John 10 · 42 verses

यूहन्ना 10 John 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 10.

1

मैं तुम से सच सच कहता हूं, कि जो कोई द्वार से भेड़शाला में प्रवेश नहीं करता, परन्तु और किसी ओर से चढ़ जाता है, वह चोर और डाकू है।

Main tum se sach sach kahta hoon, ki jo koi dwaar se bhedshala mein pravesh nahi karta, parantu aur kisi or se chadh jata hai, vah chor aur daku hai.

2

परन्तु जो द्वार से भीतर प्रवेश करता है वह भेड़ों का चरवाहा है।

Parantu jo dwaar se bheetar pravesh karta hai vah bhedon ka charvaha hai.

3

उसके लिये द्वारपाल द्वार खोल देता है, और भेड़ें उसका शब्द सुनती हैं, और वह अपनी भेड़ों को नाम ले लेकर बुलाता है और बाहर ले जाता है।

Uske liye dwarpaal dwaar khol deta hai, aur bhedein uska shabd sunti hain, aur vah apni bhedon ko naam le lekar bulata hai aur bahar le jata hai.

4

और जब वह अपनी सब भेड़ों को बाहर निकाल चुकता है, तो उन के आगे आगे चलता है, और भेड़ें उसके पीछे पीछे हो लेती हैं; क्योंकि वे उसका शब्द पहचानती हैं।

Aur jab vah apni sab bhedon ko bahar nikaal chukta hai, to un ke aage aage chalta hai, aur bhedein uske peechhe peechhe ho leti hain; kyonki ve uska shabd pahchanti hain.

5

परन्तु वे पराये के पीछे नहीं जाएंगी, परन्तु उस से भागेंगी, क्योंकि वे परायों का शब्द नहीं पहचानती।

Parantu ve paraye ke peechhe nahi jayengi, parantu us se bhagengi, kyonki ve parayon ka shabd nahi pahchanti.

6

यीशु ने उन से यह दृष्टान्त कहा, परन्तु वे न समझे कि ये क्या बातें हैं जो वह हम से कहता है॥

Yeshu ne un se yah drishtaant kaha, parantu ve na samjhe ki ye kya batein hain jo vah ham se kahta hai.

7

तब यीशु ने उन से फिर कहा, मैं तुम से सच सच कहता हूं, कि भेड़ों का द्वार मैं हूं।

Tab Yeshu ne un se phir kaha, main tum se sach sach kahta hoon, ki bhedon ka dwaar main hoon.

8

जितने मुझ से पहिले आए; वे सब चोर और डाकू हैं परन्तु भेड़ों ने उन की न सुनी।

Jitne mujh se pahile aaye; ve sab chor aur daku hain parantu bhedon ne un ki na suni.

9

द्वार मैं हूं: यदि कोई मेरे द्वारा भीतर प्रवेश करे तो उद्धार पाएगा और भीतर बाहर आया जाया करेगा और चारा पाएगा।

Dwaar main hoon: yadi koi mere dwara bheetar pravesh kare to uddhaar payega aur bheetar bahar aaya jaya karega aur chara payega.

10

चोर किसी और काम के लिये नहीं परन्तु केवल चोरी करने और घात करने और नष्ट करने को आता है। मैं इसलिये आया कि वे जीवन पाएं, और बहुतायत से पाएं।

Chor kisi aur kaam ke liye nahi parantu keval chori karne aur ghaat karne aur nasht karne ko aata hai. Main isliye aaya ki ve jeevan payen, aur bahutayat se payen.

11

अच्छा चरवाहा मैं हूं; अच्छा चरवाहा भेड़ों के लिये अपना प्राण देता है।

Achchha charvaha main hoon; achchha charvaha bhedon ke liye apna praan deta hai.

12

मजदूर जो न चरवाहा है, और न भेड़ों का मालिक है, भेड़िए को आते हुए देख, भेड़ों को छोड़कर भाग जाता है, और भेड़िया उन्हें पकड़ता और तित्तर बित्तर कर देता है।

Majdoor jo na charvaha hai, aur na bhedon ka malik hai, bhediye ko aate hue dekh, bhedon ko chhodkar bhaag jata hai, aur bhediya unhein pakadta aur tittar bittar kar deta hai.

13

वह इसलिये भाग जाता है कि वह मजदूर है, और उस को भेड़ों की चिन्ता नहीं।

Vah isliye bhaag jata hai ki vah majdoor hai, aur us ko bhedon ki chinta nahi.

