उस समय यहोशू ने रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्रियों को बुलवाकर कहा,
Us samay yahoshu ne roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotriyon ko bulvakar kaha,
Joshua 22 · 34 verses
उस समय यहोशू ने रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्रियों को बुलवाकर कहा,
Us samay yahoshu ne roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotriyon ko bulvakar kaha,
जो जो आज्ञा यहोवा के दास मूसा ने तुम्हें दी थीं वे सब तुम ने मानी हैं, और जो जो आज्ञा मैं ने तुम्हें दी हैं उन सभों को भी तुम ने माना है;
Jo jo aagya Yahowa ke daas Musa ne tumhein di thi ve sab tum ne mani hain, aur jo jo aagya main ne tumhein di hain un sabhon ko bhi tum ne mana hai;
तुम ने अपने भाइयों को इस मुद्दत में आज के दिन तक नहीं छोड़ा, परन्तु अपने परमेश्वर यहोवा की आज्ञा तुम ने चौकसी से मानी है।
Tum ne apne bhaiyon ko is muddat mein aaj ke din tak nahi chhoda, parantu apne Parmeshwar Yahowa ki aagya tum ne chauksi se mani hai.
और अब तुम्हारे परमेश्वर यहोवा ने तुम्हारे भाइयों को अपने वचन के अनुसार विश्राम दिया है; इसलिये अब तुम लौटकर अपने अपने डेरों को, और अपनी अपनी निज भूमि में, जिसे यहोवा के दास मूसा ने यरदन पार तुम्हें दिया है चले जाओ।
Aur ab tumhare Parmeshwar Yahowa ne tumhare bhaiyon ko apne vachan ke anusaar vishraam diya hai; isliye ab tum lautkar apne apne deron ko, aur apni apni nij bhoomi mein, jise Yahowa ke daas Musa ne yardan paar tumhein diya hai chale jao.
केवल इस बात की पूरी चौकसी करना कि जो जो आज्ञा और व्यवस्था यहोवा के दास मूसा ने तुम को दी है उसको मानकर अपने परमेश्वर यहोवा से प्रेम रखो, उसके सारे मार्गों पर चलो, उसकी आज्ञाएं मानों, उसकी भक्ति मे लौलीन रहो, और अपने सारे मन और सारे प्राण से उसकी सेवा करो।
Keval is baat ki poori chauksi karna ki jo jo aagya aur vyavastha Yahowa ke daas Musa ne tum ko di hai usko mankar apne Parmeshwar Yahowa se prem rakho, uske sare margon par chalo, uski aagyayen manon, uski bhakti me lauleen raho, aur apne sare man aur sare praan se uski seva karo.
तब यहोशू ने उन्हें आशीर्वाद देकर विदा किया; और वे अपने अपने डेरे को चले गए॥
Tab yahoshu ne unhein aasheervaad dekar vida kiya; aur ve apne apne dere ko chale gaye.
मनश्शे के आधे गोत्रियों को मूसा ने बासान में भाग दिया था; परन्तु दूसरे आधे गोत्र को यहोशू ने उनके भाइयों के बीच यरदन के पश्चिम की ओर भाग दिया। उन को जब यहोशू ने विदा किया कि अपने अपने डेरे को जाएं,
Manashshe ke aadhe gotriyon ko Musa ne basaan mein bhaag diya tha; parantu doosre aadhe gotra ko yahoshu ne unke bhaiyon ke beech yardan ke pashchim ki or bhaag diya. Un ko jab yahoshu ne vida kiya ki apne apne dere ko jayen,
तब उन को भी आशीर्वाद देकर कहा, बहुत से पशु, और चांदी, सोना, पीतल, लोहा, और बहुत से वस्त्र और बहुत धन-सम्पित लिए हुए अपने अपने डेरे को लौट आओ; और अपने शत्रुओं की लूट की सम्पत्ति को अपने भाइयों के संग बांट लेना॥
Tab un ko bhi aasheervaad dekar kaha, bahut se pashu, aur chandi, sona, peetal, loha, aur bahut se vastra aur bahut dhan-sampit liye hue apne apne dere ko laut aao; aur apne shatruon ki loot ki sampatti ko apne bhaiyon ke sang baant lena.
