फिर यहोवा ने यहोशू से कहा,
Phir Yahowa ne yahoshu se kaha,
Joshua 20 · 9 verses
फिर यहोवा ने यहोशू से कहा,
Phir Yahowa ne yahoshu se kaha,
इस्राएलियों से यह कह, कि मैं ने मूसा के द्वारा तुम से शरण नगरों की जो चर्चा की थी उसके अनुसार उन को ठहरा लो,
Israeliyon se yah kah, ki main ne Musa ke dwara tum se sharan nagron ki jo charcha ki thi uske anusaar un ko thahra lo,
जिस से जो कोई भूल से बिना जाने किसी को मार डाले, वह उन में से किसी में भाग जाए; इसलिये वे नगर खून के पलटा लेने वाले से बचने के लिये तुम्हारे शरणस्थान ठहरें।
Jis se jo koi bhool se bina jane kisi ko maar dale, vah un mein se kisi mein bhaag jaye; isliye ve nagar khoon ke palta lene vale se bachne ke liye tumhare sharnasthaan thahrein.
वह उन नगरों में से किसी को भाग जाए, और उस नगर के फाटक में से खड़ा हो कर उसके पुरनियों को अपना मुकद्दमा कह सुनाए; और वे उसको अपने नगर में अपने पास टिका लें, और उसे कोई स्थान दें, जिस में वह उनके साथ रहे।
Vah un nagron mein se kisi ko bhaag jaye, aur us nagar ke phatak mein se khada ho kar uske purniyon ko apna mukaddama kah sunaye; aur ve usko apne nagar mein apne paas tika lein, aur use koi sthaan dein, jis mein vah unke saath rahe.
और यदि खून का पलटा लेनेवाला उसका पीछा करे, तो वे यह जानकर कि उसने अपने पड़ोसी को बिना जाने, और पहिले उस से बिना बैर रखे मारा, उस खूनी को उसके हाथ में न दें।
Aur yadi khoon ka palta lenevala uska peechha kare, to ve yah jankar ki usne apne padosi ko bina jane, aur pahile us se bina bair rakhe mara, us khooni ko uske haath mein na dein.
और जब तक वह मण्डली के साम्हने न्याय के लिये खड़ा न हो, और जब तक उन दिनों का महायाजक न मर जाए, तब तक वह उसी नगर में रहे; उसके बाद वह खूनी अपने नगर को लौटकर जिस से वह भाग आया हो अपने घर में फिर रहने पाए।
Aur jab tak vah mandali ke samhane nyaay ke liye khada na ho, aur jab tak un dinon ka mahayajak na mar jaye, tab tak vah usi nagar mein rahe; uske baad vah khooni apne nagar ko lautkar jis se vah bhaag aaya ho apne ghar mein phir rahne paye.
और उन्होंने नप्ताली के पहाड़ी देश में गलील के केदेश को, और एप्रैम के पहाड़ी देश में शकेम को, और यहूदा के पहाड़ी देश में किर्य्यतर्बा को, (जो हेब्रोन भी कहलाता है) पवित्र ठहराया।
Aur unhonne naptali ke pahadi desh mein galeel ke kedesh ko, aur epraim ke pahadi desh mein shakem ko, aur Yahuda ke pahadi desh mein kiryyatarba ko, (jo hebron bhi kahlata hai) pavitra thahraya.
और यरीहो के पास के यरदन के पूर्व की ओर उन्होंने रूबेन के गोत्र के भाग में बसेरे को, जो जंगल में चौरस भूमि पर बसा हुआ है, और गाद के गोत्र के भाग में गिलाद के रामोत को, और मनश्शे के गोत्र के भाग में बाशान के गालान को ठहराया।
Aur yareeho ke paas ke yardan ke poorva ki or unhonne rooben ke gotra ke bhaag mein basere ko, jo jangal mein chauras bhoomi par basa huaa hai, aur gaad ke gotra ke bhaag mein gilaad ke ramot ko, aur manashshe ke gotra ke bhaag mein bashaan ke galaan ko thahraya.
सारे इस्राएलियों के लिये, और उन के बीच रहने वाले परदेशियों के लिये भी, जो नगर इस मनसा से ठहराए गए कि जो कोई किसी प्राणी को भूल से मार डाले वह उन में से किसी में भाग जाए, और जब तक न्याय के लिये मण्डली के साम्हने खड़ा न हो, तब तक खून का पलटा लेनेवाला उसे मार डालने न पाए, वे यह ही हैं॥
Sare Israeliyon ke liye, aur un ke beech rahne vale pardeshiyon ke liye bhi, jo nagar is mansa se thahraye gaye ki jo koi kisi prani ko bhool se maar dale vah un mein se kisi mein bhaag jaye, aur jab tak nyaay ke liye mandali ke samhane khada na ho, tab tak khoon ka palta lenevala use maar dalne na paye, ve yah hi hain.