John 9 · 41 verses

यूहन्ना 9 John 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 9.

1

फिर जाते हुए उस ने एक मनुष्य को देखा, जो जन्म का अन्धा था।

Phir jate hue us ne ek manushya ko dekha, jo janm ka andha tha.

2

और उसके चेलों ने उस से पूछा, हे रब्बी, किस ने पाप किया था कि यह अन्धा जन्मा, इस मनुष्य ने, या उसके माता पिता ने?

Aur uske chelon ne us se poochha, he rabbi, kis ne paap kiya tha ki yah andha janma, is manushya ne, ya uske mata pita ne?

3

यीशु ने उत्तर दिया, कि न तो इस ने पाप किया था, न इस के माता पिता ने: परन्तु यह इसलिये हुआ, कि परमेश्वर के काम उस में प्रगट हों।

Yeshu ne uttar diya, ki na to is ne paap kiya tha, na is ke mata pita ne: parantu yah isliye huaa, ki Parmeshwar ke kaam us mein pragat hon.

4

जिस ने मुझे भेजा है; हमें उसके काम दिन ही दिन में करना अवश्य है: वह रात आनेवाली है जिस में कोई काम नहीं कर सकता।

Jis ne mujhe bheja hai; hamein uske kaam din hi din mein karna avashya hai: vah raat aanevali hai jis mein koi kaam nahi kar sakta.

5

जब तक मैं जगत में हूं, तब तक जगत की ज्योति हूं।

Jab tak main jagat mein hoon, tab tak jagat ki jyoti hoon.

6

यह कहकर उस ने भूमि पर थूका और उस थूक से मिट्टी सानी, और वह मिट्टी उस अन्धे की आंखों पर लगाकर।

Yah kahkar us ne bhoomi par thooka aur us thook se mitti sani, aur vah mitti us andhe ki aankhon par lagakar.

7

उस से कहा; जा शीलोह के कुण्ड में धो ले, (जिस का अर्थ भेजा हुआ है) सो उस ने जाकर धोया, और देखता हुआ लौट आया।

Us se kaha; ja sheeloh ke kund mein dho le, (jis ka arth bheja huaa hai) so us ne jakar dhoya, aur dekhta huaa laut aaya.

8

तब पड़ोसी और जिन्हों ने पहले उसे भीख मांगते देखा था, कहने लगे; क्या यह वही नहीं, जो बैठा भीख मांगा करता था?

Tab padosi aur jinhon ne pahle use bheekh mangte dekha tha, kahne lage; kya yah vahi nahi, jo baitha bheekh manga karta tha?

9

कितनों ने कहा, यह वही है: औरों ने कहा, नहीं; परन्तु उसके समान है: उस ने कहा, मैं वही हूं।

Kitnon ne kaha, yah vahi hai: auron ne kaha, nahi; parantu uske samaan hai: us ne kaha, main vahi hoon.

10

तब वे उस से पूछने लगे, तेरी आंखें क्योंकर खुल गईं?

Tab ve us se poochhne lage, teri aankhein kyonkar khul gai?

11

उस ने उत्तर दिया, कि यीशु नाम एक व्यक्ति ने मिट्टी सानी, और मेरी आंखों पर लगाकर मुझ से कहा, कि शीलोह में जाकर धो ले; सो मैं गया, और धोकर देखने लगा।

Us ne uttar diya, ki Yeshu naam ek vyakti ne mitti sani, aur meri aankhon par lagakar mujh se kaha, ki sheeloh mein jakar dho le; so main gaya, aur dhokar dekhne laga.

12

उन्होंने उस से पूछा; वह कहां है? उस ने कहा; मैं नहीं जानता॥

Unhonne us se poochha; vah kahan hai? Us ne kaha; main nahi janta.

13

लोग उसे जो पहिले अन्धा था फरीसियों के पास ले गए।

Log use jo pahile andha tha phareesiyon ke paas le gaye.

14

जिस दिन यीशु ने मिट्टी सानकर उस की आंखे खोलीं थी वह सब्त का दिन था।

Jis din Yeshu ne mitti sankar us ki aankhe kholi thi vah sabt ka din tha.

15

फिर फरीसियों ने भी उस से पूछा; तेरी आंखें किस रीति से खुल गईं? उस न उन से कहा; उस ने मेरी आंखो पर मिट्टी लगाई, फिर मैं ने धो लिया, और अब देखता हूं।

Phir phareesiyon ne bhi us se poochha; teri aankhein kis reeti se khul gai? Us na un se kaha; us ne meri aankho par mitti lagai, phir main ne dho liya, aur ab dekhta hoon.