तब रूबेनी, गादी, और मनश्शे के आधे गोत्री इस्राएलियों के पास से, अर्थात कनान देश के शीलो नगर से, अपनी गिलाद नाम निज भूमि में, जो मूसा से दिलाई हुई, यहोवा की आज्ञा के अनुसार उनकी निज भूमि हो गई थी, जाने की मनसा से लौट गए।
Tab roobeni, gadi, aur manashshe ke aadhe gotri Israeliyon ke paas se, arthaat kanaan desh ke sheelo nagar se, apni gilaad naam nij bhoomi mein, jo Musa se dilai hui, Yahowa ki aagya ke anusaar unki nij bhoomi ho gai thi, jane ki mansa se laut gaye.
और जब रूबेनी, गादी, और मनश्शे के आधे गोत्री यरदन की उस तराई में पहुंचे जो कनान देश में है, तब उन्होंने वहां देखने के योग्य एक बड़ी वेदी बनाईं।
Aur jab roobeni, gadi, aur manashshe ke aadhe gotri yardan ki us tarai mein pahunche jo kanaan desh mein hai, tab unhonne vahan dekhne ke yogya ek badi vedi banai.
और इसका समाचार इस्राएलियों के सुनने में आया, कि रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्रियों ने कनान देश के साम्हने यरदन की तराई में, अर्थात उसके उस पार जो इस्राएलियों का है, एक वेदी बनाई है।
Aur iska samachaar Israeliyon ke sunne mein aaya, ki roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotriyon ne kanaan desh ke samhane yardan ki tarai mein, arthaat uske us paar jo Israeliyon ka hai, ek vedi banai hai.
जब इस्राएलियों ने यह सुना, तब इस्राएलियों की सारी मण्डली उन से लड़ने के लिये चढ़ाई करने को शीलो में इकट्ठी हुई॥
Jab Israeliyon ne yah suna, tab Israeliyon ki sari mandali un se ladne ke liye chadhai karne ko sheelo mein ikatthi hui.
तब इस्राएलियों ने रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्रियों के पास गिलाद देश में एलीआज़र याजक के पुत्र पीनहास को,
Tab Israeliyon ne roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotriyon ke paas gilaad desh mein eleeaazar yajak ke putra peenhaas ko,
और उसके संग दस प्रधानों को, अर्थात इस्राएल के एक एक गोत्र में से पूर्वजों के घरानों के एक एक प्रधान को भेजा, और वे इस्राएल के हजारों में अपने अपने पूर्वजों के घरानों के मुख्य पुरूष थे।
Aur uske sang das pradhanon ko, arthaat Israel ke ek ek gotra mein se poorvajon ke gharanon ke ek ek pradhaan ko bheja, aur ve Israel ke hajaron mein apne apne poorvajon ke gharanon ke mukhya puroosh the.
वे गिलाद देश में रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्रियों के पास जा कर कहने लगे,
Ve gilaad desh mein roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotriyon ke paas ja kar kahne lage,
यहोवा की सारी मण्डली यह कहती है, कि तुम ने इस्राएल के परमेश्वर यहोवा का यह कैसा विश्वासघात किया; आज जो तुम ने एक वेदी बना ली है, इस में तुम ने उसके पीछे चलना छोड़कर उसके विरुद्ध आज बलवा किया है?
Yahowa ki sari mandali yah kahti hai, ki tum ne Israel ke Parmeshwar Yahowa ka yah kaisa vishwasghaat kiya; aaj jo tum ne ek vedi bana li hai, is mein tum ne uske peechhe chalna chhodkar uske viruddh aaj balva kiya hai?
सुनो, पोर के विषय का अधर्म हमारे लिये कुछ कम था, यद्दपि यहोवा की मण्डली को भारी दण्ड मिला तौभी आज के दिन तक हम उस अधर्म से शुद्ध नहीं हुए; क्या वह तुम्हारी दृष्टि में एक छोटी बात है,
Suno, por ke vishay ka adharm hamare liye kuchh kam tha, yaddapi Yahowa ki mandali ko bhari dand mila taubhi aaj ke din tak ham us adharm se shuddh nahi hue; kya vah tumhari drishti mein ek chhoti baat hai,
कि आज तुम यहोवा को त्यागकर उसके पीछे चलना छोड़ देते हो? क्या तुम यहोवा से फिर जाते हो, और कल वह इस्राएल की सारी मण्डली पर क्रोधित होगा।
Ki aaj tum Yahowa ko tyagkar uske peechhe chalna chhod dete ho? Kya tum Yahowa se phir jate ho, aur kal vah Israel ki sari mandali par krodhit hoga.
