John 7 · 53 verses

यूहन्ना 7 John 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 7.

1

इन बातों के बाद यीशु गलील में फिरता रहा, क्योंकि यहूदी उसे मार डालने का यत्न कर रहे थे, इसलिये वह यहूदिया में फिरना न चाहता था।

In baton ke baad Yeshu galeel mein phirta raha, kyonki Yahudi use maar dalne ka yatn kar rahe the, isliye vah yahoodiya mein phirna na chahta tha.

2

और यहूदियों का मण्डपों का पर्व निकट था।

Aur Yahudiyon ka mandapon ka parva nikat tha.

3

इसलिये उसके भाइयों ने उस से कहा, यहां से कूच करके यहूदिया में चला जा, कि जो काम तू करता है, उन्हें तेरे चेले भी देखें।

Isliye uske bhaiyon ne us se kaha, yahan se kooch karke yahoodiya mein chala ja, ki jo kaam tu karta hai, unhein tere chele bhi dekhein.

4

क्योंकि ऐसा कोई न होगा जो प्रसिद्ध होना चाहे, और छिपकर काम करे: यदि तू यह काम करता है, तो अपने तई जगत पर प्रगट कर।

Kyonki aisa koi na hoga jo prasiddh hona chahe, aur chhipkar kaam kare: yadi tu yah kaam karta hai, to apne tai jagat par pragat kar.

5

क्योंकि उसके भाई भी उस पर विश्वास नहीं करते थे।

Kyonki uske bhai bhi us par vishwaas nahi karte the.

6

तब यीशु ने उन से कहा, मेरा समय अभी तक नहीं आया; परन्तु तुम्हारे लिये सब समय है।

Tab Yeshu ne un se kaha, mera samay abhi tak nahi aaya; parantu tumhare liye sab samay hai.

7

जगत तुम से बैर नहीं कर सकता, परन्तु वह मुझ से बैर करता है, क्योंकि मैं उसके विरोध में यह गवाही देता हूं, कि उसके काम बुरे हैं।

Jagat tum se bair nahi kar sakta, parantu vah mujh se bair karta hai, kyonki main uske virodh mein yah gavahi deta hoon, ki uske kaam bure hain.

8

तुम पर्व में जाओ: मैं अभी इस पर्व में नहीं जाता; क्योंकि अभी तक मेरा समय पूरा नहीं हुआ।

Tum parva mein jao: main abhi is parva mein nahi jata; kyonki abhi tak mera samay poora nahi huaa.

9

वह उन से ये बातें कहकर गलील ही में रह गया॥

Vah un se ye batein kahkar galeel hi mein rah gaya.

10

परन्तु जब उसके भाई पर्व में चले गए, तो वह आप ही प्रगट में नहीं, परन्तु मानो गुप्त होकर गया।

Parantu jab uske bhai parva mein chale gaye, to vah aap hi pragat mein nahi, parantu mano gupt hokar gaya.

11

तो यहूदी पर्व में उसे यह कहकर ढूंढ़ने लगे कि वह कहां है?

To Yahudi parva mein use yah kahkar dhoondhne lage ki vah kahan hai?

12

और लोगों में उसके विषय चुपके चुपके बहुत सी बातें हुईं: कितने कहते थे; वह भला मनुष्य है: और कितने कहते थे; नहीं, वह लोगों को भरमाता है।

Aur logon mein uske vishay chupke chupke bahut si batein hui: kitne kahte the; vah bhala manushya hai: aur kitne kahte the; nahi, vah logon ko bharmata hai.

13

तौभी यहूदियों के भय के मारे कोई व्यक्ति उसके विषय में खुलकर नहीं बोलता था।

Taubhi Yahudiyon ke bhay ke mare koi vyakti uske vishay mein khulkar nahi bolta tha.

14

और जब पर्व के आधे दिन बीत गए; तो यीशु मन्दिर में जाकर उपदेश करने लगा।

Aur jab parva ke aadhe din beet gaye; to Yeshu mandir mein jakar updesh karne laga.

15

तब यहूदियों ने अचम्भा करके कहा, कि इसे बिन पढ़े विद्या कैसे आ गई?

