John 5 · 47 verses

यूहन्ना 5 John 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Yuhanna 5.

1

इन बातों के पीछे यहूदियों का एक पर्व हुआ और यीशु यरूशलेम को गया॥

In baton ke peechhe Yahudiyon ka ek parva huaa aur Yeshu Yerushalem ko gaya.

2

यरूशलेम में भेड़-फाटक के पास एक कुण्ड है जो इब्रानी भाषा में बेतहसदा कहलाता है, और उसके पांच ओसारे हैं।

Yerushalem mein bhed-phatak ke paas ek kund hai jo ibrani bhasha mein bethasda kahlata hai, aur uske paanch osare hain.

3

इन में बहुत से बीमार, अन्धे, लंगड़े और सूखे अंग वाले (पानी के हिलने की आशा में) पड़े रहते थे।

In mein bahut se beemaar, andhe, langde aur sookhe ang vale (pani ke hilne ki aasha mein) pade rahte the.

4

(क्योंकि नियुक्त समय पर परमेश्वर के स्वर्गदूत कुण्ड में उतरकर पानी को हिलाया करते थे: पानी हिलते ही जो कोई पहिले उतरता वह चंगा हो जाता था चाहे उसकी कोई बीमारी क्यों न हो।)

(kyonki niyukt samay par Parmeshwar ke swargadoot kund mein utarkar pani ko hilaya karte the: pani hilte hi jo koi pahile utarta vah changa ho jata tha chahe uski koi beemari kyon na ho.)

5

वहां एक मनुष्य था, जो अड़तीस वर्ष से बीमारी में पड़ा था।

Vahan ek manushya tha, jo adtees varsh se beemari mein pada tha.

6

यीशु ने उसे पड़ा हुआ देखकर और जानकर कि वह बहुत दिनों से इस दशा में पड़ा है, उस से पूछा, क्या तू चंगा होना चाहता है?

Yeshu ne use pada huaa dekhkar aur jankar ki vah bahut dinon se is dasha mein pada hai, us se poochha, kya tu changa hona chahta hai?

7

उस बीमार ने उस को उत्तर दिया, कि हे प्रभु, मेरे पास कोई मनुष्य नहीं, कि जब पानी हिलाया जाए, तो मुझे कुण्ड में उतारे; परन्तु मेरे पहुंचते पहुंचते दूसरा मुझ से पहिले उतर पड़ता है।

Us beemaar ne us ko uttar diya, ki he Prabhu, mere paas koi manushya nahi, ki jab pani hilaya jaye, to mujhe kund mein utare; parantu mere pahunchte pahunchte doosra mujh se pahile utar padta hai.

8

यीशु ने उस से कहा, उठ, अपनी खाट उठाकर चल फिर।

Yeshu ne us se kaha, uth, apni khaat uthakar chal phir.

9

वह मनुष्य तुरन्त चंगा हो गया, और अपनी खाट उठाकर चलने फिरने लगा।

Vah manushya turant changa ho gaya, aur apni khaat uthakar chalne phirne laga.

10

वह सब्त का दिन था। इसलिये यहूदी उस से, जो चंगा हुआ था, कहने लगे, कि आज तो सब्त का दिन है, तुझे खाट उठानी उचित नहीं।

Vah sabt ka din tha. Isliye Yahudi us se, jo changa huaa tha, kahne lage, ki aaj to sabt ka din hai, tujhe khaat uthani uchit nahi.

11

उस ने उन्हें उत्तर दिया, कि जिस ने मुझे चंगा किया, उसी ने मुझ से कहा, अपनी खाट उठाकर चल फिर।

Us ne unhein uttar diya, ki jis ne mujhe changa kiya, usi ne mujh se kaha, apni khaat uthakar chal phir.

12

उन्होंने उस से पूछा वह कौन मनुष्य है जिस ने तुझ से कहा, खाट उठाकर चल फिर?

Unhonne us se poochha vah kaun manushya hai jis ne tujh se kaha, khaat uthakar chal phir?

