Joshua 11 · 23 verses

यहोशू 11 Joshua 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yahoshu 11.

1

यह सुनकर हासोर के राजा याबीन ने मादोन के राजा योबाब, और शिम्रोन और अक्षाप के राजाओं को,

Yah sunkar hasor ke raja yabeen ne madon ke raja yobaab, aur shimron aur akshaap ke rajaon ko,

2

और जो जो राजा उत्तर की ओर पहाड़ी देश में, और किन्नेरेत की दक्खिन के अराबा में, और नीचे के देश में, और पच्छिम की ओर दोर के ऊंचे देश में रहते थे, उन को,

Aur jo jo raja uttar ki or pahadi desh mein, aur kinneret ki dakkhin ke araba mein, aur neeche ke desh mein, aur pachchhim ki or dor ke oonche desh mein rahte the, un ko,

3

और पूरब पच्छिम दोनों ओर के रहने वाले कनानियों, और एमोरियों, हित्तियों, परिज्जियों, और पहाड़ी यबूसियों, और मिस्पा देश में हेर्मोन पहाड़ के नीचे रहने वाले हिव्वियों को बुलवा भेजा।

Aur poorab pachchhim donon or ke rahne vale kananiyon, aur emoriyon, hittiyon, parijjiyon, aur pahadi yaboosiyon, aur mispa desh mein hermon pahaad ke neeche rahne vale hivviyon ko bulva bheja.

4

और वे अपनी अपनी सेना समेत, जो समुद्र के किनारे बालू के किनकों के समान बहुत थीं, मिलकर निकल आए, और उनके साथ बहुत ही घोड़े और रथ भी थे।

Aur ve apni apni sena samet, jo samudra ke kinare balu ke kinkon ke samaan bahut thi, milkar nikal aaye, aur unke saath bahut hi ghode aur rath bhi the.

5

तब ये सब राजा सम्मति करके इकट्ठे हुए, और इस्राएलियों से लड़ने को मेरोम नाम ताल के पास आकर एक संग छावनी डाली।

Tab ye sab raja sammati karke ikatthe hue, aur Israeliyon se ladne ko merom naam taal ke paas aakar ek sang chhavni dali.

6

तब यहोवा ने यहोशू से कहा, उन से मत डर, क्योंकि कल इसी समय मैं उन सभों को इस्राएलियों के वश करके मरवा डालूंगा; तब तू उनके घोड़ों के सुम की नस कटवाना, और उनके रथ भस्म कर देना।

Tab Yahowa ne yahoshu se kaha, un se mat dar, kyonki kal isi samay main un sabhon ko Israeliyon ke vash karke marva daloonga; tab tu unke ghodon ke sum ki nas katvana, aur unke rath bhasm kar dena.

7

और यहोशू सब योद्धाओं समेत मेरोम नाम ताल के पास अचानक पहुंचकर उन पर टूट पड़ा।

Aur yahoshu sab yoddhaon samet merom naam taal ke paas achanak pahunchkar un par toot pada.

8

और यहोवा ने उन को इस्राएलियों के हाथ में कर दिया, इसलिये उन्होंने उन्हें मार लिया, और बड़े नगर सीदोन और मिस्रपोतमैत तक, और पूर्व की ओर मिस्पे के मैदान तक उनका पीछा किया; और उन को मारा, और उन में से किसी को जीवित न छोड़ा।

Aur Yahowa ne un ko Israeliyon ke haath mein kar diya, isliye unhonne unhein maar liya, aur bade nagar seedon aur misrapotmait tak, aur poorva ki or mispe ke maidaan tak unka peechha kiya; aur un ko mara, aur un mein se kisi ko jeevit na chhoda.

9

तब यहोशू ने यहोवा की आज्ञा के अनुसार उन से किया, अर्थात उनके घोड़ों के सुम की नस कटवाई, और उनके रथ आग में जलाकर भस्म कर दिए॥

Tab yahoshu ne Yahowa ki aagya ke anusaar un se kiya, arthaat unke ghodon ke sum ki nas katvai, aur unke rath aag mein jalakar bhasm kar diye.

10

उस समय यहोशू ने घूमकर हासोर को जो पहिले उन सब राज्यों में मुख्य नगर था ले लिया, और उसके राजा को तलवार से मार डाला।

Us samay yahoshu ne ghoomkar hasor ko jo pahile un sab rajyon mein mukhya nagar tha le liya, aur uske raja ko talvaar se maar dala.

11

और जितने प्राणी उस में थे उन सभों को उन्होंने तलवार से मारकर सत्यानाश किया; और किसी प्राणी को जीवित न छोड़ा, और हासोर को यहोशू ने आग लगाकर फुंकवा दिया।

Aur jitne prani us mein the un sabhon ko unhonne talvaar se markar satyanaash kiya; aur kisi prani ko jeevit na chhoda, aur hasor ko yahoshu ne aag lagakar phunkva diya.

12

और उन सब नगरों को उनके सब राजाओं समेत यहोशू ने ले लिया, और यहोवा के दास मूसा की आज्ञा के अनुसार उन को तलवार से घात करके सत्यानाश किया।

Aur un sab nagron ko unke sab rajaon samet yahoshu ne le liya, aur Yahowa ke daas Musa ki aagya ke anusaar un ko talvaar se ghaat karke satyanaash kiya.