परन्तु यदि तुम्हारी निज भूमि अशुद्ध हो, तो पार आकर यहोवा की निज भूमि में, जहां यहोवा का निवास रहता है, हम लोगों के बीच में अपनी अपनी निज भूमि कर लो; परन्तु हमारे परमेश्वर यहोवा की वेदी को छोड़ और कोई वेदी बनाकर न तो यहोवा से बलवा करो, और न हम से।
Parantu yadi tumhari nij bhoomi ashuddh ho, to paar aakar Yahowa ki nij bhoomi mein, jahan Yahowa ka nivaas rahta hai, ham logon ke beech mein apni apni nij bhoomi kar lo; parantu hamare Parmeshwar Yahowa ki vedi ko chhod aur koi vedi banakar na to Yahowa se balva karo, aur na ham se.
देखो, जब जेरह के पुत्र आकान ने अर्पण की हुई वस्तु के विषय में विश्वासघात किया, तब क्या यहोवा का कोप इस्राएल की पूरी मण्डली पर न भड़का? और उस पुरूष के अधर्म का प्राणदण्ड अकेले उसी को न मिला॥
Dekho, jab jerah ke putra aakaan ne arpan ki hui vastu ke vishay mein vishwasghaat kiya, tab kya Yahowa ka kop Israel ki poori mandali par na bhadka? Aur us puroosh ke adharm ka prandand akele usi ko na mila.
तब रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्रियों ने इस्राएल के हजारों के मुख्य पुरूषों को यह उत्तर दिया,
Tab roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotriyon ne Israel ke hajaron ke mukhya purooshon ko yah uttar diya,
कि यहोवा जो ईश्वरों का परमेश्वर है, ईश्वरों का परमेश्वर यहोवा इस को जानता है, और इस्राएली भी इसे जान लेंगे, कि यदि यहोवा से फिरके वा उसका विश्वासघात करके हम ने यह काम किया हो, तो तू आज हम को जीवित न छोड़,
Ki Yahowa jo ishwaron ka Parmeshwar hai, ishwaron ka Parmeshwar Yahowa is ko janta hai, aur Israeli bhi ise jaan lenge, ki yadi Yahowa se phirke va uska vishwasghaat karke ham ne yah kaam kiya ho, to tu aaj ham ko jeevit na chhod,
यदि आज के दिन हम ने वेदी को इसलिये बनाया हो कि यहोवा के पीछे चलना छोड़ दें, वा इसलिये कि उस पर होमबलि, अन्नबलि, वा मेलबलि चढ़ाएं, तो यहोवा आप इसका हिसाब ले;
Yadi aaj ke din ham ne vedi ko isliye banaya ho ki Yahowa ke peechhe chalna chhod dein, va isliye ki us par homabli, annabli, va melabli chadhayen, to Yahowa aap iska hisaab le;
परन्तु हम ने इसी विचार और मनसा से यह किया है कि कहीं भविष्य में तुम्हारी सन्तान हमारी सन्तान से यह न कहने लगे, कि तुम को इस्राएल के परमेश्वर यहोवा से क्या काम?
Parantu ham ne isi vichaar aur mansa se yah kiya hai ki kahi bhavishya mein tumhari santaan hamari santaan se yah na kahne lage, ki tum ko Israel ke Parmeshwar Yahowa se kya kaam?
क्योंकि, हे रूबेनियों, हे गादियों, यहोवा ने जो हमारे और तुम्हारे बीच में यरदन को हद्द ठहरा दिया है, इसलिये यहोवा में तुम्हारा कोई भाग नहीं है। ऐसा कहकर तुम्हारी सन्तान हमारी सन्तान में से यहोवा का भय छुड़ा देगी।
Kyonki, he roobeniyon, he gadiyon, Yahowa ne jo hamare aur tumhare beech mein yardan ko hadd thahra diya hai, isliye Yahowa mein tumhara koi bhaag nahi hai. Aisa kahkar tumhari santaan hamari santaan mein se Yahowa ka bhay chhuda degi.
इसीलिये हम ने कहा, आओ, हम अपने लिये एक वेदी बना लें, वह होमबलि वा मेलबलि के लिये नहीं,
Iseeliye ham ne kaha, aao, ham apne liye ek vedi bana lein, vah homabli va melabli ke liye nahi,
परन्तु इसलिये कि हमारे और तुम्हारे, और हमारे बाद हमारे और तुम्हारे वंश के बीच में साक्षी का काम दे; इसलिये कि हम होमबलि, मेलबलि, और बलिदान चढ़ाकर यहोवा के सम्मुख उसकी उपासना करें; और भविष्य में तुम्हारी सन्तान हमारी सन्तान से यह न कहने पाए, कि यहोवा में तुम्हारा कोई भाग नहीं।
Parantu isliye ki hamare aur tumhare, aur hamare baad hamare aur tumhare vansh ke beech mein sakshi ka kaam de; isliye ki ham homabli, melabli, aur balidaan chadhakar Yahowa ke sammukh uski upasna karein; aur bhavishya mein tumhari santaan hamari santaan se yah na kahne paye, ki Yahowa mein tumhara koi bhaag nahi.
