फिर जब प्रभु को मालूम हुआ, कि फरीसियों ने सुना है, कि यीशु यूहन्ना से अधिक चेले बनाता, और उन्हें बपतिस्मा देता है।
Phir jab Prabhu ko maloom huaa, ki phareesiyon ne suna hai, ki Yeshu Yuhanna se adhik chele banata, aur unhein baptisma deta hai.
John 4 · 54 verses
फिर जब प्रभु को मालूम हुआ, कि फरीसियों ने सुना है, कि यीशु यूहन्ना से अधिक चेले बनाता, और उन्हें बपतिस्मा देता है।
Phir jab Prabhu ko maloom huaa, ki phareesiyon ne suna hai, ki Yeshu Yuhanna se adhik chele banata, aur unhein baptisma deta hai.
(यद्यपि यीशु आप नहीं वरन उसके चेले बपतिस्मा देते थे)।
(yadyapi Yeshu aap nahi varan uske chele baptisma dete the).
तब यहूदिया को छोड़कर फिर गलील को चला गया।
Tab yahoodiya ko chhodkar phir galeel ko chala gaya.
और उस को सामरिया से होकर जाना अवश्य था।
Aur us ko samriya se hokar jana avashya tha.
सो वह सूखार नाम सामरिया के एक नगर तक आया, जो उस भूमि के पास है, जिसे याकूब ने अपने पुत्र यूसुफ को दिया था।
So vah sookhaar naam samriya ke ek nagar tak aaya, jo us bhoomi ke paas hai, jise Yakub ne apne putra Yusuf ko diya tha.
और याकूब का कूआं भी वहीं था; सो यीशु मार्ग का थका हुआ उस कूएं पर यों ही बैठ गया, और यह बात छठे घण्टे के लगभग हुई।
Aur Yakub ka kooaan bhi vahi tha; so Yeshu maarg ka thaka huaa us kooyen par yon hi baith gaya, aur yah baat chhathe ghante ke lagbhag hui.
इतने में एक सामरी स्त्री जल भरने को आई: यीशु ने उस से कहा, मुझे पानी पिला।
Itne mein ek samri stri jal bharne ko aai: Yeshu ne us se kaha, mujhe pani pila.
क्योंकि उसके चेले तो नगर में भोजन मोल लेने को गए थे।
Kyonki uske chele to nagar mein bhojan mol lene ko gaye the.
उस सामरी स्त्री ने उस से कहा, तू यहूदी होकर मुझ सामरी स्त्री से पानी क्यों मांगता है? (क्योंकि यहूदी सामरियों के साथ किसी प्रकार का व्यवहार नहीं रखते)।
Us samri stri ne us se kaha, tu Yahudi hokar mujh samri stri se pani kyon mangta hai? (kyonki Yahudi samriyon ke saath kisi prakaar ka vyavhaar nahi rakhte).
यीशु ने उत्तर दिया, यदि तू परमेश्वर के वरदान को जानती, और यह भी जानती कि वह कौन है जो तुझ से कहता है; मुझे पानी पिला तो तू उस से मांगती, और वह तुझे जीवन का जल देता।
Yeshu ne uttar diya, yadi tu Parmeshwar ke vardaan ko janti, aur yah bhi janti ki vah kaun hai jo tujh se kahta hai; mujhe pani pila to tu us se mangti, aur vah tujhe jeevan ka jal deta.
स्त्री ने उस से कहा, हे प्रभु, तेरे पास जल भरने को तो कुछ है भी नहीं, और कूआं गहिरा है: तो फिर वह जीवन का जल तेरे पास कहां से आया?
Stri ne us se kaha, he Prabhu, tere paas jal bharne ko to kuchh hai bhi nahi, aur kooaan gahira hai: to phir vah jeevan ka jal tere paas kahan se aaya?
क्या तू हमारे पिता याकूब से बड़ा है, जिस ने हमें यह कूआं दिया; और आप ही अपने सन्तान, और अपने ढोरों समेत उस में से पीया?
Kya tu hamare pita Yakub se bada hai, jis ne hamein yah kooaan diya; aur aap hi apne santaan, aur apne dhoron samet us mein se peeya?
यीशु ने उस को उत्तर दिया, कि जो कोई यह जल पीएगा वह फिर प्यासा होगा।
Yeshu ne us ko uttar diya, ki jo koi yah jal peeyega vah phir pyasa hoga.