14

अच्छा चरवाहा मैं हूं; जिस तरह पिता मुझे जानता है, और मैं पिता को जानता हूं।

Achchha charvaha main hoon; jis tarah pita mujhe janta hai, aur main pita ko janta hoon.

15

इसी तरह मैं अपनी भेड़ों को जानता हूं, और मेरी भेड़ें मुझे जानती हैं, और मैं भेड़ों के लिये अपना प्राण देता हूं।

Isi tarah main apni bhedon ko janta hoon, aur meri bhedein mujhe janti hain, aur main bhedon ke liye apna praan deta hoon.

16

और मेरी और भी भेड़ें हैं, जो इस भेड़शाला की नहीं; मुझे उन का भी लाना अवश्य है, वे मेरा शब्द सुनेंगी; तब एक ही झुण्ड और एक ही चरवाहा होगा।

Aur meri aur bhi bhedein hain, jo is bhedshala ki nahi; mujhe un ka bhi lana avashya hai, ve mera shabd sunengi; tab ek hi jhund aur ek hi charvaha hoga.

17

पिता इसलिये मुझ से प्रेम रखता है, कि मैं अपना प्राण देता हूं, कि उसे फिर ले लूं।

Pita isliye mujh se prem rakhta hai, ki main apna praan deta hoon, ki use phir le lun.

18

कोई उसे मुझ से छीनता नहीं, वरन मैं उसे आप ही देता हूं: मुझे उसके देने का अधिकार है, और उसे फिर लेने का भी अधिकार है: यह आज्ञा मेरे पिता से मुझे मिली है॥

Koi use mujh se chheenta nahi, varan main use aap hi deta hoon: mujhe uske dene ka adhikaar hai, aur use phir lene ka bhi adhikaar hai: yah aagya mere pita se mujhe mili hai.

19

इन बातों के कारण यहूदियों में फिर फूट पड़ी।

In baton ke karan Yahudiyon mein phir phoot padi.

20

उन में से बहुतेरे कहने लगे, कि उस में दुष्टात्मा है, और वह पागल है; उस की क्यों सुनते हो?

Un mein se bahutere kahne lage, ki us mein dushtatma hai, aur vah pagal hai; us ki kyon sunte ho?

21

औरों ने कहा, ये बातें ऐसे मनुष्य की नहीं जिस में दुष्टात्मा हो: क्या दुष्टात्मा अन्धों की आंखे खोल सकती है?

Auron ne kaha, ye batein aise manushya ki nahi jis mein dushtatma ho: kya dushtatma andhon ki aankhe khol sakti hai?

22

यरूशलेम में स्थापन पर्व हुआ, और जाड़े की ऋतु थी।

Yerushalem mein sthapan parva huaa, aur jade ki ritu thi.

23

और यीशु मन्दिर में सुलैमान के ओसारे में टहल रहा था।

Aur Yeshu mandir mein sulaimaan ke osare mein tahal raha tha.

24

तब यहूदियों ने उसे आ घेरा और पूछा, तू हमारे मन को कब तक दुविधा में रखेगा? यदि तू मसीह है, तो हम से साफ कह दे।

Tab Yahudiyon ne use aa ghera aur poochha, tu hamare man ko kab tak duvidha mein rakhega? Yadi tu Masih hai, to ham se saaph kah de.

25

यीशु ने उन्हें उत्तर दिया, कि मैं ने तुम से कह दिया, और तुम प्रतीति करते ही नहीं, जो काम मैं अपने पिता के नाम से करता हूं वे ही मेरे गवाह हैं।

Yeshu ne unhein uttar diya, ki main ne tum se kah diya, aur tum prateeti karte hi nahi, jo kaam main apne pita ke naam se karta hoon ve hi mere gavaah hain.

26

परन्तु तुम इसलिये प्रतीति नहीं करते, कि मेरी भेड़ों में से नहीं हो।

Parantu tum isliye prateeti nahi karte, ki meri bhedon mein se nahi ho.

27

मेरी भेड़ें मेरा शब्द सुनती हैं, और मैं उन्हें जानता हूं, और वे मेरे पीछे पीछे चलती हैं।

Meri bhedein mera shabd sunti hain, aur main unhein janta hoon, aur ve mere peechhe peechhe chalti hain.

28

और मैं उन्हें अनन्त जीवन देता हूं, और वे कभी नाश न होंगी, और कोई उन्हें मेरे हाथ से छीन न लेगा।

Aur main unhein anant jeevan deta hoon, aur ve kabhi naash na hongi, aur koi unhein mere haath se chheen na lega.

