Joshua 14 · 15 verses

यहोशू 14 Joshua 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 14.

1

जो जो भाग इस्राएलियों ने कनान देश में पाए, उन्हें एलीआजर याजक, और नून के पुत्र यहोशू, और इस्राएली गोत्रों के पूर्वजों के घरानों के मुख्य मुख्य पुरूषों ने उन को दिया वे ये हैं।

Jo jo bhaag Israeliyon ne kanaan desh mein paye, unhein eleeaajar yajak, aur noon ke putra yahoshu, aur Israeli gotron ke poorvajon ke gharanon ke mukhya mukhya purooshon ne un ko diya ve ye hain.

2

जो आज्ञा यहोवा ने मूसा के द्वारा साढ़े नौ गोत्रों के लिये दी थी, उसके अनुसार उनके भाग चिट्ठी डाल डालकर दिए गए।

Jo aagya Yahowa ne Musa ke dwara sadhe nau gotron ke liye di thi, uske anusaar unke bhaag chitthi daal dalkar diye gaye.

3

मूसा ने तो अढ़ाई गोत्रों के भाग यरदन पार दिए थे; परन्तु लेवियों को उसने उनके बीच कोई भाग न दिया था।

Musa ne to adhai gotron ke bhaag yardan paar diye the; parantu leviyon ko usne unke beech koi bhaag na diya tha.

4

यूसुफ के वंश के तो दो गोत्र हो गए थे, अर्थात मनश्शे और एप्रैम; और उस देश में लेवियों को कुछ भाग न दिया गया, केवल रहने के नगर, और पशु आदि धन रखने को और चराइयां उन को मिलीं।

Yusuf ke vansh ke to do gotra ho gaye the, arthaat manashshe aur epraim; aur us desh mein leviyon ko kuchh bhaag na diya gaya, keval rahne ke nagar, aur pashu aadi dhan rakhne ko aur charaiyan un ko mili.

5

जो आज्ञा यहोवा ने मूसा को दी थी उसके अनुसार इस्राएलियों ने किया; और उन्होंने देश को बांट लिया॥

Jo aagya Yahowa ne Musa ko di thi uske anusaar Israeliyon ne kiya; aur unhonne desh ko baant liya.

6

तब यहूदी यहोशू के पास गिलगाल में आए; और कनजी यपुन्ने के पुत्र कालेब ने उस से कहा, तू जानता होगा कि यहोवा ने कादेशबर्ने में परमेश्वर के जन मूसा से मेरे और तेरे विषय में क्या कहा था।

Tab Yahudi yahoshu ke paas gilgaal mein aaye; aur kanji yapunne ke putra kaleb ne us se kaha, tu janta hoga ki Yahowa ne kadeshbarne mein Parmeshwar ke jan Musa se mere aur tere vishay mein kya kaha tha.

7

जब यहोवा के दास मूसा ने मुझे इस देश का भेद लेने के लिये कादेशबर्ने से भेजा था तब मैं चालीस वर्ष का था; और मैं सच्चे मन से उसके पास सन्देश ले आया।

Jab Yahowa ke daas Musa ne mujhe is desh ka bhed lene ke liye kadeshbarne se bheja tha tab main chalees varsh ka tha; aur main sachche man se uske paas sandesh le aaya.

8

और मेरे साथी जो मेरे संग गए थे उन्होंने तो प्रजा के लोगों को निराश कर दिया, परन्तु मैं ने अपने परमेश्वर यहोवा की पूरी रीति से बात मानी।

Aur mere sathi jo mere sang gaye the unhonne to praja ke logon ko niraash kar diya, parantu main ne apne Parmeshwar Yahowa ki poori reeti se baat mani.

9

तब उस दिन मूसा ने शपथ खाकर मुझ से कहा, तू ने पूरी रीति से मेरे परमेश्वर यहोवा की बातों का अनुकरण किया है, इस कारण नि:सन्देह जिस भूमि पर तू अपने पांव धर आया है वह सदा के लिये तेरा और तेरे वंश का भाग होगी।

Tab us din Musa ne shapath khakar mujh se kaha, tu ne poori reeti se mere Parmeshwar Yahowa ki baton ka anukran kiya hai, is karan nisandeh jis bhoomi par tu apne paanv dhar aaya hai vah sada ke liye tera aur tere vansh ka bhaag hogi.

10

और अब देख, जब से यहोवा ने मूसा से यह वचन कहा था तब से पैतालीस वर्ष हो चुके हैं, जिन में इस्राएली जंगल में घूमते फिरते रहे; उन में यहोवा ने अपने कहने के अनुसार मुझे जीवित रखा है; और अब मैं पचासी वर्ष का हूं।

Aur ab dekh, jab se Yahowa ne Musa se yah vachan kaha tha tab se paitalees varsh ho chuke hain, jin mein Israeli jangal mein ghoomte phirte rahe; un mein Yahowa ne apne kahne ke anusaar mujhe jeevit rakha hai; aur ab main pachasi varsh ka hoon.

11

जितना बल मूसा के भेजने के दिन मुझ में था उतना बल अभी तक मुझ में है; युद्ध करने, वा भीतर बाहर आने जाने के लिये जितनी उस समय मुझ मे सामर्थ्य थी उतनी ही अब भी मुझ में सामर्थ्य है।

Jitna bal Musa ke bhejne ke din mujh mein tha utna bal abhi tak mujh mein hai; yuddh karne, va bheetar bahar aane jane ke liye jitni us samay mujh me samarthya thi utni hi ab bhi mujh mein samarthya hai.

12

इसलिये अब वह पहाड़ी मुझे दे जिसकी चर्चा यहोवा ने उस दिन की थी; तू ने तो उस दिन सुना होगा कि उस में अनाकवंशी रहते हैं, और बड़े बड़े गढ़ वाले नगर भी हैं; परन्तु क्या जाने सम्भव है कि यहोवा मेरे संग रहे, और उसके कहने के अनुसार मैं उन्हें उनके देश से निकाल दूं।

Isliye ab vah pahadi mujhe de jiski charcha Yahowa ne us din ki thi; tu ne to us din suna hoga ki us mein anakvanshi rahte hain, aur bade bade gadh vale nagar bhi hain; parantu kya jane sambhav hai ki Yahowa mere sang rahe, aur uske kahne ke anusaar main unhein unke desh se nikaal dun.

13

तब यहोशू ने उसको आशीर्वाद दिया; और हेब्रोन को यपुन्ने के पुत्र कालेब का भाग कर दिया।

Tab yahoshu ne usko aasheervaad diya; aur hebron ko yapunne ke putra kaleb ka bhaag kar diya.

14

इस कारण हेब्रोन कनजी यपुन्ने के पुत्र कालेब का भाग आज तक बना है, क्योंकि वह इस्राएल के परमेश्वर यहोवा का पूरी रीति से अनुगामी था।

Is karan hebron kanji yapunne ke putra kaleb ka bhaag aaj tak bana hai, kyonki vah Israel ke Parmeshwar Yahowa ka poori reeti se anugami tha.

15

पहिले समय में तो हेब्रोन का नाम किर्यतर्बा था; वह अर्बा अनाकियों में सब से बड़ा पुरूष था। और उस देश को लड़ाई से शान्ति मिली॥

Pahile samay mein to hebron ka naam kiryatarba tha; vah arba anakiyon mein sab se bada puroosh tha. Aur us desh ko ladai se shanti mili.