John 6 · 71 verses

यूहन्ना 6 John 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 6.

1

इन बातों के बाद यीशु गलील की झील अर्थात तिबिरियास की झील के पास गया।

In baton ke baad Yeshu galeel ki jheel arthaat tibiriyaas ki jheel ke paas gaya.

2

और एक बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली क्योंकि जो आश्चर्य कर्म वह बीमारों पर दिखाता था वे उन को देखते थे।

Aur ek badi bheed uske peechhe ho li kyonki jo aashcharya karm vah beemaron par dikhata tha ve un ko dekhte the.

3

तब यीशु पहाड़ पर चढ़कर अपने चेलों के साथ वहां बैठा।

Tab Yeshu pahaad par chadhkar apne chelon ke saath vahan baitha.

4

और यहूदियों के फसह के पर्व निकट था।

Aur Yahudiyon ke phasah ke parva nikat tha.

5

तब यीशु ने अपनी आंखे उठाकर एक बड़ी भीड़ को अपने पास आते देखा, और फिलेप्पुस से कहा, कि हम इन के भोजन के लिये कहां से रोटी मोल लाएं?

Tab Yeshu ne apni aankhe uthakar ek badi bheed ko apne paas aate dekha, aur phileppus se kaha, ki ham in ke bhojan ke liye kahan se roti mol layen?

6

परन्तु उस ने यह बात उसे परखने के लिये कही; क्योंकि वह आप जानता था कि मैं क्या करूंगा।

Parantu us ne yah baat use parakhne ke liye kahi; kyonki vah aap janta tha ki main kya karoonga.

7

फिलेप्पुस ने उस को उत्तर दिया, कि दो सौ दीनार की रोटी उन के लिये पूरी भी न होंगी कि उन में से हर एक को थोड़ी थोड़ी मिल जाए।

Phileppus ne us ko uttar diya, ki do sau deenaar ki roti un ke liye poori bhi na hongi ki un mein se har ek ko thodi thodi mil jaye.

8

उसके चेलों में से शमौन पतरस के भाई अन्द्रियास ने उस से कहा।

Uske chelon mein se Shamaun Patras ke bhai andriyaas ne us se kaha.

9

यहां एक लड़का है जिस के पास जव की पांच रोटी और दो मछिलयां हैं परन्तु इतने लोगों के लिये वे क्या हैं?

Yahan ek ladka hai jis ke paas jav ki paanch roti aur do machhilyan hain parantu itne logon ke liye ve kya hain?

10

यीशु ने कहा, कि लोगों को बैठा दो। उस जगह बहुत घास थी: तब वे लोग जो गिनती में लगभग पांच हजार के थे, बैठ गए:

Yeshu ne kaha, ki logon ko baitha do. Us jagah bahut ghaas thi: tab ve log jo ginti mein lagbhag paanch hajaar ke the, baith gaye:

11

तब यीशु ने रोटियां लीं, और धन्यवाद करके बैठने वालों को बांट दी: और वैसे ही मछिलयों में से जितनी वे चाहते थे बांट दिया।

Tab Yeshu ne rotiyan li, aur dhanyavaad karke baithne valon ko baant di: aur vaise hi machhilyon mein se jitni ve chahte the baant diya.

12

जब वे खाकर तृप्त हो गए तो उस ने अपने चेलों से कहा, कि बचे हुए टुकड़े बटोर लो, कि कुछ फेंका न जाए।

Jab ve khakar tript ho gaye to us ne apne chelon se kaha, ki bache hue tukde bator lo, ki kuchh phenka na jaye.

13

सो उन्होंने बटोरा, और जव की पांच रोटियों के टुकड़े जो खाने वालों से बच रहे थे उन की बारह टोकरियां भरीं।

So unhonne batora, aur jav ki paanch rotiyon ke tukde jo khane valon se bach rahe the un ki barah tokriyan bhari.

14

तब जो आश्चर्य कर्म उस ने कर दिखाया उसे वे लोग देखकर कहने लगे; कि वह भविष्यद्वक्ता जो जगत में आनेवाला था निश्चय यही है।

Tab jo aashcharya karm us ne kar dikhaya use ve log dekhkar kahne lage; ki vah bhavishyadwakta jo jagat mein aanevala tha nishchay yahi hai.

15

यीशु यह जानकर कि वे मुझे राजा बनाने के लिये आकर पकड़ना चाहते हैं, फिर पहाड़ पर अकेला चला गया।

Yeshu yah jankar ki ve mujhe raja banane ke liye aakar pakadna chahte hain, phir pahaad par akela chala gaya.