13

परन्तु जो चंगा हो गया था, वह नहीं जानता था वह कौन है; क्योंकि उस जगह में भीड़ होने के कारण यीशु वहां से हट गया था।

Parantu jo changa ho gaya tha, vah nahi janta tha vah kaun hai; kyonki us jagah mein bheed hone ke karan Yeshu vahan se hat gaya tha.

14

इन बातों के बाद वह यीशु को मन्दिर में मिला, तब उस ने उस से कहा, देख, तू तो चंगा हो गया है; फिर से पाप मत करना, ऐसा न हो कि इस से कोई भारी विपत्ति तुझ पर आ पड़े।

In baton ke baad vah Yeshu ko mandir mein mila, tab us ne us se kaha, dekh, tu to changa ho gaya hai; phir se paap mat karna, aisa na ho ki is se koi bhari vipatti tujh par aa pade.

15

उस मनुष्य ने जाकर यहूदियों से कह दिया, कि जिस ने मुझे चंगा किया, वह यीशु है।

Us manushya ne jakar Yahudiyon se kah diya, ki jis ne mujhe changa kiya, vah Yeshu hai.

16

इस कारण यहूदी यीशु को सताने लगे, क्योंकि वह ऐसे ऐसे काम सब्त के दिन करता था।

Is karan Yahudi Yeshu ko satane lage, kyonki vah aise aise kaam sabt ke din karta tha.

17

इस पर यीशु ने उन से कहा, कि मेरा पिता अब तक काम करता है, और मैं भी काम करता हूं।

Is par Yeshu ne un se kaha, ki mera pita ab tak kaam karta hai, aur main bhi kaam karta hoon.

18

इस कारण यहूदी और भी अधिक उसके मार डालने का प्रयत्न करने लगे, कि वह न केवल सब्त के दिन की विधि को तोड़ता, परन्तु परमेश्वर को अपना पिता कह कर, अपने आप को परमेश्वर के तुल्य ठहराता था॥

Is karan Yahudi aur bhi adhik uske maar dalne ka prayatn karne lage, ki vah na keval sabt ke din ki vidhi ko todta, parantu Parmeshwar ko apna pita kah kar, apne aap ko Parmeshwar ke tulya thahrata tha.

19

इस पर यीशु ने उन से कहा, मैं तुम से सच सच कहता हूं, पुत्र आप से कुछ नहीं कर सकता, केवल वह जो पिता को करते देखता है, क्योंकि जिन जिन कामों को वह करता है उन्हें पुत्र भी उसी रीति से करता है।

Is par Yeshu ne un se kaha, main tum se sach sach kahta hoon, putra aap se kuchh nahi kar sakta, keval vah jo pita ko karte dekhta hai, kyonki jin jin kamon ko vah karta hai unhein putra bhi usi reeti se karta hai.

20

क्योंकि पिता पुत्र से प्रीति रखता है और जो जो काम वह आप करता है, वह सब उसे दिखाता है; और वह इन से भी बड़े काम उसे दिखाएगा, ताकि तुम अचम्भा करो।

Kyonki pita putra se preeti rakhta hai aur jo jo kaam vah aap karta hai, vah sab use dikhata hai; aur vah in se bhi bade kaam use dikhayega, taki tum achambha karo.

21

क्योंकि जैसा पिता मरे हुओं को उठाता और जिलाता है, वैसा ही पुत्र भी जिन्हें चाहता है उन्हें जिलाता है।

Kyonki jaisa pita mare huon ko uthata aur jilata hai, vaisa hi putra bhi jinhein chahta hai unhein jilata hai.

22

और पिता किसी का न्याय भी नहीं करता, परन्तु न्याय करने का सब काम पुत्र को सौंप दिया है।

Aur pita kisi ka nyaay bhi nahi karta, parantu nyaay karne ka sab kaam putra ko saump diya hai.

23

इसलिये कि सब लोग जैसे पिता का आदर करते हैं वैसे ही पुत्र का भी आदर करें: जो पुत्र का आदर नहीं करता, वह पिता का जिस ने उसे भेजा है, आदर नहीं करता।

Isliye ki sab log jaise pita ka aadar karte hain vaise hi putra ka bhi aadar karein: jo putra ka aadar nahi karta, vah pita ka jis ne use bheja hai, aadar nahi karta.