परन्तु जो कोई उस जल में से पीएगा जो मैं उसे दूंगा, वह फिर अनन्तकाल तक प्यासा न होगा: वरन जो जल मैं उसे दूंगा, वह उस में एक सोता बन जाएगा जो अनन्त जीवन के लिये उमड़ता रहेगा।
Parantu jo koi us jal mein se peeyega jo main use doonga, vah phir anantakaal tak pyasa na hoga: varan jo jal main use doonga, vah us mein ek sota ban jayega jo anant jeevan ke liye umadta rahega.
स्त्री ने उस से कहा, हे प्रभु, वह जल मुझे दे ताकि मैं प्यासी न होऊं और न जल भरने को इतनी दूर आऊं।
Stri ne us se kaha, he Prabhu, vah jal mujhe de taki main pyasi na houn aur na jal bharne ko itni door aaun.
यीशु ने उस से कहा, जा, अपने पति को यहां बुला ला।
Yeshu ne us se kaha, ja, apne pati ko yahan bula la.
स्त्री ने उत्तर दिया, कि मैं बिना पति की हूं: यीशु ने उस से कहा, तू ठीक कहती है कि मैं बिना पति की हूं।
Stri ne uttar diya, ki main bina pati ki hoon: Yeshu ne us se kaha, tu theek kahti hai ki main bina pati ki hoon.
क्योंकि तू पांच पति कर चुकी है, और जिस के पास तू अब है वह भी तेरा पति नहीं; यह तू ने सच कहा है।
Kyonki tu paanch pati kar chuki hai, aur jis ke paas tu ab hai vah bhi tera pati nahi; yah tu ne sach kaha hai.
स्त्री ने उस से कहा, हे प्रभु, मुझे ज्ञात होता है कि तू भविष्यद्वक्ता है।
Stri ne us se kaha, he Prabhu, mujhe gyaat hota hai ki tu bhavishyadwakta hai.
हमारे बाप दादों ने इसी पहाड़ पर भजन किया: और तुम कहते हो कि वह जगह जहां भजन करना चाहिए यरूशलेम में है।
Hamare baap dadon ne isi pahaad par bhajan kiya: aur tum kahte ho ki vah jagah jahan bhajan karna chahiye Yerushalem mein hai.
यीशु ने उस से कहा, हे नारी, मेरी बात की प्रतीति कर कि वह समय आता है कि तुम न तो इस पहाड़ पर पिता का भजन करोगे न यरूशलेम में।
Yeshu ne us se kaha, he nari, meri baat ki prateeti kar ki vah samay aata hai ki tum na to is pahaad par pita ka bhajan karoge na Yerushalem mein.
तुम जिसे नहीं जानते, उसका भजन करते हो; और हम जिसे जानते हैं उसका भजन करते हैं; क्योंकि उद्धार यहूदियों में से है।
Tum jise nahi jante, uska bhajan karte ho; aur ham jise jante hain uska bhajan karte hain; kyonki uddhaar Yahudiyon mein se hai.
परन्तु वह समय आता है, वरन अब भी है जिस में सच्चे भक्त पिता का भजन आत्मा और सच्चाई से करेंगे, क्योंकि पिता अपने लिये ऐसे ही भजन करने वालों को ढूंढ़ता है।
Parantu vah samay aata hai, varan ab bhi hai jis mein sachche bhakt pita ka bhajan aatma aur sachchai se karenge, kyonki pita apne liye aise hi bhajan karne valon ko dhoondhta hai.
परमेश्वर आत्मा है, और अवश्य है कि उसके भजन करने वाले आत्मा और सच्चाई से भजन करें।
Parmeshwar aatma hai, aur avashya hai ki uske bhajan karne vale aatma aur sachchai se bhajan karein.
स्त्री ने उस से कहा, मैं जानती हूं कि मसीह जो ख्रीस्तुस कहलाता है, आनेवाला है; जब वह आएगा, तो हमें सब बातें बता देगा।
Stri ne us se kaha, main janti hoon ki Masih jo khreestus kahlata hai, aanevala hai; jab vah aayega, to hamein sab batein bata dega.
यीशु ने उस से कहा, मैं जो तुझ से बोल रहा हूं, वही हूं॥
Yeshu ne us se kaha, main jo tujh se bol raha hoon, vahi hoon.