16

फिर जब संध्या हुई, तो उसके चेले झील के किनारे गए।

Phir jab sandhya hui, to uske chele jheel ke kinare gaye.

17

और नाव पर चढ़कर झील के पार कफरनहूम को जाने लगे: उस समय अन्धेरा हो गया था, और यीशु अभी तक उन के पास नहीं आया था।

Aur naav par chadhkar jheel ke paar kaphranhoom ko jane lage: us samay andhera ho gaya tha, aur Yeshu abhi tak un ke paas nahi aaya tha.

18

और आन्धी के कारण झील में लहरे उठने लगीं।

Aur aandhi ke karan jheel mein lahre uthne lagi.

19

सो जब वे खेते खेते तीन चार मील के लगभग निकल गए, तो उन्होंने यीशु को झील पर चलते, और नाव के निकट आते देखा, और डर गए।

So jab ve khete khete teen chaar meel ke lagbhag nikal gaye, to unhonne Yeshu ko jheel par chalte, aur naav ke nikat aate dekha, aur dar gaye.

20

परन्तु उस ने उन से कहा, कि मैं हूं; डरो मत।

Parantu us ne un se kaha, ki main hoon; daro mat.

21

सो वे उसे नाव पर चढ़ा लेने के लिये तैयार हुए और तुरन्त वह नाव उस स्थान पर जा पहुंची जहां वह जाते थे।

So ve use naav par chadha lene ke liye taiyaar hue aur turant vah naav us sthaan par ja pahunchi jahan vah jate the.

22

दूसरे दिन उस भीड़ ने, जो झील के पार खड़ी थी, यह देखा, कि यहां एक को छोड़कर और कोई छोटी नाव न थी, और यीशु अपने चेलों के साथ उस नाव पर न चढ़ा, परन्तु केवल उसके चेले चले गए थे।

Doosre din us bheed ne, jo jheel ke paar khadi thi, yah dekha, ki yahan ek ko chhodkar aur koi chhoti naav na thi, aur Yeshu apne chelon ke saath us naav par na chadha, parantu keval uske chele chale gaye the.

23

(तौभी और छोटी नावें तिबिरियास से उस जगह के निकट आई, जहां उन्होंने प्रभु के धन्यवाद करने के बाद रोटी खाई थी।)

(taubhi aur chhoti navein tibiriyaas se us jagah ke nikat aai, jahan unhonne Prabhu ke dhanyavaad karne ke baad roti khai thi.)

24

सो जब भीड़ ने देखा, कि यहां न यीशु है, और न उसके चेले, तो वे भी छोटी छोटी नावों पर चढ़ के यीशु को ढूंढ़ते हुए कफरनहूम को पहुंचे।

So jab bheed ne dekha, ki yahan na Yeshu hai, aur na uske chele, to ve bhi chhoti chhoti navon par chadh ke Yeshu ko dhoondhte hue kaphranhoom ko pahunche.

25

और झील के पार उस से मिलकर कहा, हे रब्बी, तू यहां कब आया?

Aur jheel ke paar us se milkar kaha, he rabbi, tu yahan kab aaya?

26

यीशु ने उन्हें उत्तर दिया, कि मैं तुम से सच सच कहता हूं, तुम मुझे इसलिये नहीं ढूंढ़ते हो कि तुम ने अचम्भित काम देखे, परन्तु इसलिये कि तुम रोटियां खाकर तृप्त हुए।

Yeshu ne unhein uttar diya, ki main tum se sach sach kahta hoon, tum mujhe isliye nahi dhoondhte ho ki tum ne achambhit kaam dekhe, parantu isliye ki tum rotiyan khakar tript hue.

27

नाशमान भोजन के लिये परिश्रम न करो, परन्तु उस भोजन के लिये जो अनन्त जीवन तक ठहरता है, जिसे मनुष्य का पुत्र तुम्हें देगा, क्योंकि पिता, अर्थात परमेश्वर ने उसी पर छाप कर दी है।

Nashmaan bhojan ke liye parishram na karo, parantu us bhojan ke liye jo anant jeevan tak thaharta hai, jise manushya ka putra tumhein dega, kyonki pita, arthaat Parmeshwar ne usi par chhaap kar di hai.

28

उन्होंने उस से कहा, परमेश्वर के कार्य करने के लिये हम क्या करें?

Unhonne us se kaha, Parmeshwar ke karya karne ke liye ham kya karein?