Tab Yahudiyon ne achambha karke kaha, ki ise bin padhe vidya kaise aa gai?

16

यीशु ने उन्हें उत्तर दिया, कि मेरा उपदेश मेरा नहीं, परन्तु मेरे भेजने वाले का है।

Yeshu ne unhein uttar diya, ki mera updesh mera nahi, parantu mere bhejne vale ka hai.

17

यदि कोई उस की इच्छा पर चलना चाहे, तो वह इस उपदेश के विषय में जान जाएगा कि वह परमेश्वर की ओर से है, या मैं अपनी ओर से कहता हूं।

Yadi koi us ki ichchha par chalna chahe, to vah is updesh ke vishay mein jaan jayega ki vah Parmeshwar ki or se hai, ya main apni or se kahta hoon.

18

जो अपनी ओर से कुछ कहता है, वह अपनी ही बड़ाई चाहता है; परन्तु जो अपने भेजने वाले की बड़ाई चाहता है वही सच्चा है, और उस में अधर्म नहीं।

Jo apni or se kuchh kahta hai, vah apni hi badai chahta hai; parantu jo apne bhejne vale ki badai chahta hai vahi sachcha hai, aur us mein adharm nahi.

19

क्या मूसा ने तुम्हें व्यवस्था नहीं दी? तौभी तुम में से काई व्यवस्था पर नहीं चलता। तुम क्यों मुझे मार डालना चाहते हो?

Kya Musa ne tumhein vyavastha nahi di? Taubhi tum mein se kai vyavastha par nahi chalta. Tum kyon mujhe maar dalna chahte ho?

20

लोगों ने उत्तर दिया; कि तुझ में है; कौन तुझे मार डालना चाहता है?

Logon ne uttar diya; ki tujh mein hai; kaun tujhe maar dalna chahta hai?

21

यीशु ने उन को उत्तर दिया, कि मैं ने एक काम किया, और तुम सब अचम्भा करते हो।

Yeshu ne un ko uttar diya, ki main ne ek kaam kiya, aur tum sab achambha karte ho.

22

इसी कारण मूसा ने तुम्हें खतने की आज्ञा दी है (यह नहीं कि वह मूसा की ओर से है परन्तु बाप-दादों से चली आई है), और तुम सब्त के दिन को मनुष्य का खतना करते हो।

Isi karan Musa ne tumhein khatne ki aagya di hai (yah nahi ki vah Musa ki or se hai parantu baap-dadon se chali aai hai), aur tum sabt ke din ko manushya ka khatna karte ho.

23

जब सब्त के दिन मनुष्य का खतना किया जाता है ताकि मूसा की व्यवस्था की आज्ञा टल न जाए, तो तुम मुझ पर क्यों इसलिये क्रोध करते हो, कि मैं ने सब्त के दिन एक मनुष्य को पूरी रीति से चंगा किया।

Jab sabt ke din manushya ka khatna kiya jata hai taki Musa ki vyavastha ki aagya tal na jaye, to tum mujh par kyon isliye krodh karte ho, ki main ne sabt ke din ek manushya ko poori reeti se changa kiya.

24

मुंह देखकर न्याय न चुकाओ, परन्तु ठीक ठीक न्याय चुकाओ॥

Munh dekhkar nyaay na chukao, parantu theek theek nyaay chukao.

25

तब कितने यरूशलेमी कहने लगे; क्या यह वह नहीं, जिस के मार डालने का प्रयत्न किया जा रहा है।

Tab kitne yarooshlemi kahne lage; kya yah vah nahi, jis ke maar dalne ka prayatn kiya ja raha hai.

26

परन्तु देखो, वह तो खुल्लमखुल्ला बातें करता है और कोई उस से कुछ नहीं कहता; क्या सम्भव है कि सरदारों ने सच सच जान लिया है; कि यही मसीह है।

Parantu dekho, vah to khullamkhulla batein karta hai aur koi us se kuchh nahi kahta; kya sambhav hai ki sardaron ne sach sach jaan liya hai; ki yahi Masih hai.