29

मेरा पिता, जिस ने उन्हें मुझ को दिया है, सब से बड़ा है, और कोई उन्हें पिता के हाथ से छीन नहीं सकता।

Mera pita, jis ne unhein mujh ko diya hai, sab se bada hai, aur koi unhein pita ke haath se chheen nahi sakta.

30

मैं और पिता एक हैं।

Main aur pita ek hain.

31

यहूदियों ने उसे पत्थरवाह करने को फिर पत्थर उठाए।

Yahudiyon ne use pattharvaah karne ko phir patthar uthaye.

32

इस पर यीशु ने उन से कहा, कि मैं ने तुम्हें अपने पिता की ओर से बहुत से भले काम दिखाए हैं, उन में से किस काम के लिये तुम मुझे पत्थरवाह करते हो?

Is par Yeshu ne un se kaha, ki main ne tumhein apne pita ki or se bahut se bhale kaam dikhaye hain, un mein se kis kaam ke liye tum mujhe pattharvaah karte ho?

33

यहूदियों ने उस को उत्तर दिया, कि भले काम के लिये हम तुझे पत्थरवाह नहीं करते, परन्तु परमेश्वर की निन्दा के कारण और इसलिये कि तू मनुष्य होकर अपने आप को परमेश्वर बनाता है।

Yahudiyon ne us ko uttar diya, ki bhale kaam ke liye ham tujhe pattharvaah nahi karte, parantu Parmeshwar ki ninda ke karan aur isliye ki tu manushya hokar apne aap ko Parmeshwar banata hai.

34

यीशु ने उन्हें उत्तर दिया, क्या तुम्हारी व्यवस्था में नहीं लिखा है कि मैं ने कहा, तुम ईश्वर हो?

Yeshu ne unhein uttar diya, kya tumhari vyavastha mein nahi likha hai ki main ne kaha, tum ishwar ho?

35

यदि उस ने उन्हें ईश्वर कहा जिन के पास परमेश्वर का वचन पहुंचा (और पवित्र शास्त्र की बात लोप नहीं हो सकती।)

Yadi us ne unhein ishwar kaha jin ke paas Parmeshwar ka vachan pahuncha (aur pavitra shastra ki baat lop nahi ho sakti.)

36

तो जिसे पिता ने पवित्र ठहराकर जगत में भेजा है, तुम उस से कहते हो कि तू निन्दा करता है, इसलिये कि मैं ने कहा, मैं परमेश्वर का पुत्र हूं।

To jise pita ne pavitra thahrakar jagat mein bheja hai, tum us se kahte ho ki tu ninda karta hai, isliye ki main ne kaha, main Parmeshwar ka putra hoon.

37

यदि मैं अपने पिता के काम नहीं करता, तो मेरी प्रतीति न करो।

Yadi main apne pita ke kaam nahi karta, to meri prateeti na karo.

38

परन्तु यदि मैं करता हूं, तो चाहे मेरी प्रतीति न भी करो, परन्तु उन कामों की तो प्रतीति करो, ताकि तुम जानो, और समझो, कि पिता मुझ में है, और मैं पिता में हूं।

Parantu yadi main karta hoon, to chahe meri prateeti na bhi karo, parantu un kamon ki to prateeti karo, taki tum jano, aur samjho, ki pita mujh mein hai, aur main pita mein hoon.

39

तब उन्होंने फिर उसे पकड़ने का प्रयत्न किया परन्तु वह उन के हाथ से निकल गया॥

Tab unhonne phir use pakadne ka prayatn kiya parantu vah un ke haath se nikal gaya.

40

फिर वह यरदन के पार उस स्थान पर चला गया, जहां यूहन्ना पहिले बपतिस्मा दिया करता था, और वहीं रहा।

Phir vah yardan ke paar us sthaan par chala gaya, jahan Yuhanna pahile baptisma diya karta tha, aur vahi raha.

41

और बहुतेरे उसके पास आकर कहते थे, कि युहन्ना ने तो कोई चिन्ह नहीं दिखाया, परन्तु जो कुछ यूहन्ना ने इस के विषय में कहा था वह सब सच था।

Aur bahutere uske paas aakar kahte the, ki yuhanna ne to koi chinh nahi dikhaya, parantu jo kuchh Yuhanna ne is ke vishay mein kaha tha vah sab sach tha.

42

और वहां बहुतेरों ने उस पर विश्वास किया॥

Aur vahan bahuteron ne us par vishwaas kiya.