इतने में उसके चेले आ गए, और अचम्भा करने लगे, कि वह स्त्री से बातें कर रहा है; तौभी किसी ने न कहा, कि तू क्या चाहता है? या किस लिये उस से बातें करता है।
Itne mein uske chele aa gaye, aur achambha karne lage, ki vah stri se batein kar raha hai; taubhi kisi ne na kaha, ki tu kya chahta hai? Ya kis liye us se batein karta hai.
तब स्त्री अपना घड़ा छोड़कर नगर में चली गई, और लोगों से कहने लगी।
Tab stri apna ghada chhodkar nagar mein chali gai, aur logon se kahne lagi.
आओ, एक मनुष्य को देखो, जिस ने सब कुछ जो मैं ने किया मुझे बता दिया: कहीं यह तो मसीह नहीं है?
Aao, ek manushya ko dekho, jis ne sab kuchh jo main ne kiya mujhe bata diya: kahi yah to Masih nahi hai?
सो वे नगर से निकलकर उसके पास आने लगे।
So ve nagar se nikalkar uske paas aane lage.
इतने में उसके चेले यीशु से यह बिनती करने लगे, कि हे रब्बी, कुछ खा ले।
Itne mein uske chele Yeshu se yah binti karne lage, ki he rabbi, kuchh kha le.
परन्तु उस ने उन से कहा, मेरे पास खाने के लिये ऐसा भोजन है जिसे तुम नहीं जानते।
Parantu us ne un se kaha, mere paas khane ke liye aisa bhojan hai jise tum nahi jante.
तब चेलों ने आपस में कहा, क्या कोई उसके लिये कुछ खाने को लाया है?
Tab chelon ne aapas mein kaha, kya koi uske liye kuchh khane ko laya hai?
यीशु ने उन से कहा, मेरा भोजन यह है, कि अपने भेजने वाले की इच्छा के अनुसार चलूं और उसका काम पूरा करूं।
Yeshu ne un se kaha, mera bhojan yah hai, ki apne bhejne vale ki ichchha ke anusaar chalun aur uska kaam poora karun.
क्या तुम नहीं कहते, कि कटनी होने में अब भी चार महीने पड़े हैं? देखो, मैं तुम से कहता हूं, अपनी आंखे उठाकर खेतों पर दृष्टि डालो, कि वे कटनी के लिये पक चुके हैं।
Kya tum nahi kahte, ki katni hone mein ab bhi chaar maheene pade hain? Dekho, main tum se kahta hoon, apni aankhe uthakar kheton par drishti dalo, ki ve katni ke liye pak chuke hain.
और काटने वाला मजदूरी पाता, और अनन्त जीवन के लिये फल बटोरता है; ताकि बोने वाला और काटने वाला दोनों मिलकर आनन्द करें।
Aur katne vala majdoori pata, aur anant jeevan ke liye phal batorta hai; taki bone vala aur katne vala donon milkar aanand karein.
क्योंकि इस पर यह कहावत ठीक बैठती है कि बोने वाला और है और काटने वाला और।
Kyonki is par yah kahavat theek baithti hai ki bone vala aur hai aur katne vala aur.
मैं ने तुम्हें वह खेत काटने के लिये भेजा, जिस में तुम ने परिश्रम नहीं किया: औरों ने परिश्रम किया और तुम उन के परिश्रम के फल में भागी हुए॥
Main ne tumhein vah khet katne ke liye bheja, jis mein tum ne parishram nahi kiya: auron ne parishram kiya aur tum un ke parishram ke phal mein bhagi hue.
और उस नगर के बहुत सामरियों ने उस स्त्री के कहने से, जिस ने यह गवाही दी थी, कि उस ने सब कुछ जो मैं ने किया है, मुझे बता दिया, विश्वास किया।
Aur us nagar ke bahut samriyon ne us stri ke kahne se, jis ne yah gavahi di thi, ki us ne sab kuchh jo main ne kiya hai, mujhe bata diya, vishwaas kiya.
तब जब ये सामरी उसके पास आए, तो उस से बिनती करने लगे, कि हमारे यहां रह: सो वह वहां दो दिन तक रहा।
Tab jab ye samri uske paas aaye, to us se binti karne lage, ki hamare yahan rah: so vah vahan do din tak raha.
और उसके वचन के कारण और भी बहुतेरों ने विश्वास किया।
Aur uske vachan ke karan aur bhi bahuteron ne vishwaas kiya.