27

इस को तो हम जानते हैं, कि यह कहां का है; परन्तु मसीह जब आएगा, तो कोई न जानेगा कि वह कहां का है।

Is ko to ham jante hain, ki yah kahan ka hai; parantu Masih jab aayega, to koi na janega ki vah kahan ka hai.

28

तब यीशु ने मन्दिर में उपदेश देते हुए पुकार के कहा, तुम मुझे जानते हो और यह भी जानते हो कि मैं कहां का हूं: मैं तो आप से नहीं आया परन्तु मेरा भेजनेवाला सच्चा है, उस को तुम नहीं जानते।

Tab Yeshu ne mandir mein updesh dete hue pukaar ke kaha, tum mujhe jante ho aur yah bhi jante ho ki main kahan ka hoon: main to aap se nahi aaya parantu mera bhejnevala sachcha hai, us ko tum nahi jante.

29

मैं उसे जानता हूं; क्योंकि मैं उस की ओर से हूं और उसी ने मुझे भेजा है।

Main use janta hoon; kyonki main us ki or se hoon aur usi ne mujhe bheja hai.

30

इस पर उन्होंने उसे पकड़ना चाहा तौभी किसी ने उस पर हाथ न डाला, क्योंकि उसका समय अब तक न आया था।

Is par unhonne use pakadna chaha taubhi kisi ne us par haath na dala, kyonki uska samay ab tak na aaya tha.

31

और भीड़ में से बहुतेरों ने उस पर विश्वास किया, और कहने लगे, कि मसीह जब आएगा, तो क्या इस से अधिक आश्चर्यकर्म दिखाएगा जो इस ने दिखाए?

Aur bheed mein se bahuteron ne us par vishwaas kiya, aur kahne lage, ki Masih jab aayega, to kya is se adhik aashcharyakarm dikhayega jo is ne dikhaye?

32

फरीसियों ने लोगों को उसके विषय में ये बातें चुपके चुपके करते सुना; और महायाजकों और फरीसियों ने उसके पकड़ने को सिपाही भेजे।

Phareesiyon ne logon ko uske vishay mein ye batein chupke chupke karte suna; aur mahayajkon aur phareesiyon ne uske pakadne ko sipahi bheje.

33

इस पर यीशु ने कहा, मैं थोड़ी देर तक और तुम्हारे साथ हूं; तब अपने भेजने वाले के पास चला जाऊंगा।

Is par Yeshu ne kaha, main thodi der tak aur tumhare saath hoon; tab apne bhejne vale ke paas chala jaoonga.

34

तुम मुझे ढूंढ़ोगे, परन्तु नहीं पाओगे और जहां मैं हूं, वहां तुम नहीं आ सकते।

Tum mujhe dhoondhoge, parantu nahi paoge aur jahan main hoon, vahan tum nahi aa sakte.

35

यहूदियों ने आपस में कहा, यह कहां जाएगा, कि हम इसे न पाएंगे: क्या वह उन के पास जाएगा, जो यूनानियों में तित्तर बित्तर होकर रहते हैं, और यूनानियों को भी उपदेश देगा?

Yahudiyon ne aapas mein kaha, yah kahan jayega, ki ham ise na payenge: kya vah un ke paas jayega, jo yoonaniyon mein tittar bittar hokar rahte hain, aur yoonaniyon ko bhi updesh dega?

36

यह क्या बात है जो उस ने कही, कि तुम मुझे ढूंढ़ोगे, परन्तु न पाओगे: और जहां मैं हूं, वहां तुम नहीं आ सकते?

Yah kya baat hai jo us ne kahi, ki tum mujhe dhoondhoge, parantu na paoge: aur jahan main hoon, vahan tum nahi aa sakte?

37

फिर पर्व के अंतिम दिन, जो मुख्य दिन है, यीशु खड़ा हुआ और पुकार कर कहा, यदि कोई प्यासा हो तो मेरे पास आकर पीए।

Phir parva ke antim din, jo mukhya din hai, Yeshu khada huaa aur pukaar kar kaha, yadi koi pyasa ho to mere paas aakar peeye.