29

यीशु ने उन्हें उत्तर दिया; परमेश्वर का कार्य यह है, कि तुम उस पर, जिसे उस ने भेजा है, विश्वास करो।

Yeshu ne unhein uttar diya; Parmeshwar ka karya yah hai, ki tum us par, jise us ne bheja hai, vishwaas karo.

30

तब उन्होंने उस से कहा, फिर तू कौन का चिन्ह दिखाता है कि हम उसे देखकर तेरी प्रतीति करें, तू कौन सा काम दिखाता है?

Tab unhonne us se kaha, phir tu kaun ka chinh dikhata hai ki ham use dekhkar teri prateeti karein, tu kaun sa kaam dikhata hai?

31

हमारे बाप दादों ने जंगल में मन्ना खाया; जैसा लिखा है; कि उस ने उन्हें खाने के लिये स्वर्ग से रोटी दी।

Hamare baap dadon ne jangal mein manna khaya; jaisa likha hai; ki us ne unhein khane ke liye swarg se roti di.

32

यीशु ने उन से कहा, मैं तुम से सच सच कहता हूं कि मूसा ने तुम्हें वह रोटी स्वर्ग से न दी, परन्तु मेरा पिता तुम्हें सच्ची रोटी स्वर्ग से देता है।

Yeshu ne un se kaha, main tum se sach sach kahta hoon ki Musa ne tumhein vah roti swarg se na di, parantu mera pita tumhein sachchi roti swarg se deta hai.

33

क्योंकि परमेश्वर की रोटी वही है, जो स्वर्ग से उतरकर जगत को जीवन देती है।

Kyonki Parmeshwar ki roti vahi hai, jo swarg se utarkar jagat ko jeevan deti hai.

34

तब उन्होंने उस से कहा, हे प्रभु, यह रोटी हमें सर्वदा दिया कर।

Tab unhonne us se kaha, he Prabhu, yah roti hamein sarvada diya kar.

35

यीशु ने उन से कहा, जीवन की रोटी मैं हूं: जो मेरे पास आएगा वह कभी भूखा न होगा और जो मुझ पर विश्वास करेगा, वह कभी प्यासा न होगा।

Yeshu ne un se kaha, jeevan ki roti main hoon: jo mere paas aayega vah kabhi bhookha na hoga aur jo mujh par vishwaas karega, vah kabhi pyasa na hoga.

36

परन्तु मैं ने तुम से कहा, कि तुम ने मुझे देख भी लिया है, तोभी विश्वास नहीं करते।

Parantu main ne tum se kaha, ki tum ne mujhe dekh bhi liya hai, tobhi vishwaas nahi karte.

37

जो कुछ पिता मुझे देता है वह सब मेरे पास आएगा, उसे मैं कभी न निकालूंगा।

Jo kuchh pita mujhe deta hai vah sab mere paas aayega, use main kabhi na nikaloonga.

38

क्योंकि मैं अपनी इच्छा नहीं, वरन अपने भेजने वाले की इच्छा पूरी करने के लिये स्वर्ग से उतरा हूं।

Kyonki main apni ichchha nahi, varan apne bhejne vale ki ichchha poori karne ke liye swarg se utra hoon.

39

और मेरे भेजने वाले की इच्छा यह है कि जो कुछ उस ने मुझे दिया है, उस में से मैं कुछ न खोऊं परन्तु उसे अंतिम दिन फिर जिला उठाऊं।

Aur mere bhejne vale ki ichchha yah hai ki jo kuchh us ne mujhe diya hai, us mein se main kuchh na khoun parantu use antim din phir jila uthaun.

40

क्योंकि मेरे पिता की इच्छा यह है, कि जो कोई पुत्र को देखे, और उस पर विश्वास करे, वह अनन्त जीवन पाए; और मैं उसे अंतिम दिन फिर जिला उठाऊंगा।

Kyonki mere pita ki ichchha yah hai, ki jo koi putra ko dekhe, aur us par vishwaas kare, vah anant jeevan paye; aur main use antim din phir jila uthaoonga.

41

सो यहूदी उस पर कुड़कुड़ाने लगे, इसलिये कि उस ने कहा था; कि जो रोटी स्वर्ग से उतरी, वह मैं हूं।

So Yahudi us par kudkudane lage, isliye ki us ne kaha tha; ki jo roti swarg se utri, vah main hoon.

42

और उन्होंने कहा; क्या यह यूसुफ का पुत्र यीशु नहीं, जिस के माता पिता को हम जानते हैं? तो वह क्योंकर कहता है कि मैं स्वर्ग से उतरा हूं।

Aur unhonne kaha; kya yah Yusuf ka putra Yeshu nahi, jis ke mata pita ko ham jante hain? To vah kyonkar kahta hai ki main swarg se utra hoon.