और उस स्त्री से कहा, अब हम तेरे कहने ही से विश्वास नहीं करते; क्योंकि हम ने आप ही सुन लिया, और जानते हैं कि यही सचमुच में जगत का उद्धारकर्ता है॥
Aur us stri se kaha, ab ham tere kahne hi se vishwaas nahi karte; kyonki ham ne aap hi sun liya, aur jante hain ki yahi sachmuch mein jagat ka uddharkarta hai.
फिर उन दो दिनों के बाद वह वहां से कूच करके गलील को गया।
Phir un do dinon ke baad vah vahan se kooch karke galeel ko gaya.
क्योंकि यीशु ने आप ही साक्षी दी, कि भविष्यद्वक्ता अपने देश में आदर नहीं पाता।
Kyonki Yeshu ne aap hi sakshi di, ki bhavishyadwakta apne desh mein aadar nahi pata.
जब वह गलील में आया, तो गलीली आनन्द के साथ उस से मिले; क्योंकि जितने काम उस ने यरूशलेम में पर्व के समय किए थे, उन्होंने उन सब को देखा था, क्योंकि वे भी पर्व में गए थे॥
Jab vah galeel mein aaya, to galeeli aanand ke saath us se mile; kyonki jitne kaam us ne Yerushalem mein parva ke samay kiye the, unhonne un sab ko dekha tha, kyonki ve bhi parva mein gaye the.
तब वह फिर गलील के काना में आया, जहां उस ने पानी को दाख रस बनाया था: और राजा का एक कर्मचारी था जिस का पुत्र कफरनहूम में बीमार था।
Tab vah phir galeel ke kana mein aaya, jahan us ne pani ko daakh ras banaya tha: aur raja ka ek karmachari tha jis ka putra kaphranhoom mein beemaar tha.
वह यह सुनकर कि यीशु यहूदिया से गलील में आ गया है, उसके पास गया और उस से बिनती करने लगा कि चलकर मेरे पुत्र को चंगा कर दे: क्योंकि वह मरने पर था।
Vah yah sunkar ki Yeshu yahoodiya se galeel mein aa gaya hai, uske paas gaya aur us se binti karne laga ki chalkar mere putra ko changa kar de: kyonki vah marne par tha.
यीशु ने उस से कहा, जब तक तुम चिन्ह और अद्भुत काम न देखोगे तब तक कदापि विश्वास न करोगे।
Yeshu ne us se kaha, jab tak tum chinh aur adbhut kaam na dekhoge tab tak kadapi vishwaas na karoge.
राजा के कर्मचारी ने उस से कहा; हे प्रभु, मेरे बालक की मृत्यु होने से पहिले चल।
Raja ke karmachari ne us se kaha; he Prabhu, mere balak ki mrityu hone se pahile chal.
यीशु ने उस से कहा, जा, तेरा पुत्र जीवित है: उस मनुष्य ने यीशु की कही हुई बात की प्रतीति की, और चला गया।
Yeshu ne us se kaha, ja, tera putra jeevit hai: us manushya ne Yeshu ki kahi hui baat ki prateeti ki, aur chala gaya.
वह मार्ग में जा रहा था, कि उसके दास उस से आ मिले और कहने लगे कि तेरा लड़का जीवित है।
Vah maarg mein ja raha tha, ki uske daas us se aa mile aur kahne lage ki tera ladka jeevit hai.
उस ने उन से पूछा कि किस घड़ी वह अच्छा होने लगा उन्होंने उस से कहा, कल सातवें घण्टे में उसका ज्वर उतर गया।
Us ne un se poochha ki kis ghadi vah achchha hone laga unhonne us se kaha, kal satvein ghante mein uska jwar utar gaya.
तब पिता जान गया, कि यह उसी घड़ी हुआ जिस घड़ी यीशु ने उस से कहा, तेरा पुत्र जीवित है, और उस ने और उसके सारे घराने ने विश्वास किया।
Tab pita jaan gaya, ki yah usi ghadi huaa jis ghadi Yeshu ne us se kaha, tera putra jeevit hai, aur us ne aur uske sare gharane ne vishwaas kiya.
यह दूसरा आश्चर्यकर्म था, जो यीशु ने यहूदिया से गलील में आकर दिखाया॥
Yah doosra aashcharyakarm tha, jo Yeshu ne yahoodiya se galeel mein aakar dikhaya.