13

परन्तु हासोर को छोड़कर, जिसे यहोशू ने फुंकवा दिया, इस्राएल ने और किसी नगर को जो अपने टीले पर बसा था नहीं जलाया

Parantu hasor ko chhodkar, jise yahoshu ne phunkva diya, Israel ne aur kisi nagar ko jo apne teele par basa tha nahi jalaya

14

और इन नगरों के पशु और इनकी सारी लूट को इस्राएलियों ने अपना कर लिया; परन्तु मनुष्यों को उन्होंने तलवार से मार डाला, यहां तक उन को सत्यानाश कर डाला कि एक भी प्राणी को जीवित नहीं छोड़ा गया।

Aur in nagron ke pashu aur inki sari loot ko Israeliyon ne apna kar liya; parantu manushyon ko unhonne talvaar se maar dala, yahan tak un ko satyanaash kar dala ki ek bhi prani ko jeevit nahi chhoda gaya.

15

जो आज्ञा यहोवा ने अपने दास मूसा को दी थी उसी के अनुसार मूसा ने यहोशू को आज्ञा दी थी, और ठीक वैसा ही यहोशू ने किया भी; जो जो आज्ञा यहोवा ने मूसा को दी थी उन में से यहोशू ने कोई भी पूरी किए बिना न छोड़ी॥

Jo aagya Yahowa ne apne daas Musa ko di thi usi ke anusaar Musa ne yahoshu ko aagya di thi, aur theek vaisa hi yahoshu ne kiya bhi; jo jo aagya Yahowa ne Musa ko di thi un mein se yahoshu ne koi bhi poori kiye bina na chhodi.

16

तब यहोशू ने उस सारे देश को, अर्थात पहाड़ी देश, और सारे दक्खिनी देश, और कुल गोशेन देश, और नीचे के देश, अराबा, और इस्राएल के पहाड़ी देश, और उसके नीचे वाले देश को,

Tab yahoshu ne us sare desh ko, arthaat pahadi desh, aur sare dakkhini desh, aur kul goshen desh, aur neeche ke desh, araba, aur Israel ke pahadi desh, aur uske neeche vale desh ko,

17

हालाक नाम पहाड़ से ले, जो सेईर की चढ़ाई पर है, बालगाद तक, जो लबानोन के मैदान में हेर्मोन पर्वत के नीचे है, जितने देश हैं उन सब को जीत लिया और उन देशों के सारे राजाओं को पकड़कर मार डाला।

Halaak naam pahaad se le, jo seir ki chadhai par hai, balgaad tak, jo labanon ke maidaan mein hermon parvat ke neeche hai, jitne desh hain un sab ko jeet liya aur un deshon ke sare rajaon ko pakadkar maar dala.

18

उन सब राजाओं से युद्ध करते करते यहोशू को बहुत दिन लग गए।

Un sab rajaon se yuddh karte karte yahoshu ko bahut din lag gaye.

19

गिबोन के निवासी हिव्वियों को छोड़ और किसी नगर के लोगों ने इस्राएलियों से मेल न किया; और सब नगरों को उन्होंने लड़ लड़कर जीत लिया।

Gibon ke nivasi hivviyon ko chhod aur kisi nagar ke logon ne Israeliyon se mel na kiya; aur sab nagron ko unhonne lad ladkar jeet liya.

20

क्योंकि यहोवा की जो मनसा थी, कि अपनी उस आज्ञा के अनुसार जो उसने मूसा को दी थी उन पर कुछ भी दया न करे; वरन सत्यानाश कर डाले, इस कारण उसने उनके मन ऐसे कठोर कर दिए, कि उन्होंने इस्राएलियों का साम्हना करके उन से युद्ध किया॥

Kyonki Yahowa ki jo mansa thi, ki apni us aagya ke anusaar jo usne Musa ko di thi un par kuchh bhi daya na kare; varan satyanaash kar dale, is karan usne unke man aise kathor kar diye, ki unhonne Israeliyon ka samhana karke un se yuddh kiya.

21

उस समय यहोशू ने पहाड़ी देश में आकर हेब्रोन, दबीर, अनाब, वरन यहूदा और इस्राएल दोनों के सारे पहाड़ी देश में रहने वाले अनाकियों को नाश किया; यहोशू ने नगरों समेत उन्हें सत्यानाश कर डाला।

Us samay yahoshu ne pahadi desh mein aakar hebron, dabeer, anaab, varan Yahuda aur Israel donon ke sare pahadi desh mein rahne vale anakiyon ko naash kiya; yahoshu ne nagron samet unhein satyanaash kar dala.

22

इस्राएलियों के देश में कोई अनाकी न रह गया; केवल अज्जा, गत, और अशदोद में कोई कोई रह गए।

Israeliyon ke desh mein koi anaki na rah gaya; keval ajja, gat, aur ashdod mein koi koi rah gaye.

23

जैसा यहोवा ने मूसा से कहा था, वैसा ही यहोशू ने वह सारा देश ले लिया; और उसे इस्राएल के गोत्रों और कुलों के अनुसार बांट करके उन्हें दे दिया। और देश को लड़ाई से शान्ति मिली॥

Jaisa Yahowa ne Musa se kaha tha, vaisa hi yahoshu ne vah sara desh le liya; aur use Israel ke gotron aur kulon ke anusaar baant karke unhein de diya. Aur desh ko ladai se shanti mili.