43

यीशु ने उन को उत्तर दिया, कि आपस में मत कुड़कुड़ाओ।

Yeshu ne un ko uttar diya, ki aapas mein mat kudkudao.

44

कोई मेरे पास नहीं आ सकता, जब तक पिता, जिस ने मुझे भेजा है, उसे खींच न ले; और मैं उस को अंतिम दिन फिर जिला उठाऊंगा।

Koi mere paas nahi aa sakta, jab tak pita, jis ne mujhe bheja hai, use kheench na le; aur main us ko antim din phir jila uthaoonga.

45

भविष्यद्वक्ताओं के लेखों में यह लिखा है, कि वे सब परमेश्वर की ओर से सिखाए हुए होंगे। जिस किसी ने पिता से सुना और सीखा है, वह मेरे पास आता है।

Bhavishyadwaktaon ke lekhon mein yah likha hai, ki ve sab Parmeshwar ki or se sikhaye hue honge. Jis kisi ne pita se suna aur seekha hai, vah mere paas aata hai.

46

यह नहीं, कि किसी ने पिता को देखा परन्तु जो परमेश्वर की ओर से है, केवल उसी ने पिता को देखा है।

Yah nahi, ki kisi ne pita ko dekha parantu jo Parmeshwar ki or se hai, keval usi ne pita ko dekha hai.

47

मैं तुम से सच सच कहता हूं, कि जो कोई विश्वास करता है, अनन्त जीवन उसी का है।

Main tum se sach sach kahta hoon, ki jo koi vishwaas karta hai, anant jeevan usi ka hai.

48

जीवन की रोटी मैं हूं।

Jeevan ki roti main hoon.

49

तुम्हारे बाप दादों ने जंगल में मन्ना खाया और मर गए।

Tumhare baap dadon ne jangal mein manna khaya aur mar gaye.

50

यह वह रोटी है जो स्वर्ग से उतरती है ताकि मनुष्य उस में से खाए और न मरे।

Yah vah roti hai jo swarg se utarti hai taki manushya us mein se khaye aur na mare.

51

जीवन की रोटी जो स्वर्ग से उतरी मैं हूं। यदि कोई इस रोटी में से खाए, तो सर्वदा जीवित रहेगा और जो रोटी मैं जगत के जीवन के लिये दूंगा, वह मेरा मांस है।

Jeevan ki roti jo swarg se utri main hoon. Yadi koi is roti mein se khaye, to sarvada jeevit rahega aur jo roti main jagat ke jeevan ke liye doonga, vah mera maans hai.

52

इस पर यहूदी यह कहकर आपस में झगड़ने लगे, कि यह मनुष्य क्योंकर हमें अपना मांस खाने को दे सकता है?

Is par Yahudi yah kahkar aapas mein jhagadne lage, ki yah manushya kyonkar hamein apna maans khane ko de sakta hai?

53

यीशु ने उन से कहा; मैं तुम से सच सच कहता हूं जब तक मनुष्य के पुत्र का मांस न खाओ, और उसका लोहू न पीओ, तुम में जीवन नहीं।

Yeshu ne un se kaha; main tum se sach sach kahta hoon jab tak manushya ke putra ka maans na khao, aur uska lohu na peeo, tum mein jeevan nahi.

54

जो मेरा मांस खाता, और मेरा लोहू पीता है, अनन्त जीवन उसी का है, और मैं अंतिम दिन फिर उसे जिला उठाऊंगा।

Jo mera maans khata, aur mera lohu peeta hai, anant jeevan usi ka hai, aur main antim din phir use jila uthaoonga.

55

क्योंकि मेरा मांस वास्तव में खाने की वस्तु है और मेरा लोहू वास्तव में पीने की वस्तु है।

Kyonki mera maans vastav mein khane ki vastu hai aur mera lohu vastav mein peene ki vastu hai.

56

जो मेरा मांस खाता और मेरा लोहू पीता है, वह मुझ में स्थिर बना रहता है, और मैं उस में।

Jo mera maans khata aur mera lohu peeta hai, vah mujh mein sthir bana rahta hai, aur main us mein.

57

जैसा जीवते पिता ने मुझे भेजा और मैं पिता के कारण जीवित हूं वैसा ही वह भी जो मुझे खाएगा मेरे कारण जीवित रहेगा।

Jaisa jeevte pita ne mujhe bheja aur main pita ke karan jeevit hoon vaisa hi vah bhi jo mujhe khayega mere karan jeevit rahega.