16

इस पर कई फरीसी कहने लगे; यह मनुष्य परमेश्वर की ओर से नहीं, क्योंकि वह सब्त का दिन नहीं मानता। औरों ने कहा, पापी मनुष्य क्योंकर ऐसे चिन्ह दिखा सकता है? सो उन में फूट पड़ी।

Is par kai phareesi kahne lage; yah manushya Parmeshwar ki or se nahi, kyonki vah sabt ka din nahi manta. Auron ne kaha, papi manushya kyonkar aise chinh dikha sakta hai? So un mein phoot padi.

17

उन्होंने उस अन्धे से फिर कहा, उस ने जो तेरी आंखे खोलीं, तू उसके विषय में क्या कहता है? उस ने कहा, यह भविष्यद्वक्ता है।

Unhonne us andhe se phir kaha, us ne jo teri aankhe kholi, tu uske vishay mein kya kahta hai? Us ne kaha, yah bhavishyadwakta hai.

18

परन्तु यहूदियों को विश्वास न हुआ कि यह अन्धा था और अब देखता है जब तक उन्होंने उसके माता-पिता को जिस की आंखे खुल गईं थी, बुलाकर।

Parantu Yahudiyon ko vishwaas na huaa ki yah andha tha aur ab dekhta hai jab tak unhonne uske mata-pita ko jis ki aankhe khul gai thi, bulakar.

19

उन से न पूछा, कि क्या यह तुम्हारा पुत्र है, जिसे तुम कहते हो कि अन्धा जन्मा था? फिर अब क्योंकर देखता है?

Un se na poochha, ki kya yah tumhara putra hai, jise tum kahte ho ki andha janma tha? Phir ab kyonkar dekhta hai?

20

उसके माता-पिता ने उत्तर दिया; हम तो जानते हैं कि यह हमारा पुत्र है, और अन्धा जन्मा था।

Uske mata-pita ne uttar diya; ham to jante hain ki yah hamara putra hai, aur andha janma tha.

21

परन्तु हम यह नहीं जानते हैं कि अब क्योंकर देखता है; और न यह जानते हैं, कि किस ने उस की आंखे खोलीं; वह सयाना है; उसी से पूछ लो; वह अपने विषय में आप कह देगा।

Parantu ham yah nahi jante hain ki ab kyonkar dekhta hai; aur na yah jante hain, ki kis ne us ki aankhe kholi; vah sayana hai; usi se poochh lo; vah apne vishay mein aap kah dega.

22

ये बातें उसके माता-पिता ने इसलिये कहीं क्योंकि वे यहूदियों से डरते थे; क्योंकि यहूदी एका कर चुके थे, कि यदि कोई कहे कि वह मसीह है, तो आराधनालय से निकाला जाए।

Ye batein uske mata-pita ne isliye kahi kyonki ve Yahudiyon se darte the; kyonki Yahudi eka kar chuke the, ki yadi koi kahe ki vah Masih hai, to aaradhnalay se nikala jaye.

23

इसी कारण उसके माता-पिता ने कहा, कि वह सयाना है; उसी से पूछ लो।

Isi karan uske mata-pita ne kaha, ki vah sayana hai; usi se poochh lo.

24

तब उन्होंने उस मनुष्य को जो अन्धा था दूसरी बार बुलाकर उस से कहा, परमेश्वर की स्तुति कर; हम तो जानते हैं कि वह मनुष्य पापी है।

Tab unhonne us manushya ko jo andha tha doosri baar bulakar us se kaha, Parmeshwar ki stuti kar; ham to jante hain ki vah manushya papi hai.

25

उस ने उत्तर दिया: मैं नहीं जानता कि वह पापी है या नहीं: मैं एक बात जानता हूं कि मैं अन्धा था और अब देखता हूं।

Us ne uttar diya: main nahi janta ki vah papi hai ya nahi: main ek baat janta hoon ki main andha tha aur ab dekhta hoon.

26

उन्होंने उस से फिर कहा, कि उस ने तेरे साथ क्या किया? और किस तेरह तेरी आंखें खोलीं?

Unhonne us se phir kaha, ki us ne tere saath kya kiya? Aur kis terah teri aankhein kholi?

27

उस ने उन से कहा; मैं तो तुम से कह चुका, और तुम ने ना सुना; अब दूसरी बार क्यों सुनना चाहते हो? क्या तुम भी उसके चेले होना चाहते हो?