24

मैं तुम से सच सच कहता हूं, जो मेरा वचन सुनकर मेरे भेजने वाले की प्रतीति करता है, अनन्त जीवन उसका है, और उस पर दंड की आज्ञा नहीं होती परन्तु वह मृत्यु से पार होकर जीवन में प्रवेश कर चुका है।

Main tum se sach sach kahta hoon, jo mera vachan sunkar mere bhejne vale ki prateeti karta hai, anant jeevan uska hai, aur us par dand ki aagya nahi hoti parantu vah mrityu se paar hokar jeevan mein pravesh kar chuka hai.

25

मैं तुम से सच सच कहता हूं, वह समय आता है, और अब है, जिस में मृतक परमेश्वर के पुत्र का शब्द सुनेंगे, और जो सुनेंगे वे जीएंगे।

Main tum se sach sach kahta hoon, vah samay aata hai, aur ab hai, jis mein mritak Parmeshwar ke putra ka shabd sunenge, aur jo sunenge ve jeeyenge.

26

क्योंकि जिस रीति से पिता अपने आप में जीवन रखता है, उसी रीति से उस ने पुत्र को भी यह अधिकार दिया है कि अपने आप में जीवन रखे।

Kyonki jis reeti se pita apne aap mein jeevan rakhta hai, usi reeti se us ne putra ko bhi yah adhikaar diya hai ki apne aap mein jeevan rakhe.

27

वरन उसे न्याय करने का भी अधिकार दिया है, इसलिये कि वह मनुष्य का पुत्र है।

Varan use nyaay karne ka bhi adhikaar diya hai, isliye ki vah manushya ka putra hai.

28

इस से अचम्भा मत करो, क्योंकि वह समय आता है, कि जितने कब्रों में हैं, उसका शब्द सुनकर निकलेंगे।

Is se achambha mat karo, kyonki vah samay aata hai, ki jitne kabron mein hain, uska shabd sunkar niklenge.

29

जिन्हों ने भलाई की है वे जीवन के पुनरुत्थान के लिये जी उठेंगे और जिन्हों ने बुराई की है वे दंड के पुनरुत्थान के लिये जी उठेंगे।

Jinhon ne bhalai ki hai ve jeevan ke punrutthaan ke liye ji uthenge aur jinhon ne burai ki hai ve dand ke punrutthaan ke liye ji uthenge.

30

मैं अपने आप से कुछ नहीं कर सकता; जैसा सुनता हूं, वैसा न्याय करता हूं, और मेरा न्याय सच्चा है; क्योंकि मैं अपनी इच्छा नहीं, परन्तु अपने भेजने वाले की इच्छा चाहता हूं।

Main apne aap se kuchh nahi kar sakta; jaisa sunta hoon, vaisa nyaay karta hoon, aur mera nyaay sachcha hai; kyonki main apni ichchha nahi, parantu apne bhejne vale ki ichchha chahta hoon.

31

यदि मैं आप ही अपनी गवाही दूं; तो मेरी गवाही सच्ची नहीं।

Yadi main aap hi apni gavahi dun; to meri gavahi sachchi nahi.

32

एक और है जो मेरी गवाही देता है, और मैं जानता हूँ कि मेरी जो गवाही देता है वह सच्ची है।

Ek aur hai jo meri gavahi deta hai, aur main janta hoon ki meri jo gavahi deta hai vah sachchi hai.

33

तुम ने यूहन्ना से पुछवाया और उस ने सच्चाई की गवाही दी है।

Tum ne Yuhanna se puchhvaya aur us ne sachchai ki gavahi di hai.

34

परन्तु मैं अपने विषय में मनुष्य की गवाही नहीं चाहता; तौभी मैं ये बातें इसलिये कहता हूं, कि तुम्हें उद्धार मिले।

Parantu main apne vishay mein manushya ki gavahi nahi chahta; taubhi main ye batein isliye kahta hoon, ki tumhein uddhaar mile.

