desh se nikaal dega; aur tum apne Parmeshwar Yahowa ke vachan ke anusaar unke desh ke adhikari ho jaoge.

6

इसलिये बहुत हियाव बान्धकर, जो कुछ मूसा की व्यवस्था की पुस्तक में लिखा है उसके पूरा करने में चौकसी करना, उस से न तो दाहिने मुड़ना और न बाएं।

Isliye bahut hiyaav bandhakar, jo kuchh Musa ki vyavastha ki pustak mein likha hai uske poora karne mein chauksi karna, us se na to dahine mudna aur na bayen.

7

ये जो जातियां तुम्हारे बीच रह गई हैं इनके बीच न जाना, और न इनके देवताओं के नामों की चर्चा करना, और न उनकी शपथ खिलाना, और न उनकी उपासना करना, और न उन को दण्डवत करना,

Ye jo jatiyan tumhare beech rah gai hain inke beech na jana, aur na inke devtaon ke namon ki charcha karna, aur na unki shapath khilana, aur na unki upasna karna, aur na un ko dandavat karna,

8

परन्तु जैसे आज के दिन तक तुम अपने परमेश्वर यहोवा की भक्ति में लवलीन रहते हो, वैसे ही रहा करना।

Parantu jaise aaj ke din tak tum apne Parmeshwar Yahowa ki bhakti mein lavleen rahte ho, vaise hi raha karna.

9

यहोवा ने तुम्हारे साम्हने से बड़ी बड़ी और बलवन्त जातियां निकाली हैं; और तुम्हारे साम्हने आज के दिन तक कोई ठहर नहीं सका।

Yahowa ne tumhare samhane se badi badi aur balvant jatiyan nikali hain; aur tumhare samhane aaj ke din tak koi thahar nahi saka.

10

तुम में से एक मनुष्य हजार मनुष्यों को भगाएगा, क्योंकि तुम्हारा परमेश्वर यहोवा अपने वचन के अनुसार तुम्हारी ओर से लड़ता है।

Tum mein se ek manushya hajaar manushyon ko bhagayega, kyonki tumhara Parmeshwar Yahowa apne vachan ke anusaar tumhari or se ladta hai.

11

इसलिये अपने परमेश्वर यहोवा से प्रेम रखने की पूरी चौकसी करना।

Isliye apne Parmeshwar Yahowa se prem rakhne ki poori chauksi karna.

12

क्योंकि यदि तुम किसी रीति यहोवा से फिरकर इन जातियों के बाकी लोगों से मिलने लगो जो तुम्हारे बीच बचे हुए रहते हैं, और इन से ब्याह शादी करके इनके साथ समधियाना रिश्ता जोड़ो,

Kyonki yadi tum kisi reeti Yahowa se phirkar in jatiyon ke baki logon se milne lago jo tumhare beech bache hue rahte hain, aur in se byaah shadi karke inke saath samdhiyana rishta jodo,

13

तो निश्चय जान लो कि आगे को तुम्हारा परमेश्वर यहोवा इन जातियों को तुम्हारे सामहने से नहीं निकालेगा; और ये तुम्हारे लिये जाल और फंदे, और तुम्हारे पांजरों के लिये कोड़े, और तुम्हारी आंखों में कांटे ठहरेगी, और अन्त में तुम इस अच्छी भूमि पर से जो तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने तुम्हें दी है नष्ट हो जाओगे।

To nishchay jaan lo ki aage ko tumhara Parmeshwar Yahowa in jatiyon ko tumhare samahne se nahi nikalega; aur ye tumhare liye jaal aur phande, aur tumhare panjron ke liye kode, aur tumhari aankhon mein kante thahregi, aur ant mein tum is achchhi bhoomi par se jo tumhare Parmeshwar Yahowa ne tumhein di hai nasht ho jaoge.

14

सुनो, मैं तो अब सब संसारियों की गति पर जाने वाला हूं, और तुम सब अपने अपने हृदय और मन में जानते हो, कि जितनी भलाई की बातें हमारे परमेश्वर यहोवा ने हमारे विषय में कहीं उन में से एक भी बिना पूरी हुए नहीं रही; वे सब की सब तुम पर घट गई हैं, उन में से एक भी बिना पूरी हुए नहीं रही।

Suno, main to ab sab sansariyon ki gati par jane vala hoon, aur tum sab apne apne hriday aur man mein jante ho, ki jitni bhalai ki batein hamare Parmeshwar Yahowa ne hamare vishay mein kahi un mein se ek bhi bina poori hue nahi rahi; ve sab ki sab tum par ghat gai hain, un mein se ek bhi bina poori hue nahi rahi.

15

तो जैसे तुम्हारे परमेश्वर यहोवा की कही हुई सब भलाई की बातें तुम पर घटी है, वैसे ही यहोवा विपत्ति की सब बातें भी तुम पर घटाते घटाते तुम को इस अच्छी भूमि के ऊपर से, जिसे तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने तुम्हें दिया है, सत्यानाश कर डालेगा।

To jaise tumhare Parmeshwar Yahowa ki kahi hui sab bhalai ki batein tum par ghati hai, vaise hi Yahowa vipatti ki sab batein bhi tum par ghatate ghatate tum ko is achchhi bhoomi ke oopar se, jise tumhare Parmeshwar Yahowa ne tumhein diya hai, satyanaash kar dalega.

16

जब तुम उस वाचा को, जिसे तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने तुम को आज्ञा देकर अपने साथ बन्धाया है, उल्लंघन करके पराये देवताओं की उपासना और उन को दण्डवत करने लगो, तब यहोवा का कोप तुम पर भड़केगा, और तुम इस अच्छे देश में से जिसे उसने तुम को दिया है शीघ्र नाश जो जाओगे॥

Jab tum us vacha ko, jise tumhare Parmeshwar Yahowa ne tum ko aagya dekar apne saath bandhaya hai, ullanghan karke paraye devtaon ki upasna aur un ko dandavat karne lago, tab Yahowa ka kop tum par bhadkega, aur tum is achchhe desh mein se jise usne tum ko diya hai sheeghra naash jo jaoge.