Us ne un se kaha; main to tum se kah chuka, aur tum ne na suna; ab doosri baar kyon sunna chahte ho? Kya tum bhi uske chele hona chahte ho?

28

तब वे उसे बुरा-भला कहकर बोले, तू ही उसका चेला है; हम तो मूसा के चेले हैं।

Tab ve use bura-bhala kahkar bole, tu hi uska chela hai; ham to Musa ke chele hain.

29

हम जानते हैं कि परमेश्वर ने मूसा से बातें कीं; परन्तु इस मनुष्य को नहीं जानते की कहां का है।

Ham jante hain ki Parmeshwar ne Musa se batein ki; parantu is manushya ko nahi jante ki kahan ka hai.

30

उस ने उन को उत्तर दिया; यह तो अचम्भे की बात है कि तुम नहीं जानते की कहां का है तौभी उस ने मेरी आंखें खोल दीं।

Us ne un ko uttar diya; yah to achambhe ki baat hai ki tum nahi jante ki kahan ka hai taubhi us ne meri aankhein khol di.

31

हम जानते हैं कि परमेश्वर पापियों की नहीं सुनता परन्तु यदि कोई परमेश्वर का भक्त हो, और उस की इच्छा पर चलता है, तो वह उस की सुनता है।

Ham jante hain ki Parmeshwar papiyon ki nahi sunta parantu yadi koi Parmeshwar ka bhakt ho, aur us ki ichchha par chalta hai, to vah us ki sunta hai.

32

जगत के आरम्भ से यह कभी सुनने में नहीं आया, कि किसी ने भी जन्म के अन्धे की आंखे खोली हों।

Jagat ke aarambh se yah kabhi sunne mein nahi aaya, ki kisi ne bhi janm ke andhe ki aankhe kholi hon.

33

यदि यह व्यक्ति परमेश्वर की ओर से न होता, तो कुछ भी नहीं कर सकता।

Yadi yah vyakti Parmeshwar ki or se na hota, to kuchh bhi nahi kar sakta.

34

उन्होंने उस को उत्तर दिया, कि तू तो बिलकुल पापों में जन्मा है, तू हमें क्या सिखाता है? और उन्होंने उसे बाहर निकाल दिया॥

Unhonne us ko uttar diya, ki tu to bilkul papon mein janma hai, tu hamein kya sikhata hai? Aur unhonne use bahar nikaal diya.

35

यीशु ने सुना, कि उन्होंने उसे बाहर निकाल दिया है; और जब उसे भेंट हुई तो कहा, कि क्या तू परमेश्वर के पुत्र पर विश्वास करता है?

Yeshu ne suna, ki unhonne use bahar nikaal diya hai; aur jab use bhent hui to kaha, ki kya tu Parmeshwar ke putra par vishwaas karta hai?

36

उस ने उत्तर दिया, कि हे प्रभु; वह कौन है कि मैं उस पर विश्वास करूं?

Us ne uttar diya, ki he Prabhu; vah kaun hai ki main us par vishwaas karun?

37

यीशु ने उस से कहा, तू ने उसे देखा भी है; और जो तेरे साथ बातें कर रहा है वही है।

Yeshu ne us se kaha, tu ne use dekha bhi hai; aur jo tere saath batein kar raha hai vahi hai.

38

उस ने कहा, हे प्रभु, मैं विश्वास करता हूं: और उसे दंडवत किया।

Us ne kaha, he Prabhu, main vishwaas karta hoon: aur use dandvat kiya.

39

तब यीशु ने कहा, मैं इस जगत में न्याय के लिये आया हूं, ताकि जो नहीं देखते वे देखें, और जो देखते हैं वे अन्धे हो जाएं।

Tab Yeshu ne kaha, main is jagat mein nyaay ke liye aaya hoon, taki jo nahi dekhte ve dekhein, aur jo dekhte hain ve andhe ho jayen.

40

जो फरीसी उसके साथ थे, उन्होंने ये बातें सुन कर उस से कहा, क्या हम भी अन्धे हैं?

Jo phareesi uske saath the, unhonne ye batein sun kar us se kaha, kya ham bhi andhe hain?

41

यीशु ने उन से कहा, यदि तुम अन्धे होते तो पापी न ठहरते परन्तु अब कहते हो, कि हम देखते हैं, इसलिये तुम्हारा पाप बना रहता है॥

Yeshu ne un se kaha, yadi tum andhe hote to papi na thaharte parantu ab kahte ho, ki ham dekhte hain, isliye tumhara paap bana rahta hai.