35

वह तो जलता और चमकता हुआ दीपक था; और तुम्हें कुछ देर तक उस की ज्योति में, मगन होना अच्छा लगा।

Vah to jalta aur chamakta huaa deepak tha; aur tumhein kuchh der tak us ki jyoti mein, magan hona achchha laga.

36

परन्तु मेरे पास जो गवाही है वह यूहन्ना की गवाही से बड़ी है: क्योंकि जो काम पिता ने मुझे पूरा करने को सौंपा है अर्थात यही काम जो मैं करता हूं, वे मेरे गवाह हैं, कि पिता ने मुझे भेजा है।

Parantu mere paas jo gavahi hai vah Yuhanna ki gavahi se badi hai: kyonki jo kaam pita ne mujhe poora karne ko saumpa hai arthaat yahi kaam jo main karta hoon, ve mere gavaah hain, ki pita ne mujhe bheja hai.

37

और पिता जिस ने मुझे भेजा है, उसी ने मेरी गवाही दी है: तुम ने न कभी उसका शब्द सुना, और न उसका रूप देखा है।

Aur pita jis ne mujhe bheja hai, usi ne meri gavahi di hai: tum ne na kabhi uska shabd suna, aur na uska roop dekha hai.

38

और उसके वचन को मन में स्थिर नहीं रखते क्योंकि जिसे उस ने भेजा उस की प्रतीति नहीं करते।

Aur uske vachan ko man mein sthir nahi rakhte kyonki jise us ne bheja us ki prateeti nahi karte.

39

तुम पवित्र शास्त्र में ढूंढ़ते हो, क्योंकि समझते हो कि उस में अनन्त जीवन तुम्हें मिलता है, और यह वही है, जो मेरी गवाही देता है।

Tum pavitra shastra mein dhoondhte ho, kyonki samajhte ho ki us mein anant jeevan tumhein milta hai, aur yah vahi hai, jo meri gavahi deta hai.

40

फिर भी तुम जीवन पाने के लिये मेरे पास आना नहीं चाहते।

Phir bhi tum jeevan pane ke liye mere paas aana nahi chahte.

41

मैं मनुष्यों से आदर नहीं चाहता।

Main manushyon se aadar nahi chahta.

42

परन्तु मैं तुम्हें जानता हूं, कि तुम में परमेश्वर का प्रेम नहीं।

Parantu main tumhein janta hoon, ki tum mein Parmeshwar ka prem nahi.

43

मैं अपने पिता के नाम से आया हूं, और तुम मुझे ग्रहण नहीं करते; यदि कोई और अपने ही नाम से आए, तो उसे ग्रहण कर लोगे।

Main apne pita ke naam se aaya hoon, aur tum mujhe grahan nahi karte; yadi koi aur apne hi naam se aaye, to use grahan kar loge.

44

तुम जो एक दूसरे से आदर चाहते हो और वह आदर जो अद्वैत परमेश्वर की ओर से है, नहीं चाहते, किस प्रकार विश्वास कर सकते हो?

Tum jo ek doosre se aadar chahte ho aur vah aadar jo adwait Parmeshwar ki or se hai, nahi chahte, kis prakaar vishwaas kar sakte ho?

45

यह न समझो, कि मैं पिता के साम्हने तुम पर दोष लगाऊंगा: तुम पर दोष लगाने वाला तो है, अर्थात मूसा जिस पर तुम ने भरोसा रखा है।

Yah na samjho, ki main pita ke samhane tum par dosh lagaoonga: tum par dosh lagane vala to hai, arthaat Musa jis par tum ne bharosa rakha hai.

46

क्योंकि यदि तुम मूसा की प्रतीति करते, तो मेरी भी प्रतीति करते, इसलिये कि उस ने मेरे विषय में लिखा है।

Kyonki yadi tum Musa ki prateeti karte, to meri bhi prateeti karte, isliye ki us ne mere vishay mein likha hai.

47

परन्तु यदि तुम उस की लिखी हुई बातों की प्रतीति नहीं करते, तो मेरी बातों की क्योंकर प्रतीति करोगे॥

Parantu yadi tum us ki likhi hui baton ki prateeti nahi karte, to meri baton ki kyonkar prateeti karoge.