इसलिये हम ने कहा, कि जब वे लोग भविष्य में हम से वा हमारे वंश से यों कहने लगें, तब हम उन से कहेंगे, कि यहोवा के वेदी के नमूने पर बनी हुई इस वेदी को देखो, जिसे हमारे पुरखाओं ने होमबलि वा मेलबलि के लिये नहीं बनाया; परन्तु इसलिये बनाया था कि हमारे और तुम्हारे बीच में साक्षी का काम दे।
Isliye ham ne kaha, ki jab ve log bhavishya mein ham se va hamare vansh se yon kahne lagein, tab ham un se kahenge, ki Yahowa ke vedi ke namoone par bani hui is vedi ko dekho, jise hamare purkhaon ne homabli va melabli ke liye nahi banaya; parantu isliye banaya tha ki hamare aur tumhare beech mein sakshi ka kaam de.
यह हम से दूर रहे कि यहोवा से फिरकर आज उसके पीछे चलना छोड़ दें, और अपने परमेश्वर यहोवा की उस वेदी को छोड़कर जो उसके निवास के साम्हने है होमबलि, और अन्नबलि, वा मेलबलि के लिये दूसरी वेदी बनाएं॥
Yah ham se door rahe ki Yahowa se phirkar aaj uske peechhe chalna chhod dein, aur apne Parmeshwar Yahowa ki us vedi ko chhodkar jo uske nivaas ke samhane hai homabli, aur annabli, va melabli ke liye doosri vedi banayen.
रूबेनियों, गादियों, और मनश्शे के आधे गोत्रियों की इन बातों को सुनकर पीनहास याजक और उसके संग मण्डली के प्रधान, जो इस्राएल के हजारों के मुख्य पुरूष थे, वे अति प्रसन्न हुए।
Roobeniyon, gadiyon, aur manashshe ke aadhe gotriyon ki in baton ko sunkar peenhaas yajak aur uske sang mandali ke pradhaan, jo Israel ke hajaron ke mukhya puroosh the, ve ati prasann hue.
और एलीआजर याजक के पुत्र पीनहास ने रूबेनियों, गादियों, और मनश्शेइयों से कहा, तुम ने जो यहोवा का ऐसा विश्वासघात नहीं किया, इस से आज हम ने यह जान लिया कि यहोवा हमारे बीच में है: और तुम लोगों ने इस्राएलियों को यहोवा के हाथ से बचाया है।
Aur eleeaajar yajak ke putra peenhaas ne roobeniyon, gadiyon, aur manashsheiyon se kaha, tum ne jo Yahowa ka aisa vishwasghaat nahi kiya, is se aaj ham ne yah jaan liya ki Yahowa hamare beech mein hai: aur tum logon ne Israeliyon ko Yahowa ke haath se bachaya hai.
तब एलीआज़र याजक का पुत्र पीनहास प्रधानों समेत रूबेनियों और गादियों के पास से गिलाद होते हुए कनान देश में इस्राएलियों के पास लौट गया: और यह वृतान्त उन को कह सुनाया।
Tab eleeaazar yajak ka putra peenhaas pradhanon samet roobeniyon aur gadiyon ke paas se gilaad hote hue kanaan desh mein Israeliyon ke paas laut gaya: aur yah vritaant un ko kah sunaya.
तब इस्राएली प्रसन्न हुए; और परमेश्वर को धन्य कहा, और रूबेनियों और गादियों से लड़ने और उनके रहने का देश उजाड़ने के लिये चढ़ाई करने की चर्चा फिर न की।
Tab Israeli prasann hue; aur Parmeshwar ko dhanya kaha, aur roobeniyon aur gadiyon se ladne aur unke rahne ka desh ujadne ke liye chadhai karne ki charcha phir na ki.
और रूबेनियों और गादियों ने यह कहकर, कि यह वेदी हमारे और उनके मध्य में इस बात का साक्षी ठहरी है, कि यहोवा ही परमेश्वर है: उस वेदी का नाम एद रखा॥
Aur roobeniyon aur gadiyon ne yah kahkar, ki yah vedi hamare aur unke madhya mein is baat ka sakshi thahri hai, ki Yahowa hi Parmeshwar hai: us vedi ka naam ed rakha.