38

जो मुझ पर विश्वास करेगा, जैसा पवित्र शास्त्र में आया है उसके ह्रृदय में से जीवन के जल की नदियां बह निकलेंगी।

Jo mujh par vishwaas karega, jaisa pavitra shastra mein aaya hai uske hrriday mein se jeevan ke jal ki nadiyan bah niklengi.

39

उस ने यह वचन उस आत्मा के विषय में कहा, जिसे उस पर विश्वास करने वाले पाने पर थे; क्योंकि आत्मा अब तक न उतरा था; क्योंकि यीशु अब तक अपनी महिमा को न पहुंचा था।

Us ne yah vachan us aatma ke vishay mein kaha, jise us par vishwaas karne vale pane par the; kyonki aatma ab tak na utra tha; kyonki Yeshu ab tak apni mahima ko na pahuncha tha.

40

तब भीड़ में से किसी किसी ने ये बातें सुन कर कहा, सचमुच यही वह भविष्यद्वक्ता है।

Tab bheed mein se kisi kisi ne ye batein sun kar kaha, sachmuch yahi vah bhavishyadwakta hai.

41

औरों ने कहा; यह मसीह है, परन्तु किसी ने कहा; क्यों? क्या मसीह गलील से आएगा?

Auron ne kaha; yah Masih hai, parantu kisi ne kaha; kyon? Kya Masih galeel se aayega?

42

क्या पवित्र शास्त्र में यह नहीं आया, कि मसीह दाऊद के वंश से और बैतलहम गांव से आएगा जहां दाऊद रहता था?

Kya pavitra shastra mein yah nahi aaya, ki Masih Daud ke vansh se aur baitalham gaanv se aayega jahan Daud rahta tha?

43

सो उसके कारण लोगों में फूट पड़ी।

So uske karan logon mein phoot padi.

44

उन में से कितने उसे पकड़ना चाहते थे, परन्तु किसी ने उस पर हाथ न डाला॥

Un mein se kitne use pakadna chahte the, parantu kisi ne us par haath na dala.

45

तब सिपाही महायाजकों और फरीसियों के पास आए, और उन्होंने उन से कहा, तुम उसे क्यों नहीं लाए?

Tab sipahi mahayajkon aur phareesiyon ke paas aaye, aur unhonne un se kaha, tum use kyon nahi laye?

46

सिपाहियों ने उत्तर दिया, कि किसी मनुष्य ने कभी ऐसी बातें न कीं।

Sipahiyon ne uttar diya, ki kisi manushya ne kabhi aisi batein na ki.

47

फरीसियों ने उन को उत्तर दिया, क्या तुम भी भरमाए गए हो?

Phareesiyon ne un ko uttar diya, kya tum bhi bharmaye gaye ho?

48

क्या सरदारों या फरीसियों में से किसी ने भी उस पर विश्वास किया है?

Kya sardaron ya phareesiyon mein se kisi ne bhi us par vishwaas kiya hai?

49

परन्तु ये लोग जो व्यवस्था नहीं जानते, स्त्रापित हैं।

Parantu ye log jo vyavastha nahi jante, strapit hain.

50

नीकुदेमुस ने, (जो पहिले उसके पास आया था और उन में से एक था), उन से कहा।

Neekudemus ne, (jo pahile uske paas aaya tha aur un mein se ek tha), un se kaha.

51

क्या हमारी व्यवस्था किसी व्यक्ति को जब तक पहिले उस की सुनकर जान न ले, कि वह क्या करता है; दोषी ठहराती है?

Kya hamari vyavastha kisi vyakti ko jab tak pahile us ki sunkar jaan na le, ki vah kya karta hai; doshi thahrati hai?

52

उन्होंने उसे उत्तर दिया; क्या तू भी गलील का है? ढूंढ़ और देख, कि गलील से कोई भविष्यद्वक्ता प्रगट नहीं होने का।

Unhonne use uttar diya; kya tu bhi galeel ka hai? Dhoondh aur dekh, ki galeel se koi bhavishyadwakta pragat nahi hone ka.

53

तब सब कोई अपने अपने घर को गए॥

Tab sab koi apne apne ghar ko gaye.