58

जो रोटी स्वर्ग से उतरी यही है, बाप दादों के समान नहीं कि खाया, और मर गए: जो कोई यह रोटी खाएगा, वह सर्वदा जीवित रहेगा।

Jo roti swarg se utri yahi hai, baap dadon ke samaan nahi ki khaya, aur mar gaye: jo koi yah roti khayega, vah sarvada jeevit rahega.

59

ये बातें उस ने कफरनहूम के एक आराधनालय में उपदेश देते समय कहीं।

Ye batein us ne kaphranhoom ke ek aaradhnalay mein updesh dete samay kahi.

60

इसलिये उसके चेलों में से बहुतों ने यह सुनकर कहा, कि यह बात नागवार है; इसे कौन सुन सकता है?

Isliye uske chelon mein se bahuton ne yah sunkar kaha, ki yah baat nagvaar hai; ise kaun sun sakta hai?

61

यीशु ने अपने मन में यह जान कर कि मेरे चेले आपस में इस बात पर कुड़कुड़ाते हैं, उन से पूछा, क्या इस बात से तुम्हें ठोकर लगती है?

Yeshu ne apne man mein yah jaan kar ki mere chele aapas mein is baat par kudkudate hain, un se poochha, kya is baat se tumhein thokar lagti hai?

62

और यदि तुम मनुष्य के पुत्र को जहां वह पहिले था, वहां ऊपर जाते देखोगे, तो क्या होगा?

Aur yadi tum manushya ke putra ko jahan vah pahile tha, vahan oopar jate dekhoge, to kya hoga?

63

आत्मा तो जीवनदायक है, शरीर से कुछ लाभ नहीं: जो बातें मैं ने तुम से कहीं हैं वे आत्मा है, और जीवन भी हैं।

Aatma to jeevandayak hai, shareer se kuchh laabh nahi: jo batein main ne tum se kahi hain ve aatma hai, aur jeevan bhi hain.

64

परन्तु तुम में से कितने ऐसे हैं जो विश्वास नहीं करते: क्योंकि यीशु तो पहिले ही से जानता था कि जो विश्वास नहीं करते, वे कौन हैं और कौन मुझे पकड़वाएगा।

Parantu tum mein se kitne aise hain jo vishwaas nahi karte: kyonki Yeshu to pahile hi se janta tha ki jo vishwaas nahi karte, ve kaun hain aur kaun mujhe pakadvayega.

65

और उस ने कहा, इसी लिये मैं ने तुम से कहा था कि जब तक किसी को पिता की ओर यह वरदान न दिया जाए तक तक वह मेरे पास नहीं आ सकता।

Aur us ne kaha, isi liye main ne tum se kaha tha ki jab tak kisi ko pita ki or yah vardaan na diya jaye tak tak vah mere paas nahi aa sakta.

66

इस पर उसके चेलों में से बहुतेरे उल्टे फिर गए और उसके बाद उसके साथ न चले।

Is par uske chelon mein se bahutere ulte phir gaye aur uske baad uske saath na chale.

67

तब यीशु ने उन बारहों से कहा, क्या तुम भी चले जाना चाहते हो?

Tab Yeshu ne un barhon se kaha, kya tum bhi chale jana chahte ho?

68

शमौन पतरस ने उस को उत्तर दिया, कि हे प्रभु हम किस के पास जाएं? अनन्त जीवन की बातें तो तेरे ही पास हैं।

Shamaun Patras ne us ko uttar diya, ki he Prabhu ham kis ke paas jayen? Anant jeevan ki batein to tere hi paas hain.

69

और हम ने विश्वास किया, और जान गए हैं, कि परमेश्वर का पवित्र जन तू ही है।

Aur ham ne vishwaas kiya, aur jaan gaye hain, ki Parmeshwar ka pavitra jan tu hi hai.

70

यीशु ने उन्हें उत्तर दिया, क्या मैं ने तुम बारहों को नहीं चुन लिया? तौभी तुम में से एक व्यक्ति शैतान है।

Yeshu ne unhein uttar diya, kya main ne tum barhon ko nahi chun liya? Taubhi tum mein se ek vyakti Shaitan hai.

71

यह उस ने शमौन इस्करियोती के पुत्र यहूदाह के विषय में कहा, क्योंकि यही जो उन बारहों में से था, उसे पकड़वाने को था॥

Yah us ne Shamaun iskariyoti ke putra yahoodaah ke vishay mein kaha, kyonki yahi jo un barhon mein se tha, use pakadvane ko tha.